Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 130 131 132 133 [134] 135 136 137 138 ... 273
Print
Author  (Read 131665 times)
angel4u
Guest
«Reply #1995 on: August 31, 2007, 05:31:48 PM »

Kabhi Kabhi Yaad Mein Ubharte Hai NaQsh-E-Maazi Mite Mite Se,
Wo Aazmayish Si Dil-O-Nazar Ki, Wo Qurbatein Si Wo Faasle Se,

Kabhi Aarzoo Ke Sehra Mein Aake Rukte Hai

Qaafile Se,
Wo Saari Baatein Lagav Ki Si Wo Saare Unvan Visaal Ke Se,

Nigah-O-Dil Ka Qarar Kaisa Nishaat-O-Gam Mein Kami Kahan Ki,
Wo Jab Mile Hai To Unse Har Baar Ki Hai Ulfat Naye Sire Se,

Bahut Giraan Hai Ye Aish-E-Tanha Kahin Sabukatar Kahin Gawaara,
Wo Dard-E-Pinhan Ki Saaari Duniya Thi Jiske Waaste Se,

Tumhi Kaho Rind-O-Muhtasib Mein Ho Aaj Shab Kaun FarQ Aisa,
Ye Aake Baithe Hai Maikade Mein Wo Uthke Aaye Hai Maikade Se...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1996 on: August 31, 2007, 05:33:22 PM »

Aati Hai Teri Yaad Bhi Humko Kabhi Kabhi,
Hoti Hai Khwabon Mein Bhi MulaQaat Kabhi Kabhi,

Kuchh Apna Hosh Rehta Hai Na Duniya Ka Hamein,
Jab Hoti Hai Aankhon Se Barsat Kabhi Kabhi,

Hota To Hoga Tujhe Hamari Chahat Ka Ehsaas,
Hoti To Hogi Tu Bhi Betaab Kabhi Kabhi,

Ye Alag Baat Hai Mujhe Aadat Hai Muskurane Ki,
Guzar Jaati Magar Aansuon Mein Raat Kabhi Kabhi,

Kis Kambakht Ko Zaroorat Hai Teri Tasveer Ki,
Aansu Se Ban Jaati Teri Tasveer Kabhi Kabhi,

Duniya Kehne Lagegi Kaafir Humein Bhi,
Tere Takhaul Ko Kiya Hai Sajda Kabhi Kabhi,

Na Paa Saka Wo Sakoon-E-Dil Tere Sath Bhi,
Jo Mil Jaata Hai Tere Baad Kabhi Kabhi,

Likh To Leta Hoon Main Haal-E-Dil Magar Phir Bhi,
Hoti Hai Lafzon Ki Kami Mehsoos Kabhi Kabhi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1997 on: August 31, 2007, 05:34:52 PM »
Ek Beqarari Mein Doob Kar,
Ek Masti Mein Jhoom Kar,
Mohabbatne Apna Izhaar Chaha,
Zindagi Mein Pehli Baar,
Dilne Kisiko Dilse Chaha,

Khwaab Bane Aarzu Ki Tarah,
Ummeed Bani Zindagi Ki Tarah,
Har Ehsaas Ne IQraar Chaha,
Zindagi Mein Pehli Baar,
Dilne Kisi Ko Dilse Chaha,

Aitbaar Ka Haath Thaam Kar,
Yaadon Ko Humraah Le Kar,
Is Masoon Me Beikhtiyaar Chaha,
Zindagi Mein Pehli Baar,
Dilne Kisiko Dilse Chaha,

Ek Khoobsurat Itminaan Ki Tarah,
Tum Hue Hamari Dua Ki Tarah,
Humne Tumhe Toot Kar Chaha,
Zindagi Mein Pehli Baar,
Dil Ne Kisiko Dilse Chaha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1998 on: August 31, 2007, 05:36:40 PM »

Dost Bankar Bhi Nahi Saath Nibhane Wala,
Wahi Andaaz Hai Zaalim Ka Zamane Wala,

Ab Ise Log Samajthe Hai Giraftaar Mera,
Sakht Nadeem Hai Mujhe Daam Mein Laane Wala,

Kya Kahein Kitne Marasim The Hamare Isse,
Wo Jo Ek Shakhs Hai Munh Pher Ke Jaane Wala,

Tere Hote Hue Aa Jaati Thi Saari Duniya,
Aaj Tanha Hoon To Koi Nahi Aane Wala,

Muntazir Kiska Hoon Tooti Hui Dehliz Pe Main,
Kaun Aayega Yahan Kaun Hai Aane Wala,

Maine Dekha Hai Baharon Mein Chaman Ko Jalte,
Hai Koi Khwaab Ki Taabeer Batane Wala,

Kya Khabar Thi Jo Meri Jaan Mein Ghula Hai Itna,
Hai Wohi Mujhko Sar-E-Daar Bhi Laane Wala,

Tum TaQalluf Ko Bhi Ikhlaas Samajhte Ho 'Faraz',
Dost Hota Nahi Har Haath Milane Wala...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #1999 on: August 31, 2007, 05:40:38 PM »
Chahat Ka Ek Mitha Mitha Dard Jagane Shaam Dhale,
Teri Yaadein Aa Jaati Hai Mujhko Rulane Shaam Dhale,

Teri Zulfein In Kandhon Par Tera Chehra Haathon Mein,
Maine Bhi Dekhe Hai Kitne Khwab Suhane Shaam Dhale,

Har Din Humse Waada Karke Yunhi Agar Tadapaoge,
Ek Din Yunhi Ho Jayenge Hum Bhi Deewane Shaam Dhale,

Din Ke Ujaale Mein To Mana To Laakh Jatan Se Behla Hoon,
Lekin Dilka Pagal Panchhi Ek Na Maane Shaam Dhale...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2000 on: August 31, 2007, 05:42:36 PM »
Chahat Mein Kya Duniya Daari IshQ Mein Kaisi Majboori,
Logon Ka Kya Samjhane Do Inki Apni Majboori,

Maine Dilki Baat Rakhi Aur Tune Duniya Walon Ki,
Meri Garz Bhi Majboori Thi Unka HuQam Bhi Majboori,

Rokh Sako To Pehli Baarish Ki Boondo Ko Tum Roko,
Kachhi Mitti To Mehkegi, Hai Mitti Ki Majboori,

Jab Tak Hansta Gata Mausam Apna Hai, Sab Apne Hai,
WaQt Pade To Yaad Aati Hai Masnovi Majboori,

Ek Awara Baadal Se Kyon Maine Saaya Manga Tha,
Meri Bhi Ye Nadani Thi, Uski Bhi Thi Majboori,

Muddat Guzri Ek Waade Par Aaj Bhi Qayam Hai Mohsin,
Humne Saari Umar Nibhayi, Apni Pehli Majboori...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2001 on: August 31, 2007, 05:43:50 PM »
Wo Nahi Milta Mujhe Iska Gila Apni Jagah,
Uske Mere Darmiyaan Ka Fasla Apni Jagah,

Zindagike Is Safar Mein Sekdon Chehre Mile,
Dilkashi Unki Alag, Paikar Tera Apni Jagah,

Tujhse Milkar Na Aane Wale Kal Se Nafrat Mol Li,
Ab Kabhi Tujhse Na Bichhdun Ye Dua Apni Jagah,

Is Musalsal Daur Mein Hai Manzilein Aur Faasle,
Paanv To Apni Jagah Hai Raasta Apni Jagah...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2002 on: August 31, 2007, 05:46:10 PM »
Apne Dilki Awaz Ko Sun, Usne Bhi Dhadakna Sikha Hai,
Dard Chhupe Hai Nas Nas Mein, Aur Tadapna Sikha Hai,

Rehne Do Na Chhedon Yun Lene Do Maza Abhi Sone Ka,
Khwabon Mein Yun Gum Ho Kar, Sochone Uljhana Sikha Hai,

Gam Kya Hai Tanhayi Ka, Kabhi Koi Na Samjhega,
Puchho Andheri Raaton Se, Jinhone Bichhadna Sikha Hai,

Duniya Ke Rangon Mein Jab Teri Kami Hum Payenge,
Puchhenge TaQdeer Se Tab Kyon Haathon Mein Sawarna Sikha Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2003 on: August 31, 2007, 05:47:40 PM »
Hasratein Jaag Uthein Yaas Ne Pehlu Badla,
Is Tarah Haath Teri Yaad Ne Aakar Rakha,

Hum Tujhe Dil Se Bhula Dein Na Kabhi Yaad Karein,
Mil Agar Jaye Zamane Mein Koi Bhi Tujh Sa,

Phool Sa Jism Dehekne Laga Sholon Ki Tarah,
Dil Teri Yaad Ko Bhi Wasl Ka Samaan Samjha,

Aankh Har Rote Hue Shakhs Ki Jaanib Thi,
Dil Har Chalte Hue Shakhs Ke Pichhe Bhaga,

Yaad Aayi To Sulag Uthe Nigahon Ke Ayagh,
Raat Aayi To Tere Gam Ka MuQaddar Chamka...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2004 on: August 31, 2007, 05:49:51 PM »

Hua Hai Insaaf Se Bezaar Mera Dil,
Bewafa Ho Aap Gunehgaar Mera Dil,

Har Kisike Sath Koi Tanha Main,
Phir Se Le Jaa Mere Yaar Mera Dil,

Ab To Kismaton Pe Chhod Di Hai Baat,
Thak Chuka Tumhe Pukaar Mera Dil,

Mere Marne Ki Ab Duwayein Maangiye,
Jeene Ka Nahi Hai Talabgaar Mera Dil,

WaQt Ki Aandhiyon Ne Maar Dala,
Tha Ek Dhuwein Ka Gubaar Mera Dil,

Ke Wafaon Ki Ummid Bewafaon Se,
Thi Paani Se Ladayi Sharaar Mera Dil,

Ab Husn-O-IshQ Ki Baatein Na Kijiye,
Mohabbat Se Hai Sharmsaar Mera Dil,

Ispe Phool Ki Jagah Aansu Chadhaiye,
Hai Haseen Khwabon Ka Mazaar Mera Dil,

Dhadkan Ruk Jaati Hai Tere Naam Se,
Chhu Ke Dekhiye To Ek Baar Mera Dil,

Jalao Na Usko Abhi Mere Doston,
Kisika Kar Raha Hai Intezaar Mera Dil...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2005 on: August 31, 2007, 05:52:08 PM »

Mohabbat Ki Os Ki Surat,
Pyaasi Pankhudi Ke Honth Ko Sairab Karti Hai,
Gulon Ki Aastino Mein Anokhe Rang Bharti Hai,
Seher Ke Jhatpute Mein Gungunati Muskurati Jagmagati Hai,
Mohababt Ke Dino Mein Dasht Bhi Mehsoos Hota Hai,
Kisi Firdaus Ki Surat,
Mohabbat Os Ki Surat,
Mohabbat Abr Ki Surat,
Dilon Ki Sarzameen Mein Ye Ghir Ke Aati Hai Aur Barasti Hai,
Chaman Ka Zarra Zarra Jhumta Hai Muskurata Hai,
Azal Ki Benamu Matti Mein Sabzah Sar Uthata Hai,
Mohabbat Unko Bhi Aabad Aur Shadab Karti Hai,
Jo Dil Hai Qabr Ki Surat,
Mohabbat Abr Ki Soorat,
Mohabbat Aag Ki Soorat,
Bujhe Seeno Mein Jalti Hai To Dil Bedaar Hote Hai,
Mohabbat Ki Tapish Mein Kuch Ajab Asraar Hote Hai,
Ke Jitna Ye Bhadakti Hai Uroos=E-Jaan Mehekti Hai,
Dilon Ke Sahilon Pe Jama Hoti Aur Bikharti Hai,
Mohabbat Jhaag Ki Surat,
Mohabbat Aag Ki Surat,
Mohabbat Khwaab Ki Surat...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2006 on: August 31, 2007, 05:53:17 PM »

Ana Hai Tum Mein Bhi Thodi Bahut Batana Use,
Wo Ab Mile Bhi To Mat Haal-E-Dil Sunana Use,

Akele Kisse Utha Hai TaaluQaat Ka Bojh,
Wo Tumko Yaad Na Rakhe To Bhool Jana Use,

Main To Keh Raha Tha Raah-E-Wafa Kathan Hai Bahut,
Magar Bichhadne Ka Haath Aa Gaya Bahana Use...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2007 on: August 31, 2007, 05:54:44 PM »

Baat Phoolon Ki Suna Karte The,
Hum Kabhi Sher Kaha Karte The,

Mashalein Le Kar Tumhare Gam Ki,
Hum Andheron Mein Chala Karte The,

Ab Kahan Aisi Tabiyat Waale,
Chot Kha Kar Jo Dua Karte The,

TarQ-E-Ehsaas-E-Mohabbat Mushkil,
Haan Magar Ahl-E-Wafa Karte The,

Bikhri Bikhri Zulfon Wale,
Qaafile Rok Liya Karte The,

Aaj Gulshan Mein Shaguf-E-Saagar,
Shikwe Baad-E-Saba Se Karte The...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2008 on: August 31, 2007, 05:56:34 PM »

Deepak Rag Hai Chahat Apni Kahe Sunayein Tumhe,
Hum To Sulagte Hi Rehte Hai Kyon Sulgayein Tumhe,

TarQ-E-Mohabbat TarQ-E-Tamanna Kar Chukne Ke Baad,
Hum Pe Ye Mushkil Aan Padi Hai Kaise Bhulayein Tumhe,

San-Natajab Jab Tanhayi Ke Zeher Mein Bujhta Hai,
Wo Ghadi Jyon Kar Katti Hai Kaise Batayein Tuhe,

Jin Baaton Pe Pyaar Tumhara Nafrat Mein Badla,
Dar Lagta Hai Wo Baatein Bhi Bhool Na Jayein Tumhe...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2009 on: August 31, 2007, 05:58:31 PM »
Wo Log Bahut Khush-Qismat The,
Jo IshQ Ko Kaam Samajhte The,
Ya Kaam Se AashiQui Karte The,
Hum Jeete Jee Masroof Rahe,
Kuch IshQ Kiya Kuch Kaam Kiya,

Kaam IshQ Ke Aare Aata Raha,
Aur IshQ Se Kaam Ulajhta Raha,
Phir Aakhir Tang Aa Kar Humne,
Dono Ko Adhura Chhod Diya...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 130 131 132 133 [134] 135 136 137 138 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 18, 2024, 12:50:11 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer