Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 131 132 133 134 [135] 136 137 138 139 ... 273
Print
Author  (Read 131669 times)
angel4u
Guest
«Reply #2010 on: August 31, 2007, 06:01:52 PM »

Mohabbat Mein Har Ek Lamha Wisl Karna Hai,
Ab Pyaar Tujhe Har Din Maah-O-Saal Karna Hai,

Aage Bhi Badhna Hai Aur Tum Ko Bhi Paana Hai,
Khudase Bas Ek Yehi Sawal Karna Hai,

Kami Hogi Na Agaz Ta Anjaam-E-Mohabbat,
Dekho Humne Ab Ye Kamal Karna Hai,

Dar Na Jaana Kahin Zamane Ki Gardishko Dekh Kar,
Sirf Raat Aur Sawereka Khayal Rakhna Hai,

Jitni Bhi Aayein Nafratein Raaste Mein Tumhare,
Be Khauf-O-Khatar Sabko Pa'emal Karna Hai,

Anjaam Is Tarah Se Ho Ke Rutt Hi Badal Jaye,
Bilal Ezaton Ka Bhi Anee Magar Khayal Karna Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2011 on: August 31, 2007, 06:14:14 PM »

Aaj Ujaale Ki Kiran Kho Gayi,
Zindagi Veeran Si Ho Gayi,
Gaye Wo Din,
Jab Humne Unse Ummid Rakhi Thi,
Aaj Ye Khoob Ho Gaya,
Ke Hamein Mohabbat Se Nafrat Ho Gayi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2012 on: August 31, 2007, 06:17:55 PM »

Tum Bin Kahin Qarar Na Aaye To Main Kya Karun,
Har Pal Teri Yaad Sataye To Main Kya Karun,

Sharab Chhuna Mere Liye Haraam Hai,
Lekin Teri Nigaah Pilaye To Main Kya Karun,

Surat Main Apni Bhool Gaya Tujhko Dekh Kar,
Har Aayine Mein Tu Nazar Aaye To Main Kya Karun...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2013 on: August 31, 2007, 06:20:31 PM »

Jab Meri Yaad Aaye To Rukna Mat,
Mere Paas Laut Aana,

Jab Raat Ka Diya Bujh Jaye,
Aur Kuch Saaf Nazar Na Aaye,
To Darna Mat,
Mere Paas Laut Aana,

Jab Bin Badal Barsat Ho Jaye,
Aur Tumhein Rasta Na Mil Paaye,
To Udaas Mat Hona,
Mere Paas Laut Aana,

Jab Saans Ki Dori Toote,
Aur Koi Apna Tumhe Loote,
To Maayus Mat Hona,
Tum Mere Paas Laut Aana,

Jab Dil Tumhara Toote,
Aur Kisika Saath Tumse Chhute,
To Aansu Mat Bahana,
Mere Paas Laut Aana,

Apni Khushi Se Chhod Ke Gayi Ho Tum,
Mere Jazbaat, Pyaar, Aitbaar,
Ko Tod Ke Gayi Ho Tum,
Phir Bhi Meri Yaad Agar Aaye,
Aur Aankhein Tumhari Bhar Aayein,
To Sharminda Mat Hona,
Mere Paas Laut Aana,

Bas Itna Kehna Chahta Hoon,
Ke Hamesha Intezar Karunga,
Is Kaaynaat Se Zyada Pyaar Karunga,
Magar Jab Tumhe Meri Yaad Aaye,
To Rukna Mat,
Mere Paas Laut Aana...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2014 on: August 31, 2007, 06:22:54 PM »

Har Shakhs Majboori Tale,
Har Simt Mein Majbooriyan,
Mohabbaton Ke Bich Mein
Aur Chahaton Ke Darmiyaan,
Aye Sada Majboori,

Kyon Paas Ho Kar Faasle,
Ye Duri Ki Nazdeekiyan,
Hai Rooh Tak Bechain,
Sab Silsalonke Darmiyan,
Aye Sada Majbooriyan,

Jazbon Ki Ye Moon Zoorein,
Rishton Ki Kuch Kamzoriyan,
Badhte Kadam Rukte Kadam,
Har Ek Amal Ke Darmiyan,
Aye Sada Majbooriyan,

Kuch Aap Ki Naadaniyan,
Kab Tha Gila Tumse Magar,
Is Dilki Kuch Hairaniyan,
Haan, Tere Mere Darmiyan,
Aye Sada Majbooriyan...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2015 on: August 31, 2007, 06:26:09 PM »

Bahut Hi Yaad Aata Hai Mere Dilko Tadpata Hai,
Wo Tera Paas Na Hona Bahut Mujhko Rulata Hai,

Wo Mera Teri Aankhon Ke Samundar Mein Utar Jaana,
Aur Teri Muskurahat Ke Bhanwar Mein Doobte Jaana,

Teri Awaz Ke Seher Se Na Nikal Paana,
Tujhko Dekhna Aur Bekhudi Se Dekhte Jaana,

Bahut Chaha In Guzre Hue Lamhon Ko Na Sochun,
Na Teri Yaad Mein Reh Ke Tere Sath Ka Sochun,

Bhula Dun Saari Yaadon Ko Ke Jinse Dil Tadapta Hai,
Ke Jinse Thes Uthti Hai Ke Jin Se Dard Hota Hai,

Magar Jab Raat Aati Hai To Teri Yaad Aati Hai,
Tere Hi Khwaab Hote Hai Teri Hi Baat Hoti Hai,

To Tay Paaya Ab Mumkin Nahi Tujhko Bhula Dena,
Teri Yaad Mein Rehna Tujhe Hi Sochte Rehna,

Tujhe Jab Yaad Karte Hai To Dil Apna Tadapta Hai,
Wo Tera Paas Na Hona Bahut Mehsoos Hota Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2016 on: September 01, 2007, 08:28:01 PM »

Pehli Hi MulaQaat Mein,
Hum Dil To De Baithe,
Kya Pata Tha Aye Zalim,
Pyaar Bewafa Bhi Hota Hai,

Tumko Kya Pata
Ke Pyar Kya Chiz Hai,
Chaha Tha Tumse Kya,
Tumne Kya Sila Diya,
Mera Yaar Bewafa,

Gam Ke Aansu Behte Hai,
Toot Raha Hai Dil Har Pal,
Yeh Dard Tum Kya Jano,
Mere Yaar Bewafa,

Kehte Hai Pyaar Ek Hi Baar Htoa Hai,
Hum Apne Hisse Ka Pyar Kar Chuke,
Na Dohrayenge Is Galti Ko,
Na Ho Payenge Aur Kisi Ke,
Mere Yaar Bewafa,

Tumse Kya Karein Shikayat,
Samjha Tumne Hamein Kahan,
Pyar Kiya Tha Beshumar,
Paya Hai Sirf Humne,
Ek Bewafa Yaar...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
tanha_kamal
Guest
«Reply #2017 on: September 01, 2007, 09:14:08 PM »
great collection..ur collection never ceases to amaze me.. Usual Smile
Logged
Roja
Guest
«Reply #2018 on: September 02, 2007, 02:45:03 AM »
wow what a wonderful collections angel... very good..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2019 on: September 02, 2007, 05:02:09 PM »
Quote from: "tanha_kamal"
great collection..ur collection never ceases to amaze me.. Usual Smile


Thanks a lot dear. i didnt knew someone would read my collection, thank you soooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooo much for appreciating Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2020 on: September 02, 2007, 05:06:22 PM »
Quote from: "Roja"
wow what a wonderful collections angel... very good..


thanks a lot roja Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2021 on: September 02, 2007, 05:10:06 PM »
Tumse Kabhi Kuch Kehne Ki Himmat Na Hui,
Tumko Bhulane Ki Bhi Kabhi Koshish Na Hui,
Tumse Mohabbat Thi, Hai Aur Rahegi,
Hamesha,
Par Tumse Izhaar Karne Ki Kabhi Ulfat Na Hui,
Kehte Hai Log Ke Pyaar Ko Aankhon Se Bhi Bayan Kiya Jaa Sakta Hai,
Par Tumko Kabhi Mere Aankhon Mein Dekhne Ki Fursat Na Hui,
Mere Pyaar Ka Mazak Bana Kar Ek Hasi Mein To Uda Diya,
Par Mere Aansu Ko Dekhneki Kabhi Jurrat Na Hui...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2022 on: September 02, 2007, 05:12:03 PM »

Pyaar Apna Aazma Kar Dekhiye,
Yaar Ke Kooche Mein Jaa Kar Dekhiye,

Kuch Nadaamat Chahiye Gar Aap Ko,
Aap Logonka Bhala Kar Dekhiye,

Ug Padenge Ye Zubaan Par Ek Din,
Raaz Seene Mein Daba Kar Dekhiye,

Inki Fitrat Hai Khushi Se Dushmani,
Gam Se Aankhein To Mila Kar Dekhiye,

Soch Ki Aandhi Uthegi Zehen Mein,
Yaad Ki Shamma Jala Kar Dekhiye,

Mere Gam Ka Ho Yehi Shayad Ilaaj,
Meri Janib Muskura Kar Dekhiye,

Baat Se Kab Haath Qismat Aayegi,
Maraka Koi Dikha Kar Dekhiye,

Roop Unka Samne Aa Jayega,
Doston Ke Kuch Gila Kar Dekhiye,

Thar Tharahat Maut Par Chha Jayegi,
Sir Sir-E-MaQtal Utha Kar Dekhiye,

Humne 'Ashraf' Ko Banaya Aaj Tak,
Aaj To Apna Bana Kar Dekhiye...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2023 on: September 02, 2007, 08:14:50 PM »

Kaisa Kaisa Kaam Raha Tha,
Bas Haathon Mein Jaam Raha Tha,

Aur To Sab Kuch Bhool Gaye Hum,
Bas Tera Hi Naam Raha Tha,

Jiski Soorat Aam Hui Hai,
Wo Kitna Gumnaam Raha Tha,

Jab Bhi Kam Se Fursat Ho Li,
Phir Dekho To Kaam Raha Tha,

Itne Bekal Kyon Rehte Ho,
Ek Ye Bhi Ilzaam Raha Tha,

Yaad Na Aana Ab Tum Mujh Ko,
Maine Ek Ye Kaam Kaha Tha...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2024 on: September 02, 2007, 08:17:31 PM »

Aaj Phir Dard Mein Mera Ye Dil Doob Gaya Hai,
Shayad Koi Dil Ka Tukda Pichhe Chhut Gaya Hai,

Jiske Haathon Ko Haath Mein Thame Chali Thi Main,
Wo Haath Aaj Mujhse Jaane Kahan Chhut Gaya Hai,

Jiske Paas Apne Pyaar Ka Khazana Thamaya Tha,
Wo Behroopi Aaj Mujhe Sar-E-Bazar Loot Gaya Hai,

Khile The Jo Phool Baharon Mein Pyaar Banke,
Aaj Wo Har Mausam Phool Apni Daali Se Toot Gaya Hai,

Durakhsha Aankhone Jo Khwab Sajaye The,
Aaj Wo Har Khubsurat Khwab Mera Toot Gaya Hai,

Jise Paane Par Apni Kismat Pe Naaz Hua Tha Kabhi,
Aaj Wahi Naseeb Uske Bina Mujhse Rooth Gaya Hai,

Jiske Waadon Pe Jaan Se Zyada YaQeen Tha Mujhko,
Aaj Wo Gazab Aayina Mere Aitbaar Ka Phoot Gaya Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
Pages: 1 ... 131 132 133 134 [135] 136 137 138 139 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 18, 2024, 02:47:42 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.111 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer