Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 132 133 134 135 [136] 137 138 139 140 ... 273
Print
Author  (Read 133201 times)
angel4u
Guest
«Reply #2025 on: September 02, 2007, 08:20:14 PM »

Har Shakhs Uske Baad Mujhe Anjaana Laga,
Bhool Jaane Mein Use Poora Zamana Laga,

Pith Mein Bhi Maara Khanjar, Dilko Bhi Kiya Zakhmi,
Andaz Uska Ye Mujhe Barha Katlana Laga,

Har Baar Gairon Ki Tarah Wo Milta Raha Mujhe Magar,
Phir Bhi Na Wo Zalim Mujhe Kabhi Begana Laga,

Kahin Bhi Na Mili Jab Mujhe Dard-E-Dilki Dawa,
Tab Maikhana Hi Mujhe Apna Dawakhana Laga,

Kahani Sun Mere Barbaad Hone Ki Wo Bola,
Bahut Khoob Hamein Ye Afsana Laga,

Aaj Ke Is Daur Mein Wo Dhund Raha Hai Wafa,
Kya Kahoon, Mujhe To DILBAAR Pura Deewana Laga...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2026 on: September 02, 2007, 08:22:59 PM »

Meri Kaza Pe Wo Sangdil Jashn Manayega,
Masarratein Chirag Ko Wo Bedardi Se Jalayega,

Royegi Meri Rooh Zaar Zaar Tab Mere Maula,
Aur Wo Muskurake Ek Naya Jaam Uthayega,

Na Ayega Kabhi Wo Meri Majboor Mazaar Pe,
Apni Berukhi Se Wo Kuch Aur Mujhe Tadpayega,

Na Zindagi Na Maut Sukoon De Sakegi Tab,
Jab Wo Mere Kisse Hans Ke Dostonko Dohrayega,

Kya Mila 'Farhana' Tujhko Bewafa Pe Mar Mitke,
Kya Aisa Adhura Rishta Kabhi Pyaar Kehlayega...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2027 on: September 02, 2007, 08:24:07 PM »

Aankehin Teri Raahon Mein Bichhate Rahe,
Tere Intezaar Mein Hum Raah Sajate Rahe,

Shamma Bujh Na Payegi In Andheron Mein Kabhi,
Hum Jalate The Aur Tum Bujhate Hi Rahe,

Labon Ki Justuju Hai Chhune Ki Tamanna,
Hum Paas The Aur Tum Door Jaate Hi Rahe,

Hum Sab Se Kehte Nahi Apna Haal-E-Dil Magar,
Hum Rote The Aur Tum Rulate Hi Rahe...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2028 on: September 02, 2007, 08:26:03 PM »

Khalish Seene Ki Din-Raat Jalati Hai,
Kashmaksh Raaton Ki Neend Bhi Kha Jati Hai,
Kahin Kio Manzil Nazar Aati Nahi,
Bas Jazbaaton Ke Shor Mein Aankh Khul Jaati Hai,

Vyakul Mann Uske Diye Dard Mein Rota Hai,
Karvatein Badal Badal Ke Is Shab Ko Dhota Hai,
Nam Aankhon Mein Dard Bhi Bheeg Bheeg Jaata Hai,
Uff Magar Gam Ka Paimana Khali Na Ho Pata Hai,

Meri Bechaini Har Pal Kaanto Pe Chalti Hai,
Tapish Zakhmo Ki Labon Se "AAH" Banke Nikalti Hai,
Band Karte Hi Aankhon Mein Simat To Jata Hai Gam,
Magar Sakoon Saanso Ko Kahan Mil Paata Hai,

Bin Aahat Kiye Gam Chala To Aata Hai,
Kya Jaanu Kis Mod Par Mujhse Naata Jod Laata Hai,
Dil Zaar-Zaar Ho Jaata Hai Iske Humsafar Mein,
Magar Kya Majaal Ke Ye Gam Kabhi Mujhko Chod Paata Hai,

Ha-Ha-Kaar Kar Uthta Hai Har Dil Ka Kona,
Masoom Rukhsaron Pe AshQ Dhalak Jaata Hai,
Kaise Khud Ko Sambhalun Yaaron,
Gam-E-Lashkar Ka Sabr-E-Pyaala Bhar Jaata Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2029 on: September 02, 2007, 08:27:11 PM »

Aksar Khwab A Jaate Hai,
Mujhko Tadpa Jaate Hai,
Kisko Main Humraaz Banaun,
Sab Se Dhoka Khaa Jaate Hai,
Milne Aate Hai Rozana,
De Kar Zehem Naya Jaate Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2030 on: September 02, 2007, 08:28:20 PM »

Samunar Ki Gehrayi Mein Utar Ke To Dekho,
Ek Aur Naye IttefaaQ Se Guzar Ke To Dekho,
Lehron Ki Awaz Bhala Kehti Hai Kya,
Kabhi Un Mein Jaakar Simat Kar To Dekho,
Sahil Ke Kinare Par Khamoshi Hai Bahut,
Dilki Dhadkan Se Ye Puchh Kar To Dekho,
Wo Jo Ek Shakhs Tanha Dikhayi Deta Hai,
Kaho Usse Jaakar Zara Sambhal Ke To Dekho...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2031 on: September 02, 2007, 08:29:20 PM »

Dilki Baat Labon Par Laa Kar Ab Tak Hum Dukh Sehte Hai,
Humne Suna Tha Is Basti Mein Dilwale Bhi Rehte Hai,

Beet Gaya Sawan Ka Maheena, Mausan Ne Nazrein Badli,
Lekin In Pyaari Aankhon Se Ab Tak Aansu Behte Hai,

Ek Hamein Awara Kehna Koi Bada Ilzaam Nahi,
Duniya Wale Dil Walon Ko Aur Bahut Kuch Kehte Hai,

Jinki Khatir Sheher Bhi Chhoda Jinke Liye Badnaam Hue,
Aaj Wohi Humse Begaane Begaane Se Rehte Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2032 on: September 02, 2007, 08:30:20 PM »

Meri Sab Wafayein Tumhare Liye,
Mere Ehad-O-Paiam Tumhare Liye,

Meri Sab Adayein Tumhare Liye,
Meri Sab Jafayein Tumhare Liye,

Meri Raaton Ki Neendein Tumhare Liye,
Meri Ratjagein Bhi Tumhare Liye,

Dhadakta Hai Dil Ye Tumhare Liye,
Meri Nass Nass Mein Chahat Tumhare Liye,

Meri Saanson Ki Garmi Tumhare Liye,
Mere Honthon Ki Narmi Tumhare Liye,

Hai Phoolon Mein Khushbu Tumhare Liye,
Hai Taaron Ki Jhilmil Tumhare Liye,

Meri Zindagi Ab Tumhare Liye,
Meri Har Khushi Ab Tumhare Liye,

Tu Hai Bani Sirf Mere Liye
Main Hoon Bana Sirf Tumhare Liye,

Haan!!!!! Sirf Tumhare Liye...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2033 on: September 02, 2007, 08:32:21 PM »

Phir Aaj Woh Bhooli Kahani Yaad Aati Hai,
Tumhare Sath Guzri Zindagani Yaad Aati Hai,

Tumhe Bhule Hue Bhi Ek Zamana Ho Gaya Lekin,
Jhalak Jaati Hai Aankhein Jab Purani Yaad Aati Hai,

Wo Jis Mein Markazi Kirdar Hasil Tha Kabhi Mujhko,
Main Jitna Bhulti Hoon Wo Kahani Yaad Aati Hai,

Mere Dilko Gam-E-Duniya Ki Daulat Bakshnewale,
Mujhe Reh Reh Ke Teri Meherbaani Yaad Aati Hai,

Ujadte Dilki Duniya Dekhna Khamosh Reh Jaana,
Abhi Tak Doston Woh Bezubaani Yaad Aati Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2034 on: September 02, 2007, 08:33:43 PM »

Koi Lamha Bhi Kabhi Laut Kar Nahi Aaya,
Wo Shakhs Aisa Gaya Phir Nazar Nahi Aaya,

Wafa Ke Dasht Mein Rasta Nahi Mila Koi,
Siwaye Gard-E-Safar Humsafar Nahi Aaya,

Kisi Chirag Ne Puchhi Nahi Khabar Meri,
Koi Bhi Phool Mere Naam Par Nahi Aaya,

Palat Kar Aane Lage Shaam Ke Parinde Bhi,
Hamara Subah Ka Bhoola Magar Nahi Aaya,

Hamein YaQeen Hai Wo Wafa Khilaaf,
Ye Umar Kaise Kategi Aur Nahi Aaya...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2035 on: September 02, 2007, 08:35:08 PM »

Pyar Mein Humne Kya Paya Tha, Chodo Ye Sab Jaane Do,
Kya Samjhayein Kya Kissa Tha, Jo Bhi Tha Ab Jaane Do,

Nazrein Sab Kehti Sunti Thi, Hum Dono Chup Rehte The,
Do Nazron Ka Aisa Naata Toota Tha Kab, Jaane Do,

Hum Apne Man Bhed Batate Par Tumne Kab Dhyaan Diya,
Honthon Ko Humne Jab See Dala, Aaye Ho Tab Jaane Do,

Sannate Kehte Hai Mujhse, Jaao Jaake So Jao,
Koi Nahi Hai Aane Wala, Beet Gayi Shab Jaane Do,

Pyaar Mein Humne Kya Paaya Tha, Chhodo Ye Sab Jaane Do,
Kya Samjhayein Kya Kissa Tha, Jo Bhi Tha, Ab Jaane Do...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2036 on: September 02, 2007, 08:35:55 PM »

Mohabbat Mein Kuch Aise Bhi Dilon Ke Haal Hote Hai,
Khafa Ho Jinse Unhi Ke Khayal Hote Hai,

Machalte Rehte Hai Zehno Mein Waswason Ki Tarah,
Haseen Log Bhi Jaan Ka Wabaal Hote Hai,

Main Dilke Zakham Chhupaun Teri Tarah Kaise,
Ke Tere Paas To Lafzon Ke Jaal Hote Hai,

Bas Ek Tu Hi To Nahi Sabab Udaasi Ka,
Tarah Tarah Ke Dilon Ke Malaal Hote Hai,

Siyaan Raat Mein Jalte Hai Jugnuon Ki Tarah,
Dilon Ke Zakhm Bhi Kitne Kamaal Hote Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2037 on: September 02, 2007, 08:37:16 PM »
Jab Gam Meri Dhadkan Meri Baaton Se Ayan Tha,
Tu Kahan Tha.....

Jab Chaaron Taraf Dard Ke Dariya Ka Samaan Tha,
Tu Kahan Tha.....

Ab Aaya Hai Jab Dhal Gaye Hai Sabhi Mausam, Mere Humdam,
Jab Ter Eliye Mera Har Ehsaas Jawan Tha,
Tu Kahan Tha.....

Ab Sirf Khamoshi Hai MuQaddar Ka Sitara, Mere Yaara,
Jab Lab Pe FaQt Tere FaQt Tera Bayaan Tha,
Tu Kahan Tha.....

Ab Aaya Hai To Jab Kaam Dikhaya Gaya Sawan, Mere Sajan,
Jab Chaar Su Mere Liye Khushiyon Ka Samaan Tha,
Tu Kahan Tha.....
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2038 on: September 02, 2007, 08:38:30 PM »

Khushgawaar Mausam Ki,
Khushgawaar Yaadein Hai,
Tere Sang Beeti Hui,
Beshumaar Shaamein Hai,

WaQt Udta Panchhi Hai,
Haath Mein Nahi Aata,
Khushgawar Lamhon Ki,
BeQarar Yaadein Hai,

Din Ki Roshni Hogi,
Subah Hum Bhi Dekhenge,
Abhi Meri Aankhon Mein,
Beshumaar Raatein Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2039 on: September 02, 2007, 08:39:36 PM »

Dua Ka Toota Hua Harf Sard Aah Mein Hai,
Teri Judayi Ka Manzar Abhi Nigaah Mein Hai,

Tere Badalne Ke Baad Bhi Tujhko Chaha,
Ye Atraaf Bhi Shaamil Mere Gunaah Mein Hai,

Azaab Dega Tu Phir Mujhko Khwaab Bhi Dega,
Main Mutmaeen Hoon Mera Dil Teri Panah Mein Hai,

Main Bach Bhi Jaun To Tanhaiyaan Maar Dalengi,
Mere Qabeele Ka Har Fard Qaatil-Gaah Mein Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
Pages: 1 ... 132 133 134 135 [136] 137 138 139 140 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 12, 2025, 05:30:48 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.103 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer