Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 133 134 135 136 [137] 138 139 140 141 ... 273
Print
Author  (Read 133375 times)
angel4u
Guest
«Reply #2040 on: September 02, 2007, 08:40:50 PM »

Jab Koi Zikr Ho Judayi Ka,
Ya Kisiki Bewafayi Ka,

Ya Mausam Ek Dam Badle,
Koi Awara Badal Achanak Barse,

Koi Mile Ya Phir Bichhde,
Jab Koi Ajnabi Hans Ke Bole,

Pyaar Jaate Jhuth Bole,
Tab Yaad Bahut Tum Aate Ho,

Jab Saans Ki Dor Kahin Toote,
Jab Koi Kisiko Tanha Chhode,

Dil Kisika Toote,
Koi Bich Majhdhaar Tanha Jab Kisiko Chhode,

Jab Naav Kisiki Doobe,
Jab Bhi Aas Kisi Ki Toote,
Haan Sach,
Tab Yaad Bahut Tum Aate Ho,
Tab Yaad Bahut Tum Aate Ho...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2041 on: September 02, 2007, 08:42:05 PM »
Usne Jaane Ki Kahi Ho Jaise,
Koi Aandhi Si Chali Ho Jaise,

Aaj Kuch Aisi Thakan Hai Mujhko,
Raat Aankhon Mein Kaati Ho Jaise,

Phir Meri Aankh Se Aansu Tapka,
Koi Ummid Bandhi Ho Jaise,

Aaj Hansne Ko  Bahut Jee Chahe,
Dil Ke Ek Chot Lagi Ho Jaise,

Tujhse Milkar Ye Hua Hai Mehsoos,
Zindagi Aaj Mili Ho Jaise...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2042 on: September 02, 2007, 08:43:25 PM »

Koi Hasrat Bhi Nahi, Koi Tamanna Bhi Nahi,
Dil Wo Aansu Jo Kisi Aankhse Chhalka Bhi Nahi,

Rooth Ke Baith Gayi Himmt Dushwar Pasand,
Raah Mein Ab Koi Jalta Hua Sehra Bhi Nahi,

Aage Kuch Log Hamein Dekh Ke Hans Dete The,
Ab Ye Aalam Hai, Koi Dekhne Wala Bhi Nahi,

Dard Wo Aag Ke Bujhti Nahi, Jalti Bhi Nahi,
Yaad Wo Zakham Ke Bharta Nahi, Rishta Bhi Nahi,

Baad-Baan Khol Ke Baithe Hai Safeeno Wale,
Par Utarne Ke Liye Halka Sa Jhonka Bhi Nahi...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2043 on: September 02, 2007, 08:44:53 PM »
Kabhi Yun Bhi To Ho,
Dariya Ka Saahil Ho,
Pure Chaand Ki Raat Ho,
Aur Tum Aao,
Kabhi Yun Bhi To Ho,
Soyi Har Manil Ho,
Koi Na Mere Sath Ho,
Aur Tum Aao,
Kabhi Yun Bhi To Ho,
Pariyon Ki Mehfil Ho,
Koi Tumhari Baat Ho,
Aur Tum Aao,
Kabhi Yun Bhi To Ho,
Ye Badal Aisa Toot Ke Barse,
Mere Dilki Tarah Milne Ko,
Tumhara Dil Bhi Tarse
Tum Niklo Ghar Se,
Kabhi Yun Bhi To Ho,
Tanhayi Ho, Dil Ho,
Boondein Ho Barsaat Ho,
Aur Tum Aao,
Kabhi Yun Bhi To Ho...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2044 on: September 02, 2007, 08:45:59 PM »
Har Khushi Mein Koi Kami Si Hai,
Hansti Aankhon Mein Bhi Nami Si Hai,

Din Mein Chup Chap Sar Jhukaye The,
Raat Ki Nabz Bhi Thami Si Hai,

Kisko Samjhayein Kiski Baat Nahi,
Zehen Aur Dil Mein Phir Thani Si Hai,

Khwab Tha Ya Gubar Tha Koi,
Gard In Palkon Pe Jami Si Hai,

Keh Gaye Hum Kisse Dilki Baat,
Sheher Mein Ek Sansani Si Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2045 on: September 02, 2007, 08:46:42 PM »

Tu Mujhe Samajh Na Paaya Tujhse Koi Gila Nahi,
Bas Itna Jaan Liya Maine Tu Apni Qismat Tha Nahi,

Tujhko Toot Kar Chaha Maine Ye Sitam Kya Kam Hua,
Tune Chhuda Liya Daman Ab Rone Ka Faayda Nahi,

Tum Khush Raho Jidhar Raho Dilki Ye Aarzu Hai,
Teri Galiyon Se Mera Ab Waasta Raha Nahi...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2046 on: September 02, 2007, 08:47:50 PM »

Mere Dil Mein Kyon Chubhta Sa Ehsaas Hai,
Main Hoon Tanha Yahan Tu Kisi Aur Ke Paas Hai,

Tanha Hai Ye Raatein, Doobi Hui Har Aas Hai,
Judayi Ke Is Daur Mein Har Lamha Kyon Udaas Hai,

Har Ek Pal Daste Hue Guzar Gaya Tere Intezaar Mein,
Bechain Dilko Nahi Qarar, Teri Chahat Ki Bas Pyaas Hai,

WaQt Ki Aandhi Uda Le Gayi Har Ek Yaad Teri,
Phir Yaadon Ke Ye NaQoosh Kyon Mere Paas Hai?

Aankhein Rahi Muntazir Aru Ye Jism Zinda Laash Hai,
Saya Bhi Chhod Gaya Sath, Sirf Teri Yaadein Aas Paas Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2047 on: September 02, 2007, 08:48:44 PM »

Tumse Bichhde Saal Hua Hai,
Dekho Kaisa Haal Hua Hai,

Rooth Gaye Hai Sapne Saare,
Khushiyon Ka To Akaal Hua Hai,

Teri Chah Mein Jeevan Apna,
Sookhe Ped Ki Daal Hua Hai,

Apno Ki Har Mehfil Ab To,
Saazish Ka Ek Jaal Hua Hai,

Kab Se Takte Takte Raasta,
Tanha Deep Nidhal Hua Hai,

Hijr Ki Tapti Dhoop Mein Basa,
Kiska Aanchal Dhaal Hua Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2048 on: September 02, 2007, 08:50:10 PM »

Ek Baar Tum Aao,
Ke Khwab Bahut Se Hai,
Betaab Nigahon Mein,
Neendon Ki Khamoshi Mein,
Honthon Ki Pakhroo Par,
Kuch Ankahi Baatein,
Kuch Khwab Hai Andekeh,
Guzre Hue Mausam Ki,
Ek Yaad Ka Saya Hai,
Kya Humne Tumhe Khoya Hai,
Kya Humne Tumhe Paaya Hai,
Ek Baat Jo Dil Mein Hai,
Wo Baat Batani Hai,
Ek Baar To Aao Tum...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2049 on: September 02, 2007, 08:51:09 PM »

Main Sochti Hoon,
Ye Zindagi Ki Haseen Raatein Tere Bina Kis Tarah Guzarun,
Ek Arsa Hua Ke Sapne Meri Nigahon Se Talte Hai,

Na Raat Ko Neend Hai Mujhko, Na Din Ko Aankhon K Bolte Hai,
Lage The Jo Zakhm Tere Mazghaan Se Raat Aayi To Jalte Hai,
Sakoon-O-Raahat Khatma Hue Hai Aram Ke Ab Wo Palte Hai,

Main Sochti Hoon,
Ye Zindagi Ki Haseen Raatein Tere Bina Kis Tarah Guzarun,
Main Kehkashan Ke Raste Par Tere Nishaan Dhundti Chalungi,

Main Roshni Ka Charag Suraj, Teri Raah Mein Bikher Dungi,
Main Iski Kirne Shamma Bana Kar Naya Tera Rasta Karungi,
Main Khud Rahungi Ya Na Rahungi, Magar Tujhe Main Amar Karungi,

Main Sochti Hoon,
Ye Zindagi Ki Haseen Raatein Tere Bina Kis Tarah Guzarun,
Main Kehkashan Ke Raste Par Tere Nishaan Dhundti Chalungi,

Main Tujhko Aankhon Ki Putliyon Mein Hamma WaQt Chhupaye Rakhun,
Tere Labon Se Main Apne Lab Ki Lams Ki Khushbu Lagaye Rakhun,
Main Tera Chehra Chameli Khushbu, Gulaab Khatir Sajaye Rakhun,

Main Sochti Hoon,
Ye Zindagi Ki Haseen Raatein Tere Bina Kis Tarah Guzarun,
Main Kehkashan Ke Raste Par Tere Nishaan Dhundti Chalungi,

Jo Hasratein Dil Mein Reh Rahi Hai Wo Ghul Rahi Hai Ya Mar Rahi Hai,
Teri Judayi Mein Aaj Tak Tu Teri Hi Baatein Sapar Rahi Hai,
Ab Aakhri Jaam-E-Wasl De De Deedar Ko Chashm Tarr Rahi Hai,

Main Sochti Hoon,
Ye Zindagi Ki Haseen Raatein Tere Bina Kis Tarah Guzarun...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2050 on: September 02, 2007, 08:53:04 PM »

Ek Baras Ke Arse Mein,
Char Chhe MulaQaatein,
Shaam Ki Haweli Mein,
Subah Ke Maikhane Ki BeyaQeen Si Baatein,
Kuch Azab Maazi Ke,
Guftugu Ke Mozoo The,
Kuch Sawal Khwabon Ke,
Kuch Jawab Aankhn Ke Mushtarik Se Jazbo Ke,
Aaiyno Mein Dekhte The,
Aayine To Sachhe The,
Aur Wo MulaQaatein,
Chaar Chhe MulaQatein,
Jin Mein Teri Baaton Ki Barishon Ke Mausam Ne,
Jitne Jhuth Bole The,
Shaam Ki Haweli Mein,
Jitne Zeher Ghole The,
Tera Bewafa Lehja Dhyan Mein Jab Aata Hai,
Tab Sawal Karti Hai,
Meri Umr Ki Raatein,
Ek Baras Ke Arse Mein,
Char Chhe MulaQaatein...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2051 on: September 03, 2007, 05:09:04 PM »

Tumhari Yaad Aa Rahi Hai, Pal Pal Rula Rahi Hai,
Meri Tanhayi Bhi Aaj Bahut Sata Rahi Hai,

Raaste Bhi Hai Ab Sune, Dar Bhi Hai Veeran,
Khamoshi Bhi Aaj Tumko Khud Hi Pukar Rahi Hai,

Tumhari Har Baat Se Mehsoos Kuch Yun Hota Hai,
Jaise Kisi Phool Ki Khushbu Sara Alam Mehka Rahi Hai,

Tumhari Yaadon Ke Sahare Din Raat Guzarte Hai,
Jasie Andhere Mein Kahin Roshni Jagmaga Rahi Hai,

Qadam Qadam Par Mujhko Ehsaas Yeh Hota Hai,
Jaise Koi Manzil Khud Mujhe Bula Rahi Hai,

"RUKH" Ab To Aksar Mujhe Ghuman Kuch Yun Hota Hai,
Hawa Bhi Jaise Usse Mil Kar Paigam Wafa Ke Laa Rahi Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2052 on: September 03, 2007, 06:12:10 PM »

Kitne Qarb Ka Lamha Tha Meri Zindagi Ka,
Raah-E-Wafa Mein Jab Dost Bhi Ajnabi Hogaya,

Basaya Tha Uske Yaadon Ka Pur Hool Samundar Dil Mein,
Ek Hi Pal Mein Wo Usko Sehra Kar Gaya,

Sadiyon Se Chaha Tha Jise Maine,
Jaane Kyon Ab Wo Begana Ho Gaya,

Mere Liye To Ek HaQeeQat Hai Wo Lekin,
Main Uske Liye Ek Afsana Ho Gaya,

Basi Hai Uski Chahatein Mere Dil Mein Abhi Tak,
Wahi Meri Nafraton Mein Deewana Ho Gaya...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2053 on: September 03, 2007, 06:13:35 PM »

Ek Umr Ke Baad Usko Dekha,
Aankhon Mein Sawal The Hazaron,
Honthon Pe Magar Wohi Tabassum,
Chehre Pe Likhi Hui Udaasi,
Awaz Mein Gunjti Judayi,
Baanhein Thi Magar Wasal-E-Samaa,
Simti Hui Uske Baazuon Mein,
Ta Der Sochti Rahi Thi,
Kisi Abr-E-Guraiz Paa Ki Khatir,
Main Kaise Shajar Se Kati Rahi Thi,
Kis Chhanv Ko TarQ Kar Diya Tha,
Main Uske Gale Lagi Hui Thi,
Wo Ponchh Raha Tha Aansu Mere,
Lekin Bahut Der Ho Chuki Thi...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2054 on: September 03, 2007, 06:14:59 PM »

Apne Haathon Se Yun Chehre Ko Chhupate Kyon Ho,
Mujhse Sharmate Ho To Samne Aate Kyon Ho,

Tum Kabhi Meri Tarah Kar Bhi Lo IQraar-E-Wafa,
Pyaar Karte Hoto Phir Pyaar Chhupate Kyon Ho,

AshQ Aankhon Mein Mere Dekh Ke Rote Kyon Ho,
Dil Bhar Aata Hai To Phir Dilko Dukhate Kyon Ho,

Inse Wabasta Hai Jab Mera MuQaddar Phir Tum,
Mere Shaano Se Ye Zulf Hatate Kyon Ho,

Roz Mar Mar Ke Mujhe Jeene Ko Kehte Kyon Ho,
Milne Aate Ho To Phir Laut Ke Jaate Kyon Ho,

Apne Haathon Se Yun Chehre Ko Chhupate Kyon Ho,
Mujhse Sharmate Ho To Saamne Aate Kyon Ho...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
Pages: 1 ... 133 134 135 136 [137] 138 139 140 141 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 12, 2025, 07:50:12 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.121 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer