Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 135 136 137 138 [139] 140 141 142 143 ... 273
Print
Author  (Read 133427 times)
angel4u
Guest
«Reply #2070 on: September 03, 2007, 06:56:53 PM »

Tumko Na Dekhne Ki Kasam Khayi Hai,
Tere Mere Beech Ab Ye Judayi Hai,

Kismat Ka Faisla Chalo Maan Liya Jaye,
Logone Faisle Ki Hansi Kyon Udayi Hai,

Raaton Ko Jagne Ki Sazayein De Gaya Hai Wo,
Nakarda Gunahon Ki Saza Humne Paayi Hai,

Sabhi To Chhod De Unhe Kyon Yaad Tu Karein,
Ek Umr Jinke Pichhe Tune Ganwayi Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2071 on: September 03, 2007, 06:58:32 PM »
Usse Kehna,
Mere Hisse Ka,
Koi Jugnu Koi Taara,
Jo Ho Sake To Bacha Ke Rakhna,
Agarcha Raahein Bahut Kathin Hai,
Ke Chand Raatein Bhi Jaa Chuki Hai,
Magar Mujhe To Hai Chalte Rehna,
Agar Mile To Usse Kehna,
Jo Teri Chahat Ka Dam Bhara Hai,
Jab Aa Bhi Jayega Dard Sehna...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2072 on: September 03, 2007, 07:00:16 PM »

Kaash Hum Tum Ajnabi Hote,
Jis Tarah Log Hua Karte Hai,
BetalluQ Se, Betarruf Se,
Kaash Hum Tum Ajnabi Hote,

BeQarari Na Bekali Hoti,
Na Mukammal Na Zindagi Hoti,
Yun Na Hoti Azyatein Dil Mein,
Zindagi Bhi Na Hoti Mushkil Mein,

Aansuon Se Na Dosti Karte,
Apne Dilse Na Dushmani Karte,
Doosron Ki Tarah Hum Bhi Khush Rehte,
Kaash Hum Tum Ajnabi Hote...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2073 on: September 03, 2007, 07:04:03 PM »

Kasam Di Thi Tumne Mujhko,
Juda Karogi Na Mujhse Khudko,

Jab Mana Tha Tumne Apna,
Toda Phir Mera Kyon Sapna,

Tumko Thi Mujhse Mohabbat,
Kyon Sama Gayi Phir Tum Mein Nafrat,

Yaadein Hai Dil Mein Uthti,
Mujhko Hai Bechain Rakhti,

Tumse Nahi Ab Shikwa,
Nata Ye Mujhse Bikhra,

Aaj Zindagi Ne Roop Hi Badla,
Meri Soch, Adat, Mera Mazaj Hi Badla,

Bas Aaj Ek Baat Kehne Do,
Mohabbat Ko Ab Tanha Rehne Do,

Mohabbat Ko Ab Tanha Rehne Do,
Aaj Ye Baat Kehne Do...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2074 on: September 03, 2007, 07:07:05 PM »

Wo Lamhe Jo Tumne Humne Saath Bitaye,
Ek Khwaab Sa Lagte Hai,
Wo Saare Waade Jo Un Lamhon Mein Samaye,
Ek Khayal Se Lagte Hai,
Wo Saari Baatein Jo Dil Mein Base,
Ek Intezar Se Lagte Hai,
Wo Saare Aansu Jo In Aankhon Ne Chhupaye,
Ek Toofan Se Lagte Hai,
Wo Lamhe Jo Tumne Humne Sath Bitaye,
Ek Khwaab Se Lagte Hai,
Mere Saare Sapne Gar Sach Ho Jayein,
Ek Siraab Sa Lagte Hai,
Jo Dil Mein Hai Armaan Humne Banaye,
Ek Qarar Se Lagte Hai,
Wo Phir Hamari Taraf Loot Ke Aayi,
Ek Gumaan Se Lagte Hai,
Oh Khuda Ye Saare Khwab Gar Sach Ho Jayein,
Ek Aitbaar Sa Lagta Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2075 on: September 03, 2007, 07:08:54 PM »

Kabhi Kabhi Koi Yaad,
Bahut Purani Yaad,
Dilke Darwaze Par,
Aise Dastak Deti Hai,
Shaam Ko Jaise Taare Nikle,
Subah Ko Jaise Phool,
Jise Dhire Dhire Zameen Par,
Roshniyon Ka Nuzoul,
Jaise Rooh Ki Pyaas Bujhane,
Utare Koi Rasool,
Hans De Koi Malol,
Kabhi Kabhi Koi Yaad,
Koi Bahut Purani Yaad,
Dilke Darwaze Par Aise Dastak Deti Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2076 on: September 03, 2007, 07:15:55 PM »

Ye Gulaab Hai Akela Is Hare Bhare Chaman Mein,
Koi Chameli Bhi Nahi Hai Saath Nibhane Ke Liye,

Wo Bewafa Hai Lekin Mere IshQ Ki Qatil Nahi,
Main Bewafa Hoon Magar Uske Qaabil Nahi,

Peena Ka ShoQ Nahi Hai Mujhko, Ye To Ek Sahara Hai,
Jisse Sanam Bewafa Mile, Usika Ye Asan Guzara Hai,

Raat Ko Aasman Mein Chamakte Hai Chand Sitare,
Dinko Zameen Pe Phirte Hai Log Pyaare Pyaare,

Kabhi Zindagi Mein Tumse MulaQaat Hogi,
Dilki Hasraton Ko Pura Karunga Yehi Meri Baat Hogi,

Na Jaane Kyon Tum Chup Chup Si Rehti Ho,
Dil Mein Koi Shararat Hai Phir Bhi Khoyi Khoyi Si Rehti Ho,

Tu Pyaar Kar Ya Na Kar Hum Tujhe Pyaar Karenge,
Tune Agar Bewafayi Bhi Ki To Tumhi Pe Dilse Marenge,

Yeh Filmi Dialogue Nahi Ye To Mere Dilki Daastaan Hai,
Tu Koi Ajnabi Nahi Tu To Mere Dilki Mehmaan Hai,

Tu Meri Zindagi Tu Mujhe Chhod Ke Jaana Nahi,
Main Tera Hi Deewana Hoon Koi Ajnabi Begana Nahi,

Modern Age Hai Mera Dil Love Ka Stage Hai,
Tujhko Ek Din Paunga Main Mera Dil Mohabbat Ka Cage Hai,

Inkaar-E-Mohabbat Kiya Tha Jo Humne Wo To Ek Paheli Hai,
Jis Ladki Se Main Mohabbat Karta Hoon Wo To Aapki Saheli Hai,

Meri Life Badi Suhani Hai, Ek Ladki Meri Deewani Hai,
Mera Dil Use Chahta Nahi Wo Hazaron Majnuon Ki Kahani Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2077 on: September 03, 2007, 07:18:32 PM »
Gar
Main Ye Kahun Tumse
Mujhe Ek Baat Sunni Hai,
Tumhari Bolti Aankhein,
Jo Har Lamhe Ek Hi Baat Kehti Hai,
Mujhe Honthon Se Sunni Hai,
Tumhe Malum Hai Kuch Ke,
Wo Saari Ankahi Baatein Tumhari,
Jo Mujh Tak Pahuchne Se Pehle,
Hawaon Mein Bikhar Jaati Hai,
Main Unko Samet Kar,
Ibarat Banane Ki Saeei Karti Hoon,
Suno Jaana,
Ye Mushkil Hai,
Chalo Mana Ye Mushkil Hai,
Magar,
Tumhare Wo Awaz Ki Parchhaiyan,
Mujhse Kuch Kehna Chahti Hai,
Magar Kuch Keh Nahi Paati,
Meri Samaat Mein Ghul Kar Wohi Ek Baat Keh Do Tum,
Unhi Mein Se Dhoond Lo Wo Lafz,
Tumhari Shabnami Baatein Jo Kehti Hai,
Mujhe Wo Baat Sunni Hai Tumhari Bolti Aankhein Jo Kehti Hai,
Kaho Mujhse Mohabbat Hai,
Kaho Mujhse Mohabbat Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2078 on: September 03, 2007, 07:20:26 PM »

Adhoore Khwaab Ke Andar,
Kabhi Palkein Mat Bichhana,
Adhoore Khwaab Aankhon Ko Bahut Takleef Dete Hai,
Adhoori Yaad Ko Dil Ki Zameen Mein Tum Nahi Bona,
Adhoori Yaad Dhadkan Mein Bahut Chubhti, Sisakti Hai,
Khalish Bankar Khatakti Hai,
Lahoo Mein Bijliyan Ban Kar Bhatakti Hai,
Adhoore Pyaar Ko..........Lekin Chalu Usko Jaane Do Tum,
Mohabbat. Pyaar, Chahat, IshQ, Adhoore Hi Hote Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2079 on: September 03, 2007, 07:22:42 PM »
Dil Mein Tera Khayal Hai Ab Bhi,
Jaise Koi Malaal Hai Ab Bhi,
Mujhse Kehte Hai Kya Lab-E-Khamosh,
Honthon Par Ye Sawal Hai Ab Bhi,
Main To Beikhtiyaar Hansti Hoon,
Tera Hi Ye Kamal Hai Ab Bhi,
Teri Peshani Par Wo Zulf Ka Khum,
Samne Wo Hilaal Hai Ab Bhi,
Mausam-E-Bewafayi Ke Sar Par,
Tere Waadon Ki Shaal Hai Ab Bhi,
Daulat-E-Jazb Aur Khazan-E-IshQ,
Uska Ye Saara Maal Hai Ab Bhi,
Maula Khanam Ki Bhi Dua Sun Le,
Uska Pehle Sa Haal Hai Ab Bhi...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2080 on: September 03, 2007, 08:10:23 PM »
Dilko Koi Bhi Kali Hai In Dino,
Samne Uski Gali Hai In Dino,

Kis Liye Mehke Hue Hai Jaan-E-Dil,
Kya Kali Koi Khili Hai In Dino,

Khanda Zan Hai Mujhpe Meri Aagahi,
Wo Khushi Mujhko Mili Hai In Dino,

Qalb Ko Taskeen Si Milne Lagi,
Kya Bala Koi Tali Hai In Dino,

Subah Ki Soorat Nazar Aati Nahi,
Shaam Ye Kaisi Dhali Hai In Dino,

Rab Taala Ne Suni Khanam Ki Baat,
Ye Khabar Mujhko Mili Hai In Dino...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2081 on: September 03, 2007, 08:14:25 PM »
Chhod Kar Tujhko Gaya Wo Bhi Ke Jis Par Maan Tha,
Kyon Mukeen Kehte Ho Isko Wo To Ek Mehmaan Tha,

Wo To Shohrat Ke Hawale Se Tha Hatam Tai Se,
Lootna Us Admi Ko Kis Kadar Aasan Tha,

Kehte Hai Ke Betiyan To Sab Ki Saanjhi Hti Hai,
Jisne Masli Hai Ye Kaliyan Wo To Ek Shaitan Tha,

Kisliye Phirti Hai Sehraon Mein Bal Khayi Hui,
Dhoop Jo De Kar Gaya Tujhko Wo Saibaan Tha,

Dilse Kachhe Ghar Ko Wo AashQon Ki Baarish De Gaya,
Jo Mera Dil Tha, Meri Aankhein Tha, Meri Jaan Tha,

Le Gaya Jazbon Ki Poonji Aur Daga De Kar Gaya,
Roti Hai Uske Liye Kyon Wo To Ek Nadaan Tha,

Rooh Mein Khanam Sukoon Ka Ek Khazana Aa Gaya,
Saya Hai Jiska Tere Dil Par Wo Ek Quraan Tha...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2082 on: September 03, 2007, 08:17:33 PM »
MERI ROOH,
Main Shigaf Aal Kar,
Wo Bahut
Pur Sukoon Hai,
Is Baat Se Bekhabar,
Ke Meri Rooh Mein Basne Wala,
Ek FaQt,
Wohi To Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2083 on: September 04, 2007, 05:21:42 PM »

Tujhse Bepanaah Mohabbat Karne Ki Wafa Mil Gayi Hai Mujhe,
Bewajah Aansuon Ki Saza Mil Gayi Hai Mujhe,
Na Kuch Kehne Diya Na Koi Baat Suni,
Kitni Aasani Se Tune Ye Keh Diya Ke Bhool Jao Mujhe,
Jo Zakham Mile Hai Wo Bhar Nahi Sakte Umar Bhar,
Tum Samajhte Ho Ke In Zakhmon Ki Dawa Mil Gayi Hai Mujhe...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2084 on: September 04, 2007, 05:22:48 PM »

Mujhe Ye Zidd Nahi Mere Gale Ka Haar Ho Jao,
Akele Chod Dena Tum Jahan Be-Zaar Ho Jao,

Bahut Jaldi Samajh Mein Aane Lagte Ho Zamane Ki,
Bahut Aasan Ho, Thode Bahut Dushwar Ho Jao,

Mulakaton Mein Wafa Isliye Hona Zaroori Hai,
Ke Tum Ek Din Judayi Ke Liye Taiyar Ho Jao,

Main Kaisi Chil-Chilati Dhoop Ke Sehra Se Aaya Hoon,
Bas Ab Aisa Karo, Tum Saya-E-Deewar Ho Jao,

Tumhare Paas Dene Ke Liye Jhuthi Tasalli Ho,
Na Aaye Aisa Din, Tum Is Kadar Nadar Ho Jao,

Tumhe Malum Ho Jayega Kaise Ranj Sehte Hai,
Meri Itni Dua Hai Kash Tum Fankar Ho Jao...
Logged
Pages: 1 ... 135 136 137 138 [139] 140 141 142 143 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 12, 2025, 08:13:42 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.093 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer