Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 136 137 138 139 [140] 141 142 143 144 ... 273
Print
Author  (Read 131663 times)
angel4u
Guest
«Reply #2085 on: September 04, 2007, 05:23:53 PM »
Ye Waada Hai Mera Tumse,
Kabhi Wapas Na Aunga,
Magar Tum Dehan Rakhna,
Jab Kabhi Tum Khwab Mein Dekho,
Koi Tooti Hui Kashti,
Ke Ujda Hua Aangan,
Diya Koi Bujha Dekho,
Ya Dekho Maut Ka Matam,
To Mujhko Yaad Kar Lena...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2086 on: September 04, 2007, 05:25:52 PM »

Hangama-E-Gam Se Tang Aakar Izhaar-E-Musarrat Kar Baithe,
Mashhur Thi Apni Zindadili Daanistaa Shararat Kar Baithe,

Koshish To Bahot Ki Hamne Magar Paya Na Gam-E-Hasti Ka Mafar,
Virani-E-Dil Jab Had Se Badhi Ghabara Ke Mohabbat Kar Baithe,

Nazronse Na Karte Pursish-E-Gam Khamosh Hi Rehna Behtar Tha,
Deewanoko Tumne Chhed Diya Wallaah Qayaamat Kar Baithe,

Har Cheez Nahi Ek Markaz Par Ek Roz Idhar Ek Roz Udhar,
Nafratse Na Dekho Dushmanko Shayad Ye Mohabbat Kar Baithe,
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2087 on: September 04, 2007, 05:28:01 PM »

Mere Dilko Tune BeQarar Kiya,
Mere Chain Ko Tune Farar Kiya,

Meri Neend Ko Tune Koson Paar Kiya,
Mere Mausam Ko Tune Bahar Kiya,

Meri Zindagi Ko Tune Lachar Kiya,
Aankhon Ke Teer Ko Tune Dilke Paar Kiya,

Meri Dhadkano Ko Tune Badha Kiya,
Mere Badan Ko Tune Naar Kiya,

Mere Phool Khwabon Ko Tune Khar Kiya,
Mere Chaman Ko Tune Sharar Kiya,

Mere Jazbaat Ko Tune Taar Taar Kiya,
Meri Khushi Ko Tune Gam Gusaar Kiya,

Aye "Naaz" Kaisa Tune Waar Kiya,
Meri Jeet Ko Tune Haar Kiya...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2088 on: September 04, 2007, 05:29:48 PM »

Jo Ke Tum Maujood Nahi Ho,
Lekin Phir Bhi Meri Aankhein,
Bas Tumko Hi Dekh Rahi Hai,
Main Tumko Hi Soch Raha Hoon,
Jaanta Hoon Main Tumko Lekin,
Phir Mujhko Yun Lagta Hai,
Jaise Main Anjaan Hoon Tumse,
Tum Se Ki Thi Jitni Baatein,
Wo Main Kaise Bhool Sakunga,
Haan Wo Zulfein Aur Wo Aankhein,
Jab Jab Mujhko Yaad Ayengi,
Mujhko Bahut Tadpayengi,
Kaise Tumko Samjhoon Main,
Tumko Kitna Chahta Hoon Main,
Ek Baar To Tum Bhi Keh Do,
Hum Dono Hai Ek Duje Ke,
Kabhi Kabhi Ye Sochta Hoon Main,
WaQt Wo Kitna Dilkash Hoga,
Jab Tum Ye IQraar Karoge,
To Main WaQt Se Keh Dunga Ye,
Tham Jaa! Aur Wo Tham Jayega,
Pyaar Ki TaQat Tum Kya Jaano,
WaQt To Kya Hai Har Shay Hai Manzar,
Ek Dua Se Ruk Sakta Hai,
Bas Ek Dua Se Ruk Sakta Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2089 on: September 04, 2007, 05:30:46 PM »

Barso Ke Baad Dekha, Ek Shakhs Dilruba Sa,
Ab Zehen Mein Nahi Hai Par Naam Tha Bhala Sa,

Ubroo Khiche Khiche Se Aankhein Jhuki Jhuki Si,
Baatein Ruki Ruki Si, Lehja Thaka Thaka Sa,

Alfaaz The Ke Jugnoon, Awaz Ke Safar Mein,
Ban Jaye Jungalon Mein Jaise Ke Rasta Sa,

Khwabon Mein Khwaab Uske Yaadonn Mein Yaad Uski,
Neendion Mein Ghul Gaya Ho Jaise Ke Ratt Jaga,

Pehle Bhi Zindagi Mein, Kitne Hi Log Aaye,
Wo Har Tarahse Lekin Auron Se Juda Sa,

Agli Mohabbatone, Wo Na-Muradiyan Dein,
Taza RafaQaton Se, Dil Tha Dara Dara Sa,

Kuch Ye Ke Muddaton Se Hum Bhi Nahi The Roye,
Kuch Zeher Mein Bujha Tha, Ahbaab Ka Dilasa,

Ab Sach Kahein To Yaaron, Humko Khabar Nahi Thi,
Ban Jayega Qayamat, Ek WaaQeya Zara Sa,

Tewar The Berukhi Ke Andaz Dosti Ke,
Wo Ajnabi Tha Lekin, Lagta Tha Aashna Sa...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2090 on: September 04, 2007, 05:32:51 PM »
Akela Dekh Ke Tumko
Hamein Ehsaas Hota Hai,
Kabhi Hum Bhi Akele The,
Agarche Shahar Mein,
Dilke Liye Laakhon Jhamele The,
Hazaro Rang Ke Mele The,
Magar Itni Bahut Si Raunako Mein,
Hum Akele The,
Akela Dekhke Tum Ko
Hamein Ehsaas Hota Hai,
Kabhi Hum Bhi Akle The,
Phir Ek Din Humne In Tanhaiyon Se Dosti Kar Li,
Akele Reh Ke Jeene Ka Kareena Aagaya Humko,
Koi Bhi Rut Ho,
Apni Aankh Hargiz Nam Nai Rakhte,
Ye Aalam Hai Ke Ab
Tanhaiyon Ka Gam Nahi Rakhte,
Magar Phir Bhi Hamein Tanha Nazar Ata Hai Jab Koi
To Phir Ehsaas Hota Hai,
Kabhi Hum Bhi Akele The...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2091 on: September 04, 2007, 05:35:35 PM »

Falak Pe Chand Sitare Udaas Lagte Hai,
Tere Bagair Nazare Udaas Lagte Hai,

Ek Muddat Se Chal Rahe Hai Yun Tanha Tanha,
Dariya Ke Dono Kinare Udas Lagte Hai,

Wahi Hai Wahi Sheher Ki Fizayein Hai,
Ek Tu Nahi Hai To Saare Udaas Lagte Hai,

Jhuth Kehte Hai Ke Khush Hoon Main,
Mujhe Ye Nain Tumhare Udaas Lagte Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2092 on: September 04, 2007, 05:38:18 PM »

Tu Ke Na WaQif-E-Adab-E-Gulami Hai Abhi,
RaQs Zanjeer Pahen Kar Bhi Kiya Jaata Hai,

Aaj Qatil Ki Ye Marzi Hai Ke Sirkash Ladki,
Sir-E-Qatil Tujhe Koroon Se Nachaya Jaye,
Maut Ka RaQs Zamane Ko Dikhaya Jaaye,
Is Tarah Zulm Ko Zazarana Diya Ja Sakta Hai,
RaQs Zanjeer Pahen Kar Bhi Kiya Jaa Sakta Hai,

Dekh Fariyad Na Kar, Sir Na Jhuka Paanv Utha,
Kal Ke Log Karenge To Abhi Se Kar Ja,
Nachte Nachte Azadi Ki Khatir Mar Jaa,
Manzil-E-IshQ Mein Mar Mar Ke Jiya Jaata Hai,
RaQs Zanjeer Pahen Kar Bhi Kiya Jaata Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2093 on: September 04, 2007, 05:39:42 PM »

Chalo Kuch Der Intezar Karein,
Shayad Uske Dil Se Badgumani Pighal Jaaye,
Shayad Ke Uski Ana Ka Suraj Ek Din Dhal Jaye,
Shayad Ke Wo Kuch Humse Milne Ko Machal Jaye,

Chalo Kuch Der Intezaar Karein,
Ho Sakta Hai Wo Ana Ki Deewar Gira Dale,
Ho Sakta Ahi Wo Ahed-E-Soti Nibha Dale,
Ho Sakta Hai Wo Hamein Aakhri Baar Bula Daalein,

Chalo Kuch Der Intezaar Karein,
Mumkin Apni Qismat Mein Bhi Kamaal Ho Jaye,
Uska Dil Bhi Hamari Tarah Behaal Ho Jaye,
Khushiyon Ki Aarzu Mein Dardse Nidhaal Ho Jaye,

Chalo Kuch Der Intezaar Karein,
MuQaddar Ki Tareek Raaton Ke Jaane Ka,
Us Bichhde Dost Ke Laut Aane Ka,
Usko Bhi Khayal Aaye Hamein Manane Ka,

Chalo Kuch Der Intezaare Karein,
Kuch Der Aur Khud Ko Bekarar Karein,
Hcalo Tumhare Liye Shikast Ka IQraar Karein,
Chalo Ke Phir Tajdeed-E-Dosti Ek Baar Karein,
Chalo Kuch Der Intezaar Karein...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2094 on: September 04, 2007, 05:41:52 PM »
Dil Aap Dhadakta Hai Dhadkaya Nahi Jaata,
Ye Raaz-E-Mohabbat Har Ek Ko Bataya Nahi Jaata,

Agar Ehsaas Ho To Mohabbat Ko Kar Lo Mehsoos,
Ye Wo Jazba Hai Jo Lafzon Mein Samjhaya Nahi Jaata,

Dosti Ke Liye Mohabbat Aur Khuloos Hai Lazim,
Har Haath Milane Wale Ko Dost Samjha Nahi Jaata,

Bahut Kam Hai Log Jo Dil Mein Utar Jaate Hai,
Har Raah Chalte Ko Apna Banaya Nahi Jaata,

Koshish Se Badal Jaati Hai TaQdeerein Khanam,
De Kar Ilzaam Kismat Ko, Dilko Behlaya Nahi Jaata...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2095 on: September 04, 2007, 08:32:20 PM »

Gam Nahi Bhulta Bhulane Se,
Nam Hui Aankh Muskuran Ese,

Aaj Wo Ajnabi Se Lagte Hai,
Jaanti Hoon Jinhe Zamane Se,

Doston Ki Parakh Nahi Karna,
Maan Tootega Aazmane Se,

Jab Se Apno Se Chot Khayi Hai,
Koi Shikwa Nahi Zamane Se,

Zindagi Ki HaQeeQateon Ki Kasam,
Dilki Baatein Hai Bas Fasane Se...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2096 on: September 04, 2007, 08:33:15 PM »

Aye Dil Tu Mohabbat Karta Kyon Hai,
Jo Karta Hai To Phir Tadapta Kyon Hai,

Wo Baith Gaya Hai Dil Mein Pyaar Ka Dard Banke,
Wo Aankhon Ke Raaste Nikalta Kyon Hai,

Main Tere Sath Hoon Har Raah Mein Mujhse Kehta Tha Wo,
To Phir Aaj Ye Rasta Mujhe Sunsaan Lagta Kyon Hai,

Main Dhadkan Hoon Uske Dilki Wo Kehta Tha Mujhse,
Phir Aaj Uska Dil Mere Bina Dhadakta Kyon Hai,

Wo Mera Nahi Hai Ye Jaanti Hoon Main Phir Bhi,
Kisi Aur Ke Sath Dekhke Usko Dil Machalta Kyon Hai,

Ye Dil Bhi Ajeeb Hota Hai Doston,
Kabhi Kehta Hai Jaa Thaam Le Uske Haathon Ko,
Phir Reh Reh Ke Sambhalta Kyon Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2097 on: September 04, 2007, 08:34:19 PM »

Koi Waada Nahi Hum Mein,
Na Apas Mein Bahut Baatein,

Magar Ek Ankahi Si Hai,
Jo Hum Dono Jaante Hai,

Ajab Ek Sar Khushi Si Hai,
Jo Hum Dono Jaante Hai,

Ye Saare Dilruba Manzar,
Talasmee Chandni Raatein,

Sunehri Dhoop Ke Mausam,
Ke Halke Sukh Ki Barsatein,

Sab Ek Zidd Mein Rehte Hai,
Mujhe Peyham Ye Kehte Hai,

Mohabbat Yun Nahi Achhi,
Mohabbat Yun Nahi Achhi...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2098 on: September 04, 2007, 08:35:16 PM »

Kaash Ke Tum Ye Jaan Sako,
Tum Bin Kitne Tanha Hai,

Kaash Ke Tum Ye Jaan Sako,
Khaef Har Har Lamha Hai,

Aao Kabhi Chupke Se Dekho,
Jhaank Ke Dil Ke Jharokon Se,

Gumsum Saare Manzar Hai,
Kaash Ke Tum Ye Jaan Sako,
Tumhari Yaad Ke Saaye,
Kitne Hai Nazdeek Hamare,
Jaise Soone Jeevan Mein,
Aashaon Ke Deep Sahare,
Kaash Ke Tum Ye Jaan Sako...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2099 on: September 04, 2007, 08:36:17 PM »

Yun Hausla Dil Ne Hara Kab Tha,
Sartan Mera Sitara Kab Tha,

Lazim Tha Guzarna Zindagi Se,
Bin Zeher Piye Guzara Kab Tha,

Kuch Pal Use Aur Dekh Sakte,
AshQon Ko Magar Ganwara Kab Tha,

Hum Khud Bhi Judayi Ka Sabab Kab The,
Uska Hi Qasoor Sara Kab Tha,

Ab Aur Ke Sath Hai To Kya Dukh,
Pehle Bhi Koi Hamara Kab Tha,

Ek Naam Pe Zahem Khil Uthe The,
Qaatil Ki Taraf Se Ishara Kab Tha,

Aayi Ho To Roshni Hui Hai,
Is Naam Pe Koi Taara Kab Tha,

Dekha Hua Har Tha Par Kisine,
Dulhan Ki Tarah Sanwara Kab Tha...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
Pages: 1 ... 136 137 138 139 [140] 141 142 143 144 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 18, 2024, 12:46:53 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.238 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer