Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 11 12 13 14 [15] 16 17 18 19 ... 273
Print
Author  (Read 131126 times)
angel4u
Guest
«Reply #210 on: January 26, 2007, 05:13:07 PM »

Sakoon Pal Ka Nahi Bekali Jahan Ki Hai,
Mujhe Diya Jo Kahani Ye Aasman Ki Hai,

Na Puchho Mujhse Ke Kya Khaak Mein Tatolta Hoon,
Ye Raakh Bikhri Zameen Par Mere Makaan Ki Hai,

Mere Ye Ghar Ke Andhere Mere Wajood Se Hai,
Ke Badnaseebi Meri Khud Mere Hi Nishaan Ki Hai,

Faqar Karun Bhi To Kis Par Ke Kuch Nahi Baaki,
Har Ek Jali Si Kali Mere Gulistaan Ki Hai,

Bharosa Kiska Kadrurat Hai Dil Mein Apno Ke,
Jo Teer Dil Mein Hai Paiwast Meherbaan Ki Hai,

Chuna Hai Khaar Ke Phoolon Se Zakham Paye Hai,
Gulon Se Bair Nahi Baat Meri Aan Ki Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #211 on: January 26, 2007, 05:16:16 PM »

Tumne To Keh Diya Ke Mohabbat Nahi Mili,
Mujhko To Ye Bhi Kehne Ki Mohlat Nahi Mili,

Neendon Ke Des Jaate Koi Khwab Dekhte,
Lekin Diya Jalane Se Fursat Nahi Mili,

Tujhko To Khair Shehar Ke Logonka Khauf Tha,
Aur Mujhko Apne Ghar Se Ijazat Nahi Mili,

Phir Ikhtilaaf-E-Rai Ki Soorat Nikal Padi,
Apni Yahan Kisi Se Bhi Aadat Nahi Mili,

Bezar Yun Hue Ke Tere Ehad Mein Hamein,
Sab Kuch Mila Sakoon Ki Daulat Nahi Mili...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #212 on: January 26, 2007, 05:18:12 PM »

Zindagi Ke Mele Mein,
Khwahishon Ke Rele Mein,
Tumse Kya Kahein Jaana,
Is Kadar Jhamele Mein,
Waqt Ki Rawani Hai,
Bakht Ke Girane Hai,
Sahkat Be-Zameeni Hai,
Sakhat Be-Zubani Hai,
Hijr Ke Samundar Ke
Ek Hi Kehne Hai,
Tumko Jo Sunane Hai,
Baat Go Zara Se Hai,
Baat Umar Bhar Ki Hai,
Umr Bhar Ke Baaton Kab Do Ghadi Mein Hote Hai,
Hijr Ke Samudnar Mein Anginat Jazeere Hai,
Beshumar Mitti Hai,
Waqt Ke Fasile Par,
Tumne Jo Sajaya Tha,
Baat Us Diye Ki Hai,
Baat Us Gali Ki Hai,
Jo Lahu Ke Khawat Mein Chor Banke Aata Hai,
Waqt Ke Fasilu Par Toot Toot Jata Hai,
Zindagi Se Lambi Hai Baat Raat Jage Ki Hai,
Raaste Mein Kisi Ho Baat Takhliye Ki Hai
Takhliye Ki Baaton Mein Guftagu Aizafi Hai,
Pyar Karne Walo Ko Ek Nigah Kafi Hai,
Ho Sake To Sun Jao Tum Kabhi Akele Mein,
Tumse Kya Kahein Jana Is Kadar Jhamele Mein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #213 on: January 26, 2007, 05:20:00 PM »

Aankho Mein Ruka Hua Koyi Katra-E-Aab Hoon
Main Aur Kuch Nahi Teri Wafa Ka Hisaab Hoon

Tere Ishq Ke Labon Par Muddaton Ek Sawal Thaa
Aa Mujhe Tu Jaan Le Har Sawal Ka Jawab Hoon

Haath Mein Haath Aaye Jab, Hosh Mein Aaye Hain Tab
Tu Koyi Sharaab Hai Na Mein Koi Sharaab Hoon

Tere Ujaalon Ke Saye Mein Meri Roshni Hai Chipee
Too Afatab Hai Koyi Main Bhi Mehtaab Hoon

Tune Zulf Mein Saja Liya Mera Roop Sanwar Gaya
Main Jo Bas Khar Tha Koyi, Aaj Ek Gulab Hoon
* * * * *
Logged
pinky
Guest
«Reply #214 on: January 26, 2007, 07:12:44 PM »
Bahut khoob angel dear..

Usual Smile

Yun to aankhon mein muskurahat
ke liye Ab jagah nahi rahi..
Par koi yaad aaya aaj to
Ashq bhi muskuraye mere..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #215 on: January 26, 2007, 07:50:50 PM »
wah wah badhiya hia badhiya hai badhiya hai

tum jo aaye to ashkon ne muskurana sikha
tanha thi zindagi meri isne jeena sikha
sochte the hum so gaye khwab sare
apke aane se har khwab ne machalna sikha...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #216 on: January 27, 2007, 03:33:01 AM »
Bohat khoob Angel...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #217 on: January 27, 2007, 05:43:14 PM »
Thanks Aryaan...


Shabnam Ke Aansu Phool Par Ye To Wahi Kissa Hua,
Aankhein Meri Bhigi Hui Chehra Tera Utra Hua,

Ab In Dino Meri Gazal Khushbu Ki Ek Tasveer Hai,
Har Lafz Gunche Ki Tarah Khil Kar Tera Chehra Hua,

Mandir Gaye Masjid Gaye Peero Fakeeron Se Mile,
Ek Usko Pane Ke Liye Kya Kya Kiya Kya Kya Hua,

Shayad Ise Bhi Le Gaya Achhe Dino Ke Kaafile,
Is Baag Mein Ek Phool Tha Teri Tarah Hansta Hua,

Anmol Moti Pyar Ke, Duniya Chura Ke Le Gayi,
Dilki Haweli Ka Koi Darwaza Tha Toota Hua...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #218 on: January 27, 2007, 05:47:00 PM »

Waqt-E-Judai Woh Roti Rahi Magar
Aankhon Mein Mere Aansuon Ne Kar Liya Basera
Jati Rahi Jaan Tadapta Raha Jigar
Main Usse Bichad Ke Ro Na Saka
Main Kitna Bewafa Hoon
Main Sochne Laga Ke Jab Bhi Woh Mujh Se Milti
Jate Hue Hamesha Woh Roti Aur Tadapti
Ro Ro Ke Aansuon Ke Dariya Baha Deti
Main Palko Ko Apni Bhigo Na Saka
Main Kitna Bewafa Hoon
Uska Dil Abhi Bhi Mujhse Pyar Kar Raha Hai
Uske Dil Mein Mera Pyar Aur Badh Raha Hai
Mohabbat Ka Ek Shajar Lagataar Chadh Raha Hai
Main Mohabbat Ka Ek Beej Bhi Bo Na Saka
Main Kitna Bewafa Hoon...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #219 on: January 27, 2007, 05:51:08 PM »

Jab Zubaan Par Chuppi Ke Taale Lag Jayein,
To Dil Mein Uthne Wale Toofan,

Andar Hi Andar Tod Fod Karte Rehte Hai,
Zahen Mein Uthnewali Sochein,
Wajood Ko Hila Kar Rakh Deti Hai,

Aankhon Mein Banane Wale Aks Dhundle Ho Kar,
Palkon Ke Paar Kain Gum Ho Jaate Hai,

To Phir

Alfaaz Yunhi Kaagaz Par Utarne Lagte Hai,
Jisko Tum Sher Kehte Ho,
Use Hum Azab-E-Shahor Kehte Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #220 on: January 31, 2007, 09:23:11 PM »

Neeyat-E-Shauq Bhar Na Jayein Kahin,
Tu Bhi Dilse Utar Na Jaye Kahin,

Aaj Dekha Hai Tujhe Der Ke Baad,
Aaj Ka Din Guzar Na Jaye Kahin,

Na Mila Kar Udaas Logonse,
Husn Tera Bikhar Na Jaye Kahin,

Aarzu Hai Ke Tu Yahan Aaye,
Aur Phir Umar Bhar Na Jaye Kahin,

Jee Jalata Hoon Aur Ye Sochta Hoon,
Raayegaan Ye Hunar Na Jaye Kahin,

Aao Kuch Der Ro Hi Lein 'Nasir'
Phir Ye Dariya Utar Na Jayein Kahin...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #221 on: January 31, 2007, 09:24:26 PM »

Gar Us Mein Tha Bhi Koi Nuks Achha Lagta Tha,
Kuch Is Tarah Mujhe Wo Shakhs Achha Lagta Tha,

Bas Ek Din Mujhe Dekha Tha Aankh Bhar Usne,
Phir Aaine Ko Mera Aks Achha Lagta Tha,

Wo Aankhon Aankhon Mein Is Pyar Se Phirati Thi,
Kitab-E-Gam Ka Har Ek Dars Achha Lagta Tha,

Kalam-E-Yaar Ki Talkhee Se Sochte Hi Na The,
Kharam-E-Yaar Ka Wo Raakhs Achha Lagta Tha,

Chura Gaya Hai Gaya Waqt Zaiqe Warna,
Hawaon Ka Bhi Lims Achha Lagta Tha...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #222 on: January 31, 2007, 09:26:37 PM »

Kal Shab To Asmaan Pe Nazara Ajeeb Tha
Taare To Bahut The Per Ek Tara Ajeeb Tha
Aao Sunaun Uski Tumhe Daastan-E-Ishq
Kuch Iska Tha Qasoor Ya Sara Naseeb Tha
Taare To Bahut The Per Ek Tara Ajeeb Tha
Sab Chaand The Door Ke Hum Paas Na Jayein
Agar Paas Chale Jayein To Madham Na Par Jayein
Ye Soch Kar Sab Chaand Ke Jate Nahi The Paas
Un Sab Se Be-Nyaz Wo Tara Ajeeb Tha
Taare To Bahut The Par Ek Tara Ajeeb Tha
Anjaam-E-Mohabbat Wo Apni Jaanta To Tha
Chanda Ka Ishq Chandni Se Maanta To Tha
Par Ishq Mein Wo Dil Ka Aisa Hua Ghulam
Khud Apne Hi Haathon Se Bigada Naseeb
Taare To Bahut The Par Ek Taara Ajeeb Tha
Lamha Lamha Chaand Ke Nazdeek Wo Gaya
Khud Apna Husn Apni Jawani Dubo Gaya
Aisi Kadi Mohabbat Ke Mit Gaya Wajood
Kyon Sab Se Munfarid Wo Bechara Gareeb Tha
Taare To Bahut The Par Ek Tara Ajeeb Tha !!!
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #223 on: January 31, 2007, 09:29:33 PM »

Bahut Hi Muddat Ke Baad Kal Jab,
Kitaab Maazi Ko Maine Khola,
Bahut Se Chehre Nazar Mein Utre,
Bahut Se Naamon Pe Dil Paseeja,
Ek Aisa Safha Bhi Us Mein Aaya,
Likha Hua Tha Jo Aansuon Se,
Ke Jiska Onwan Humsafar Tha,
Jo Safha Sabse Mo'atbar Tha,
Kuch Aur Aansu Phir Us Par Tapke,
Phir Usse Aage Main Padh Na Paya,
Kitab Maazi Ko Band Karke,
Tumhari Yaadon Mein Kho Gaya Main,
Agar Tu Milta To Kaisa Hota,
Inhi Khayalon Mein So Gaya Main...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #224 on: January 31, 2007, 09:30:28 PM »

Raat Ki Tanhayi Mein Un Aahaton Ki Kashmakash,
Kaisi Ajeeb Hoti Hai In Karwaton Ki Kashmakash,

Har Anjuman Adhura Hai, Har Mehfil Akeli Hai,
Deedar Ko Tarasti, In Chaukhaton Ki Kashmakash,

Na Thikana Hai Koi Bhi Zinda Lashon Ke Liye,
Yehi Hai Sisakte Sunkate Marghaton Ki Kashmakash,

Kayi Gehre Sawalon Ka Karwan Ho Jaise Koi,
Yun Meri Peshani Pe Salwaton Ki Kashmakash,

Haadse To Sabhi Ne Dekhe Honge Sadkon Par,
Janta Hai Koi Kya, Jam Ghaton Ki Kashmakash...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 11 12 13 14 [15] 16 17 18 19 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 07:57:01 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.101 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer