Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 138 139 140 141 [142] 143 144 145 146 ... 273
Print
Author  (Read 133203 times)
angel4u
Guest
«Reply #2115 on: September 05, 2007, 07:02:20 PM »

Achha Lagta Hai,
Mujhe Wo Sawan Ka Mausam,
Ho Jis Mein,
Tera Guzar Jaana,
Kaali Ghaton Ki Tarah,
Aur,
Jab Barsein,
Ye Ghatayein To
Ye Soch Kar Main
Khoob Bhigun,
Ke Tera Guzar Hua Hai,
Janaan...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2116 on: September 05, 2007, 07:03:38 PM »

Chehra Mera Tha Nigahein Uski,
Khamoshi Mein Bhi Wo Baatein Uski,

Mere Chehre Pe Gazal Likhti Gayi,
Sher Kehti Hui Aankhein Uski,

Shokh Lamhon Ka Pata Dene Lagi,
Tez Hoti Hui Saansein Uski,

Aise Mausam Bhi Guzaare Humne,
Subahein Jab Apni Thi Shaamein Uski,

Dhyaan Mein Uske Ye Alam Tha Kabhi,
Aankh Mehtaab Ki Yaadein Uski,

Faisla Mauj-E-Hawa Ne Likha,
Aandhiyan Meri Baharein Uski,

Neend Is Soch Se Tooti Aksar,
Kis Tarah Katti Hai Raatein Uski,

Door Reh Kar Bhi Sada Rehti Hai,
Mujhko Thame Hue Baahein Uski...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2117 on: September 05, 2007, 07:07:55 PM »

Chehra
Bezaari Ke Is Mausam Mein,
Sookhe Patton Ke Saaye Mein,
Chhota Sa Hai Ek Dareecha,
Jab Main Aankhein Band Karun,
To Band Dareechon Ke
Darwazon Se,
Wo Aankhein Takti Rehti Hai,
Ek Chehra Paas Bulata Hai,
Anjaane Se Khwab Dikhata Hai,
Phir Jab Main Aankhein Kholun To,
Wo Chehra Gum Ho Jaata Hai,
Jitna Paas Bulata Hoon Main,
Utna Hi Tadpata Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2118 on: September 05, 2007, 07:09:02 PM »

Chhoti Si Galatfehmi Kar Degi Juda Humko,
Halaat Na Badlenge Malum Na Tha Humko,

Rishton Ki Hamein Itni Pehcaan Na Thi Pehle,
Kehne Ko Marasim To Apne The Bahut Gehre,

AshQon Ke Siwa Lekin Kuch Na Mila Humko,
Halaat Na Badlenge Malum Tha Humko,

Uthte Hue Kadmon Mein Zanjeer Si Pad Jaati,
Ehsaas-E-Nadamat Se Dehliz Pighal Jaati,

Ek Baar Mohabbat Se Dete Jo Sada Humko,
Chhoti Si Galatfehmi Kar Degi Juda Humko,
Halaat Na Badlenge Malum Na Tha Humko...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2119 on: September 05, 2007, 07:10:10 PM »

Zindagi Ek Bandhan,
Pyaarka, Nafrat Ka,
Dosti Ka, Dushmani Ka,
Zindagi Ek Bandha,
Shayad Arzi, Shayad HaQeeQat,
Shayad Khoobsurat, Shayad Badsoorat,
Zindagi Ek Bandhan,
Shayad Dhoop, Shayad Chhanv,
Shayad Mushkilat, Shayad Asaishein,
Zindagi Ek Bandhan,
Kabhi Rukna, Kabhi Chalna,
Kabhi Hansna, Kabhi Rona,
Zindagi Ke Bandhan,
Wafa Ka, Bewfayi Ka,
Aitbar Ka, Dhoke Ka,
Zindagi Ek Bandhan,
Shayad Hasas, Shayad Berehem,
Shayad Nazuk Shayad Mazboot,
Zindagi Ek Bandhan,
Khuda Ki Tarafse Pyaar Ka,
Magar Insaan Ise,
Jo Chahe Bana Le...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2120 on: September 05, 2007, 07:12:01 PM »

December Ke Haseen Din The,
Murree Ki Yakh Fizaon Mein,
Hamare Chaar Hathon Mein,
Mujasma Ek Banaya Tha,
Kaha Tah Ek Dooje Ko,
Nishani Pyaar Ki Apni,
Badi Hi Khoobsurat Hai,
Mujhe Ab Yaad Aata Hai,
Mujasma Barf Ka Tha Wo,
Usse Aakhir Pighalna Tha,
Usse To Mit Jaana Tha...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2121 on: September 05, 2007, 07:15:35 PM »
Daman Chura Bhi Rahe Ho Aye Jaane Wale Jaa Bhi Rahe Ho,
Yun Paas Aa Kar Kyon Tum Dooriyan Badha Bhi Rahe Ho,
Kya IshQ Kya Mohabbat Kya Pyaar Ka Sawal Sab Sawalon Ke Jawab Khud Hi

Mita Bhi Rahe Ho,
Dil Hai Bechain Aankhein Hai BeQarar,
Tum Aaye Bhi Aur Aa Kar Jaa Bhi Rahe Ho,
Kaise Rokein Kahan Se Rokein Kis Sawal Se Rokein Tumhe,
Tum To Aise Dooriyan Badha Bhi Rahe Ho,
Aisa Dil Aisa Hosla Kahan Se Le Aayenge Jo Tumhe Chhod Dein To,
Jine Ka Dhang Kya Sikha Bhi Rahe Ho,
Is Tarah Do Raahe Par Zindagi Khadi Hai,
Na Idhar Rasta Na Udhar Rasta,
Jayein To Jaana Hum Jaayein Kahan,
Is Tarah Do Raahe Par Zindagi Khadi Hai,
Na Idhar Rasta Na Udhar Raasta,
Jaayein To Jana Hum Jaayein Kahan...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2122 on: September 05, 2007, 07:16:36 PM »

Sard Hawaon Se Laga Wo Sardiyon Ka Mausam Tha,
Begangi Mein Bhi Bekhudi Ka Alam Tha,
Wo Barish Ka Ek Din Tha,

Matlab Parast Ek Waadi Mein,
Ek Masoom Sa Humsafar Mila Tha,
Wo Barish Ka Ek Din Tha,

Wo Pehli Baar Mujhe Ek Aisi Jagah Mila,
Jahan Ek Ped Door Laga Tha,
Wo Barish Ka Ek Din Tha,

Aankhon Se Beikhtiyaar Kuch Paani Sa Nikla Tha,
Jab Wo Mujhse Rooth Gaya Tha,
Wo Barish Ka Ek Din Tha,

SaQiyon Ko Dost Bana Liya Maine,
Jab Maikhane Mein Ek Paymana Bhara Tha,
Wo Barish Ka Ek Din Tha,

Wo Wahi ShaQ Jo Apna Sa Lagta Tha Tujhe,
Bahut Door Chala Gaya Tha,
Wo Barish Ka Ek Din Tha...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2123 on: September 05, 2007, 07:18:42 PM »

Bana Hai Jo Dushman Kabhi Yaar Bhi Tha,
Wo Beete Mere Lamhon Ka Pyaar Bhi Tha,

Wo Jiski Nazar Thi Mohabbat Pe Meri,
Wo Dushman Mera Ek Ye Sansar Bhi Tha,

Wo Jiski Zamane Ne Ki Hai Sifat Aub,
Wo Kirdaar Ka Gul Kabhi Khar Bhi Tha,

Guroor Ab Karun Na Is Jageer Pe Tum,
Jo Paas Tha Ab Ahi Anjum Kabhi Dar Bhi Tha...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2124 on: September 05, 2007, 07:19:55 PM »

Tumne Kiya Yaad Hamein Bhool Kar,
Humne Tumhari Yaad Mein Sab Kuch Bhula Diya,

Zindagi Kat Gayi Manaate Hue,
Ab Irada Nahi Rooth Jaane Ka,

Unke Dekhne Se Jo Aa Jaati Hai Moon Pe RaunaQ
Wo Samajhte Hai Ke Bimaar Ashger Ka Haal Achha Hai,

Kam Se Kam Maut Se Aisi Mujhe Ummid Nahi,
Zindagi Ne To Dhoke Pe Diya Hai Dhoka,

Humko Unse Wafa Ki Hai Ummid,
Jo Nahi Jante Wafa Kya Hai,

Kehte Hai Jeete Hai Ummid Pe Log,
Hum Ko Jeene Ki Bhi Ummid Nahi...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2125 on: September 05, 2007, 07:21:08 PM »

Khushboo Azha-E-Mohabbat Ka Humne Ek Ne Andaz Dekha,
Is Zamane Mein Humne Ek Shakhs Bemisal Dekha,

Aankhon Aankhon Mein Kar Gaya Apni Mohabbat Ka Izhaar,
Aisa Manzar Aaj Humne Pehli Baar Dekha,

Chahatein Khatam Hui Saare Bharam Toot Gaye,
Aapke Poo Is Ne Nawaza Ke Hum Toot Gaye,

Tere Wadone Bahut Dil Tode,
Hum Bhi Is Baar Tere Sar Ki Kasam Toot Gaye...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2126 on: September 05, 2007, 07:22:18 PM »

Baadbaan Khulne Se Pehle Ka Ishara Dekhna,
Main Samundar Dekhti Hoon Tum Kinara Dekhna,

Yun Bichhadna Bhi Bahut Aasan Tha Usse Magar,
Jate Jaate Uska Wo Mudke Dubaara Dekhna,

Kis Sabaahat Ko Liye Aaya Hai Darwaze Pe Chaand,
Aye Shab-E-Hijraan Zara Apna Sitara Dekhna,

Aayine Ki Aankh Hi Kuch Kam Na Thi Mere Liye,
Jaane Ab Kya Kya Dikhayega Tumhara Dekhna...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2127 on: September 05, 2007, 07:23:57 PM »

Abhi Aaye Ho Karte Ho Jaane Ki Baat,
Sada Karte Ho Tum Rulane Ki Baat,

Zindagi Muhtser Pair Se Kaat Lo,
Na Karo Nafraton Ko Badhane Ki Baat,

Tujhko Apna Samajhke Hue The Khafa,
Tumne Ki Nahi Phir Manane Ki Baat,

Saari Duniya Ke Qisse Sunayein Tumhe,
Wo Na Keh Paya Jo The Batane Ki Baat,

Kyon Ho Duniya Khafa Tumko Dil Hai Diya,
Humne Ki To Nahi Tumko Paane Ki Baat...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2128 on: September 05, 2007, 07:25:03 PM »

Baad Muddat Use Dekha Logon,
Wo Zara Na Badla Logon,

Khush Na Tha Mujhse Bichhad Kar Wo Bhi,
Uske Chehre Pe Likha Tha Logon,

Uski Aankhein Bhi Keh Rahi Thi,
Raat Bhar Wo Bhi Nahi Soya Logon,

Ajnabi Banke Jo Guzra Hai Abhi,
Tha Kisi WaQt Wo Apna Logon,

Dost To Wo Khair Kisika Hai,
Usne Dushman Bhi Na Samjha Logon,

Raat Wo Dard Mere Dil Mein Utha,
Subah Tak Chain Na Aaya Logon,

Pyaas To Sehraon Ki Bhi Bohter Hoti,
Aaber Phir Toot Ke Barsa Logon...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2129 on: September 05, 2007, 07:26:34 PM »
Pal Bhar Mein Tamam Umar Ki Sochein Badal Jaati Hai,
Jin Raahon Par Chalte Hai Wohi Raahein Badal Jaati Hai,

Karne Ko Kya Nahi Karte Log Mohabbat Mein,
Sirf Hamare Liye Hi Kyon Rasmein Badal Jaati Hai,

Wo Aisa Hai Ke Uska Naam Sunne Ke Tasavvur Se Hi,
Hamari Tamam Tar Saatein Badal Jaati Hai,

Sochti Hoon Jaane Kaise Keh Paungi Main Usse,
Milti Hoon To Dilki Saari Baatein Badal Jaati Hai,

Chahe Manzil Dushwar Ho Aur Door Bhi,
Humsafar Us Jaisa Ho To Musaftein Badal Jaati Hai,

Yun To Raat Ka Alam Haseen Hota Hai, Madhosh Bhi,
Magar Chaand Dekhun To Meri Raatein Badal Jaati Hai,

Mat Chaho Ke Mujhe Aadat Nahi Itna Chahne Walon Ki,
Ye Na Ho Log Kahein, Jald Hi Aadatein Badal Jaati Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
Pages: 1 ... 138 139 140 141 [142] 143 144 145 146 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 12, 2025, 05:33:37 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer