Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 139 140 141 142 [143] 144 145 146 147 ... 273
Print
Author  (Read 133202 times)
angel4u
Guest
«Reply #2130 on: September 05, 2007, 07:27:30 PM »

Baarish Thi Bhigi Raat Thi, Main Bheegta Raha,
Qadmon Ke Tere Sab Nishaan Main Khojta Raha,
Jaane Ka Tere Hoga, Koi Sabab Zaroor,
Aisa Bhi Maine Kya Kaha, Ye Sochta Raha,

Panchhi Bhi Sogwar The, The Phool Gamzada,
Hansti Thi Jo Baharein, Thi Aaj Gamzada,
Mujhko To Aasman Bhi Khamosh Sa Laga,
Khamosh Is Paheli Ko Main Bujhta Raha,

Aankhon Mein Tera AQs Hai, Aj Kho Sa Jayega,
Ro Raha Hai Mann Mera Behal Hi Jayega,
Likhta Rahunga Geet Main Jab Tak Ye Saans Hai,
Gayega Kaun Inko, Ye Sochta Raha...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2131 on: September 05, 2007, 07:28:29 PM »

Tu Jo Badal Gaya To Sheher-E-Aarzu,
Aisa Ujad Gaya Ke Basa Aaj Tak Nahi,

Dil Mein Tere Fareb-E-Mohabbat Ke Kuch Nakosh,
Yun Sabha Hue Ke Mite Aaj Tak Nahi,

Jinke Bagair Raat Na Dinko Sakoon Tha,
Wo Aisi Kho Gayi Ke Mile Aaj Tak Nahi,

Tere Diye Hue Wo Mohabbat Bhare Khat,
Is Tarah Jal Gaye Ke Bachi Raakh Tak Nahi,

Ab Hum Bhi Sochte Hai Ise Bhool Jaye,
Lekin Ye Baat Dilse Kahi Aaj Tak Nahi...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2132 on: September 08, 2007, 07:38:04 PM »

Bada Zalim Hai Dil Mera,
Sabhi Baatein Samajhta Hai,
Kaha Dilse Maine Kal Shab,
Bhula Dala Hai Sab Kuch Ab Hue
Chauda Baras Ab To,
Ye Kissa Ab Purana Hai,
Kaha Dilne Zara Hans Kar Isi Se Humne Jaana Hai,
Kaha Ke Kya Jaana Tumne,
Nahi Ab Yaad Karte Hum,
Nahi Fariyaad Karte Hum,
Hue Chauda Baras Ab To,
Ye Kissa Ab Purana Hai,
Kaha Dilne Zara Ruk Kar,
Iska Matlab To Meri Jaan,
Ye Nikalta Hai
To Chauda Baras Se Hi,
Isi Uljhan Mein Baitha Hai Bada Zalim Hai Dil Mera,
Sabhi Baatein Samajhta Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2133 on: September 08, 2007, 07:38:53 PM »

Bachpan Ke Jo Din Beete,
Wo Mujhko Hai Yaad Abhi Tak,
Mausam Rang-O-Kaliyon Ke Aur,
Yaad Hai Wo Barsaat Abhi Tak,
Nanhe Munne Haathon Mein
Bharna Wo Barsaat Ka Paani,
Kaliyon Aur Phoolon Ko Chhuna,
Din Beete Par Yaad Abhi Tak,
Ek Bachpan Ka Saathi Tha Jo,
Sab Ki Aankh Ka Tara Tha,
Bholi, Masoom Nazar Wo Dil Mein Hai Aabaad Abhi Tak,
Meethi Meethi Baatein Karna,
Din Bhar Hanste Khelte Rehna,
Khel Khilone Saathi Uske Sab Hai Mujhko Yaad Abhi Tak,
Aaj Bhi Meri Aankhon Mein,
Wo Saare Manzar Zinda Hai,
Hansna, Rona, Khana, Peena,
Din Wo Pyaare Yaad Abhi Tak,
Usko Guzre Din Beete Par,
Aaj Bhi Aisa Lagta Hai,
Zinda-O-Painda Hai Wo,
Sabke Dilon Mein Aaj Abhi Tak...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2134 on: September 08, 2007, 07:39:39 PM »

Baat Wo Aadhi Raat Ki, Raat Wo Poore Chaand Ki,
Chaand Bhi Ain Cheet Ka Us Par Tera Jamal Bhi,

Sab Se Nazar Bacha Ke Wo Mujhko Kuch Aise Dekhta,
Ek Dafa To Ruk Gayi Gardish Maah-O-Saal Bhi,

Dil To Chamak Sakega Kya Phir Bhi Taras Ke Dekh Lein,
Sheesha Giran Sheher Ke Haath Ka Ye Kamal Bhi,

Usko Na Paa Sake The Jab Dilka Ajeeb Haal Tha,
Ab Jo Palatke Dekhiye, Baat Thi Kuch Muhal Bhi,

Meri Talab Tha Ek Shakhs Wo Jo Nahi Mila Tha Phir,
Haath Dua Se Yun Gira Ke Bhool Sawal Bhi,

Uski Sukhan Taraziyan Mere Liye Bhi Dhaal Thi,
Uski Hansi Mein Chup Apne Gamon Ka Haal Bhi...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2135 on: September 08, 2007, 07:41:00 PM »

Jab Mere Tan Mein Aakhri Saans Bhi Na Rahe,
Mere Lab Khamosh Ho Jayein,
Meri Samat Khatam Ho Jaye,
To Yaad Rakhna,
Main Aakhri Saans Tak Tumko,
Mehsoos Karungi,
Karna Chahungi,
O Jaan Main Us Lamhe Bhi,
Tumko Dekhna Chahungi,
Main Ye Aarzu Karungi,
Main Apni Aankhon Mein Aakhri AQs Tera Rakhun,
Kya Doge Mujhko Ye YaQeen,
Kya De Sakoge Ye Behlawa...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2136 on: September 08, 2007, 07:41:56 PM »

Aksar Yaad Aata Hai Wo Guzra Zamana Apna,
Wo Chhat Par Milna Wo Kahani Sunana Apna,

Ek Maazi Tha Bhool Jaane Ke Kabil Nahi,
Hai Ab Wo Bewafa Aazmane Ke Kabil Nahi,

Sochta Hoon Us Bewafake Naam Ek Gazal Likhun,
Tum Bin Kaise Guzri Apni Jawani Lihun,

Mausam Ki Pehli Barsaat Thi Jab Hum Mile The,
Wo Kitna Haseen Sama Tha Jab Hum Mile The,

Aksar Yaad Aata Hai Wo Guzra Zamana Apna,
Wo Chhat Par Milna Wo Kahani Sunana Apna...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2137 on: September 08, 2007, 07:43:45 PM »

Akele Ho Dosti Karoge,
Tanha Ho Dillagi Karoge,
Mere Dil Mein Tareek Galiyan Hai,
Qaatil Nazronse Roshni Karoge,
Ye Rang Ye Phool Ye Nazar Ye Bahar,
Aise Mausam Mein Deewangi Karoge,
Kabhi Socha Na Tha Bichad Kar Mujhse
Itni Toot Kar Shayri Karoge,
Zara Si Bhool Par Ye Saza Jaana,
Ke Gabar Bhi Na Laoge Aisi Berukhi Jana...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2138 on: September 08, 2007, 07:44:51 PM »

Meri Aankhon Ke Samundar Mein Jalan Kaisi Hai,
Aaj Phir Dilko Tadapne Ki Lagan Kaisi Hai,

Ab Kisi Chhat Pe Chiragon Ki Qatarein Bhi Nahi,
Ab Tere Sheher Ki Galiyon Mein Ghutan Kaisi Hai,

Baraf Ke Roop Mein Dhal Jayenge Sare Rishte,
Mujhse Poochho Ke Mohabbat Mein Agan Kaisi Hai,

Main Tere Wisal Ki Khwahish Ko Na Marne Dunga,
Mausam-E-Hijr Ke Lehje Mein Thakan Kaisi Hai,

Raigzaron Mein Jo Banti Rahi Kaanton Ki Rida,
Uski Majboor Si Aankhon Mein Kiran Kaisi Hai,

Mujhe Masoom Si Pagal Ladki Pe Taras Aata Hai,
Use Dekho To Mohabbat Mein Magan Kaisi Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2139 on: September 08, 2007, 07:45:47 PM »

Andheron Mein Jaane Kiski Parchhayi Dhund Raha Hoon Main,
Hawaz Se Bhare Logon Mein Wafa Dhund Raha Hoon Main,
Is Shor-O-Gul Bhari Duniya Mein Tanhayi Dhund Raha Hoon Main,
WaQt Ki Dehleez Par Khade Hokar Ruswayi Dhund Raha Hoon Main,
Is Jhuthi Duniya Mein Sachhayi Dhund Raha Hoon Main,
Mujhe Is Duniya Mein Akela Chhodkar Jaane Wali
Mujhe Pata Hai Ke Tu Nahi Wapas Aane Wali,
Phir Bhi Jaane Kyon Teri Bewafayi Dhund Raha Hoon Main...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2140 on: September 08, 2007, 07:47:32 PM »

Rehne Do Ab Gile, Shikwe,
Koi Aur Hamein Ilzaam Na Do,
Kuch Aur To Humko Jeene Do,
Aagaz Ko Tum Anjaam Na Do,
WaQt Ke Is Bazar Mein Tum,
Mujhko Tanha Bikne Do,
Tum To Mere Apne The,
Tum To Mere Daam Na Do,
Kal Tak Mujhko Duniya Wale,
Tere Naam Se Jante The,
Mujh Pagal Deewane Ko Rehne Do,
Ab Koi Naam Na Do,
Zakham Naye, Ye Dard-O-Alam,
Phir AshQon Ki Baraat Bhi Di,
Mujh Mein To Ab Taab Nahi,
Ruswayi Ka Inaam Na Do,
Sagar Ko Mera Toot Gaya,
Maine Peena Chhod Diya,
Shayad Ab Na Behkoon Main,
Fareb Ka Ab Koi Jaam Na Do,
Pyaar Ki Aad Mein Mat Udao,
Tum Apni Izzat Ki Dhajiyan,
Aane Wali Naslon Ko Tum,
Ye Zillat Bhara Paigam Na Do,
Wasl Ki Behki Raaton Ko,
Main Posheeda Rakhuga Bas,
Din Tum Mera Lauta Do,
Bhale Hi Koi Shaam Na Do,
Tumse To Gum Ghasta Ho Kar,
Apne Khayal Mein Achha Hoon,
Khud Se Khud Ko Bhi Kho Dun,
Aise Mujhe Mukaam Na Do...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2141 on: September 08, 2007, 07:50:39 PM »

Aankhon Ki Tehreero Ko Padhna,
Jis Din Se Maine Sikh Liya,
Bas Us Din Se,
Har Ek Apna,
Baigana Sa Lagta Hai,
Jaana Pehchana Har Chehra,
Anjaana Sa Lagta Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2142 on: September 08, 2007, 07:51:51 PM »

Uski Aankhein Jab Jab Bhigti Hai,
Mera Dil Tab Tab Rota Hai,

Uski Hasi Jab Jab Gunjti Hai,
Main Thandi Si Aah Bharta Hoon,

Uske Chehre Par Ek Pal Ko Khushi Aaye,
Meri Saari Duniya Simat Ke Ek Ho Jaye...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2143 on: September 08, 2007, 07:53:00 PM »

Dil Bahar Aata Hai Jab Teri Yaad Aati Hai,
Zara Zara Si Baat Par Ye Aankh Bhar Aati Hai,

Khushi Ho Ya Gam Dono Hote Hai Ek Se,
Dono Hi Mausam Mein Ye Aankh Bhar Aati Hai,

FaQt Apne Hi Dukh Mein Ye Haal Nahi Hai Hamara,
Dukh Har Kisika Sun Ye Aankh Bhar Aati Hai,

Hanste Phirte Hai Adnaan Sabki Khushi Ki Khatir,
Phir Aksar Tanhayi Mein Ye Aankh Bhar Aati Hai,

Sunte Hai Hum Sabhi Ka Haal-E-Dil Magar Aksar,
Apna Haal-E-Dil Kehne Se Pehle Ye Aankh Bhar Aati Hai,

Duniya Mein Dilko Dukhate Hai Log Is Qadar,
Koi Baat Karein To Ye Aankh Bhar Aati Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2144 on: September 08, 2007, 07:53:44 PM »

Agar Teri Aankhon Mein Ye Kajal Na Hota,
Kabhi Itna Gehra Ye Badal Na Hota,

Hawaon Mein Aisi Halchal Na Hoti,
Ye Mausam Bhi Itna Chanchal Na Hota,

Jo Tera Sahara-O-Dilbar Na Hota,
Chain Mujhe Bhi Dinbhar Na Hota,

Jaane Kahan Pe Bhatakta Tadapta,
Tere Bina Sajan Mera Ghar Na Hota...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
Pages: 1 ... 139 140 141 142 [143] 144 145 146 147 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 12, 2025, 05:31:09 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.267 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer