Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 140 141 142 143 [144] 145 146 147 148 ... 273
Print
Author  (Read 133143 times)
angel4u
Guest
«Reply #2145 on: September 08, 2007, 07:54:55 PM »

Ab Main Aksar Kuch Sochta Rehta Hoon,
Chalte Chalte Achanak Theher Jaata Hoon,

Inhi Socho Mein Meri Zindagi Guzar Gayi,
Ab Main Har WaQt Maazi Ko Kosta Rehta Hoon,

Na Jaane Wo Kya Lamha Tha Maine Zindagi Ko Kho Diya,
Ab Main Maut Ki Aahaton Ko Sunta Rehta Hoon,

Apne Kiye Pe Ab Main Bahut Pashemaan Hoon,
Apne Kiye Pe Ab Main Sochta Rehta Hoon,

Zindagi Ke Wo Nayab Lamhe Be-MaQsad Guzre,
Ab Inhi Lamhon Ko Har WaQt Sochta Rehta Hoon...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2146 on: September 08, 2007, 07:56:23 PM »

Sakoot-E-Jaan Ka Matlab Bata Do Phir Chale Jaana,
Ya Phir Sargoshiyan Dilki Suna Do Phir Chale Jaana,

Jo Mera Aur Tumhara WaQt Guzra Hansne Rone Mein,
Use Puri Tarahse Tum Bhula Do Phir Chale Jaana,

Ye Saare Ped Paudhe Tum Bin Kayi Raat Jaage Hai,
Tum Aake Ek Baar Inko Sula Do Phir Chale Jaana,

Kisiko Chahne Ka Aur Kisise Chaahe Jaane Ka,
Jo Hai Ehsaas Tum Usko Bhula Do Phir Chale Jaana,

Bas Ek Murda Hansi Se Apne AshQon Ko Chhupane Ka,
Jo Fann Aata Hai Tumko, Wo Sikha Do Phir Chale Jaana,

Wo Jo Ek Lafz-E-Ulfat Hai, Juda Hai Apne Maani Se,
Bas In Alfaz-O-Maani Ko Mila Do Phir Chale Jaana,

Jo Kehte Kehte Ruk Gaye, Un Saari Baaton Ki,
Sama'at Ko Talab Hai Wo Suna Do Phir Chale Jaana,

Na Jaane Kyon Hai Lekin Dekhne Ki Tumko Aadat Hai,
Meri Ye Bewajah Aadat Chura Do Phir Chale Jaana...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2147 on: September 08, 2007, 07:57:07 PM »
Kitni Pyaari Hai Aadatein Tumhari,
Kash Mil Jaye Humko Chahatein Tumhari,

Phoolon Ki Tarah Nikhra Hoga Wo Shakhs,
Mili Jisko Hongi Raahatein Tumhari,

Bahaar Ki Tarah Muskurana Hawa Ki Tarah Chalna,
Koi Tareekh Jodti Hai Rawayatein Tumhari,

Ek Pal Mein Roothna Aur Phir Maan Jaana,
Ajab Hai Mohabbatein Tumhari Shararatein Tumhari,

Sargami Saanson Se Chhedti Ho Naam Mera,
Naaz Andaz Se Bani Nazakatein Tumhari,

Ek Hi Khwaab Hai Sarmaya Umar Bhar Ka,
Kab Hongi Naseeb Humko Baatein Tumhari...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2148 on: September 08, 2007, 07:58:45 PM »

Ek Din Kaante Ne Phool Se Puchha Ke "Aye Phool!"
Mujhe Tumhari Mohabbat Se Kya Haasil Hua?

Mujhe Dekhte Hi Har Koi Apne Tevar Badal Leta Hai Shayad,
Is Liye Ke Main Unhe Zakhmi Kar Deta Hoon,
Aur Duniya Tum Par Marti Hai,
Tumhari Khushboo Lene Ko Tarasti Hai,
Lekin Mujhe Tumhari Mohabbat Se Kya Mila?

Phool Ye Sada Sun Kar Muskuraya Aur Kehne Laga,
Tumhe To Khush Hona Chahiye Jis Par Duniya Marti Hai!
Wo Tumhare Bagair Ek Pal Bhi Nahi Reh Sakta,
Jab Mujhe Koi Tumse Juda Karta Hai,
To Main Mar Jaata Hoon!
Kyon Ke Main,
Sirf Tumse Mohabbat Karta Hoon...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2149 on: September 08, 2007, 08:00:25 PM »

Jaane Kyon Main Aaj Bhi Dua Karta Hoon Uski Khushi Ke Liye,
Aye Kaash Wo Lauta De Mere Wo Sab Beete Din Meri Khushi Ke Liye,

Kya Soch Kar Usne Badal Li Apni Raahein,
Koi Jaakar Bataye Use Koi Marta Nahi Kisike Liye,

The Aur Bhi Raaste Saath Nibhane Ke Liye,
Kyon Usne Chuna Raaste Sirf Judayi Ke Liye,

Wo Hota Hai Dhire Dhire Mujhse Door Qareeb Main Jitna Aana Chaha,
Usne Ek Raah Khuli Na Rakhi Apni Waapsi Ke Liye,

Maana Ke Meri Qismat Ne Kiya Mujhe Door Tumse,
Kya Tumhare Haathon Ki Lakeeron Mein Likha Tha Mujhse Juda Hone Ke Liye,

Ab Bhi Hai Mere Dil Mein Jazbaat Na Jaane Kis Tarah,
Achha Hi Kiya Tha Maine Apni Mohabbat Ke Liye...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2150 on: September 08, 2007, 08:02:09 PM »

Chanda Teri Chandi Jo Kho Gayi, Udaasiyon Ke Inteha Si Ho Gayi,
Hawaon Mein Banaye The Jo Mahal, Kyon Itne Tareek Se Ho Gayi,

Seene Mein Dhadakte Dilko Bechain Sa Kar Gayi,
Ye Udaasi Meri Tanhaiyon Ko Tanha Sa Kar Gayi,

Udaas Hai Shaamein, Tanha Hai Raatein, WaQt Bhi Khoya Hua,
Bikhra Hua Hai Har Ek Pal Tere Ehsaas Mein Dooba Hua,

Khaamosh Lamhon Mein Teri Saanson Ka Shor Aur Bekhudi,
Wo Aankhon Mein Chahat, Wafa Ka IQraar Kahan Kho Gaya,

Yaad Ka Jhonka Mann Ke Taaronko Chhu Kar Jo Guzra,
Rooh Bhi Kaanp Uthi, Jism Hai Dilke Aansoon Mein Dooba Hua...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2151 on: September 08, 2007, 08:03:23 PM »

Gaye Mausamon Ke Haath Ye Paigam Humne Bheja Tha,
Kab Apni Chahat Nibhaoge, Laut Ke Tum Kab Aaoge,

Chiraag-E-Dil Jala Rakha Hai Tere Intezaar Mein,
Meri Rooh Ko Sukoon De Jaoge Laut Ke Tum Kab Aaoge,

Dekh Lata Hai Meri Nazron Mein Har Koi Tera AQs,
Kab Mujhe Khudse Milaoge, Laut Ke Tum Kab Aaoge,

Sitaare Toot Ke Girte Hai Tere Aangan Mein Har Shab,
Unhe Meri Maang Mein Bhar Jaoge, Laut Ke Tum Kab Aaoge,

Har Lamha Teri Muntazir Rehti Hai Ye Nigahein,
Mere Khwaab Tumhi Sajaoge, Laut Ke Tum Kab Aaoge,

Maana Ke Des Paraya Hai Par Khud Ko Sambhale Rakhna,
Saraab Ko Chhod Na Paoge, Laut Ke Tum Kab Aaoge...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2152 on: September 13, 2007, 08:04:55 PM »

Gam Ke Saaya Se Khushiyon Ka Yehi Kehna Hai,
Dard Ki Chadar Ko Ab Tujhse Door Karna Hai,

Teri Bewafayi Se Mila Hai Mujko Ek Sabak,
Maine Apne Rab Ko Ek Baar Phir Se Jaana Hai,

Bujhte Hai Jab Chirag To Kehti Hai Ye Shama,
Mujhko Ek Baar Phir Se Is Andhere Mein Jalna Hai,

Dekh Kar Khush Haal Tujhe Kaha Maine Ye Dilse,
Tujhko Ab Kab Tak Ye Dard Sehna Hai,

Hai Khuda Se Ye Fariyad Ke Mujhe Wo De Himmat,
Apne Rishte Ki Dor Ko Ek Baar Phirse Seena Hai,

Qatron Ko Rok Liya Zindagi Jeene Ke Liye Magar,
Maine Har Baar Apni Aankhon Se Unka HaQ Chhena Hai,

Dard Ki Kashti Ka Hai Ek Musafir Ye "Nazar",
Doobe To Marna Hai Saahil Par Kya Jeena Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2153 on: September 13, 2007, 08:06:50 PM »

Yun Kis Tarahse Tumne Mujhko Bhula Diya,
Mere Dilke Khwabon Ko Kaise Jala Diya,

Dekhna Chaha Jo Teri Surat Ko Ek Baar,
Us Bewafa Ne Ye Dekh Chehra Chhupa Diya,

Aayine Mein Nazar Aane Laga Mujhko Tera Chehra,
Ye Dekh Kar Humne Aayine Ko Saja Diya,

Bheegi Hui Palkon Se Qatron Ko Thaam Liya,
Phir Dekh Kar Teri Tasveer Aansu Baha Diya,

Door Ho Tum Achha Nahi Lagta Mujhe,
Par Teri Judayi Ne Mujhe Jeena Sikha Diya,

Wafa Ki Ummid Ab Bhi Karta Hoon Tujhse,
Par Teri Bewafayi Ne Wafa Ka Matlab Bhula Diya,

Kho Kar Teri Yaadon Mein Ek Aur Shab Guzaar Di,
Aaj Phir Maine Apne Dilko Yunhi Rula Diya,

Dil Kaise Kahe "Nazar" Se Teri Judayi Ka Sabab,
Meri Saanson Ko Jo Tune Apna Mohtaaj Bana Diya...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2154 on: September 13, 2007, 08:07:39 PM »

WaQt WaQt Ki Baat Hai Jaanam,
Bigde Abhi Halaat Hai Jaanam,

Sochein Muntashir Zehno Mein Hai,
Bikhre Hue Khayalat Hai Jaanam,

Tum Chaho To Kar Lun Tumse,
Dil Mein Jo Sawalaat Hai Jaanam,

Baaton Mein Ise Na Ganwaon Tum,
Kitni Suhani Raat Hai Jaanam,

Aao Isko Amar Kar Lein Hum,
Pyar Bhari MulaQat Hai Jaanam...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2155 on: September 13, 2007, 08:08:32 PM »
Mohabbat Ki Naanv Mein Kadam Jo Dharega,
Khamiyaza Wafaon Ka Har Dam Bharega,

Labon Par Har Dam Shikwe Rahenge,
Subah Shaam Wo Haaye Haaye Karega,

Zamane Ne Jinko Dara Paya Yaaron,
Wohi Banke AashiQ Jahan Se Darega,

Apne Sabhi Chhod Jayenge Usko,
Zamane Se Kab Tak Tanha Ladega,

Koi Mujhse Puchhe To Itna Bata Dun,
Mohabbat Karega Bemaut Marega,

Abhi WaQt Hai Tauba Kar Le Tu Saabi,
Khuda Ne Jo Chaha To Dooba Tairega...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2156 on: September 13, 2007, 08:09:29 PM »
Labon Ki Pyaas Wo Meri Badha Ke Chhod Gaya,
Bhari Bahar Mein Dilko Jala Ke Chhod Gaya,

Teri Talash Mein Nikla To Meri Mohsin Hi,
Mere Hi Haath Mein Pathar Thama Ke Chhod Gaya,

Ruki Ruki Si Nigahein Thaka Thaka Sa Badan,
Safar Ka ShauQ Jo Manzil Pe Laake Chhod Gaya,

Main Ye Hayaat Tere Naam Kar Chuka Kabse,
Keh Jo Mujhe Hi Mujhi Se Chura Ke Chhod Gaya,

Raha AttiQue Jo Mere Liye Ek Afsana,
Wohi Mujhe Fasana Banake Chhod Gaya...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2157 on: September 13, 2007, 08:10:51 PM »

Kabhi Manzil Ke Raste Mein Rehbar Na Mila,
Bahut Se Log Mile Mera Humsafar Na Mila,

Har Ek Kadam Pe Nahi Chhanv Muntazir Thi Magar,
Tumhare Pyaar Ke Sehra Mein Ek Shajar Na Mila,

Bana Ke Bhees Fakeeron Ka Phire Basti Mein,
Par Jispe Dastakein Deta Kahin Wo Dar Na Mila,

Wo Jisko Dhundta Phirta Tha Main Hoke Pagal,
Use To Paa Liya Maine, Main Khud Magar Na Mila,

Sabhi Ne Padh Liya Chehre Pe Likha Qissa-E-Gam,
Jahan Se Gam Ko Chhupane Ka Ek Hunar Na Mila,

Bahut Hai Shor Hassan Tere Dilki Dhadkan Ka,
Jahan Se Door Bhi Aya, Sakoon Magar Na Mila...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2158 on: September 13, 2007, 08:12:05 PM »
Aaj Humne Chaand Pighalte Hue Dekha,
Girte Hue Pallu Ko Sambhalte Hue Dekha,

Ajeeb Rang Ki Phool Khile Hai Ab Ke Bahar Mein,
Har Phool Tere Samne Dhalte Hue Dekha,

AshQ Kahan Kho Jaate Hai Kya Malum,
Humne To Dardmandon Ko Behelte Hue Dekha,

Samundar Ke Kinare Ek Chhota Sa Ghar Ho,
Aangan Mein Mujhe Uske Tehelte Hue Dekha,

Har Wo Din Phir Eid Kar Li Maine,
Jab Jab Tujhe Raat Nikalte Hue Dekha...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2159 on: September 13, 2007, 08:12:44 PM »

Kabhi Humse Bhi Puchha Karo,
Ke Humpe Kya Bitti Hai,
Kyon Gamonko Chhupakar Muskuraya Karte Hai,
Kyon Aansuon Ko Rok Kar Hasa Karte Hai,
Kaise Mann Hi Mann Roya Karte Hai,
KYON..........
Kyon Aaj Bhi Tumhara Intezaar Karte Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
Pages: 1 ... 140 141 142 143 [144] 145 146 147 148 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 12, 2025, 04:16:41 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.253 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer