Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 141 142 143 144 [145] 146 147 148 149 ... 273
Print
Author  (Read 133146 times)
Pooja
Guest
«Reply #2160 on: September 13, 2007, 08:49:14 PM »
Nice Collection Angle!!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2161 on: September 14, 2007, 06:10:17 PM »
Thanks DiDi..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2162 on: September 14, 2007, 06:13:36 PM »

Hamein Chahiye Tha Milna,
Kisi Ahad-Ay Meherbaan Mein,
Kisi Khwaab Ke YaQeen Mein,
Kisi Aur Aasman Par,
Kisi Aur Sarzameen Mein,
Hamein Chahiye Tha Milna...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2163 on: September 14, 2007, 06:15:20 PM »

Wo Pehli Baarish,
Wo Pehli Baarish Ka Pehla Qatra,

Yaad Karo Jab Hum Par Barsa,
Dilka Mausam Kitna Badla,
Dilka Aangan Kitna Mehka,
Phir Kabhi Aisa Saawan Nahi Aaya,

Phir Mujhse Apni Baatein Karke,
Apne Dilki Fariyaad Sun Kar,
Achanak Tum Aise Ghabrayi,
Shayad Baarish Mein Tezi Aayi,
Ye Dil Mein Ek Toofan Sa Utha,
Anjaane Mein Mere Haath Ko Pakda,
Na Jaane Ke Qasam Kahi,
Phir Kabhi Aisa Saawan Nahi Aaya,

Ab To Baarish Tam Ghai Hai,
Apni Apni Raah Ko Chale,
Ab Shayad Kabhi Na Mile,
Dhoop Ke Chamakte Kirno Mein,
Aankhon Ke Aansu Moti Bankar,
Bilakh Bilakh Kar Aise Barse,
Jaise Parwane Shamma Ko Tarse,
Phir Kabhi Aisa Sawan Nahi Aaya,

Shayad Khushiyan Rooth Gayi Humse,
Phir Kabhi Aisa Sawan Nahi Aaya,
Na Kabhi Wo Baarish Ka Qatra Barsa,
Phir Kabhi Dilka Mausam Na Badla,
Teri Yaad Mein Ab Kabhi Kabhi,
Aankhon Se Hoti Hai Baarish,
Phir Kabhi Aisa Saawan Nahi Aaya...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2164 on: September 14, 2007, 06:16:27 PM »

Kyon Zindagi Ne Tumse Milaya Hamein?
Kyon Phir Yun Juda Hue Hum?
Kyon Tumko Dil Itna Chahta Hai?
Kyon Phir Tumse Milne Ko Tadpe Hai Mann?

Kyon Har Insaan Mein Tumhe Main Talashti?
Kyon Har WaQt Ye Aankhein Tumhe Dekhna Chahti?
Kyon Har Awaz Par Main Chaunk Uthti?
Kyon Har Khushboo Mein Tumhe Khojti?

Kyon Zindagi Se Kuch Maang Nahi Sakti?
Tumko Kabhi Apna Keh Nahi Sakti?
Kya Iske Baad Bhi Jeena Aasan Hoga?
Kya Ab Hum Mar Bhi Nahi Sakte?

Kyon Dilki Ye Majboori Hai?
Kyon Kahani Meri Itni Adhuri Hai?
Kyon Sapne Aise Dekhe Maine?
Kyon Zindagi Mein Ye Aansu Hote Hai???
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2165 on: September 14, 2007, 06:17:52 PM »
Aaj Phir Yaad Uski Mujhe Aayi Hai,
Aaj Phir Sang Apne Hazaro Gam Laayi Hai,

Aaj Phir Matam Hoga Mere Dilka,
Na Jaane Kab Tak Ye Silsila Chalega,

Aaj Phir Door Bahut Door Shehnaiyan Bajegi,
Jaise Ke Mere Dil Par Chhuriyan Chalegi,

Aaj Phir Koi Hasega To Koi Royega,
Na Jaane Kaun Jagega Kaun Soyega,

Aaj Phir Qismat Meri Mujhe Wahin Laayi Hai,
Jahan Par Likhi Hui Abhi Tak Judayi Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2166 on: September 14, 2007, 06:18:58 PM »
TaQdeer.....
Aa Ab Laut Chale, Aa Ab Laut Chale Jahan,
Tera Pyaar Na Ho, Jahan Teri Mohabbat Na Ho,

Aa Ab Laut Chale Jahan Tera Sawera Na Ho Jahan Tera Basera Na Ho,
Aa Ab Laut Chale Jahan Tera Naam Na Ho Jahan Tera Saaya Na Ho,
Aa Ab Laut Chale Jahan Tere Chahnewale Na Ho, Jahan Teri Pehchaan Na

Ho,
Aa Ab Laut Chale Jahan Teri Zindagi Na Ho, Jahan Teri Bandagi Na Ho...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2167 on: September 14, 2007, 06:20:14 PM »
Ho To Sakta Tha Magar Humne Hi Aisa Na Kiya,
Khuda Bhi Tanha Na Rahe Tumko Bhi Tanha Na Kiya,
Zindagi Taal Gayi Aadhi Sahawat Pe,
Mujhe,
Dilko Dariya To Kiya, Aankh Ko Dariya Na Kiya...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2168 on: September 14, 2007, 06:21:55 PM »

Mere Dilki Raakh Kured Mat, Ise Muskura Ke Hawa Na De,
Ye Chirag Phir Bhi Chirag Hai Kahin Tera Haath Jala Na De,

Naye Daur Ke Naye Khwaab Hai Naye Mausamon Ke Gulaab Hai,
Ye Mohabbaton Ke Chirag Hai Inhe Nafraton Ki Hawa Na De,

Zara Dekh Chand Ki Pattiyone Bikhar Bikhar Ke Tamam Shab,
Tera Naam Likha Hai Ret Par Koi Leher Aake Mita Na De,

Main Udaasiyan Na Saja Sakun Kabhi Jism-O-Jaan Ke Mazaar Par,
Na Diye Jalein Meri Aankh Mein Mujhe Itni Sakht Saza Na De,

Mere Saath Chalne Ke ShoQ Mein Badi Dhoop Sar Pe Uthayega,
Tera Naak NaQsha Hai Mom Ka Kahin Gam Ki Aag Pighla Na De,

Main Gazal Ki Shamsi Aankh Se Dukhon Ke Phool Chuna Karun,
Meri Saltanat Mera Fan Rahe Mujhe Taaj-O-Takht Khuda Na De...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2169 on: September 14, 2007, 06:23:09 PM »

Udaasiyon Ka Saman Mehfilon Mein Chhod Gayi,
Bahar Ek Khash Si Dilon Mein Chhod Gayi,

Bichhad Ke Tujhse Hazaron Taraf Khayal Gaya,
Teri Nazar Mujhe Kin Manzilon Mein Chhod Gayi,

Kahan Se Laaye Ab Us Nigaah Ko Aamir,
Jo Naam Tamam Umangein Dilon Mein Chhod Gayi...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2170 on: September 14, 2007, 06:30:58 PM »

Har Gam Tumhara Bhoola Na Sake,
Zamane Ki Kasmein Nibha Na Sake,

Hum Dil Kisika Dukha Na Sake,
Teri Yaad To Dilse Mita Na Sake,

Yun To Tum Bhi Bewafa Nikle,
Tumhe Apna Hum Bana Na Sake,

WaQt Thoda Tumhare Paas Tha,
Tumhe Haal-E-Dil Suna Na Sake...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2171 on: October 06, 2007, 05:57:22 PM »

Yaad Karna Bhi Na Chaho To Yaad Aayenge Hum,
Tere Khwabon Tere Khayalon Par Chha Jayenge Hum,

Meri Tasveer Ko Dekhoge Har Ek Shaam Magar,
Teri Pahuch Se Bahut Door Chale Jayenge Hum,

Tum Jo Jaana Bhi Chaho To Na Jaa Paoge,
Kya Kabhi Phool Bhi Hota Hai Khushboo Se Juda,

Ye Teri Bhool Hai Tu Mujhko Bhool Payegi,
Ye Halawat Tere Nas Nas Mein Utar Jayegi...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2172 on: October 06, 2007, 05:58:33 PM »

Zindagi Zindagi Nahi Aapke Bina,
Kuch Meri Haisiyat Nahi Aapke Bina,

Kuch Log Tanha Chhod Ke Chale Gaye Humko,
Ye Zindagi Udaas Hai Aapke Bina,

Kuch To Saath Dena Tha Aapko Mera,
Aap Bhi Chale Gaye Auron Ki Tarah,

Zindagi Mein Tere Siwa Chaha Nahi Kisiko,
Ab Jo Jee Hi Lenge Hum Aapke Bina,
Zindagi Zindagi Nahi Aapke Bina...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2173 on: October 06, 2007, 05:59:51 PM »

WaQt Kitna Guzar Gaya Jaana,
Teri Zulfon Ki Chhanv Ko Chhue,
Haan Magar Phir Bhi Bekhayali Mein,
Jab Kabhi Tera Naam Likhta Hoon,
Unligyaan Kaanp Kaanp Jaati Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2174 on: October 06, 2007, 06:04:25 PM »
Aaj Phir Badi Shiddat Se Yaad Aaya Koi,
Ek Ajab Si Udaasi Phir De Gaya Koi,

Saari Raat Phir Jaga Gaya Koi,
Saare Aansu Baha Gaya Koi,

Ek Chingari Ko Hawa De Gaya Koi,
Yaadon Ko Tar-O-Taaza Kar Gaya Koi,

Kho Jane Ka Ehsaas Dila Gaya Hai Koi,
Bewafa Se Wafa Ka Sila Chahta Hai Koi,

Jaane Kyon Milne Par Anjana Banta Hai Koi,
Jaane Kyon Chup Chup Kar Takta Hai Koi,

Kabhi Kaanton Se Bhi Puchho Ke Wafa Kya Hai,
Wafaon Ka Sila Phoolonse Kyon Puchhta Hai Koi,

Mohabbat Na Hoti Duniya Mein To Kya Hota,
Mohabbat Ka Sila Is Jahan Mein Kya Dega Koi...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
Pages: 1 ... 141 142 143 144 [145] 146 147 148 149 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 12, 2025, 04:25:47 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.266 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer