Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 142 143 144 145 [146] 147 148 149 150 ... 273
Print
Author  (Read 133140 times)
angel4u
Guest
«Reply #2175 on: October 20, 2007, 05:44:50 AM »
Mujhko Ab Khamosh Rehna Achha Lagta Hai,
Baithe Baithe Gum Ho Jana Achha Lagta Hai,

Sochti Hoon To Dard Sa Dil Mein Uthta Hai,
Guzre Lamhe Yaad Karna Achha Lagta Hai,

Jab Se Bichhdi Hoon Kuch Doston Se Apne,
Khayalon Mein Unse Baatein Karna Achha Lagta Hai,

Bachpan Ki Chhoti Chhoti Shararatonko Yaad Kar Ke,
Sirf Hanste Hi Rehna Achha Lagta Hai,

Yaadein To Bahut Si Aati Hai Par Un Mein,
Sirf Ek Yaad Ko Yaad Karna Achha Lagta Hai,

Aate Jaate Log Aankhon Mein Kya Dhundte Hai?
Mujhko To Ab Yunhi Udaas Rehna Achha Lagta Hai,

Wo Mere QahQahe Najaane Kahan Kho Gaye,
Ab Dhire Se Muskurana Achha Lagta Hai,

Jab Dil Udaas Ho Aur Kisiki Yaad Aaye,
Koi Gazal Likhna Achha Lagta Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2176 on: October 20, 2007, 05:48:55 AM »
Ab Kya Likhe Kaagaz Par,
Ab Likhne Ko Kya BaaQi Hai,
Ek Dil Tha So Ab Toot Gaya,
Lutne Ko Ab Kya BaaQi Hai,
Ek Shakhs Ko Humne Chaha Tha,
Kuch Raatein Par NaQsh Banaya Tha,
In Ratein Kya Razuon Ko
Humne Dil Mein Sajaya Tha,
Wo Raatein To Kab Ki Bikhar Gayi,
Wo NaQsh Ab Kahan BaaQi Hai,
Ab Kya Likhe Hum Kaagaz Par,
Wo Jinko Hum Apni Nazmon Ka
Anwan Banaya Karte The,
Wo Lafzon Ka Bana Ke Tajmahal,
Kagaz Pe Sajaya Karte The,
Wo Humko Akela Chhod Gaya,
Sab Rishton Se Mooh Mod Gaya,
Ab Rishte Saare Soone Hai,
Wo Pyara Ab Kahan BaaQi Hai,
Ab Kya Likhe Kagaz Par,
Ab Likhneko Kya BaaQi Hai...
~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~ ~
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #2177 on: November 11, 2007, 02:59:29 AM »
Bohat dinon baad mera yahaan aana huwa, aur Angel bi ki collection parhe bina main yahaan se kaise ja sakta tha.. Usual Smile

Beautiful poems Angel..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2178 on: May 25, 2008, 05:23:49 AM »
Thanks a lot Aryaan.
mera ye topic kho gaya tha
abhi mila sad5
shukriya bahut bahtu
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2179 on: May 26, 2008, 05:34:09 PM »


Wo Meri Zaat Ka Hissa
Meri Sochon Ka Mehwaar Hai,
Wo Mere Dil Mein Rehta Hai,
Mere Khwabon Ka Paykar Hai,
Main Usko Bhul Jaun,
Bas Yehi Ek Baat Mushkil Hai,
Wohi To Zindagi Ka Ek Chirag-E-Munavvar Hai,
Main Jab Ye Sochti Ho
Ke Wo Mujhko Bhul Jayega,
To Dil Kehta Hai Ke Tu Wo Hai Jo Ulfat Se Hi Munkir Hai...
nm
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2180 on: May 26, 2008, 05:34:40 PM »



Shola Hoon Bhadakne Ki Ijazat Nahi Rakhta,
Aazad Parinda Hoon Magar Par Nahi Rakhta,

Ikhlaas Ke Aage To Mite Jaan-O-Jigar Bhi,
Insaan Ke Pairon Mein Magar Sir Nahi Rakhta,

Gairon Ke Liye Hoon Main Shamsheer-E-Barehna,
Apno Se Kio Bugz Sarasar Nahi Rakhta,

Jab Hirs Ke Phande Mein Phansein Apne Paraye,
In Sab Ke Liye Deeda-E-Tar Main Nahi Rakhta,

Haan Jisne Diye Mujhko Kharabat Ke Tohfe,
Ab Uske Liye Laal-O-Gohar Main Nahi Rakhta,

Kuch Aapke Ulfat Mein Giraftar Hai Aise,
Samjhe Ho Koi Teer-E-Nazar Main Nahi Rakhta,

Seene Se Lagaya Hai Kabhi Baal Sanware,
Kya Khoob Kaha Teri Khabar Main Nahi Rakhta,

Samjho  Mujhe Majnu Kaho Faryad Ya Kuch Aur,
Veeran Magar Khana-E-Dil Main Nahi Rakhta,

Waiz Hoon Magar Sath Mere Ho Kabhi SaaQi,
Main Daman-E-Bedagh Bacha Kar Nahi Rakhta,

Apno Se Kabhi Door Na Ho Payega SAAHIL,
Itni Bhi Khabar Aye Mere Dil Tu Nahi Rakhta..
nm
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2181 on: May 26, 2008, 05:35:16 PM »

Mohabbat Kitabyat Mein Ya Kaisa Bachpan Qudrat Ne Rakha Hai,
Ke Ye Jitni Bhi Purani Jitni Bhi Mazboot Ho Jaye,
Ise Taide Taza Ki Zaroorat Phir Bhi Rehti Hai,
YaQeen Ki Aakhri Had Tak Dilon Mein Lehlehati Ho,
Nigahon Se Tapakti Ho Lahoon Mein Jagmagati Ho,
Hazaron Tarah Ke Dilkash Haseen Haale Banati Ho,
Use Izhar Ke Lafzon Ki Hajat Phir Bhi Rehti Hai,
Mohabbat Mangti Hai Yun Gawahi Apne Hone Ki,
Ke Jaise Tifle Sada Shaam Ko Ek Beej Boi Aur Shab Mein Badha Uthe,
Zameen Ko Khud Kar Dekhe Ke Paudha Ab Kahan Tak Hai,
Mohabbat Ki Tabiyat Mein Ajab Takraar Ki Kho Hai,
Ke Yaya IQraar Ke Lafzon Ko Sunne Se Nahi Thakti,
Bichhadne Ki Ghadi Ho Ya Koi Milneki Saat Ho,
Use Bas Ek Hi Dhun Hai Kaho Mujhse Mohabbat Hai
Kaho Mujhse Mohabbat Hai Tujhe Mujhse Mohabbat Hai,
Samundar Se Kahin Gehri Sitaron Se Siwa Roshan,
Pyaron Ki Tarah Qaim Hawaon Ki Tarah Daim,
Zameen Se Aasman Tak Jis Qadar Achhe Manzar Hai,
Mohabbat Ke Kinare Hai Wafa Ki Istaray Hai,
Hamare Waste Ye Chandni Raatein Sanwarti Hai,
Sunehra Din Nikalta Hai Mohababt Jis Taraf Jaye Zamana Sath Chalta Hai,
Kuch Aise Besakooni Hai Wafa Ki Sarzameeno Mein,
Jo Ehle Mohabbat Ko Sada Bechain Rakhti Hai,
Ke Jaise Phool Mein Khushbu Jaise Haath Mein Pada Ke Jaise Shaam Ka Tara...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2182 on: May 26, 2008, 05:35:37 PM »

Logon Ka Sataya Insaan Jangal Chala Manane Sog,
Veerane Mein Tikne Na Dein Aa Pahuche Satane Log,

HaQ Jataye Baithe Hai Jo Ilm-O-Hunr Ke Masnand Par,
Deewane Ko Pathar Marein Khudko Kahein Sayane Log,

Is Basti Mein Aa Kar Humne Dekhi Ek Neerali Reet,
Pehle Dar-E-Dil Diya Phir Aaye Dil Behlane Log,

Do Takon Ke Khatir Yahan Amol Armaan Bike,
Hirs-O-Hawas Ki Mehfil Mein Duniya Shama Parwane Log,

Chullu Bhar Aab Na Dala Sab Tamasha Karte Rahe,
Aashiyan Mein Kuch Na Bacha To Aaye Aag Bujhane Log,

Tan Maile Ko Malmal Dhoyein Khushbudar Sabun Se,
Man Mein Paap Ki Jamna Leke Ganga Chale Nahane Log,

Ho Gaye Nazron Se Ojhal To Yaad Lagi Tadapne,
Bich Mohalle Rehta Tha To The Kaise Begane Log,

Jeete Jee Haal Na Puchha Jis Hamsaye Ka Barson Se,
Mar Gaya To Daude Aaye Mujhko Dafnane Log...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2183 on: May 26, 2008, 05:36:01 PM »

FurQat Mein Tere Pyar Ka Ghar Jalne Laga Hai,
"Aa Jaa Ke Mere Dil Ka Nagar Jalne Laga Hai",

Is May Se Bhale Dil Ki Agan Bujhne Lagi Ho,
Par Ye Bhi HaQeeQat Hai Jigar Jalne Laga Hai,

Mausam Ko Nahi, IshQ Ne Badla Hai Mujhi Ko,
Thanda Hai Na Sooraj Na Qamar Jalne Lagi Hai,

Hai RashQ Mein Ab Gair Inaayat Pe Tumhari,
Jo Daag Idhar Tha Wo Udhar Jalne Laga Hai,

Pathraya Koi Muntazir-E-Deed Hi Shayad,
Jhopdi Mein Diya Shaam-O-Sheher Jalne Laga Hai,

Shola Hai Jo Andar Wo Qalam Tak Nahi Aata,
Kis Aag Mein Mera Hunar Jalne Laga Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2184 on: May 26, 2008, 05:36:21 PM »



Kayi TareeQ Chehre Hai,
Jinhe Main Bhool Sakta Tha,
Unhe Main Bhool Bhi Jaata,
Agar
Mere Zehen Ka Ye Khala Pur Ho Chuka Hota,
Meri Kuchli Hui Khudariyon Ke Nakhl,
Phir Se Sabz Ho Jaate,
Agar
Main Aap Hi Apni Shikaston Ka
Sabab Bankar Na Reh Jaata,
Agar
Sabke Ravaiyon Se,
Mujhe Ye Baar Baar,
Ehsaas Na Hota,
Ke Meri Shakhsiyat Hi Namukammal Hai,
Adhuri Shakhsiyat Meri
Adhuri, Zindagi Ki Har Kahani Hai,
Wo Chahe Daastan-E-IshQ Ho,
Ya Daastan-E-Gam,
Wo Gam Chahe Judayi Ka Ho,
Ya Chahe Gam-E-Dauraan,
Gam-E-Dauran Ho Ya Chahe Gam-E-Deen Ho,
Sabhi Kuch Namukammal Hai,
Main Kya Tha
Aur Na Jane Main Kya Banta
Magar Tareek Se Chehron Ki Zehreeli
Adaon,
Kaavishon Ne,
Haif! Mujhko Kya Bana Dala,
Main Un Tareek Chehron Ko,
Bhula Sakta Tha Yaaron
Aur Main Ab Tak To Unko Bhool Bhi Jaata
Magar............
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2185 on: May 26, 2008, 05:36:43 PM »



Mohabbat Ka Wajood Mujhko
Saraab Lagne Laga Tha Yaaron,
Par Us Sitamgar Ne Jaate Jaate
Palat Ke Dekha...

nm
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2186 on: May 26, 2008, 05:37:09 PM »


Wo Bazaahir Jo Zamane Se Khafa Lagta Hai,
Hans Ke Bole Bhi To Duniya Se Juda Lagta Hai,

Aur Kuch Der Na Bujhne De Isse Rab-E-Sahar,
Doobta Chand, Mera Dast-E-Dua Lagta Hai,

Jisse Munh Fer Ke Raste Ki Hawa Guzri Hai,
Kisi Ujde Hue Aangan Ka Diya Lagta Hai,

Ab Ke Saawan Mein Bhi Zardee Na Gayi Chehron Ki,
Aise Mausam Mein To Jungle Bhi Hara Lagta Hai,

Sheher Ki Bhid Mein Kholte Hai Kahan Uske Nakoosh,
Aao Tanhayi Mein Sochein Ke Wo Kya Lagta Hai,

Munh Chhupaye Hue Guzra Hai Jo Ehbaabse Aaj,
Uski Aankhon Mein Koi Zakhm Naya Lagta Hai,

Ab To Mohsin Ke Tasavvur Mein Utar Rab-E-Jaleel,
Is Udaasi Mein To Pathar Bhi Khuda Lagta Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2187 on: May 26, 2008, 05:37:34 PM »


Ye Mere Halaat Ka Zikr
Meri Meri Aankhon Ka Charcha,
Kabhi Be Sabab Shor Barpa,
Yaron Mian Mara Nahi,
Bus Zindagi Haar Baitha Hoon,
nm
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2188 on: May 26, 2008, 05:38:01 PM »
Kaise Keh Dun
Ke Bina Tumhare
Jeena Bahut Dushwar Lagta Hai,
Maahol Sogwar Lagta Hai,

Kaise Keh Dun
Ke Bina Tumhare
Ek Pal Chain Se Nahi Guzarta
Dil-E-Wehshi
Teri Aas Lagaye Baithe Hai,

Kaise Keh Dun
Ke Bina Tumhare
Ye Duniya Veeran Lagti Hai
Har Pal Har Ghadi
Bejaan Lagti Hai

Kaise Keh Dun
Ke Bina Tumhare
Ab Zindagi Zindagi Nahi Lagti
Ek Dard Ka Toofan Lagti Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2189 on: May 26, 2008, 05:38:29 PM »


Jee Rahi Thi Akeli Magar Ek Din
Dekha Apne Hi Jaisa Akela Koi
Band Tha Wo Khamoshi Ki Zindaan Mein
Jis Mein Dar Tha Na Tha Koi Rauzan Khula,
Jee Mein Aaya Ke Uski Ye Tanhaiyan
Baant Kar Shaad-O-Abaad Kar Dun Use,

Usse Boli, "Mera Haath Thamoge Tum?"
Wo Meri Baat Par Soch Mein Pad Gaya,
Apne Maazi Ka Dar Phir Kya Mujhpe Waa
Uska Maazi Ke Jis Par Kayi Daag The,
Wo Ye Samjha Ke Uske Andheron Ka Dar,
Phir Badal Dega Mere Irade Magar
Wo Irade Zyada Atal Ho Gaye,

Bas To Khud Ko Supurd-E-Hawa Kar Diya
Thaam Kar Haath Mera Wo Udne Laga,
Khwab Se Khwab Sa Koi Judne Laga,
Zindagi Ke Suhane Se Pal Ho Gaye,
WaQt Kaise Gaya Kuch Khabar Na Hui,

Ek Din Maine Usse Kaha Is Tarah
"Ye TalluQ, Ye Ehsaas Apni Jagah
Par Mujhe Ab Tum Apne Liye Maang Lo
Mujhko Apna Bana Lo Sada Ke Liye"
Sunke Ye Baat Meri Wo Chup Ho Gaya
Jaane Kis Soch Mein Is Qadar Kho Gaya,

Uski Khamoshiyion Ne Dikhaya Magar,
Bebasi Uski, Lachariyon Ka Nagar,
Aur Main Apni Majbooriyon Ka Jahan,
Chaha Kar Bhi Na Kar Paayi Uspe Ayyaan,
Kis Tarah Usse Kehti Ye Main, "Har Pari
Umar Bhar Yun Pari Banke Reh Jaye To
Dolti Hai Nazar Uspe Har Dev Ki,
Aur Nazar Wo Ke Aisi Hai Jis Ki Tapish,
Saara Jeevan Pari Ka Jala Kar Tale,
Uski Khushiyon Ki Aur Raahaton Ki Jagah,
Likh De Uske MuQaddar Mein Tanhaiyan",
Main Ke Tanhaiyon Ki Satayi Hui,
Phir Se Yun Umr Bhar Ki Ye Tanhaiyan,
Kis Tarah Mol Le Lun, Tum Hi Ab Kaho?

Aur Phir Yun Hua, Mujhko Chunna Pada
Umr Ki Reh-Guzar Ke Liye Humsafar
Har Pari Ki Tarha Se Mujhe Bhi Yunhi
Banke Ladki Piya Sang Jaana Pada,

Maine Usse Phir Us Din Kuch Aise Kaha,
Ke "Main Ab Kisi Aur Ke Naam Hoon"
Usnep Uchha, "Wo IQraar-O-Ehd-E-Wafa,
Kya Hue, Wo Mohabbat Kidhar Kho Gayi?"
Main Ye Boli, "Daga Thi, Wo Sab Jhuth Tha,
Mujhko Ulfat To Apne Piya Se Hai Bas"

Kitna Hairan Hua Hoga Wo Sunkar Ise
Dil Shikasta Hua Hoga Uska Magar,
Main Hamesha Karungi Khuda Se Dua,
Usko Jeevan Mein Aisa Mile Humsafar,
Yaad Mujhko Kare Na Kabhi Bhool Kar,
Uske Daaman Mein Bhar Jaye Itni Khushi,
Usko Chhu Bhi Na Paaye Koi Gam Kabhi,

Tha MuQaddar Mein Apne Yehi Kuch RaQam,
Ke Mile Aur Mil Kar Bichhad Jaye Hum...
nm
Logged
Pages: 1 ... 142 143 144 145 [146] 147 148 149 150 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 12, 2025, 02:40:38 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.228 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer