Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 144 145 146 147 [148] 149 150 151 152 ... 273
Print
Author  (Read 131641 times)
angel4u
Guest
«Reply #2205 on: July 12, 2008, 02:09:49 PM »
Koi Mujhko Mera Bharpoor Sarapa Laa De,
Mere Baazu Meri Aankhein Mera Chehra Laa De,

Aisa Dariya Jo Kisi Aur Samundar Mein Gire,
Isse Behtar Hai Ke Mujhko Mera Sehra Laa De,

Kuch Nahi Chahiye Tujhse Meri Aye Umr-E-Rawan,
Mera Bachpan Mere Jugnoo Meri Gudiya Laa De,

Jiski Aankhein Mujhe Andar Se Bhi Padh Sakti Ho,
Koi Chehra To Mere Sheher Mein Aisa Laa De,

Kishti-E-Jaan To Bhanwar Mein Hai Kayi Barso Se,
Aye Khuda Ab To Dubo De Ya Kinara Laa De...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2206 on: July 12, 2008, 02:10:18 PM »
Ye Kya Ke Har Dam Kisi Ki Minnatein Karna,
Kya Isi Ko Kehte Hai Mohabbatein Karna,

Jo Apni Qismat Mein Hai Milega Wohi,
Kis Baat Pe Hai Rab Se Shikayatein Karna,

Ye Pagalpan Nahi To Aur Kya Hai Phir,
Zameen Ke Hokar Aasman Se Bagawatein Karna,

Bahut Kar Chuka Hai Logonse Pyaar Ye Dil,
Ab Koi Sikhaye Isko Bhi Nafratein Karna,

Pehle Yaad Karna Use Phir Rote Rehna,
Jaane Kab Chhodega Dil, Ye Harkatein Karna...

NM
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2207 on: July 12, 2008, 02:11:22 PM »
Kathin Hai Rehguzar Thodi Door Saath Chalo,
Bahut Bada Hai Safar Thodi Door Saath Chalo,

Tamaam Umr Kahan Koi Saath Deta Hai,
Main Jaanta Hoon Magar Thodi Door Saath Chalo,

Nashe Mein Choor Hoon Main Bhi Tumhe Bhi Hosh Nahi,
Bada Maza Ho Agar Thodi Door Saath Chalo,

Ye Ek Shab Ki MulaQat Bhi Ganimat Hai,
Kise Hai Kal Ki Khabar Thodi Door Saath Chalo,

Abhi To Jaag Rahe Hai Chirag Raahon Ke,
Abhi Hai Door Sheher Thodi Door Saath Chalo,

Tavaf-E-Manzil-E-Jaana Hume Bhi Karna Hai,
'Faraz' Tum Bhi Agar Thodi Door Saath Chalo...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2208 on: July 12, 2008, 02:15:48 PM »
Khamoshi Khud Apni Sada Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai,
Sannata Hi Gunj Raha Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai,

Mera Maazi Mujhse Bichhad Kar Kya Jaane Kis Haal Mein Hai,
Meri Tarah Wo Bhi Tanha Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai,

Sahara Sahara Kab Tak Main Dhundun Ulfat Ka Ek Alam,
Alam Alam Ek Sahara Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai,

Ahl-E-Toofan Soch Rahe Hai Saahil Dooba Jaata Hai,
Khud Unka Dil Doob Raha Ho Aisa Bhi Ho Sakta Hai...
* * * * *

NM
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2209 on: July 13, 2008, 07:22:39 AM »

Na Sawal Banke Mila Karo Na Jawab Banke Mila Karo,
Meri Zindagi Mere Khwaab Hai Mujhe Khwab Banke Mila Karo,

Har Ek Shaam Ko Mere Doston Na Azab Banke Mila Karo,
Mujhe Mehgadeh Mein Milo Agar To Sharab Banke Mila Karo,

Mujhe Achhe Log Bahut Mile Main To Unke Qarz Se Mar Gaya,
Gar Ho Sake To Kabhi Kabhi To Kharab Banke Mila Karo,

Abhi Sochna Hai To Soch Lo Hamein Chhodna Hai To Chhod Do,
Naye Mausamon Mein Milo Mujhe To Gulab Banke Mila Karo,

Na To Is Tarah Se Mila Karo Na To Us Tarahse Mila Karo,
Haan Hazoor Banke Mila Karo Haan Janaab Banke Mila Karo...
* * * * *

nm
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2210 on: July 13, 2008, 07:22:54 AM »
Ek Tere Rooth Jaane Se,
Kisiko Kuch Nahi Hota,
Phool Bhi Mehekte Hai,
Rang Bhi Damakte Hai,
Suraj Bhi Nikalta Hai,
Taare Bhi Chamakte Hai,
Lekin,
Itna Zaroor Hota Hai,
Ek Tere Rooth Jaane Se,
Koi Hansna Bhool Jaata Hai...
* * * * *

nm
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2211 on: July 13, 2008, 07:23:22 AM »


Bebas Bahut Hai Ke Ye Bimaar Bahut Hai,
Ab Aake Milo Humse Dil Ko Ye Israar Bahut Hai,

Ek Shakhs Jo Har Aan Khafa Rehta Hai Mujhse,
Dil Uski Mohabbat Mein Giraftar Bahut Hai,

Mana Hamein Jeene Ka Qareena Nahi Aata,
Aye Zeest Magar Tujhse Hamein Pyaar Bahut Hai,

Kuch Hum Bhi Bulane Ka TaQaza Nahi Karte,
Kuch Unki Tabiyat Mein Bhi Inkaar Bahut Hai,

Is Zaat Ke Sehra Ki Kadi Dhoop Mein Humko,
Saathi Na Sahi Sai'ayy Deewar Bahut Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2212 on: July 13, 2008, 07:24:22 AM »


Gumnaam Ko Mujhse Ek Chahat Si Ho Gayi Hai,
Main Udaas Nahi, Udaas Rehne Ki Adat Si Ho Gayi Hai,

Ye Kaisa WaQt Aaya Hai Ke Subah Bhi So Gayi Hai,
Qudrat Se Shayad Roshni Hi Kho Gayi Hai,

Jaane Kyon Wo Mujhse Ajanbi Si Ho Gayi Hai,
Lagta Hai Aisa Ke Phoolon Se Khushbu Hi Kho Gayi Hai,

Ye Kaisi Hawa Mere Jism Ko Chhu Gayi Hai,
Ukhdi Ukhdi Saans Bhi Be-Rubt Ho Gayi Hai,

Kyon Zindagi Ki Raat Itni Taveel Ho Gayi Hai,
Mujhse Shayad Pyaar Ki Bhool Ho Gayi Hai,

Ab To Duniya Bahut Khush Ho Gayi Hai,
Saans To Chal Rahi Hai Lekin Rooh Saath Chhod Gayi Hai...
* * * * *nm
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2213 on: July 13, 2008, 07:26:43 AM »


Mohabbat Apni Chhupaoge,
To Tum Bahut Pachhtaoge,
Ek Lamhe Ko Socho To Kya Mere Bin Reh Paoge,
Jo Mujhko Bhool Sako Tum To Ye Bhi Karke Dekh Lo,
Mere Bin Khud Ko Tum Adhoora Hi Paoge,
Zara Ek Dafa Apne Dil Mein Jhank Kar Dekho To,
Koi Aur Nahi Hai Magar Mujhko Hi Hansta Paoge,
Khud Ko Masroof Karke Kya Mujhko Bhool Jaoge,
Ke Tumko Mujhse Pyaar Hai,
Ke Tumko Mujhse Pyaar Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2214 on: July 13, 2008, 07:27:33 AM »

Wafa Ke Waade Wo Saare Bhula Gaya Chup Chap,
Wo Mere Dilki Deewarein Hila Gaya Chup Chap,

Gam-E-Hayat Ke Tapte Hue Biyaban Mein,
Wo Tanha Chhod Ke Mujhko Chala Gaya Chup Chap,

Main Jisko Chhuta Hoon Ishrat Wo Zakhm Deta Hai,
Wo Phool Aise Chaman Mein Khila Gaya Chup Chap...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2215 on: July 13, 2008, 07:29:21 AM »


Aankhon Ka Rang, Baat Ka Lehja Badal Gaya,
Wo Shakhs Ek Shaam Mein Kitna Badal Gaya,

Kuch Din To Mere AQs Raha Aayeena NaQsh,
Phir Yun Hua Ke Khud Mera Chehra Badal Gaya,

Jab Apne Apne Haal Pe Hum Tum Na Reh Sake,
To Kya Hua Jo Humse Zamana Badal Gaya,

Qadmon Tale Jo Ret Bichhi Thi Wo Chal Padi,
Usne Chhudaya Haath To Sehra Badal Gaya,

Koi Bhi Chiz Apni Jagah Par Nahi Rahi,
Jaate Hi Ek Shakhs Ke Kya Kya Badal Gaya,

Ek Sarkhoshi Ki Mauj Ne Kaise Kiya Kamal,
Wo Bhi Niaaz Sara Ka Sara Badal Gaya,

Uth Kar Chala Gaya Koi Wakfay Ke Darmiyan,
Parda Utha To Saara Tamasha Badal Gaya,

Hairat Se Saare Lafz Use Dekhte Rahe,
Baathon Mein Apni Baat Ko Kaise Badal Gaya,

Kehne Ko Ek Sehan Mein Deewar Hi Bani,
Ghar Ki Fiza Makaan Ka NaQsha Hi Badal Gaya,

Shayad Wafa Ke Khel Mein Ukta Gaya Tha Wo,
Manzil Ke Paas Aake Jo Rasta Hi Badal Gaya,

Qayam Kisi Bhi Haal Pe Duniya Nahi Rahi,
Tabeer Kho Gayi Kabhi Sapna Badal Gaya,

Manzar Ka Rang Asal Mein Saaya Tha Rang Ka,
Jisne Use Jidhar Se Bhi Dekha Badal Gaya,

Andar Ke Mausamon Ki Khabar Usko Ho Gayi,
Us Ne Bahar Naaz Ka Chehra Badal Gaya,

Aankhon Mein Jitne AshQ The Jugnu Se Ban Gaye,
Wo Muskuraya Aur Meri Duniya Badal Gayi,

Apni Gali Mein Apna Hi Ghar Dhundte Hai Log,
Hanzala Ye Kaun Sheher Ka Naksha Badal Gaya...
* * * * *nm
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2216 on: July 16, 2008, 02:40:48 AM »
Kabhi Sab Kuch Keh Kar,
Kabhi Khamosh Reh Kar,
Kabhi Bahut Door Jaa Kar,
Kabhi Paas Aa Kar,
Wo Mujhe Ye Ehsaas Dilata Hai,
Ke Uski Mohabbaton Ka, Shiddaton Ka Koi Shumar Nahi,
Magar Usse Upchho
Bata Kar Hi Ki Jaati Hai?
Kya Mohabbat Jata Kar Bhi Ki Jaati Hai???
* * * * *

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2217 on: July 16, 2008, 02:41:05 AM »



Khuda Kare Teri Aankhein Kabhi
Aansuon Ke Zaike Se Aashna Na Ho,
Khuda Kare Ke Dhoop Lamhon Ki Azyaton Mein,
Meri Duwaon Ka Saya Rahe,
Tum Jo Zeest Ki Raah Mein Kabhi
Akele Nikal Jao To
Khuda Kare Tujhe Raaste Na Bhatkein,
Khuda Kare Tujhko Manzilein Mil Jayein,
Mere Paas Tumhare Liye,
Duwaon Ke Kuch Phool Hai,
Khuda Kare Ke Ye Phool Kabhi Na Murjhayein,
Mere Paas To Bas Tumhare Liye,
Chahaton Ke Jugnu Hai,
In Jugnuon Ko Sambhal Kar Rakhna,
Mere Paas Mohabbat Ki Titli Hai,
Khuda Kare Ke Ye Titli Tujhe,
Khushiyon Ke Gulshan Mein Mehkati Rahe,
Tum Zindagi Mein Har Lamha Muskurate Raho,
Is Titli Ko Sambhal Kar Rakhna,
Zindagi Mein Har Lamha Tum Apna Khayal Rakhna...
* * * * *

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2218 on: July 16, 2008, 02:45:24 AM »


Jo Tumhare Sath Hua Tum Kehte Chalo,
Jo Hamare Sath Hua Hum Keh Nahi Sakte,

Tum Apne Dilka Haal Chaho To ShoQ Se Sunao,
Hum Apne Dil Ka Haal Bayan Kar Nahi Sakte,

Ajab Haal Hai Qismaton Ka Hamari,
Ab Kya Batayein Tumko Ke Bata Nahi Sakte,

Chaha Hai Humne Bhi Ek Haseen Ladki Ko,
Par Darta Hai Dil Ke Shayad Use Paa Nahi Sakte,

Hum Din Bhule Ab Har Pal,
Use Sochte Rehte Hai,
Khuda Jaane Kahan Hai Wo,
Use Dhundte Rehte Hai,

Dar Hai Ke Dhunde To Layenge Hum Usko Zamane Mein,
Magar Dhundne Ke Baad Bhi Izhaar Kar Nahi Sakte,

Hum Apne Dilki Bechaini To Jante Hai Aamir,
Magar Uske Dil Mein Kya Ho Abhi Kuch Keh Nahi Sakte,

Ek Muhtasir Si Mehfilein Mein Pehli Baar Mili Thi Humko,
Ab Mile Ya Na Mile Kuch Keh Nahi Sakte,

Apne Baare Mein Puchha To Kaha "Achhe Lage Ho Humko"
Magar Is Achhe Lage Alfaaz Ko Mohabbat Keh Nahi Sakte,

Jo Tumhare Sath Hau Chaho To Keh Do,
Jo Hamare Sath Hua Hum Keh Nahi Sakte...
* * * * *
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #2219 on: August 01, 2008, 08:39:20 PM »
bohot achha collection he tamam to padh nahi sakaa magar jo padhaa bohot mazaa aaya, bohot khoob....
Logged
Pages: 1 ... 144 145 146 147 [148] 149 150 151 152 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 17, 2024, 07:30:54 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.219 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer