Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 145 146 147 148 [149] 150 151 152 153 ... 273
Print
Author  (Read 133134 times)
Pooja
Guest
«Reply #2220 on: August 01, 2008, 08:51:13 PM »
GOOD ADDITION ANGEL!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2221 on: August 02, 2008, 03:18:55 AM »
bohot achha collection he tamam to padh nahi sakaa magar jo padhaa bohot mazaa aaya, bohot khoob....

Thanks a lot, aapne ye topic dhund nikala uske liye bhi aur pasand karne ke liye to bahut bahtu shukriya.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2222 on: August 02, 2008, 03:19:15 AM »


Ye Khayal
Ye Tumhara Intezaar
Ye Ruki Ruki Baatein
Ye Thodi Thodi Chahatein
Ye Majboori
Ye Doori
Ye Dillagi
Ye Dilkashi
Ye Deewanapan
Ye Akelapan
Ye Sochna
Ye Samajhna
Ye Dekhna
Ye Chehre Ka Sharma Jana
Ye Aankhon Ka Bhar Jana
Ye Mausam Ka Chala Jana
Ye Dhadkano Ka Ruk Jana
Ye Baaton Ka Badal Jana
Ye Saanso Ka Thehre Jana
Ye Thama Hua Samaa
Ye Saara Sansaar
Ye Tumhari Saans
Ye Mera Ehsaas
Kash Tum Yahan Hote
Mere Nahi To Mere Liye Kuch To Hote
Aur Ab.......
Ye Khamoshi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2223 on: August 02, 2008, 03:22:46 AM »


Aur Kya Kisise Marasim Burha'ein Hum,
Ye Bhi Bahut Hai Tujhe Bhool Jayein Hum,

Sehra-E-Zindagi Mein Koi Dusra Na Tha,
Sunte Rahe Hai Aap Hi Apni Sadayein Hum,

Is Zindagi Mein Itni Fraghat Kise Naseeb,
Itna Na Yaad Aa Ke Tujhe Bhool Jayein Hum,

Tu Itna Dil Zada To Na Thi Aye Shab-E-FiraQ,
Aa Tere Raaste Mein Sitare Lutayein Hum,

Wo Log Ab Kahan Hai Jo Kehte The Kal Faraz,
Heh Heh Khuda Na Karda Tujhe Bhi Rulayein Hum...
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #2224 on: August 02, 2008, 03:53:55 AM »

Is Zindagi Mein Itni Fraghat Kise Naseeb,
Itna Na Yaad Aa Ke Tujhe Bhool Jayein Hum,

Wo Log Ab Kahan Hai Jo Kehte The Kal Faraz,
Heh Heh Khuda Na Karda Tujhe Bhi Rulayein Hum...


bohot hi umda ye do sher to ghazab ke he.
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #2225 on: August 02, 2008, 03:59:26 AM »
X?X?X?
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2226 on: August 02, 2008, 04:04:21 AM »
bohot hi umda ye do sher to ghazab ke he.

Thanks a lot Sayyid ji,.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2227 on: August 02, 2008, 04:04:54 AM »
X?X?X?

Iska kya matlab hua? ? ? ? ?
mujhe samajh hi nahi aya, sad5
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2228 on: August 02, 2008, 04:05:50 AM »
Koi Lamha Bhi Kabhi Laut Kar Nahi Aaya,
Wo Shakhs Aisa Gaya Phir Nazar Nahi Aaya,

Wafa Ke Dasht Mein Rasta Nahi Mila Koi,
Siwaye Gard-E-Safar Humsafar Nahi Aaya,

Kisi Chirag Ne Puchhi Nahi Khabar Meri,
Koi Bhi Phool Mere Naam Par Nahi Aaya,

Palat Kar Aane Lage Shaam Ke Parinde Bhi,
Hamara Subah Ka Bhoola Magar Nahi Aaya,

Hamein YaQeen Hai Wo Wafa Khilaaf,
Ye Umar Kaise Kategi Aur Nahi Aaya...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2229 on: August 05, 2008, 02:31:35 PM »
Wo Khat Ke Purze Uda Raha Tha,
Hawaon Ka Rukh Dikha Raha Tha,

Kuch Aur Hi Ho Gaya Numaayan,
Main Apna Likha Mita Raha Tha,

Usi Ka Imaan Badal Gaya Hai,
Kabhi Jo Mera Khuda Raha Tha,

Wo Ek Din Ek Ajnabi Ko,
Meri Kahani Suna Raha Tha,

Wo Umr Kam Kar Raha Tha Meri,
Main Saal Apne Badha Raha Tha...
{Gulzaar}
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2230 on: August 05, 2008, 02:32:01 PM »


Zindagi Yun Hui Basar Tanha,
Qaafila Saath Aur Safar Tanha,

Apne Saaye Se Chaunk Jaate Hai,
Umr Guzri Hai Is Qadar Tanha,

Raat Bhar Bulate Hai Sannate,
Raat Kaate Koi Kidhar Tanha,

Din Guzarta Nahi Logon Mein,
Raat Hoti Hai Basar Tanha,

Humne Darwaze Tak To Dekha Tha,
Phri Na Jane Gaye Kidhar Tanha...
{Gulzaar}
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2231 on: August 05, 2008, 02:32:43 PM »


Yehi Soch Rakha Hai,
Keh
Jab Bhi Wo Hamein
Kabhi Sar-E-Raah Mil Gaya To
Nigahein Chura Kar
Palkon Pe Bund Baandh Lein
Magar
Achanak Jab Wo Samne Aaya To
Hazar Zabt Ke Bawajood Bhi
Aansu Mere Gaal Tar Karte Hue,
Mera Daman Bhigo Gaye...
* * * * *
NM
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2232 on: August 05, 2008, 02:33:22 PM »

Khwaab To Hai
Jaise
Ret Ke Gharonde
Jinke Bikhar Jane Ka Khauf
Humein WaQt
Dil-E-Girafta Kiye Rakhta Hai
Jane Kab WaQt Ki Berehem Lehrein
Unko Baha Le Jayein
Ke Shayad
Na MawafiQ Hawayein Hi Hamara MuQadder Thehri Ho...



NM
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2233 on: August 05, 2008, 02:35:21 PM »
Yun Bhi Hota Hai Barson Ke Do Humsafar
Apne Khwabon Ki Tabeer Se Bekhabar
Apne Ehad Mohabbat Ke Nashe Mein Gum
Apni Kismat Ki Khoobi Pe Nazaan Magar
Zindagi Ke Kisi Mod Par
Kho Gaye
Aur Ek Dusre Se Juda Ho Gaye

Yun Bhi Hota Hai Do Ajnabi Rahroo
Apni Raahon Se Manzil Se Na-Aashna
Ek Dusre Ki Khabar Tak Nahi
Koi Paimaan-E-Ulfat Nahi Koi Ehad-E-Wafa Nahi,

IttefaQ Se Is Tarah Mil Gaye,
Saaz Bhi Baj Uthe,
Phool Bhi Khil Gaye...

NM
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2234 on: August 05, 2008, 02:36:31 PM »
Mohabbat Mein Har Zakhm Khate Rahe Hai,
Magar Phir Bhi Hum Muskurate Rahe Hai,

Kisi Mod Pe Humse Mil Jayenge Wo,
Tasalli Ye Dilko Dilate Rahe Hai,

Talab Tere Bin Kuch Nahi Hai Khuda Se,
Yunhi Hath Upar Uthate Rahe Hai,

Kitabon Mein Rakhi Wo Tasveer Teri
Subah-O-Shaam Khud Ko Dikhate Rahe Hai,

Zamane Ka Dar Usko Riz Nahi Hai,
Nazar Pe Nazar Wo Milate Rahe Hai...

NM
Logged
Pages: 1 ... 145 146 147 148 [149] 150 151 152 153 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 12, 2025, 12:55:47 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.262 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer