Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 146 147 148 149 [150] 151 152 153 154 ... 273
Print
Author  (Read 131635 times)
angel4u
Guest
«Reply #2235 on: August 05, 2008, 02:37:32 PM »
Yehi Bahut Hai Ke Dil Usko Dhund Laya Hai,
Kisike Sath Sahi Wo Nazar To Aaya Hai,

Karun Shikayatein Takta Rahun Ke Pyaar Karun,
Gaye Bahaar Ki Surat Wo Laut Aaya Hai,

Wo Samne Tha Magar Ye YaQeen Na Aata Tha,
Wo Aap Hai Ke Meri Khwahishon Ka Saya Hai,

Azaab Dhup Ke Kaise Hai Barishein Kya Hai,
Fasil-E-Jism Giri Jab To Hosh Aya Hai,

Main Kya Karunga Agar Wo Na Mil Saka,
Abhi Abhi Mere Dil Mein Khayal Aaya Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2236 on: August 05, 2008, 02:38:43 PM »
Ek BeQarari Mein Doob Kar,
Ek Masti Mein Jhoom Kar,
Mohabbat Ne Apna Izhaar Chaha
Zindagi Mein Pehli Baar
Dil Ne Kisiko Dil Se Chaha,

Khwaab Bane Aarzu Ki Tarah,
Ummid Bani Zindagi Ki Tarah,
Har Ehsaas Ne IQraar Chaha,
Zindagi Mein Pehli Baar
Dil Ne Kisiko Dilse Chaha,

Aitbaar Ka Haath Thaam Kar
Yaadon Ko Hamraah Le Kar,
Is Masoom Ne Be-Ikhtiyar Chaha,
Zindagi Mein Pehli Baar,
Dil Ne Kisiko Dilse Chaha,

Ek Khoobsurat Itminaan Ki Tarah,
Tum Hue Hamari DUA Ki Tarah,
Humne Tumhe Toot Kar Chaha,
Zindagi Mein Pehli Baar
Dil Ne Kisiko Dilse Chaha...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2237 on: August 05, 2008, 02:39:22 PM »

Hamara Dil Savere Ka Sunehra Jaam Ho Jaye,
Chiragon Ki Tarah Aankhein Jalein Jab Shaam Ho Jaye,

Kabhi To Aasman Se Chand Utre Jaam Ho Jaye,
Tumhare Naam Ki Ek Khoobsurat Shaam Ho Jaye,

Ajab Halaat The Yun Dilka Sauda Ho Gaya Aakhir,
Mohabbat Ki Haweli Jis Tarah Neelaam Ho Jaye,

Samundar Ke Safar Mein Is Tarah Awaz De Humko,
Hawayein Tez Ho Aur Kashtiyon Mein Shaam Ho Jaye,

Mujhe Malum Hai Uska Thikana Phir Kahan Hoga,
Parinda Aasman Chhune Mein Jab Nakaam Ho Jaye,

Ujale Apni Yaadon Ke Hamare Sath Rehne Do,
Na Jaane Kis Gali Mein Zindagi Ki Shaam Ho Jaye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2238 on: August 05, 2008, 02:40:12 PM »
Ye Hadein Na Tod Dena, Mere Dayre Mein Rehna,
Mujhe Apne Dil Mein Rakhna, Mere Haafze Mein Rehna,

Mera Bojh Khud Uthana, Mera Qarb Aap Sehna,
Mere Zakhm Baant Lena, Mere Rat-Jage Mein Rehna,

Mera HuQb Khood Sunna, Meri Mohr Khood Lagana,
Mere Mashware Mein Hona, Mere Faisle Mein Rehna,

Kabhi Manzilon Ki Soorat Meri Dastaras Se Bahar,
Kabhi Sang-E-Mel Ban Kar Mere Raste Mein Rehna,

Mere Haath Ki Lakeerein, Tera Naam Banke Chamke,
Meri Khwahishon Ki Khushbu, Mere Za'iche Mein Rehna...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2239 on: August 05, 2008, 02:40:39 PM »
Unse Milne Ko Dil BeQarar Sa Rehta Hai,
Har Ghadi Har Pal Intezaar Sa Rehta Hai,

Paheli Si Ban Gayi Hai Mohabbat Ki Dastan,
IQraar Dil Mein, Zubaan Pe Inkaar Sa Rehta Hai,

Dil Ke Sehra Se Khayalon Ke Kaarwaan,
Guzar To Jaate Hai Par Gubaar Sa Rehta Hai,

Nazron Se Door Magar Dilke Kareeb Hai,
Gair Ho Kar Bhi Unpe Aitbaar Sa Rehta Hai,

Chahat Ki Giraft Mein Jab Dil Ho 'Hijaab'
Na Zor Koi Dil Pe Na Ikhtiyaar Sa Rehta Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2240 on: August 05, 2008, 02:41:28 PM »
ZauQ-E-Sitam Janoon Ki Hadon Se Guzar Gaya,
Kam-Zarf Zinda Reh Gaye, Insaan Mar Gaya,

Gam Khana-E-Jahanan Mein Kisi Jurrat-E-Qayam,
Mera Hi Huasla Tha, Do Din Theher Gaya,

Hai Shiddat-E-Khuloos Ek Zurm-E-AashiQui,
Parwana Jal Ke Shamma Ko Badnaam Kar Gaya,

Baithe Hai Aaj Aayina-E-Dil Le Ke Wo,
Ab Jaane Ye Nazm-E-Do Alaam Sanwaar Gaya,

Lillah! Aap Mujhse Mohabbat Na Kijiye,
Do Roz Hi Mein Aapka Chehra Utar Gaya,

Pehle To Zindagi Ki Tamanna Thi IshQ Mein,
Ab Dhundta Hoon Main, Mera Qatil Kidhar Gaya...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2241 on: August 05, 2008, 02:42:04 PM »

Khamoshi Bol Uthe Har Nazar Paigam Ho Jaye,
Ye Sannata Agar Had Se Badhe Kehram Ho Jaye,

Sitare Mashalein Le Kar Mujhe Bhi Dhundne Niklein,
Main Rasta Bhool Jaun, Jungalon Mein Shaam Ho Jaye,

Main Wo Adam Gazeedah Houn Jo Tanhayi Ke Sehra Mein,
Khud Apni Chaap Sunkar Larza Bara-Nadam Ho Jaye,

Misal Aisi Hai Us Dor-E-Khard Ke Hosh Mandon Ke,
Na Ho Daman Mein Zara Aur Sehra Naam Ho Jaye,

Shakaib Apne Taruf Ke Liye Yeh Baat Kaafi Hai,
Hum Usse Bach Ke Chalte Hai Jo Rasta Aam Ho Jaye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2242 on: August 05, 2008, 02:43:06 PM »
Apne Zarf, Apni Talab, Apni Nazar Ki Baat Hai,
Raat Hai Lekin Mere Lab Par Seher Ki Baat Hai,

Aashiyan Ke Sath Puri Zindagi Badli Gayi,
Kam Nazar Samjhe Ke Masht-E-Bal-O-Par Ki Baat Hai,

Taa Abaad, Kitne Andhere The Jo Roshan Ho Gayi,
Shama Ka Jalna Bazahir Raat Bhar Ki Baat Hai,

Zindagi Sadiyon Ka Hasil, Zindagi Sadiyon Ka Roop,
Zindagi Jo Chashmak-E-BarQ-O-Sharar Ki Baat Hai,

Manzil Ek Reh Roo Ka Thak Jana Hai Warna Zindagi,
Ek Musalsal Rehguzar, Payham Safar Ki Baat Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2243 on: August 05, 2008, 02:44:03 PM »
WaQt Thoda Hai Paas Mere,
Par Ab Bahut Kuch Abhi Karna BaaQi Hai,

Wo Zakhm Jo Apno Ne Diya
Use Abhi Bharna BaaQi Hai,

Teri Dosti Ki Aadat Si Apd Gayi Hai Mujhe,
Kuch Der Tere Sath Chalna Mera BaaQi Hai,

Shamshan Chhod Ke Kuch Pal Ke Liye Kahin Mat Jaa,
Warna Rooh Kahegi Ruk Jaa Abhi Tere Yaar Ka Jalna BaaQi Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2244 on: August 05, 2008, 02:45:24 PM »
Khwaab Dil Hai Na Aankehin Na Saansein Ke Jo
Reza Reza Hue To Bikhar Jayenge
Jism Ki Maut Se Ye Bhi Mar Jayenge

Khwab Marte Nahi
Khwab To Roshni Hai Nawa Hai Hawa Hai,
Jo Kaale Pahaadon Se Rukte Nahi,
Zulm Ke Dozakhon Se Bhi Fukte Nahi,
Roshni Aur Nawa Aur Hawa Ka Aalam
MaQtalon Mein Pahuch Kar Bhi Jhukte Nahi,

Khwaab To Harf Hai,
Khwaab To Noor Hai,
Khwaab To SuQraat Hai,
Khwaab Mansoor Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2245 on: August 05, 2008, 02:45:47 PM »
Neend Se Bojhal Jalti Aankhein,
Lambi Bankar Jaagti Raatein,
Jab Bhi Main Koi Sapna Dekhun,
Sapna Dekhkar Dar Jata Hoon,
Sapne Aksar Dukh Dete Hai
Uljha Uljha Roz-E-Shab Mein
Na WaQif Begane Saare
In Mein Jab Koi Apna Dekhun,
Milne Se Bhi Katrata Hoon,
Apne Aksar Dukh Dete Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2246 on: August 05, 2008, 02:46:09 PM »
Dil Ki Chokhat Pe Ek Deep Jala Rakha Hai,
Tere Laut Aane Ka Imkaan Saja Rakha Hai,

Saans Tak Bhi Nahi Lete Hai Tujhe Sochte WaQt,
Humne Is Kaam Ko Bhi Kal Pe Utha Rakha Hai,

Rooth Jaate Ho To Kuch Aur Haseen Lagte Ho,
Humne Ye Soch Kar Hi Tumko Khafa Rakha Hai,

Tum Jise Rota Hua Chhod Gaye The Ek Din,
Humne Us Shaam Ko Seene Se Laga Rakha Hai,

Chain Lene Nahi Deta Ye Kisi Taur Mujhe,
Teri Yaadone Jo Toofan Utha Rakha Hai,

Jaane Wale Ne Kaha Tha Wo Laut Ayega Zaroor,
Ek Isi Aas Pe Darwaza Khula Rakha Hai,

Tere Jaane Se Jo Dhool Uthi Thi Gam Ki,
Humne Us Dhool Ko Aankhon Mein Basa Rakha Hai,

Mujhko Kal Shaam Se Wo Bahut Yaad Aane Laga,
Dil Ne Muddat Se Jo Ek Shakhs Bhula Rakha Hai,

Aakhri Baar Jo Aaya Tha Mere Naam Wasi,
Maine Is Khat Ko Kaleje Se Laga Rakha Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2247 on: August 05, 2008, 02:46:46 PM »
Jeevan Kya Hai Chalta Phirta Ek Khilona Hai,
Do Aankhon Mein Ek Se Hansna Ek Se Rona Hai,

Jo Jee Chahe Wo Mil Jaye Kab Aisa Hota Hai,
Har Jeevan Jeevan Jeene Ka Samjhauta Hai,
Ab Tak Jo Hota Aya Hai Wohi Hona Hai,

Raat Andheri Bhor Sunahi Yehi Zamana Hai,
Har Chaadar Mein Dukh Ka Taana Sukh Ka Banana Hai,
Aati Saans Ko Paana Jaati Saans Ko Khona Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2248 on: August 05, 2008, 02:47:29 PM »
Chand Se Phool Se Ya Meri Zubaan Se Suniye,
Har Taraf Aapka Qissa Jahan Se Suniye,

Sab Ko Aata Hai Duniya Ko Sata Kar Jeena,
Zindagi Kya Mohabbat Ki Dua Se Suniye,

Meri Awaz Parda Mere Chehre Ka,
Main Hoon Khamosh Jahan Mujhko Wahan Se Suniye,

Kya Zaroori Hai Ke Har Parda Uthaya Jaye,
Mere Haalaat Apne Apne Makaan Se Suniye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2249 on: August 05, 2008, 02:47:59 PM »
Pyaar Ka Meetha Ehsaas Dilane Lage Ho Tum,
Ab To Mujhse Mujhi Ko Churane Lage Ho Tum,

Tumhari Chahaton Ka Chaya Hai Surur Is Kadar,
Har Pal Har Jagah Nazar Aane Lage Ho Tum,

Veeran Thi Ye Zindagi Tumhare Aane Se Pehle,
Khushiyon Ke Sapne Mujhe Dikhane Lage Ho Tum,

Har Pal Mujhe Hota Hai Bas Tumhara Hi Ehsaas,
Is Kadar Meri Saanson Mein Samane Lage Ho Tum,

Ek Pal Ki Bhi Doori Seh Nahi Paati Hoon Main,
Hoke Masroof Kyon Mujhe Aazmaane Lage Ho Tum,

Raah Chalte Hue Aksar Hota Hai Ye Gumaan,
Ke Banke Saaya Sath Mere Aane Lage Ho Tum,

Naam Koi Bhi Lun To Naam Aaye Tera Labon Pe,
Ban Ke Jaadu Meri Rooh Mein Samane Lage Ho Tum,

Teri Yaadon Se Hi Aksar Hota Hai Dil Munavver Mera,
Ghulke Sath Lahoo Ke Nas Nas Mein Samane Lage Ho Tum,

Jaane Kaunsi Dor Hai Teri Aur Khich Le Jaati Hai,
Mujhko Apna Deewana Banane Lage Ho Tum,

Tasavvur Mein Aksar Hota Hai Ye Mehsoos Mujhe,
Chhod Ke Duniya Meri Baahon Mein Samane Lage Ho Tum,

Ye To Bata Ke Kya Naam Dun Is Deewangi Ko,
Bechain Karke Har Lamha Mujhe Tadpane Lage Ho Tum,

Tere Khayalon Se Mehekne Lagti Hai Zindagi Meri,
Mere Zehn-O-Dil Pe Is Kadar Chhane Lage Ho Tum,

Ye Masumiyat Ye Bholapan Ye Sadgi Tumhari,
Mujhko Har Ada Se Ab Satane Lage Ho Tum,

Zist Ki Raahon Mein Dhoop Thi Har Taraf,
Apne Pyaar Ki Baarish Ko Barsane Lage Ho Tum,

Kya Is Baat Ka Tumhe Ehsaas Hai Jaana,
Mere Har Sher Mein Har Gazal Mein Aane Lage Ho Tum...
Logged
Pages: 1 ... 146 147 148 149 [150] 151 152 153 154 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 17, 2024, 06:26:23 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.137 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer