Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 12 13 14 15 [16] 17 18 19 20 ... 273
Print
Author  (Read 132797 times)
angel4u
Guest
«Reply #225 on: January 31, 2007, 09:32:13 PM »

Ghutno Pe Sar Jhukaye, Hum Roye Saari Raat,
Yaadon Ka Gam Uthaye, Hum Roye Saari Raat,

Himmat Hi Nahi Chhodi Tanhayion Mein Jee Lein,
Waade Na Raas Aaye, Hum Roye Saari Raat,

Bhigi Hui Palkein Aur Raat Ja Chuki Hai,
Taare Na Dekh Paye, Hum Roye Saari Raat,

Kis Aur Se Hai Nikla Ye Chand Bekhudi Ka,
Jugnoo Bata Na Paye, Hum Roye Saari Raat,

Ek Baar Bhi Na Socha Ke Kya Hai Dil Lagi Sanam,
Gairon Se Dil Lagaye, Hum Roye Saari Raat,

Bhige The Baarishon Mein Kabhi Is Tarah Nahi,
Boondon Ne Sitam Dhaaye, Hum Roye Saari Raat,

Qurbat Ke Jaam Ko Ab Nosh Kya Karenge,
Honthon Ko See Silaye, Hum Roye Saari Raat,

Jeene Ki Sab Ummidein Hi Khaak Hui Saaki,
Zindagi Ki Talab Haaye, Hum Roye Saari Raat...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #226 on: January 31, 2007, 09:34:13 PM »

Usne Kaha Tu Kaun, Maine Kaha Hasrat Teri,
Usne Kaha Chahta Hai Kya, Maine Kaha Khidmat Teri,
Usne Kaha Dekhta Hai Kya, Maine Kaha Soorat Teri,
Usne Kaha Mangta Hai Kya, Maine Kaha Kismat Meri,
Usne Kaha Khwahish Hai Kya, Maine Kaha Chahat Teri,
Usne Kaha Kya Mumkin Nahi Duniya Mein, Maine Kaha Qeemat Teri,
Usne Kaha Achhi Lagti Hai Kya, Maine Kaha Aadat Teri,
Usne Kaha Dil Mein Hai Kya, Maine Kaha Aqeedat Teri,
Usne Kaha Izhar Kar Paoge, Maine Kaha Zaroorat Meri,
Usne Kaha Paas Hai Kya, Maine Kaha Mohabbat Teri,
Usne Kaha Aarzu Hai Kya, Maine Kaha Rafaqat Teri,
Usne Kaha Kis Chiz Se Darte Ho, Maine Kaha Nafrat Teri,
Usne Kaha Poojte Ho Kya, Maine Kaha Soorat Teri,
Usne Kaha Dil Hai Paas, Maine Kaha Amanat Teri,
Usne Kaha Seh Paoge Tanhayi, Maien Kaha Ye Himmat Meri,
Usne Kaha Baksh Dun Kya, Maine Kaha Ibaadat Teri,
Usne Kaha Is Jurm Ki Saza Paoge, Maine Kaha Wo Sirf Adalat Teri,
Usne Kaha Chahte Ho Kya, Maine Kaha Sirf Zaroorat Teri,
Usne Kaha Dil Mein Basa Lun Tumko, Maine Kaha Hai Ijazat Meri,
Usne Kaha Pasand Hai Kya, Maine Kaha Sadaqat Teri,
Usne Kaha Milne Se Kyon Darte Ho, Maine Kaha Hai Anokhi Mohabbat Meri...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #227 on: January 31, 2007, 09:35:42 PM »

Kabhi Khwaabon Ke Jungle Mein,
Akelepan Ke Daldal Mein,
Kisi Sandal Ke Saaye Mein,
Kabhi Baadal Ki Chhatri Par,
Kisi Din Tez Barish Mein,
Kabhi Dariya Ke Dhaare Par,
Kabhi Dukh Ke Kinare Par,
Kabhi Sahil Pe Likhti Hai,
Kabhi Likh Kar Mitati Hai,
Kabhi Likhne Se Pehle Hi,
Mita Kar Hasne Lagti Hai,
Kisi Din Shaam Se Pehle
Mitana Bhul Jati Hai,
To Saari Raat Roti Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #228 on: January 31, 2007, 09:36:43 PM »

Tere Jalwe Ab Mujhe Har Soo Nazar Aane Lage,
Kaash Ye Bhi Ho Ke Mujh Mein Tu Nazar Aane Lage,

Ibtedaa Ye Thi Ke Dekhi Thi Khushi Ki Ek Jhalak,
Intehaa Ye Hai Ke Gam Har Soo Nazar Aane Lage,

Bekarari Badhate Badhate Dil Ki Fitrat Ban Gayi,
Shayad Ab Taskeen Ka Pehlu Nazar Aane Lage,

Khatam Karde Ab Shaam-E-Gam Ki Daastan,
Dekh Un Aankhon Mein Bhi Aansu Nazar Aane Lage...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #229 on: January 31, 2007, 09:37:36 PM »

Kal Zehen Mein Hum Baad-Saba Dhundte Rahe,
Bichhad Kar Tujhse, Tera Pata Dhundte Rahe,

Jo Dekha Bhi Kisiko, Dekha Tere Tasavvur Mein,
Hum Chehron Mein Chehra Tera Dhundte Rahe,

Jo Baat Bhi Ki Kisise To, Ke Tera Hawale Se,
Hum Lehjo Mein Lehja Tera Dhundte Rahe,

Meri Deewangi Mein Kuch Kasoor Mera To Na Tha,
Tamaam Kisse Mein Hum Apni Khata Dhundte Rahe,

Kabhi Kho Kar Paya Tujhko, Kabhi Paake Khoya,
Teri Jafaon Mein Hum Apni Wafa Dhundte Rahe...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #230 on: February 02, 2007, 08:46:12 PM »

Mere Naseeb Ne Jab Mujhse Inteqaam Liya,
Kahan Kahan Teri Yaadone Hath Thaam Liya,

Fazaa Ki Aankh Bhar Aayi Hawa Ka Rang Uda,
Sakuut-E-Shaam Ne Chupke Se Tera Naam Liya,

Wo Main Nahi Tha Ek Harf Bhi Na Keh Paya,
Wo Bebasi Thi Ke Jisne Tera Salaam Liya,

Har Ek Khushi Ne Tere Gam Ki Aabru Rakh Li,
Har Ek Khushi Se Tere Gam Ne Inteqaam Liya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #231 on: February 02, 2007, 08:54:23 PM »

Tukde Tukde Din Bita, Dhajji Dhajji Raat Mili,
Jiska Jitna Aanchal Tha, Utni Hi Saugat Mili,

Jab Chaha Dil Ko Samjhein, Hansne Ki Awaz Suni,
Jaise Koi Kehta Ho, Le Phir Tujhko Maat Mili,

Maatein Kaisi, Ghaatein Kya, Chalte Rehna Aath Paher,
Dil Saa Sathi Jab Paaya, Bechaini Bhi Saath Mili...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #232 on: February 02, 2007, 08:55:40 PM »

Dilki Baatein Bata Deti Hai Aankhein,
Dhadkano Ko Jaga Deti Hai Aankhein,

Dil Pe Chalta Nahi Jaadu Chehron Ka Kabhi,
Dil Ko To Deewana Bana Deti Hai Aankhein,

Wo Humse Baat Nahi Karte, To Na Kare,
Haaal Saara Unke Dilka Suna Deti Hai Aankhein,

Gham Sada Rehta Hai, Aadmi Ke Sath,
Ashq Bankar Chhalka Deti Hai Aankhein,

Aata Hai Jab Daur-E-Jawan, To Aye Doston,
Sundar Sapne Zehen Mein Basa Deti Hai Aankhein,

Maana Ke Neend Aati Hai, Aankhon Hi Ke Raaste,
Magar Kabhi Kabar Neend Uda Deti Hai Aankhein,

Aisa Shukar Hai Khuda Ne Ata Ki Aankhon Ki Nemat Hamein,
Dard-O-Gham Saare Dil Ke Chhupa Deti Hai Aankhein...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #233 on: February 02, 2007, 08:57:17 PM »

Kya Kahoon Usse Ke Jo Baat Samajhta Hi Nahi,
Wo Milne Ko Mulaqat Samajhta Hi Nahi,

Humne Dekha Hai Faqat Khwab Khuli Aankhon Se,
Khwaab The Wasl Ko Wo Raat Samajhta Hi Nahi,

Maine Pahuchaya Use Jeet Ke Haar Khane Tak,
Meri Baazi Thi Meri Maat Samajhta Hi Nahi,

Dukh To Mujhko Bhi Judayi Ki Ghadi Ka Hai Magar,
Aaj Kyon Sochein Har Ek Baat Samajhta Hi Nahi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #234 on: February 02, 2007, 08:59:19 PM »

Teri Ankhon Se Hi Khulte Hain Saweron Ke Ufaq
Teri Aankhon Se Hi Band Hoti Hai Ye Seep Ki Raat
Teri Aankhein Hain Ya Sajde Main Hai Masoom Namazi
Palkein Khulti Hain To Yun Goonj Ke Uthati Hai Nazar
Jaise Mandir Se Jaras Ki Chale Namnaak Hawaa
Aur Jhukti Hain To Bas Jaise Azaan Khatam Hui Ho
Teri Ankhein, Teri Thehri Hui Gamgeen See Ankhein
Teri Ankhon Se Hi Takhleeq Hui Hai Sachhi
Teri Ankhon Se Hi Takhleeq Hui Hai Ye Hayat
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #235 on: February 02, 2007, 09:01:10 PM »

Chalo Ke Raasta Purana Badal Ke Dekhte Hain
Yahan Se Door Thikana Badal Ke Dekhte Hain

Bahut Dinon Se Chali Aa Rahi Hai Shab Din Mein
Ye Teergi Ka Zamana Badal Ke Dekhte Hain

Ye Kya Nishane Pe Hum Khud Aaye Jate Hain
Khala Mein Ab Ke Nishana Badal Ke Dekhte Hain

Mein Apni Ankhein Tumhe Dun Tum Apna Chehra Do
Khazane Se Ye Khazana Badal Ke Dekhte Hain

Yaqeen Nahin Hai Use Aitbar Aa Jaye
Kaho To Phir Bhi Bahana Badal Kar Dekhte Hain

Nigah Chahti Hai Ab Koi Naya Manzar
Tumhara Khwab Suhana Badal Ke Dekhte Hain

Khulos Dostan Jis Se Hua Hai Kam Asghar
Wo Bebasi Ka Fasana Badal Ke Dekhte Hain
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #236 on: February 02, 2007, 09:03:51 PM »

Tera Hijr Mera Naseeb Hai, Tera Gam Hi Meri Hayaat Hai,
Mujhe Teri Doori Ka Gam Ho Kyon, Tu Kahin Bhi Ho Mere Saath Hai

Mere Waaste Tere Naam Par Koi Harf Aaye Nahi,
Mujhe Khaif-E-Duniya Nahi, Magar Mere Rubaru Teri Zaat Hai,

Tera Wasl Aye Meri Dilruba Nahi Meri Kismat To Kya Hua,
Meri Mehzabeen Yehi Kam Hai Kya Teri Hasraton Ka To Sath Hai,

Tera Ishq Mujhpe Hai Meharbaan Mere Dilko Haasil Hai Do Jahan,
Meri Jaan-E-Jaan Isi Baat Par Meri Jaan Jaaye To Baat Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #237 on: February 03, 2007, 08:18:57 PM »

Mohabbat Mausam Nahi,
Apni Muddat Puri Kare
Aur Rukhsat Ho Jaye,
Mohabbat Sawan Nahi Toot Kar Barse
Aur Tham Jaye,
Mohabbat Aag Nahi, Sulge Bhadke
Aur Bujh Jaye
Mohabbat Aaftaab Nahi Ubhre Chamke
Aur Dhal Jaye,
Mohabbat To Chand Ki Maanind Hai,
Jo Badhta Hai Ghutta Hai,
Nikalta Hai Chhupta Hai,
Magar Kabhi Fanaa Nahi Hota...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #238 on: February 03, 2007, 08:28:38 PM »

Ek Masoom Si Ummid Ka Haath Thame,
Ek Maddham Se Chirag Ke Saaye Mein,
Chale The Sehra Ko Gulistan Banane,
Kya Thi Khabar,
Ho Jayenge Yun Be-Amaan,
Mit Jayenge Raaston Ke Nishaan,
Lut Jayenge Karwan,
Reh Jayenge Be-Dast-O-Paa,
Jo Hoti Khabar To Kar Lete Kya,
Us Ummid Ko Panapne Hi Na Dete Kya,
Us Chirag Ko Jalne Hi Na Dete Kya,
Jo Hoti Khabar To Kar Lete Kya
Jo Likha Tha MuQaddar Mein Use Hona Hi Tha,
Jo Hoti Khabar To Kar Lete Kya?
MuQaddar Ko Apne Badal Dete Kya???
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #239 on: February 03, 2007, 08:30:13 PM »

Mere Pyaase Khwaab Jazeeron Par,
Ummid Tadapti Rehti Hai,
Ek Aas Machalti Rehti Hai,
Ek Sawan Aag Lagata Hai,
Bin Barse Guzre Jata Hai,
Ye Jeewan Tanha Tanha Sa,
Ye Raahein Suni Suni Si,
Meri Jagi Jagi Aankhon Ko
Kyon Har Pal Chubhti Rehti Hai,
Kisi Hamdam Ki Kisi Raah Ki,
Ummid Mein Jagti Rehti Hai,
Dil Seene Ke Is Pinjre Mein,
Kyon Bekal Bekal Rehta Hai,
Khamoshi Ke Is Parde Mein,
Jane Mujhse Kya Kehta Hai,
Hum Khush Hai Bahut Ye Baat Alag
Har Saans Sisakti Rehti Hai
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 12 13 14 15 [16] 17 18 19 20 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 03:38:33 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer