Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 150 151 152 153 [154] 155 156 157 158 ... 273
Print
Author  (Read 133122 times)
angel4u
Guest
«Reply #2295 on: August 30, 2008, 08:01:03 AM »
Bilaakhir Ye Haseen Manzar Mita Dena Hi Padta Hai,
Kisike Sar Se Shaane Se Hata Dena Hi Padta Hai,

Kisi Der Aashna Ko Jhuthe Sachhe Kuch Hawalon Se,
Taarruf Ke Liye Sab Se Mila Dena Hi Padta Hai,

Jo Saanson Mein Mehekte Hai Jo Aankhon Mein Damakte Hai,
Achanak Ek Din Unko Bhula Dena Hi Padta Hai,

Diye Jo Hum Jalate Hai Nihayat ShauQ Se Har Shab,
Unhe Khud Apni Phoonkhon Se Bujha Dekha Hi Padta Hai,

Koi Jab Puchhta Hai Humse Kaisa Haal Hai Sajid,
Hamein Mohtaat Ho Kar Muskura Dena Hi Padta Hai,

Chamak Uthte Hai Sajid Jab Sitare Uski Palkon Par,
Use Dilse Laga Kar Hausla Dena Hi Padta Hai...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #2296 on: August 30, 2008, 11:33:11 AM »
Bohat hi umdah sharing hai Angel.. Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #2297 on: August 30, 2008, 11:38:19 AM »
Nice sharings Angel
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2298 on: August 30, 2008, 01:52:58 PM »
Thanks Aryaan and Celmira...
Logged
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #2299 on: September 01, 2008, 08:33:06 PM »
Dil Mein Na Ho Jurrat To Mohabbat Nahi Milti,
Khairaat Mein Itni Badi Daulat Nahi Milti,


Hum Hi Mein Thi Na Koi Baat Yaad Na Tumko Aa Sake,
Tumne Hamein Bhula Diya, Hum Na Tumhe Bhula Sake,

Woh Koi Aur Na Tha Chand Khushk Patte The,
Shajar Se Tootke Jo Fasl-E-Gul Pe Roye The,

Us Zakhm-E-Jaan Ke Naam, Jo Ab Tak Nahi Bhara,
Us Zinda Dil Ke Naam, Jo Ab Tak Nahi Mara,

Shab Utarti Hai To Yaadein Bhi Utar Aati Hai,
Jis Tarah Chidiya Kahin Door Se Ghar Aati Hai,

Bilaakhir Ye Haseen Manzar Mita Dena Hi Padta Hai,
Kisike Sar Se Shaane Se Hata Dena Hi Padta Hai,

Khoob bohot khoob!
Bohot hi umda peshkash angel ji... ek se badh kar ek isi tarah apne shandaar collection se chune huwe moti bikherte rahiye, bohot khush rahiye.....
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2300 on: September 02, 2008, 02:37:05 AM »
Thanks a lot Sayyid ji Usual Smile
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #2301 on: September 02, 2008, 03:50:12 AM »
Us Zakhm-E-Jaan Ke Naam, Jo Ab Tak Nahi Bhara,
Us Zinda Dil Ke Naam, Jo Ab Tak Nahi Mara,
Us Zindagi Ke Naam, Guzaara Nahi Jisse,
Us Qarz-E-Fun Ke Naam, Utara Nahi Jisse,
Ahl-E-Nazar Ke Naam, Jo Johar Shanaas Hai,
Ahl-E-Wafa Ke Naam, Jo Fan Ki Asaan Hai,
Un Doston Ke Naam, Jo Gosha Nasheen Hai,
Un Be-Hisso Ke Naam, Jo Baar-E-Zameen Hai,
Un Bedilon Ke Naam, Jo Har Dam Malool Hai,
Un Bebason Ke Naam, Jo Gamlon Ke Phool Hai,
Un Ahl-E-Dilke Naam Jo Raahon Ki Dhool Hai,
Un Hauslon Ke Naam, Jinhe Dukh Qabool Hai,
Us Shola-Rukh Ke Naam Ke Roshan Hai Jisse Raat,
Hai Zofishaan Andhere Mein Har NuQta-E-Kitaab,
Aur Husn-E-Baa-Kamaal Ki Raanaaiyon Ke Naam,
Aur Apne Zehn-O-Qalb Ki Tanhaiyon Ke Naam...

Us Ahl-e-Kalam k Naam.,Jo angel ahl-e-sukhan Hai
Wo Husn-e-La-Zawaal K Naam.,Jo Husn-e-Huzena Hai
Us Ahl-e-dil k Naam., Jo Dil-e-Ba'wafaa Hai
Wo Ahl-e-Nazar K Naam.,Jo Har Nazar Se Do-char Hai

Jee Huzena kuch alfaaz nahi mil rahe the ki aap k sharing par kya kahaa jaaye ?

Ek Se Badhkar Ek Kalaam Jo Pahele Maine Kabhi Na Padhe Ho wo Padhne ko mila To be-shakhtah Ye chaar lines likh di..
Logged
gulzargul
Guest
«Reply #2302 on: September 02, 2008, 01:21:09 PM »
ashraf bhai buht hi khoob aor aalaa likha hy

gul
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2303 on: September 03, 2008, 06:46:22 AM »
Us Ahl-e-Kalam k Naam.,Jo angel ahl-e-sukhan Hai
Wo Husn-e-La-Zawaal K Naam.,Jo Husn-e-Huzena Hai
Us Ahl-e-dil k Naam., Jo Dil-e-Ba'wafaa Hai
Wo Ahl-e-Nazar K Naam.,Jo Har Nazar Se Do-char Hai

Jee Huzena kuch alfaaz nahi mil rahe the ki aap k sharing par kya kahaa jaaye ?

Ek Se Badhkar Ek Kalaam Jo Pahele Maine Kabhi Na Padhe Ho wo Padhne ko mila To be-shakhtah Ye chaar lines likh di..

wah wah wah..
bada achha laga ye padhke.

and thanks a lot... Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2304 on: September 03, 2008, 06:47:30 AM »



Maine Kaha Wo Ajnabi Hai,
Dilne Kaha Ye Dil Ki Lagi Hai,

Maine Kaha Wo Sapna Hai,
Dilne Kaha Phir Bhi To Apna Hai,

Maine Kaha Wo Maikhana Hai,
Dilne Kaha Ye Pyaar Khaana Hai,

Maine Kaha Wo Ghadi Bhar Ki Mulakat Hai,
Dilne Kaha Ye Sadiyon Ka Saath Hai,

Maine Kaha Wo Meri Haar Hai,
Dilne Kaha Yehi To Pyaar Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2305 on: September 03, 2008, 06:48:12 AM »
Mere Sabr Ka Na Le Imtihaan,
Meri Khamoshi Ko Na Sada De,
Jo Tere Bagair Na Jee Sake,
Usse Jeene Ki Dua Na De,
Tu Aziz Dil-O-Jaan Se Hai,
Tu Qareeb Rag-O-Jaan Se Hai,
Mere Jism-O-Jaan Ka Ye Faisla,
Kahin WaQt Aur Badha Na De,
Tujhe Bhool Ke Bhi Na Bhula Sakun,
Tujhe Chaah Ke Bhi Na Paa Sakun,
Meri Hasraton Ko Shumaar Kar,
Meri Chahaton Ka Sila To De,
Wo Tadap Jo Sholajaan Mein Thi,
Mere Tan-E-Badan Se Lipat Gayi,
Jo Bujha Sake To Bujha Usse,
Na Bujha Sake To Hawa Na De...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2306 on: September 03, 2008, 06:49:01 AM »
Apni Khamosh Mohabbat Aaj Mujh Par Ashkaar Kar De,
Aye Khuda Meri Ye Dua Wo Shakhs Mere Naam Kar De,
Ruko! Suno! Mujhe Tumse Kuch Kehna Hai,
Laut Kar Tumne Mere Paas Hi Aana Hai,
Main Adhoori Hoon Mujhe Mukammal Tumne Banana Hai,
Saath Apne Mujhe Tumne Le Kar Jaana Hai,
Dekho! Khuda Ki Nematon Ko Thukraya Nahi Karte,
Mila Lein Jisse Haath Phir Chhudaya Nahi Karte...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2307 on: September 03, 2008, 06:49:27 AM »
Yun Kisi Aur Ko Dukh Dard Sunaun Apne,
Apni Aankhonse Bhi Main Zakhm Chhupaun Apne,

Main To Qaem Hoon Tere Gam Ki Badaulat Warna,
Yun Bikhar Jaun Ke Khud Haath Na Aaun Apne,

Sochta Hoon Ke Bujha Dun Main Ye Kamre Ka Diya,
Apne Saaye Ko Bhi Kyon Sath Jagaun Apne,

Uski Talwar Ne Wo Chal Chali Hai Aisi,
Paanv Kattein Hai Agar Haath Bachaun Apne...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2308 on: September 03, 2008, 06:49:47 AM »



Kachhi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujhko,
Apni Nazron Mein Basa Kar Na Girana Mujhko,

Tumko Aankhon Mein Tasavvur Ki Tarah Rakhta Hoon,
Dil Mein Dhadkan Ki Tarah Tum Bhi Basana Mujhko,

Baat Karne Mein Jo Mushkil Ho Tumhe Mehfil Mein,
Main Samajh Jaunga Nazron Se Batana Mujhko,

Waada Utna Hi Karo Jitna Nibha Sakte Ho,
Khwab Pura Jo Na Ho Wo Na Dikhana Mujhko,

Apne Rishte Ki Nazaakat Ka Bharam Rakh Lena,
Main To AashiQ Hoon Deewana Na Banana Mujhko,

Kachhi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujhko,
Apni Nazron Mein Basa Kar Na Girana Mujhko...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2309 on: September 03, 2008, 06:50:33 AM »
Tere Dhoke Pe Main Har Pal Roya,
Aah-O-Qatar Mein Din Raat Roya,

Tu Na Roya Koi Parwah Nahi,
Chaak Garebaan Pe Har AashiQ Roya,

Jo Haseeno Se Pyaar Karta Ho,
Aise Royega Jaise Main Roya,

Tu Har Jagah Pe Hansaya Karo,
Ye To Shahid Hai Jo Subah Tak Roya...
Logged
Pages: 1 ... 150 151 152 153 [154] 155 156 157 158 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 11, 2025, 08:46:22 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.265 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer