Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 152 153 154 155 [156] 157 158 159 160 ... 273
Print
Author  (Read 133119 times)
angel4u
Guest
«Reply #2325 on: September 05, 2008, 02:13:43 PM »
Bin Uske Zindagi Dard Hai Tanhayi Hai,
Meri Aankhon Mein Kyon Maut Simat Aayi Hai,

Kehte Hai Log IshQ Ko Ibadat Yaaron,
Ibadat Mein Phir Kyon Ruswayi Hai,

Wo Na Aaya To Dil Ko Lubhane Ko Mere,
Shab-E-Hijr Mein Uski Yaad Chali Aayi Hai,

Mehfil Mein Reh Kar Bhi Tanha Rehna,
Ye Ada Uski Mohabbat Ne Sikhlayi Hai,

Ye Bhi Uski Mohabbat Ki Inayat Hai Yaaron,
Main Tamasha Bana Aur Duniya Tamashayi Hai,

Intezar Mein Kisike Na Raat Ko Barbaad Karna,
Doobte Taarone Mujhe Baat Ye Samjhayi Hai,

Usse TaaluQ Hi Kuch Aisa Raha Hai Doston,
Jab Bhi Socha Use Aankh Bhar Aayi Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2326 on: September 05, 2008, 02:14:01 PM »
Bahut Hi Yaad Aata Hai Mere Dilko Tadpata Hai,
Wo Tera Paas Na Hona Bahut Mujhko Rulata Hai,

Wo Mera Teri Aankhon Ke Samundar Mein Utar Jana,
Aur Teri Muskurahat Ke Bhanwar Mein Doobte Jana,

Teri Awaz Ke Seher Se Na Nikal Paana,
Tujhko Dekhna Aur Be-Khudi Se Dekhte Jaana,

Bahut Chaha In Guzre Hue Lamhon Ko Na Sochun,
Na Teri Yaad Mein Rehke Tere Sath Ka Sochun,

Bhula Dun Saari Yaadon Ko Ke Jinse Dil Tadapta Hai,
Ke Jinse Thes Uthti Hai Ke Jinse Dard Hota Hai,

Magar Jab Raat Aati Hai To Teri Yaad Aati Hai,
Tere Hi Khwaab Hote Hai Teri Hi Baat Hoti Hai,

To Tay Paya Ab Mumkin Nahi Tujhko Bhula Dena,
Teri Yaad Mein Rehna Tujhe Hi Sochte Rehna,

Tujhe Jab Yaad Karte Hai To Dil Apna Tadapta Hai,
Wo Tera Paas Na Hona Bahut Mehsoos Hota Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2327 on: September 05, 2008, 02:14:20 PM »
Aankhein Hai Meri Weeran,
Dil Mein Uthe Toofan,
Sapno Mein Aake,
Mere Dil Mein Samake,
Mere Piya Ban Gaye Anjaan,
Ye Hawayein Kyon Rulayein,
Aayi Yahan, Suni Raatein,

Chaya Kaisa Andhera,
Tu Jo Na Hua Mera,
Dekh Akeli Mujhe,
Dhundti Hawaon Mein,
Badalone Hai Ghera,
Ye Ghatayein Kyon Satayein,
Aayi Yahan, Suni Raatein,

Rimjhim Rimjhim Barse Sawan,
Aaya Kaisa Ye Mausam,
Kajra Bhi Beh Gaya,
Aansuon Ki Dhaar Mein,
Bheega Mera Tan Aur Man,
Ye Fizayein Kyon Rulayein,
Aayi Yahan, Suni Raatein...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2328 on: September 05, 2008, 02:14:34 PM »
Khwaabon Khayal HaQeeQat Nahi Hote,
Rang Sabhi Pakke Nahi Hote,

Log Duniyake Sabhi Sachhe Nahi Hote,
Dost Ehbaab Jaise Bhi Ho Achhe Nahi Hote,

Khuda Ka Matlab Nikal Jaye To Muh Lete Hai Mod,
Bachhe Bhi Aajkal Bachhe Nahi Hote,

Khushiyan To Pal Bhar Ki Hai Ab Samajh Aya,
Gam Ke Lambe Dhaage Kachhe Nahi Hote,

Aye Dost Sambhal Ja Tu Ab Is Bazm Mein,
Is Bazm Mein Log Apne Nahi Hote...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2329 on: September 05, 2008, 02:14:50 PM »
Chahat Ka Israar Nahi Hai,
Tera Bhi Intezar Nahi Hai,
Sapna Dekha Tabeer Na Dekhi,
Aankhon Ka Aitbaar Nahi Hai,
Jism Khwahish Rooh Aur Pyaas,
Ek Jaisa Vyapar Nahi Hai,
Kankar Kankar Moti Moti Hai,
Inko Kisise Pyaar Nahi Hai,
Humko Tumse Rubt Hai Saathi,
Hum Ko Kab IQraar Nahi Hai,
Kho Kar Milein Phir Dobara,
Dil Aisa Bazar Nahi Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2330 on: September 05, 2008, 02:43:13 PM »
Be Aasra The Bahar Se Nahi Dare,
Khane Kisi Bhi Lehron Se Nahi Dare,

Tere Liye Tu Kufr Tak Chhu Liya,
Ke Hum Khuda Ke Qaiher Se Nahi Dare,

Gali Gali Ki Chup Hi Kuch Ajeeb Thi,
Hum Apne Aap Sher Se Nahi Dare...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2331 on: September 05, 2008, 02:44:58 PM »
Tumhe Khabar Hai,
Hawa Rukh Badal Bhi Sakti Hai,
Parinde Apne Baseron Mein Shaam Dhalne Par
Hua Hai Yun Ke Palatna Bhi Bhool Jaate Hai,
Bahar Rutt Mein Darakhton Ki Tenhiyon Se Kabhi,
Khazan Se Pehle Hi Patte Bichhadne Lagte Hai,
Aur Ek Umar Guzri To Jinke Raston Par
Wohi Tamam Riyazat Ko Dhool Karte Hai,

Tumhare Lab Pe Ubharti Hui Khafeef Hansi,
Ye Keh Rahi Hai Bhala Is Mein Kya Nayapan Hai,

Magar Tamaam Kahani Mein Ab Naye Tum Ho,
Tumhe Khabar Hai,
Magar Ye Tumhe Khabar Kab Hai,
Tumhare Zaam-E-Mohabbat Ki Aur Wafaon Ke
Isi Bahar Mein Khaime Ukhad Bhi Sakte Hai,

Tumhe Khabar Hai,
Hawa Rukh Badal Bhi Sakti Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2332 on: September 05, 2008, 02:45:20 PM »
Kisi Haath Ne Kisi Loh Par Jo Nahi Likha,
Wohi Ek Harf-E-Gumnaam Hai Hum,
Khut-E-Gumshuda Mein Likhi Gayi
Koi Ajnabi Si Zuban Hai Hum,
Kisi Aur Khita-E-Dard Par Jo Guzar Gaya,
Us Wakt Ki Tug-O-Taaz Ka,
Koi Benishaan Sa Nisaan Se Hai Hum,
Kabhi Apne Hone Ke Wahimayse Nikal Ke Dekhte,
To Na Khul Saka Ke Kahan Hai Hum...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2333 on: September 06, 2008, 03:08:38 PM »


Sheher Ki Dhoop Se Puchhein Kabhi Gaanv Wale,
Kya Hue Log Wo Zulfon Ki Ghataon Wale,

Ab Ke Basti Nazar Aati Nahi, Na Hi Galiyan,
Aao Dhundein Kahin Darwesh Duwaon Wale,

Sangzaaron Mein Mere Sath Chale Aaye The,
Kitne Sada The Wo Billor Se Paanv Wale,

Humne Zarron Se Tarashe Teri Khatir Suraj,
Ab Zameen Par Bhi Utar Zard Khalaaon Wale,

Kya Charaghan Tha Mohabbat Ka Ke Bujhta Hi Na Tha,
Kaise Mausam The Wo Pur Shor Hawaon Wale,

Tu Kahan Tha Mere Maalik Ke Mere Kaam Aata,
Mujhpe Hanste Rahe Pathar Ke Khudaon Wale...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2334 on: September 06, 2008, 03:10:05 PM »

Pyaar Ke Samundar Mein
Har Utarne Wale Ko
Kashtiyan Nahi Milti
Door Door Tak Jaanan
Dhoop Ki Musafit Hai
Aur Kahin Bhi Pal Bhar Ko
Dhoop Ke Musafir Par
Saibaan Nahi Khulte,
Is Ajab Samundar Mein
Umr Bhar Ki Riyazat Ke Baad
Humne Ye Jaana Hai
Jis Tarah Fizaon Mein
Udne Wale Panchhi Par
Bars Ha Bars Mein Bhi
Aasman Nahi Khulta
Hijr-E-Bekaran Mein Bhi
Bhed Bhed Hi Rehta Hai
Raazdan Nahi Milte
Baam-O-Dar Nahi Khulte
Har Utarnewale Ko
Kashtiyan Nahi Milti
Aur Mil Bhi Jaye To
Baadbaan Nahi Khulte
Pyar Ke Samundar Mein
Bhed Bhed Hi Rehta Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2335 on: September 06, 2008, 03:10:27 PM »



Main Bhi Kisi Khayal Se Kuch Ruk Gaya Wahan,
Dekhi Hui Jagah Thi Kisi Guzre Daur Ki,
Meri Sada Ke Sath Ek Aur Thi,
Aagaz-E-Ehd-E-Sard Ke Patjhad Ki Shaam Thi,
Bas Itni Baat Yaad Rahi Us MuQaam Ki...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2336 on: September 06, 2008, 03:10:49 PM »


Mujhse Pehle Ke Din,
Ab Bahut Yaad Aane Lage Hai Tumhe,

Khwab-O-Tabeer Ke Gumshuda Silsile,
Baar Baar Ab Satane Lage Hai Tumhe,

Dukh Jo Pahuche The Tumse Kisiko Kabhi,
Der Tak Ab Jagane Lage Hai Tumhe,

Ab Bahut Yaad Aane Lage Hai Tumhe,
Apne Wo Ehd-O-Paimaan Jo Mujhse Na The,

Kya Tumhe Ab Mujhs Eab Kuch Bhi Kehna Nahi???
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2337 on: September 06, 2008, 03:11:19 PM »



Aaj Ki Raat Phir Khwab Jagayenge Mujhe,
Phir Wo Karwat Se Khayalon Tak Tasalsal Ko Mitane Ke Kehsheed-E-Koshish
Jismke Dard Ko Salwat Mein Samoo Ke,
Wo Bistar Pe Tadapte Hue, Mehjoori-E-Janaan Ko,
Kabhi Aah Kabhi Saans Ke Gehrayi Mein Shal Karne Ke Saee-E-Nakam,

Ye Bhi Malum Hai,
Ye Neem Rasi, Faham Ke Deewar Talak Jist,
Ye Saya Ke Tasveer, Kisi Shakl-O-Shabahat Ke Tasalsal Ke Nishan Hai Lekin,
Nasaboori, Ye Badal Tod Angdaiyan,
Honthon Pe Mehekti Larzish,
Baat Ko Rabt Ke Ahang Mein Lene Ke Talab,
Mere Seene Ka Dhuwan, Aankehin Sharabur Kiye
Har Bin Moo Ke MulaQat Ka Joya Kar De,
Aankh Chadte Hue Dariya Ki Tarah Hai Purr Ab,
Paanv Phisle Hai To Phir Saans Ka Rishta Na Rahe,
Hum To Chahenge Magar Is Dilko Achha Na Lage,
Jaan Kuni Hud Se Badhi Charagaron Kuch To Karo...
tearyeyed
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2338 on: September 06, 2008, 03:11:55 PM »



Hum Dono Jo Ek Harf The,
Hum Ek Roz Mile,
Ek Lafz Bana,
Aur Humne Ek Maani Banaya,
Phir Jaane Hum Par Kya Guzri,
Aur Ab Yun Hai,
Hum Ek Harf Ho, Ek Khane Mein,
Main Ek Harf Hoon, Ek Khane Mein,
Bich Mein Kitne Lamhon Ke Khane Khali Hai,
Phir Se Kyon Lafz Bane,
Aur Hum Dono Ek Maani Banayein,
Aisa Ho Sakta Hai,
Lekin
Sochna Hoga
In Khali Khano Mein Hum Ko Kya Bharna Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2339 on: September 06, 2008, 03:13:32 PM »

Ye Aish-O-Tarab Ke Matwale Bekaar Ki Baatein Karte Hai,
Payal Ke Gamon Ka Ilm Nahi Jhankar Ki Baatein Karte Hai,

NaahaQ Hai Hawas Ke Bandon Ko Nazara-E-Fitrat Ka Daawa,
Aankhon Mein Nahi Hai Betaabi Deedar Ki Baatein Karte Hai,

Kehte Hai Unhi Ko Dushman-E-Dil Naam Unhi Ka Naaseh Bhi,
Wo Log Jo Reh Kar Saahil Par Majhdhaar Ki Baatein Karte Hai,

Pahuche Hai Jo Apni Manzil Par Unko To Nahi Kuch Naaz-E-Safar,
Chalne Ka Jinhe MaQdoor Nahi Raftaar Ki Baatein Karte Hai...

Logged
Pages: 1 ... 152 153 154 155 [156] 157 158 159 160 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 11, 2025, 07:52:04 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.107 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer