Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 153 154 155 156 [157] 158 159 160 161 ... 273
Print
Author  (Read 131620 times)
angel4u
Guest
«Reply #2340 on: September 06, 2008, 03:16:29 PM »


Zindagi Se Darte Ho,
Zindagi To Tum Bhi Ho, Zindagi To Hum Bhi Hai,
Aadmi Se Darte Ho,
Aadmi To Tum Bhi Ho Aadmi To Hum Bhi Hai,
Aadmi Zuban Bhi Hai, Aadmi Bayan Bhi Hai,
Isse Tum Nahi Darte,
Harf Aur Maani Ke Rishte Hai Inse Aadmi Hai Wabasta
Aadmi Ke Daaman Se Zindagi Hai Wabasta,
Isse Tum Nahi Darte
Ankahi Se Darte Ho,
Jo Abhi Aayi Nahi Us Ghadi Se Darte Ho,
Us Ghadi Ke Aane Ki Aaag Hi Se Darte Hai,
Pehle Bhi To Guzre Hai,
Daur Narasayi Ke, Beriya, Khudayi Ke,
Phir Bhi Ye Samajhte Ho, Hech Aazarumandi,
Ye Shab Zubaanbandi, Hai Rahe Khudabandi,
Tum Yehi Samajhte Ho, Tum Magar Ye Kya Jaano,
Lab Agar Nahi Hilate Haath Jaag Uthte Hai,
Haath Jaag Uthte Hai Raah Ka Insaan Bankar,
Noor Ki Zubaan Bankar,
Haath Bol Uthte Hai Subah Ki Azaan Bankar,
Roshnise Darte Ho,
Roshni To Tum Bhi Ho, Roshni To Hum Bhi Hai,
Roshni Se Darte Ho,
Sheher Ki Faislon Par,
Dev Ka Jo Saaya Tha, Paak Ho Gaya Aakhir,
Azdahaam-E-Afsaan Se Fard Ki Nawa Ayi
Zaat Ki Sada Aayi,
Ek Naya Junoon Lapke,
Aadmi Chhalak Uthe,
Aadmi Hanse Dekho, Sheher Phir Base Dekho,
Tum Abhi Se Darte Ho,
Haan Abhi To Tum Bhi Ho, Haan Abhi To Hum Bhi Hai,
Tum Abhi Se Darte Ho...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2341 on: September 06, 2008, 03:17:16 PM »



Mohabbat Zaat Hoti Hai,
Mohabbat Zaat Ki TaQmeel Hoti Hai,
Koi Jangal Mein Ja Thehre Kisi Basti Mein Bas Jaye,
Mohabbat Saath Hoti Hai,
Mohabbat Khushbu Ki Lay
Mohabbat Mausamon Ki Dhun,
Mohabbat Abshron Ke Nikharte Paniyon Ka Mun,
Mohabbat Jangalon Mein RaQs Karti Morni Ka Tun,
Mohabbat Barf Padti Sardiyon Mein Dhoop Banti Hai,
Mohabbat Chilchilate Garam Sehraon Mein Thandi Chhanv Ki Manind,
Mohabbat Ajnabi Duniya Mein Apne Gaanv Ki Manind,
Mohabbat Dil
Mohabbat Jaan
Mohabbat Rooh Ka Darmaan
Mohabbat Murti Hai
Aur Kabhi Jo Dil Ke Mandir Mein Kahin Par Toot Jaye To
Mohabbat Kaanch Ki Gudiya,
Fizaon Mein Kisike Hath Se Gar Chhut Jaye To,
Mohabbat Abla Hai Karb Ka
Aur Phoot Jaye To
Mohabbat Rog Hoti Hai
Mohabbat Sog Hoti Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2342 on: September 06, 2008, 03:17:39 PM »


Mujhko Mara Hai Har Ek Dard-O-Dawa Se Pehle,
Di Saza IshQ Ne Har Jurm-O-Khata Se Pehle,

Aatish-E-IshQ Bhadakti Hai Hawa Se Pehle,
Honth Jalte Hai Mohabbat Mein Dua Se Pehle,

Ab Kami Kya Hai Tere Be-Sar-O-Samano Ko,
Kuch Na Tha Teri Kasam, TarQ-O-Fana Se Pehle,

IshQ-E-Bebaak Ko Daawe The Bahut Khalvat Mein,
Kho Diya Sara Bharam Sharm-O-Haya Se Pehle...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2343 on: September 06, 2008, 03:18:00 PM »



Lahoo Ke Deep Jalao Ke Roshni Kam Hai,
Diye Ki Lau Ko Badhao Ke Roshni Kam Hai,

Gali Gali Mein Andhere Ka Jaal Phaila Hai,
Zameen Pe Chand Ugao Ke Roshni Kam Hai,

Ravish-Ravish Pe Ghata Teergi Ki Chhayi Hai,
Sarapaa Apna Jalao Ke Roshni Kam Hai,

Safar Hai Dasht Ka Sab Taak Mein Darinde Hai,
Sitaron Tod Hi Lao Ke Roshni Kam Hai,

Grahan Mein Chand Sama Teergi Mein Doba Hai,
Alaao Dil Ka Jalao Ke Roshni Kam Hai,

Safar Taveel Andhera Hai Door Manzil Bhi,
Lagan Ki Aanch Badhao Ke Roshni Kam Hai,

Dhuwein Dhuwein Se Ujale Mein Raat Aayi Hai,
Sarapa Chandni Le Aao Ke Roshni Kam Hai,

Sehen Mein Chandni Aayegi Khud Ba Khud AKBAR
Hai Shart Khudko Jalao Ke Roshni Kam Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2344 on: September 06, 2008, 03:18:13 PM »


Kab Kaun Kisika Hota Hai
Sab Jhuthe Rishte Naate Hai,
Sab Dil Rakhneki Baatein Hai,
Ek Baar Nigahon Mein Aa Kar,
Phir Saari Umar Rulate Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2345 on: September 06, 2008, 03:18:41 PM »



Aaj Hum Phir Nidhal Baithe Hai,
Dilse Yaadein Nikal Baithe Hai,

Tumse Doori Ka Faisla Karke,
Dil Mein Le Kar Malaal Baithe Hai,

Hum Mohabbat Mein Mubtala Ho Kar,
Khudko Mushkil Mein Daal Baithe Hai,

Kya Batayein Tumhari FurQat Mein,
Dilko Kaise Sambhal Baithe Hai,

Besahara Na Jaaniye Mujhko,
Mere Pursaan-E-Haal Baithe Hai,

Ye To Mera Janaza Hai,
Aap Kyon Purmalaal Baithe Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2346 on: September 06, 2008, 03:23:20 PM »


IshQ Kamzor Nahi To Phir,
Log Badal Kyon Jaate Hai,

Pyar Mohabbat Ke Afsane,
Aadhe Kyon Reh Jaate Hai,

Jinko Jaana Hai Wo Log,
Waade Kyon Kar Jaate Hai,

Bhool Gayi Par Chaundhwin Shab Ko,
Aansun Kyon Aa Jaate Hai,

Rishte Tod Ke Phir Mat Dekh,
Log Kidhar Kab Jaate Hai,

Mere Dilke Tukde Karke,
Chunne Kyon Aa Jaate Hai,

Aaj Bhi Dilko Aas Hai Unki,
Dekho Wo Kab Aate Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2347 on: September 06, 2008, 03:25:00 PM »
Ye Safar Mera Sapna Tha To Phir Ab,
Paanv Kyon Mere Jamne Lage Hai,

Khwaab Aankhon Mein Chubhne Lage Hai,
Shayad Tumse Bichhadne Lage Hai,

Aaj Ambar Bhi Dil Bhar Ke Barsa,
Muddaton Baad Hum Hans Diye Hai,

Usne Manga Tha Kuch Is Ada Se,
Zindagani Bhi Dene Lage Hai,

Dekh Apni Duwaon Ka Jaadu,
Hum Tere Humsafar Ban Gaye Hai,

Tumne Saanson Se Badhkar Tha Chaha,
Faisle Kyon Badalne Lage Hai,

Teri Khwahish Thi Mana Ye Humne,
Teri Duniya Mein Aane Lage Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2348 on: September 06, 2008, 03:25:20 PM »
Tu Hi Bata Ke Tere Aitbaar Kaise Karein,
Bharam Hi Toot Gaya Ab Pyaar Kaise Karein,

Khiza Khiza Rahi Hai Zindagi Apni,
Rutein Badal Ke Isse Hum Bahar Kaise Karein,

Jab Uski Baat Par Humko YaQeen Na Raha,
Ab Aur Usse Qol-O-Qaraar Kaise Karein,

Wafa Shuaar To Ab Wo Nahi Raha,
Ab Us Bewafa Ka Intezar Hum Kaise Karein...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2349 on: September 06, 2008, 03:26:54 PM »


Rooh Ko Tadpa Rahi Hai Unki Yaad,
Dard Ban Kar Chha Rahi Hai Unki Yaad,

IshQ Se Ghabra Rahi Hai Unki Yaad,
Rukte Rukte Aa Rahi Hai Unki Yaad,

Wo Hanse Wo Zar-E-Lab Kuch Keh Uthe,
Khwab Se Dikhla Rahi Hai Unki Yaad...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2350 on: September 06, 2008, 03:27:51 PM »

Meri Aankhon Ke Samundar Mein Jalan Kaisi Hai,
Aaj Phir Dilko Tadapne Ki Lagan Kaisi Hai,

Ab Kisi Chhat Pe Charagon Ki Qatarein Bhi Nahi,
Ab Tere Sheher Ki Galiyon Mein Ghutan Kaisi Hai,

Barf Ke Roop Mein Dhal Jayenge Saare Rishte,
Mujhse Puchho Ke Mohabbat Ki Agan Kaisi Hai,

Main Tere Visl Ki Khwahish Ko Na Marne Dunga,
Mausam-E-Hijr Ki Lehje Mein Thakan Kaisi Hai,

Rehguzaron Mein Jo Banti Rahi Kaanton Ki Rida,
Uski Majboor Si Aankhon Mein Kiran Kaisi Hai,

Mujhe Masoom Si Ladki Pe Taras Aata Hai,
Ise Dekho To Mohabbat Mein Magan Kaisi Hai...
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #2351 on: September 08, 2008, 09:23:34 AM »


Mohabbat Zaat Hoti Hai,
Mohabbat Zaat Ki TaQmeel Hoti Hai,
Koi Jangal Mein Ja Thehre Kisi Basti Mein Bas Jaye,
Mohabbat Saath Hoti Hai,
Mohabbat Khushbu Ki Lay
Mohabbat Mausamon Ki Dhun,
Mohabbat Abshron Ke Nikharte Paniyon Ka Mun,
Mohabbat Jangalon Mein RaQs Karti Morni Ka Tun,
Mohabbat Barf Padti Sardiyon Mein Dhoop Banti Hai,
Mohabbat Chilchilate Garam Sehraon Mein Thandi Chhanv Ki Manind,
Mohabbat Ajnabi Duniya Mein Apne Gaanv Ki Manind,
Mohabbat Dil
Mohabbat Jaan
Mohabbat Rooh Ka Darmaan
Mohabbat Murti Hai
Aur Kabhi Jo Dil Ke Mandir Mein Kahin Par Toot Jaye To
Mohabbat Kaanch Ki Gudiya,
Fizaon Mein Kisike Hath Se Gar Chhut Jaye To,
Mohabbat Abla Hai Karb Ka
Aur Phoot Jaye To
Mohabbat Rog Hoti Hai
Mohabbat Sog Hoti Hai...



Wallah ! Ik Lafz Mohabbat Pe Dariyaa Bahaa diye.,
Huzena ! aapne Mohabbat k Lakho'n Rang Dikha Diye.,
Is Fiqra Mei Soch Kar Ki Kya Inaam Diyaa jaaye.,
Dil Ne Kahaa! alhl-e-kalum k Hathon ko choom liya jaaye......!!!
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2352 on: September 08, 2008, 02:43:56 PM »
wah wah wah...


Thanks a lot.. Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2353 on: September 08, 2008, 03:02:57 PM »


Tadapta Hai Dil Dilko Samjhaun Kasie,
Jo Khel Khelti Hai Zindagi Usko Nibhaun Kaise,

Waqt Ke Haathon Maar Khata Raha Hoon Main,
Phir Bhi Na Badla Khudko Samjhaun Kaise,

Dil Mein Dard, Dard Mein Zakham Hai Laakhon,
Har Zakhm Tumko Dikhaun Kaise,

Aaj Ro Bhi Nahi Sakta, Kaise Kahoon Kuch,
Marna Chahta Hoon Is Zindagi Ko Nibhaun Kaise...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2354 on: September 08, 2008, 03:06:32 PM »
Dono Jahan Teri Mohabbat Mein Haar Ke,
Wo Jaa Raha Hai Koi Shab-E-Gam Guzaar Ke,

Veeran Hai Maikada Khum-O-Saagar Udaas Hai,
Tum Kya Gaye Ke Ruth Gaye Din Bahar Ke,

Ek Fursat-E-Gunaah Mili Wo Bhi Chaar Din,
Dekhe Hai Humne Hausle Parwardigar Ke,

Duniyane Teri Yaad Se Begana Kar Diya,
Tujhse Bhi Dilfareb Hai Gam Rozgar Ke,

Bhule Se Muskura Ke Diye Wo Aaj FAIZ
Mat Puchh Walwale Dil-E-Nakarda Kaar Ke...
Logged
Pages: 1 ... 153 154 155 156 [157] 158 159 160 161 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 17, 2024, 03:29:52 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.179 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer