Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 154 155 156 157 [158] 159 160 161 162 ... 273
Print
Author  (Read 131618 times)
angel4u
Guest
«Reply #2355 on: September 08, 2008, 03:06:49 PM »
Woh Ladki Achhi Ladki Thi Tum Naam Na Lo Hum Jaan Gaye,
Haan Jiske Lambe Gesu The Pehchan Gaye Pehchan Gaye,
Haan Saath Hamare Insha Bhi Us Ghar Mein The Mehman Gaye,
Par Usse To Kuch Baat Na Ke Anjaan Rahe Anjaan Gaye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2356 on: September 08, 2008, 03:07:11 PM »

Abhi Aur Tez Kar Le Sar-E-Khanjar-E-Adaa Ko,
Mere Khoon Ki Hai Zaroorat Teri Shokhi-E-Heena Ko,

Tujhe Kis Nazar Se Dekhe Ye Nigah-E-Dard Aagin,
Jo Duwayein De Rahi Hai Teri Chashm-E-Bewafa Ko,

Kahin Reh Gayi Shayad Tere Dilki Dhadkano Mein,
Kabhi Sun Sake To Sun Le Meri Khoonshida Nawaa Ko,

Koi Bolta Nahi Hai Main Pukarta Raha Hoon,
Kabhi Butt Kade Mein But Ko Kabhi Qaabe Mein Khuda Ko...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2357 on: September 08, 2008, 03:07:30 PM »

Kisi Ibteda Aur Intehaa,
Ke Darmiyan Hai Zindagi,
Jahan Is Taraf Na Us Taraf,
Door Tak Kahin Kuch Nahi,
Jaise Doro Kahin Kisi Reh Guzar,
Ke Bich-O-Bich Koi Ajnabi,
Dhool Mein Kho Ke Raaston Ko,
Hichkiyon Se Ro Pade,
Jaise Rehguzar Ki Garam Ret,
Aur Aasman Ko Chhod Kar,
Nazar Ki Tamam Wusaton Mein Aur Kuch Na Mil Sake,
Dhoop Ki Tamazaton Ki Inteha Ki Wo Sar Zameen,
Jahan Hasraton Ke Bich Se FaQt Saraab Hi Khil Sake,
Us Ajnabi Ki Pyaas Kya,
Ummid Kya Aur Yaas Kya,
Bajuz Ajal Ka Intezar,
Aur Bacha Hai Uske Paas Kya,
Is Ibteda Aur Inteha Ke Darmiyan To Main Bhi Hoon,
Is Ibteda Aur Inteha Ke Darmiyan To Tu Bhi Hai,
Jaise Door Kahin Jangalon Mein,
Rail Ki Do Patriyan,
Jo Qurbaton Ki Anginat Raat-O-Din Ke Bawajood,
Ek Hath Bhar Ke Fasle Se,
Rehguzar Mein Bant Gayi,
Aah! Kya Mil Baithneki Wo Shabnami Si Hasratein,
Jo Zaviyon Ki Hair PHair Ki Ganjalon Mein Phans Gayi,
In Intehahon Ke Darmiyan Ki Sitam Zareefi Dekhiye,
Jo Chandni Se Khwab The Wo Raaston Mein Kho Diya,
Jo Siskiyon Ke Azab The,
Wo Zindagi Ko De Diya...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2358 on: September 08, 2008, 03:08:33 PM »

Main To Awara Shayar Hoon Meri Kya WaQaat,
Ek Do Geet Pareshan Se Gaa Leta Hoon,

Gaye Gahe Kisi Nakaam Sharabi Ki Tarah,
Ek Do Zeher Ke Saagar Bhi Chada Leta Hoon,

Tu Ke Ek Waadi-E-Gul Rang Ki Shahzadi Hai,
Ek Bekaar Se Insaan Ke Liye WaQf Na Ho,

Tere Khwabon Ke Jaziron Mein Badi RaunaQ Hai,
Ek Anjaanse Toofan Ke Liye WaQf Na Ho...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2359 on: September 08, 2008, 03:08:52 PM »

SaaQiya Ek Nazar Jaamse Pehle Pehle,
Humko Jana Hai Kahin Shaam Se Pehle Pehle,

Khush Hua Aye Dil Ke Mohabbat To Nibha Di Tune,
Log Ujad Jate Hai Anjaamse Pehle Pehle,

Ab Tere Zikr Pe Hum Baat Badal Dete Hai,
Kitni Ragabat Thi Tere Naam Se Pehle Pehle,

Saman-E-Umr Padi Hai Shab-E-Tanhayi Ki,
Wo Mujhe Chhod Gaya Shaam Se Pehle Pehle...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2360 on: September 14, 2008, 12:21:37 PM »
Palat Jata Hoon Main Tumko Agar Achha Nahi Lagta,
Main Aisa Kar To Sakta Hoon Magar Achha Nahi Lagta,

Main Jiske Har Qadam Par Zindagi Qurbaan Karta Tha,
Mujhe Tujh Bin Wohi Jeevan Safar Achha Nahi Lagta...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2361 on: September 14, 2008, 12:23:31 PM »

Aye Dost Mere Kyon Rote Ho-Kyon Gam Ko Dil Mein Bote Ho,
Tum Jab Jab Dukhko Sehte Ho-Aur Tanha Tanha Rehte Ho,
Main Bhi Tanha Ho Jaata Hoon-Aur Gamke Tohfe Pata Hoon,
Tum Joon Joon Inko Paoge-Tum Kundan Bante Jaoge,
Yun Dilko Na Majboor Karo-Aur Gam Ko Dilse Door Karo,
Gam Bin Maange Mil Jaate Hai-Sab Jholi Bhar Ke Paate Hai,
Ye Aansu Tum Jo Peete Ho-Jinko Pee Kar Jeete Ho,
Ye Tumko Tod Kar Rakh Denge-Aur Tanha Chhod Kar Rakh Denge,
Main Isi Liye To Kehta Hoon-Tum Hanste Achhe Lagte Ho...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2362 on: September 14, 2008, 12:24:18 PM »


Teri Yaad Mein Surkh Patte Murjha Gaye,
Gulaab Pe Pankhrey Baithna Bhul Gaye,

Tere Yaad Mein Aankh Aansu Se Bhar Gayi,
Hansna Bhool Gaye,

Tere Yaad Ne Maar Diya Hamein
Dafan Hona Bhool Gaye,

Teri Yaad Mein Guzre Apni Zindagi,
Zidnagi Mein Tumse Milna Bhool Gaye,

Aakhir Kya Khata Ki Jo Itni Saza Mili Mujhe,
Khata Ka IQraar Karna Bhool Gaye,

Usne Apni Khata Ka IQraar Kar Diya Aakhir,
Magar Hum Na Rahe To Duniya Wale
"Pyaar Karna Bhool Gaye"...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2363 on: September 14, 2008, 12:25:58 PM »

Chehre Naye The Wo Shayad,
Dilki Kitab Mein
Khil Rahe The Phool Naye,
Dil Ki Kitab Mein,
Socha Tha Jisko Humne
Apne Khayalat Mein
Wo Kahan Khogaya Is
Dil Ki Kitab Mein
Nayi Hai Duniya Naya Hai Daur,
Dil Kuch Chahta Hai,
Aur Hum Kuch Aur,
Jeena Nahi Hai Tere Bin
Likha Tha Humne
Dilki Kitab Mein,
Dhundte Hai Ab Wo Likha Kahin,
Gehre Khayalat Mein,
Khair Chhodo Chhote Miyan,
WaQt Ka Ziyaan Na Karo,
In Fazool Jazbaat Mein...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2364 on: September 14, 2008, 12:26:54 PM »


Manzilein Bhi Uski Thi,
Rasta Bhi Uska Tha,

Ek Main Akeli Thi,
Kafla Bhi Uska Tha,

Saath Saath Chalne Ki Soch Bhi Uski Thi,
Phir Rasta Badalne Ka Faisla Bhi Uska Tha,

Aaj Akeli Kyon Ho,
Dil Ye Sawal Karta Hai,

Log To Uske The,
Kya Khuda Bhi Uska Tha...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2365 on: September 14, 2008, 12:27:16 PM »



Kal Halki Halki Baarish Thi,
Kal Sard Hawa Ka RaQs Bhi Tha,
Kal Phool Bhi Nikhre The,
Kal Un Mein Aap Ka AQs Bhi Tha,
Kal Badal Kaale Gehre The,
Kal Chand Pe Laakhon Pehre The,
Kuch Tukde Aapki Yaadon Ke,
Badi Der Tak Dil Mein Thehre The,
Kal Yaadein Uljhi Uljhi Thi,
Kal Yaad Bahut Tum Aaye The,
KAL YAAD BAHUT TUM AAYE THE...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2366 on: September 14, 2008, 12:27:38 PM »



Wo Ajnabi Tha, Gair Tha, Har Ek Ne Mujhse Yehi Kaha Tha,
Dil Uski Mohabbat Mein Aise Giraftar Hua Tha,

Mere Hathonse Uski Heena Ka Rang Bhi Na Utra Tha,
Abhi Meri Mang Ka Sinduri Rang Bhi Gehra Tha,

Meri Zulfon Mein Sanwra Gajra Bhi Taza Tha,
Meri Aankh Ka Kajal Bhi Gehra Tha,

Mere Surkh Hothon Pe Usika Naam Tha,
Aur Chand Apni Jawani Par Tha,

Har Koi Wafa Wala Tha,
Ek Wo Hi Bewafa Tha,

Wo Ajnabi Tha, Gair Tha,
Har Ek Ne Mujhse Yehi Kaha Tha...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2367 on: September 14, 2008, 12:28:00 PM »



Basi Hai Nafratein Dil Mein Bazahir Yaarana Hai,
Dilon Mein Buguz Rakhte Hai Bazahar Dostana Hai,

Na BaaQi Hai Rawadari Na BaaQi Dard Hai Dil Mein,
Bana Kar Meethi Baaton Se Mohabbat Ko Jatana Hai,

Zabani Baaton Ke Zariye FaQat Rasmein Nibhate Hai,
Zabani Kharch Ke Zariye FaQat Rasmein Nibhana Hai,

Inhe Alfazon Ke Jaadu Jagana Khoob Aata Hai,
Inhi Baaton Se To Logonke Dil Inko Lubhana Hai,

Na Dil Mein Inke RuQbat Hai Na RaQabat Hai Na Chahat Hai,
Na Dil Mein Pyar Hota Hai Bazahir Dostana Hai,

Bazahir Hai Ye Kaamyab Inhi Ki Kaamyabi Hai,
Inhi Ka Yahan Maskan Inhi Ka Ye Thikana Hai,

MunafQat Se Bhare Dil Mein Keena Rakhte Hai Ye Haider,
Farebi Jaal Hai Sab Ye Mohabbat Ka Bahana Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2368 on: September 14, 2008, 12:28:17 PM »

Usko Juda Hue Bhi Zamana Bahut Hua,
Ab Kya Kahein Ye Qissa Purana Bahut Hua,

Dhalti Na Thi Kisi Bhi Jatan Se Shab-E-FiraaQ,
Aye Marg-E-Naagahaan Tera Aana Bahut Hua,

Hum Khud Se Nikal To Gaye Hai Par Aye Khuda,
Itne Se WaaQaye Ka Fasana Bahut Hua,

Ab Hum Hai Aur Saare Zamane Ki Dushmani,
Usse Zara Rabt Badhana Bahut Hua,

Ab Kyon Na Zindagi Pe Mohabbat Ko Vaar Dein,
Is AashiQui Mein Jaan Se Jaana Bahut Hua,

Ab Tak To Dil Ka Dilse Taarruf Na Ho Saka,
Maana Ki Usse Milna Milana Bahut Hua,

Kya Kya Na Hum Kharab Hue Hai Magar Ye Dil,
Ayi Yaad-E-Yaar Tera Thikana Bahut Hua,

Lo Phir Tere Labon Pe Usi Bewafa Ka Zikr,
Ahmad Faraz Tujhse Kaha Na Bahut Hua...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2369 on: September 14, 2008, 12:28:44 PM »

Mujhe Bhula Kar Gar Gar Jo Jiyoge Tum,
Pal Pal Meri Dua Hai Ke Tadpoge Tum,

Aap Dikha Kar Khwahon Ko Mere Jo Tod Diya,
To Bhala Kaise Sapno Ke Mahal Mein Jiyoge Tum,

Patjhad Ho Udasi Ho Uar Na Ho Koi Saath,
Jo Diya Tumne Mujhe Wo Hi Paoge Tum,

Meri Nindein Chhinne Wale Aye Ajnabi,
Ek Din Toot Kar Dekhna Bikhroge Tum...
Logged
Pages: 1 ... 154 155 156 157 [158] 159 160 161 162 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 17, 2024, 02:44:56 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.218 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer