Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 155 156 157 158 [159] 160 161 162 163 ... 273
Print
Author  (Read 133113 times)
angel4u
Guest
«Reply #2370 on: September 14, 2008, 12:29:02 PM »



Us Mod Se Shuru Karein Phir Ye Zindagi,
Har Shay Jahan Haseen Hti, Hum Tum The Ajnabi,

Lekar Chale The Hum Jinhe Jannat Ke Khwab The,
Phoolon Ke Khwab The Wo Mohabbat Ke Khwab The,
Lekin Kahan Hai Un Mein Wo Pehli Si Dilkashi,

Rehte The Hum Haseen Khayalon Ki Bhid Mein,
Uljhe Hue Hai Aaj Sawalon Ki Bhid Mein,
Aane Lagi Hai Yaad Wo Fursat Ki Har Ghadi,

Shayad Ye WaQt Humse Koi Chaal Chal Gaya,
Rishta Wafa Ka Aur Hi Rangon Mein Dhal Gaya,
AshQon Ki Chandi Se Bhi Behtar Wo Dhoop Thi...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2371 on: September 14, 2008, 12:29:56 PM »


Udaasi Ka Ye Pathar Aansuon Se Kam Nahi Hota,
Hazar Jugnuon Se Bhi Andhera Kam Nahi Hota,

Kabhi Baarat Mein Shadab Belein Sukh Jaati Hai,
Harye Pairon Ke Girne Ka Koi Mausam Nahi Hota,

Bahut Se Log Dilko Is Tarah Mehfooz Rakhte Hai,
Koi Barish Ho Ye Kagaz Nam Nahi Hota...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2372 on: September 14, 2008, 12:30:13 PM »



Raat Madhosh Thi Pehloo-E-Samundar Mein Mehtaab Tha,
Us Andheri Raat Unke Chehre Par Noor-E-Aftaab Tha,

Unki Aankhon Ke Saher Mein Hum The Khogaye,
Jawahir-E-Duniya Mein Wo Ek Jauhar-E-Nayab Tha,

Haathon Unke Pee Gaye Hum Wo Jaan,
Chahe Wo Sharab Thi Ya Zeher-E-Aab Tha,

Dekthe Hi Jisko Madhosh Ho Gaye Hum,
Khilte Hue Kanwal Sa Wo Chehra-E-Janab Tha,

Bandh Aankhon Se Tumne Dekha Jo Qais,
Kya Wo HaQeeQat Thi Ya Koi Khwab Tha...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2373 on: September 14, 2008, 12:30:38 PM »


Tum Mujhe Bhoolneki Koshish Karoge,
Lekin Bhool Na Paoge,

Haath Thaam Na Sakoge Kisi Aur Ka,
Gar Thaamna Chahoge,

Kisi Aur Ki Aankhon Mein Jhankoge,
To Mera Hi AQs Dikhayi Dega,

Mujhse Nazrein Churaoge To Khwaab Mein,
Bichhda Shakhs Hi Dikhayi Dega,

Tanhayi Mein Chupke Se,
Chali Aayegi Meri Yaad,

Tum Laakh Daaman Chhudaoge,
Na Chhodegi Tera Saath,

Tum Udaas Udaas Phira Karoge,
Guzre Lamhon Mein Jiya Karoge,

Meri Yaad Tadpayegi Lekin,
Meri Yaad Mein Hi Raha Karoge,

Ab Bhi Chhodna Chaho To Chhod Do Mera Saath,
Lekin Yaad Rakho,

Chhod Kar Bhi Ye Saath Chhod Na Sakoge,
Mujhse To Mooh Mod Loge,
Meri Yaad Se Mooh Mod Na Sakoge...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2374 on: September 14, 2008, 12:31:01 PM »



AashiQ Ko Fasaya Kisne? Laila Ne,
Abba Se Pitwaya Kisne? Laila Ne,

Bhook Se Majnoo Maara Maar Phirta Tha,
FaaQon Se Marwaya Kisne? Laila Ne,

Maut Ke Kuwe Ka Jo Motor Cycle Tha,
Majnoo Se Chalwaya Kisne? Laila Ne,

Kehta Tha Main Ghodi Chad Kar Aaugna,
Sadkon Par Bithwaya Kisne? Laila Ne,

Kehta Tha Ke Number Daar Banunga Main,
Bawarchi Lagwaya Kisne? Laila Ne...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2375 on: September 14, 2008, 12:31:19 PM »



Lazzatein-E-Gam Badhata Jaa,
Kuch Bhi Ho Bas Muskurata Jaa,

Tu Andheron Mein Kab Tak Rahega,
Phir Koi Ghar Jalata Jaa,

Ek Samundar Ne Aawaz Di,
Mujhko Paani Pilati Jaa...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2376 on: September 14, 2008, 12:31:39 PM »



Likha Hai Phir Kuch Is Tarah Maine,
Zakhm Kitne Teri Chahat Se Mile Hai Mujhko,
Sochta Hoon Ke Kahun Tujhse Magar Jaane De,

Tamanna Le Kar Ulfat Ki Mera Aangan Mein Wo Aaye, Aye Dost,
Mohabbat Rog Hai Dilka, Use Maine Ye Samjhaye Use, Aye Dost,

Kaha Usne Mujhe Mohabbat Kar Shareek-E-Gam Bana Mujhko,
Aur Jahan Ki Har Khushi Se Main Karugni Aashna Tujhko,

Mere Andhere Jeevan Ko Wafa Ki Roshni De Do,
Sulagti Chaah Ko Mere Khuad Ra Zindagi De Do,

Meri Veeran Duniya Mein Bahar Aaye Jo Tum Aao,
Tumhe Bhi Pyaar Hai Mujhse Zara Keh Do Mohabbat Se,
Sanwar Jayega Ye Jeewan Tumhari Ek Inayat Se,

Hua Main Majboor Main Yaaron Kya IQraar Ulfat Ka Aur Dil Mein Chhupi Mohabbat Ka Aye Dost,
Laga Di Jaan Ki Baazi Samajh Kar Khel Kismat Ka,
Badi Rangeen Jawani Thi, Badi Rangeen Kahani Thi,

Na Jane Uske Chehre Pe Achanak Kya Khayal Aaya,
Na Dekha Tha Kabhi Humne Kuch Aisa Malaal Aaya,

Bahut Puchha Sabab Lekin Na Phir Ki Baat Usne,
Meri Aawaz Sunkar Bhi Na Todi Khamoshi Usne,

Hue Malum Phir Uski HaQeeQat Ye Zamane Se,
Use Taskeen Milti Hai Kisika Dil Dukhane Se...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2377 on: September 14, 2008, 12:32:20 PM »



Majal Hai Koi Tujhse Mujhe Juda Kar De,
Jahan Bhi Jayega Tu Main Tujhe Sada Dunga,

Teri Gali Mein Bahtu Der Se Khada Hoon Magar,
Kisine Puchh Liya To Jawab Kya Dunga,

Meri Khamoshi Nigahon Ko Chashm-E-Nam Se Na Dekh,
Main Ro Pada To Dilon Ke TabaQ Hila Dunga,

Yunhi Udaas Raha Main To Dekhna Ek Din,
Tamam Sheher Mein Veeraniyan Bichha Dunga,

Wo Dard Hi Na Raha Warna Aye Maat-E-Dil,
Mujhe Guman Bhi Na Tha Main Tujhe Bhula Dunga,

Abhi To Raat Hai Kuch Der So Lo,
Koi Bulayega To Main Tujhe Jaga Dunga...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2378 on: September 14, 2008, 12:32:49 PM »
Bhala Aakhir Tumne TaluQ Tod Ke Keh Diya Hai,
Dilse Kaha Hai,
Ya Mere Chahat Se Ghabra Kar,
Mere Jazbaat Se Tang Aakar,
Wo Saare Rabte Montaka Karne Lage Ho,
Sun,
FaQt Ek Baat Kehni Hai,
Mujhe Ek Arz Karni Hai,
Abhi Aisa Nahi Karna,
Mere Phalli RafaQat Ko,
Meri Saanson Mein Shamil Ho,
Mere Lehje Mein Tumari Sada
Bolti Hai,
Mere Ankaho Mein Tere Sabab Roshni Hai,
Zindagi Hai,
Tum Mera Naam Lete Ho,
To Main Jeena Sikh Jaati Hoon,
Teri Baatien Teri Yaadein,
Teri Aankhein Teri Khushbu,
Mujhe Zinda Rakhe Hue Hai,
Aur Ab To Ye Chahta Hai,
TaluQ Tod De,
Mere Humdum Ye Asan Hai,
Agar Hai To TaluQ Tod Jao,
Magar Yaad Rakhna,
Main Bhi Toot Jaungi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2379 on: September 14, 2008, 12:34:22 PM »
Tu Mere Naseeb Mein Hi Nahi Tha,
Warna Fasla Itna Bhi Nahi Tha,

Chahti To Tujhe Hasil Kar Sakti Thi Main,
Magar Dil Zabardasti Par Raazi Nahi Tha,

Tum Aaye The Kisi Shehzadon Ke Des Se,
Tu Apne Sheher Ka To Lagta Nahi Tha,

Hoon To Khair Main Bhi Haseen Bahut,
Tujhko Magar Husn Bhata Hi Nahi Tha,

Tumne Uske Liye Mere Pyar Ko Thukraya,
Jisne Tujhko Kabhi Chaha Hi Nahi Tha,

Haan Sach Hai Humne Teri Qadar Ki,
Halanke Tu Is Tawajjo Ke Qabil Nahi Tha...
tearyeyed
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2380 on: September 14, 2008, 12:35:36 PM »


Dil Hai Aayina-E-Hairat Se Do Chaar Aaj Ki Raat,
Gam-E-Dauran Mein Hai Aks-E-Gam-E-Yaar Aaj Ki Raat,

Aatish-E-Gul Ko Daaman Se Hawa Deti Hai,
Deedani Hai Ravish-E-Mauj-E-Bahar Aaj Ki Raat,

Aaj Ki Raat Ka Mehmaan Hai Malboos-E-Hareer,
Is Chaman-Zaar Mein Ugte Hai Sharar Aaj Ki Raat...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2381 on: September 14, 2008, 12:36:58 PM »
Dilke Zakhmon Ko Mita De Aisa Shakhs Mila De,
Pyar Mein Hamara Koi Ho Jaye Aisa Shakhs Mila De,

Hasenge Sab Hi Meri Maut Par Sanam,
Koi Ek Apni Maut Par Rone Wala Shakhs Mila De...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2382 on: September 14, 2008, 12:37:27 PM »
Tumhe Hai ShauQ Agar Bijliyan Giraneka,
Hamara Kaam Bhi Hai Aashiyaan Bananeka,

Bhala Wo Kaise Samundar Ke Paar Utrega,
Nafas Nafas Jinhe Khadsha Hai Doob Jane Ka,

Suna Hai Aap Hai Mahir Hawa Chalane Mein,
Magar Hamein Bhi Hunar Hai Diya Jalane Ka...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2383 on: September 14, 2008, 12:38:08 PM »
Is Tarah Sataya Hai Pareshan Kiya Hai,
Goya Ki Mohabbat Nahi Ehsaan Kiya Hai,

Socha Tha Ke Tum Dusron Jaise Nahi Honge,
Tumne Bhi Wahi Kaam Meri Jaan Kiya Hai,

Mushkil Tha Bahut Mere Liye TarQ-E-TalluQ,
Ye Kaam Bhi Tumne Mera Aasan Kiya Hai,

Har Roz Sajate Hai Teri Hijr Mein Gunche,
Aankhon Ko Teri Yaad Mein Guldaan Kiya Hai...
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #2384 on: September 14, 2008, 12:57:18 PM »
Nice sharing angel dear...
Logged
Pages: 1 ... 155 156 157 158 [159] 160 161 162 163 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 11, 2025, 05:08:24 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer