Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 156 157 158 159 [160] 161 162 163 164 ... 273
Print
Author  (Read 133112 times)
Sayyid Randeri
Guest
«Reply #2385 on: September 14, 2008, 11:57:40 PM »
Is tarah se sataya he pareshaan kiya he
Goya ke muhabbat nahi ehsaan kiya he
------------------------------------------------
Aaahaaahaaa kayaaaa baat kahi he.....lagta he ham in shayaron ke qareeb tak bhi nahi pohonch paaenge, inheN padh kar apni shairi par to hansi aati he. DOH

Bohot hi umda angel ji... achhi mehnat kar rahe hein aap, khush rahiye.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2386 on: September 15, 2008, 02:16:45 AM »
Is tarah se sataya he pareshaan kiya he
Goya ke muhabbat nahi ehsaan kiya he
------------------------------------------------
Aaahaaahaaa kayaaaa baat kahi he.....lagta he ham in shayaron ke qareeb tak bhi nahi pohonch paaenge, inheN padh kar apni shairi par to hansi aati he. DOH

Bohot hi umda angel ji... achhi mehnat kar rahe hein aap, khush rahiye.


Sahi kaha Sayyid ji. In shayaron ke labzon ke nazdeek bhi hum nahi pahuch sakte. Sochna bhi bahut badi baat hia,

Shukriya aapko meri collection pasand aati hai hamesha..

Thanks Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2387 on: September 15, 2008, 02:19:00 AM »
Nice sharing angel dear...

Thanks honey... Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2388 on: September 15, 2008, 02:23:06 AM »
Qarb Ke Shaher Se Nikle To Ye Manzar Dekha,
Humko Logone Bulaya Humein Chhu Kar Dekha,

Jab Bhi Chaha Hai Ke Malabbus-E-Wafa Ko Chhu Lein,
Misl Khushbu Koi Udata Hua Paikar Dekha,

Wo Barsat Mein Bhiga To Nigahein Uthi,
Yun Laga Hai Koi Tarasha Hua Pathar Nikla,

Zindagi Kitni Pareshan Hai Ye Socha Bhi Na Tha,
Iske Ataraaf Mein Sholon Ka Samundar Dekha,

Aa Gayi Gam Ki Hawa Phir Tere Gesu Chhukar,
Humne Veerana-E-Dil Phir Se Mu'attar Dekha,

Wo Jo Udati Hai Sada Dasht-E-Wafa Mein "Afzal",
Usi Mitti Mein Nihaan Dard Ka Gauhar Dekha...
Logged
gulzargul
Guest
«Reply #2389 on: September 15, 2008, 01:04:18 PM »
waah kiya shear likha hy angle ji

gul
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2390 on: September 16, 2008, 02:47:04 PM »
Thanks a lot... pasand karne ke liye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2391 on: September 16, 2008, 02:48:43 PM »
Soo-E-Maikada Na Jaate To Kuch Aur Baat Hoti,
Wo Nigaah Se Pilate To Kuch Aur Baat Hoti,

Jo Hawa-E-Gulistan Ne Mere Dilki Laaj Rakh Li,
Wo NaQaab Khud Uthate To Kuch Aur Baat Hoti,

Ye Baja Kali Ne Khil Kar Kiya Gulsitan Muattar,
Magar Aap Muskurate To Kuch Aur Baat Hoti,

Ye Khule Khule Se Gesu, Inhein Laakh Tu Sanware,
Mere Hath Se Sanwarte To Kuch Aur Baat Hoti,

Jo Haram Ke Raste Se Wo Pahuch Gaye Khuda Tak,
Teri Rehguzar Se Jaate To Kuch Aur Baat Hoti...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2392 on: September 16, 2008, 02:49:12 PM »
Tum Aur Fareb Khao Bayaan-E-RaQeeb Se,
Tumse To Kam Gila Hai Zyada Naseeb Se,

Goya Tumhari Yaad Hi Mera Ilaaj Hai,
Hota Hai Pehron Zikr Tumhara Tabib Se,

Barbaad-E-Dil Ka Aakhri Sarmaya Thi Ummid,
Wo Bhi To Tumne Chhin Liya Mujh Garib Se,

Dhundhla Chali Nigaah Dam-E-Wapasi Hai Ab,
Aa Paas Aa Ke Dekh Lun Tujhko Kareeb Se...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2393 on: September 17, 2008, 02:45:20 AM »
Abke Rutt Badli To Khushbu Ka Safar Dekhega Kaun,
Zakhm Phoolonki Tarah Mehkenge Par Dekhega Kaun,

Dekhna Sab RaQs-E-Bismal Mein Magan Ho Jayenge,
Jis Taraf Se Teer Aayega Udhar Dekhega Kaun,

Wo Hawas Ho Ya Wafa Ho Baat Mehroomi Ki Hai,
Log To Phal Phool Dekhenge Shajar Dekhega Kaun,

Hum Chirag-E-Shab Hi Jab Thehre To Phir Kya Sochna,
Raat Thi Kiska MuQaddar Aur Seher Dekhega Kaun,

Aa Fasil-E-Sheher Se Dekhen Ganeem-E-Shaher Ko,
Shahar Jalata Ho To Tujhko Baam Par Dekhega Kaun...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2394 on: September 17, 2008, 02:46:26 AM »
Aise Chup Hai Ke Ye Manzil Bhi Kadi Ho Jaise,
Tera Milna Bhi Judayi Ki Ghadi Ho Jaise,

Apne Hi Saayese Har Gam Laraz Jaata Hoon,
Raaste Mein Koi Deewar Khadi Ho Jaise,

Manzilein Door Bhi Hai Manzilein Nazdik Bhi Hai,
Apne Hi Paanv Mein Zanjeer Padi Ho Jaise,

Kitne Nadaan Hai Tere Bhulane Wale Ke Tujhe,
Yaad Karkne Ke Liye Umr Padi Ho Jaise...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2395 on: September 17, 2008, 02:52:05 AM »
Aakhri Tees Aazmane Ko,
Jee To Chaha Tha Muskurane Ko,

Yaad Itni Bhi Sakht Jaan To Nahi,
Ek Gharaunda Raha Hai Dahane Ko,

Sang Rezon Mein Dhal Gaye Aansu,
Log Hanste Rahe Dikhane Ko,

Zakhm-E-Nagma Bhi Lau To Deta Hai,
Ek Diya Reh Gaya Jalane Ko,

Jalne Wale To Jal Bujhe Aakhir,
Kaun Deta Khabar Zamane Ko,

Kitne Majboor Ho Gaye Honge,
Ankahi Baat Muh Pe Laane Ko,

Khulke Hansna To Sabko Aata Hai,
Log Taraste Rahe Ek Bahane Ko,

Reza Reza Bikhar Gaya Insaan,
Dilki Veeraniyan Jatane Ko,

Hasraton Ki Panaah Gaahon Mein,
Kya Thikana Hai Sar Chhupane Ko,

Haath Kaanton Se Kar Liye Zakhmi,
Phool Baalon Mein Ek Sajane Ko,

Aas Ki Baat Ho Ke Saans 'Ada'
Ye Khilone Hai Toot Jane Ko...
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #2396 on: September 17, 2008, 04:45:23 AM »
 Clapping Smiley nice sharing angel dear.. love4
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2397 on: September 17, 2008, 01:51:21 PM »
Thank you sooooooooooooooooooooooo much  love9
Logged
gulzargul
Guest
«Reply #2398 on: September 17, 2008, 02:00:50 PM »
haath kaanton sy ker liya zakhmi
phool baalon main aik sajany ko

buht khoob angle ji

gul
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2399 on: September 18, 2008, 02:35:50 AM »
Thanks gul ji...
Logged
Pages: 1 ... 156 157 158 159 [160] 161 162 163 164 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 11, 2025, 05:07:24 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.233 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer