Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 13 14 15 16 [17] 18 19 20 21 ... 273
Print
Author  (Read 132816 times)
angel4u
Guest
«Reply #240 on: February 03, 2007, 08:33:09 PM »

Bas Itni Si Inaayat Mujh Pe Ek Baar Kijiye
Kabhi Aake Mere Zakhmon Ka Deedar Kijiye

Ho Jaiye Begane Aap ShaQuQ Se Sanam
Aapka Hum Aapka Rahungie Aitbaar Kijiye

Padne Waale Hi Dar Jaayein Dekh Kar Ise
Kitaab-E-Dil Ko Itna Na Daagdaar Kijiye

Na Majboor Kijiye, Ke Main Unko Bhool Jaaun
Mujhe Meri Wafaaon Ka Na Gunehgaar Kijiye

In Jalte Diyon Ko Dekh Kar Na Muskuraiye
Zara Hawaaon Ke Chalne Ka Intezaar Kijiye

Karna Hai IshQ Aapse Karte Rahenge Hum
Jo Bhi Karna Hai Aapko Mere Sarkaar Kijiye

Phir Sapno Ka Aashiyaan Bana Liya Hai Maine
Phir Aandhiyon Ko Aap Khabardaar Kijiye

Hame Na Dikhaiye Ye Daulate Ye Shohrate
Hum Pyaar Ke Bhuke Hain Hame Pyaar Kijiye
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #241 on: February 03, 2007, 08:37:34 PM »

Lafz Ehmiyat Rakhte Hai,
Ye Lafz Ehmiyat Rakhte Hai,
Kabhi Yeh Rooh Ko
Katal Kar Dete Hai,
Aur Kabhi
Ye Rooh Ko Jhulsa Dete Hai,
Lekin Ye Lafz Hi Hai
Jo Khwahishon Ke Tapte Hue Sehra Mein,
Jeevan Ke Phool Khila Dete Hai,
Ek Haare Hue Insaan Ko
Jeevan Ki Naveed Suna Dete Hai,
Kabhi Ye Saath Chhod Dete Hai,
Kabhi Ye Saath Chhudwa Dete Hai,
Kabhi Inke Zariye Nafrat
Doosron Ke Dilo Mein Utar Jati Hai,
Jo Rooh Ki Gehraiyon Ko Bhi
Zeher Zeher Kar Jaati Hai,
Lafzonki Wajashe Ye Zindagi
Bemaani Hoke Reh Jati Hai,
Aur Kabhi In Lafzon Ki Wajahse Ye Zindagi
Jannat Bhi Ban Jati Hai,
Kitni Takat Hai In Lafzon Mein,
Ke Zindagi Badal Jaati Hai,
Ye Lafz Hi Hai Jo Logonke
Dilon Ko Bhi Pigla Deti Hai,
Ye Lafz Hi Hai Jo Jism Ke Sath,
Rooh Ko Bhi Jhulsa Dete Hai,
Ye Lafz Ehmiyat Rakhte Hai,
Ye Lafz Ehmiyat Rakhte Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #242 on: February 03, 2007, 08:40:59 PM »

ZakhmJo Aap Ki Inaayat Hai Is Nishani Ko Kyaa Naam De Ham
Pyaar Deewaar Ban Ke Reh Gaya Hai Is Kahani Ko Kya Naam De Ham

Aap Ilzaam Dhar Gaye Ham Par Ek Ehsaan Kar Gaye Ham Par
Aap Ki Ye Meharbaani Hai Meharbaani Ko Kya Naam De Ham

Aap Ko Yun Hi Zindagi Samjha Dhoop Ko Hamne Chandni Samjha
Bhool Hii Bhool Jis Ki Aadat Hai Ek Javaani Ko Kya Naam De Ham

Raat Sapna Bahaar Ka Dekha Din Hua To Gubaar Sa Dekha
Bewafa WaQt Bezubaan Nikla Bezubani Ko Kya Naam De Ham
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #243 on: February 03, 2007, 08:42:16 PM »

Itne Pyaare Mausam Mein,
Roothna Nahi Achha,
Roothne Manane Ki Baatein,
Kal Pe Hum Chhodte Hai,
Chhoti Si Zindagi Hai,
Aao Aaj Dosti Kar Lein,
Dosti Ke Bandhan Mein,
Roothna Kisne Sikha Hai,
Roothna Nahi Achha,
Roothne Manane Ki Baatein,
Kal Pe Hum Chhodte Hai,
Chhoti Si Zindagi Hai
Aao Aaj Dosti Kar Lein,
Dosti Ke Bandhan Mein,
Roothna Kisne Sikha Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #244 on: February 03, 2007, 08:43:46 PM »

Ek Dilka Nazrana.....
De Kar Tum.....
Ehsan Jatane Lage.....
Maine To Kabse.....
Apni Har Saans.....
Tere Naam.....
RaQam Kar Rakhi Hai.....
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #245 on: February 03, 2007, 08:48:07 PM »

Mujhe Zindagi Mein,
Har Wo Chiz,
Har Wo Aml,
Har Wo Baat,
Har Wo Bandhan,
Aur.....
Har Wo Rishta Pasand Hai,
Jiska Dosti Se Koi TaaluQ Na Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #246 on: February 03, 2007, 08:49:43 PM »

Akela Dekh Ke Tumko
Hamein Ehsaas Hota Hai,
Kabhi Hum Bhi Akele The,
Agarche Shahar Mein,
Dilke Liye Laakhon Jhamele The,
Hazaro Rang Ke Mele The,
Magar Itni Bahut Si Raunako Mein,
Hum Akele The,
Akela Dekhke Tum Ko
Hamein Ehsaas Hota Hai,
Kabhi Hum Bhi Akle The,
Phir Ek Din Humne In Tanhaiyon Se Dosti Kar Li,
Akele Reh Ke Jeene Ka Kareena Aagaya Humko,
Koi Bhi Rut Ho,
Apni Aankh Hargiz Nam Nai Rakhte,
Ye Aalam Hai Ke Ab
Tanhaiyon Ka Gam Nahi Rakhte,
Magar Phir Bhi Hamein Tanha Nazar Ata Hai Jab Koi
To Phir Ehsaas Hota Hai,
Kabhi Hum Bhi Akele The...
* * * * *
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #247 on: February 04, 2007, 05:41:00 PM »
wonderful   Husena.........  bahot  accha likhi  ho.....
Logged
angel4u
Guest
«Reply #248 on: February 04, 2007, 06:18:02 PM »
Hmm...
wiase maine nahi likhe hia... NM...
Bas collection hai..
Thanks for liking....
Logged
angel4u
Guest
«Reply #249 on: February 04, 2007, 06:30:54 PM »

Tere Tabsare Hai Bekhabar Meri Daastan-E-Hayaat Se,
Tu Keh Raha Hai Dil Jise Wo Meri Khwahishon Ki Mazaar Hai,

Tera Shukriya Aye Tabeeb-E-Jaan Ye Khaloos Apni Jagah Magar,
Teri Masihayi Bhi Kya Karein Mera Dard Hi Be-Shumaar Hai,

Mere Raaston Mein Jo Aagaya Mere Qaafle Ko Jo Kha Gaya,
Wo Toofan To Kabka Guzar Gaya Par Dil Mein Ab Tak Gubaar Hai,

Aye Meherbaan Dost Sun Meri Mushkilon Ko Samajh Ke Main
Teri Mohabbaton Ka Kya Karun Kise Dil Pe Ab Ikhtiyaar Hai,

Naye Mausamon Ko Bulao Mat Ke Mujhe Khushbuon Ki Talab Nahi,
Meri Raah Rehne Do Khaar Khaar Mere Liye To Yehi Bahaar Hai,

Jo Nafraton Se Jhulas Gaya Use Dilse Saari Duwayein Do,
Par Us Sitam-Zada Ka Kya Karein Jo Mohabbaton Ka Shikar Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #250 on: February 04, 2007, 06:33:12 PM »

Tere Tabsare Hai Bekhabar Meri Daastan-E-Hayaat Se,
Tu Keh Raha Hai Dil Jise Wo Meri Khwahishon Ki Mazaar Hai,

Tera Shukriya Aye Tabeeb-E-Jaan Ye Khaloos Apni Jagah Magar,
Teri Masihayi Bhi Kya Karein Mera Dard Hi Be-Shumaar Hai,

Mere Raaston Mein Jo Aagaya Mere Qaafle Ko Jo Kha Gaya,
Wo Toofan To Kabka Guzar Gaya Par Dil Mein Ab Tak Gubaar Hai,

Aye Meherbaan Dost Sun Meri Mushkilon Ko Samajh Ke Main
Teri Mohabbaton Ka Kya Karun Kise Dil Pe Ab Ikhtiyaar Hai,

Naye Mausamon Ko Bulao Mat Ke Mujhe Khushbuon Ki Talab Nahi,
Meri Raah Rehne Do Khaar Khaar Mere Liye To Yehi Bahaar Hai,

Jo Nafraton Se Jhulas Gaya Use Dilse Saari Duwayein Do,
Par Us Sitam-Zada Ka Kya Karein Jo Mohabbaton Ka Shikar Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #251 on: February 04, 2007, 06:35:43 PM »

Masjidon-Mandiron Ki Duniya Mein,
Mujhko Pehchante Kahan Hai Log,

Roz Main Chaand Banke Aata Hoon,
Din Mein Suraj Sa Jagmagata Hoon,

Khankhanata Hoon Maa'n Ke Gehno Mein,
Hansta Rehta Hoon Chhup Ke Behno Mein,

Main Hi Mazdoor Ke Paseene Mein,
Main Hi Barsaat Ke Maheene Mein,

Meri Tasveer Aankh Ka Aansu,
Meri Tehreer Jism Ka Jaadu,

Masjidon-Mandiron Ki Duniya Mein,
Mujhko Pehchante Nahi Jab Log,

Main Zameenon Ko Be-Jiyaa Karke,
Aasmano Mein Laut Jaata Hoon,

Main Khuda Banke Kaher Dhaata Hoon...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #252 on: February 04, 2007, 06:37:46 PM »

Ye Aankhein Teri Jaise Do Kanwal,
Kehti Hain Chupke Se Koi Gazal

Ye Aankhein Teri Aur Inki Gehrayee,
Sunaati Hai Jaise Ye Dastaan Koi,

Ye Aankhein Teri Aur Inka Dard,
Dekha To Bas Tadap Uthe Hum

Ye Aankhein Teri, Yaane Paimaane Do,
Khuda Ke Hain, Ye Nazraane Do,

Ye Aankhein Teri, Koi Jaadoo Hain In Mein,
Dekhe To Bhool Jaayein Log Apne Raste,

Ye Aankhein Teri, Nahi In Jaisi Kahin,
Deewaana Kiya Hume In Aankhon Ne Teri...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #253 on: February 04, 2007, 06:45:16 PM »

Ab Bhi Shayar Rahoon, Kiski Khatir Rahoon,
Kaun Hai Jo Mere Lafz-O-Manai Ki Aankhonse Behte Hue,
Aansu Mein Chhipe Dard Chunta Phire,
Khwab Bunta Phire, Kauun Hai Jo Mere Khoon Hote Dil Hue Dilki Awaz Par,
Apni Awaz Ke Honth Rakhta Phire,
Kaun Aankhein Meri Dak Kar Ye Kahe,
Kya Hua JaaneJaan Kabse Soye Nahi,
Isse Pehle Itna Roye Nahi
Ab Bhala Kiske Liye Khoobsurat Si Aankhein Pareshan Hai,
Apni Halat Pe Khud Itna Hairan Hai,
Kaun Bechain Ho Kaun Betaab Ho,
Mausam Hijr Ki Shaam-E-Tanhayi Mein Abla Pai Mein,
Kaun Ho Humsafar
Gird Hai Reh Guzar
Koi Rasta Nahi,
Koi Raah Nahi,
Dar Pe Dastak Ki Koi Gawahi Nahi,
Dilke Weeran-O-Barbaad Safahaat Par,
Jis Kadar Lafz Likhe The Bekaar Hai,
Ek Lambi Judai Ka Asar Hai,
Sochti Hoon Ke Ab
In Khayalon Se Khwab Se Bahar Rahoon,
Kyon Main Shayar Rahoon,
Kiski Khatir Rahoon???
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #254 on: February 04, 2007, 06:53:13 PM »

Hamein Dushman Ki Nigahon Se Na Dekha Kijiye,
Pyar Hi Pyar Hain Hum, Hum Pe Bharosa Kijiye

Chand Yaadon Ke Siwa Haath Na Kuch Aayega
Is Tarah Umr-E-Garezaa'n Ka Na Peecha Kijiye

Roshni Auro Ke Aangan Mein Gawara Na Sahi
Kam Se Kam Apne Hi Ghar Mein To Ujaala Kijiye

Kya Khabar Kab Woh Chale Aayenge Milne Ke Liye
Roz Palkon Pe Nayi Shamma'en Jalaya Kijiye
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 13 14 15 16 [17] 18 19 20 21 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 26, 2024, 02:43:39 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer