Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 157 158 159 160 [161] 162 163 164 165 ... 273
Print
Author  (Read 131614 times)
angel4u
Guest
«Reply #2400 on: September 18, 2008, 02:37:01 AM »

My Love Is Of A Birth As Rare
As 'Tis For Object Strange And High:
It Was Begotten By Despair
Upon Impossibility.

Magnanimous Despair Alone.
Could Show Me So Divine A Thing,
Where Feeble Hope Could Ne'r Have Flown
But Vainly Flapt Its Tinsel Wing.

And Yet I Quickly Might Arrive
Where My Extended Soul Is Fixt,
But Fate Does Iron Wedges Drive,
And Alwaies Crouds It Self Betwixt.

For Fate With Jealous Eye Does See.
Two Perfect Loves; Nor Lets Them Close:
Their Union Would Her Ruine Be,
And Her Tyrannick Pow'r Depose.

And Therefore Her Decrees Of Steel
Us As The Distant Poles Have Plac'd,
(Though Loves Whole World On Us Doth Wheel)
Not By Themselves To Be Embrac'd.

Unless The Giddy Heaven Fall,
And Earth Some New Convulsion Tear;
And, Us To Joyn, The World Should All
Be Cramp'd Into A Planisphere.

As Lines So Loves ObliQue May Well
Themselves In Every Angle Greet:
But Ours So Truly Paralel,
Though Infinite Can Never Meet.

Therefore The Love Which Us Both Bind,
But Fate So Enviously Debars,
Is The Conjunction Of The Mind,
And Opposition Of The Stars.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2401 on: September 18, 2008, 02:38:28 AM »


Khatam-E-Shor-E-Toofan Tha Door Thi Siyaahi Bhi,
Dam Ke Dam Mein Afsana Thi Meri Tabahi Bhi,

Iltafat Samjhun Ya Berukhi Kahoon Isko,
Reh Gayi Khalish Bankar Uski Kamanigaahi Bhi,

Yaad Kar Wo Din Jis Din Teri Sakhtgiri Par,
AshQ Bhar Ke Uthi Thi Meri Begunaahi Bhi,

Shama Bhi Ujala Bhi Main Hi Apni Mehfil Ka,
Main Hi Apni Manzilka Rehbar Bhi Raahi Bhi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2402 on: September 18, 2008, 02:39:03 AM »
WaQt-E-Safar Qareeb Hai Bistar Samet Lun,
Bikhra Hua Hayaat Ka Daftar Samet Lun,

Phir Jaane Hum Milein Na Milein Ek Zara Ruko,
Main Dil Ke Aayine Mein Ye Manzar Samet Lun,

Gairon Ne Jo Suluk Kiye Unka Kya Gila,
Phenke Hai Dostone Jo Patthar Samet Lun,

Kal Jaane Kaise Honge Kahan Honge Ghar Ke Log,
Aankhon Mein Ek Baar Bhara Ghar Samet Lun,

Sail-E-Nazar Bhi Gam Ki Tamazat Se Khushk Ho,
Wo Pyaas Hai Mile To Samundar Samet Lun,

'Ajmal' Bhadak Rahi Hai Zamane Mein Jitni Aag,
Jee Chahta Hai Seene Ke Andar Samet Lun...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2403 on: September 18, 2008, 02:39:20 AM »
Duniya Mein Hono Duniyaka Talabgaar Nahi Hoon,
Bazar Se Guzra Hoon Kharidaar Nahi Hoon,

Zinda Hoon Magar Zist Ki Lazzat Nahi BaaQi,
Har Chand Ki Hoon Hosh Mein Hoshiyar Nahi Hoon,

Is Khana-E-Hasti Se Guzar Jaunga Belaus,
Saya Hoon FaQt NaQsh-E-Deewar Nahi Hoon,

Afasurdaa Hoon Ibarat Se Dawa Ki Nahi Haajat,
Gam Ka Mujhe Ye Zauf Hai Beemar Nahi Hoon,

Wo Gul Hoon Khizaan Ne Jise Barbaad Kiya Hai,
Uljhun Kisi Daaman Se Main Wo Khaar Nahi Hoon,

Yaa Rab Mujhe Mehfuz Rakh Us Butt Ke Sitam Se,
Main Uski Inayat Ka Talabgaar Nahi Hoon,

Afsurdagi-O-Jaur Ki Kuch Hadd Nahi "Akbar",
Kaafir Ke MuQaabil Mein Bhi Deendaar Nahi Hoon...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2404 on: September 18, 2008, 02:39:47 AM »
Kisise Kabhi Dil Lagaya Na Tha,
Mohabbat Ka Sadma Uthaya Na Tha,

Haseeno Ke Rone Pe Hanste The Hum,
Kabhi Ek Aansu Bahaya Na Tha,

Koi Hoor Ho Ya Pari Apna Sar,
Kisi Aastan Par Jhukaya Na Tha,

Siyaan Gesuon Ko Tamanna Rahi,
Magar Dilko Humne Phansaya Na Tha,

Zamane Mein Wo Kaun Tha Zohra-Vash,
Ke Seene Se Jisne Lagaya Na Tha,

Basar Ki Sada Aish-O-Isharat Mein Umr,
Kabhi Ranj Humne Uthaya Na Tha,

Magar Ek Jhalak Ne Hamein Kho Diya,
Ye Sadma To Humne Uthaya Na Tha,

Kiya IshQ Ke Dard Mein Mubtila,
Falat Tune Itna Hansaya Na Tha,
Ke Jiski Awaz Yun Rulane Lage...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2405 on: September 18, 2008, 02:41:02 AM »
Apne Khwabon Mein Tujhe Jisne Bhi Dekha Hoga,
Aankh Khulte Hi Tujhe Dhundne Nikla Hoga,

Zindagi Sirf Tere Naam Se Mansoob Rahe,
Jaane Kitne Hi Dimagone Ye Socha Hoga,

Dost Hum Usko Hi Paigam-E-Karam Samjhenge,
Teri FurQat Ka Jo Jalta Hua Lamha Hoga...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2406 on: September 18, 2008, 02:42:13 AM »
Tadapte Hai Rote Hai Na Hum Fariyad Karte Hai,
Sanam Ki Yaad Mein Hardam Khuda Ko Yaad Karte Hai,

Unhi Ke IshQ Mein Hum Naala-O-Fariyaad Karte Hai,
Ilaahi Dekhiye Kis Din Hamein Wo Yaad Karte Hai,

Shab-E-FurQat Mein Kya Kya Saanp Lehrate Hai Seene Par,
Tumhari Kaakul-E-Pehchaan Ko Jab Hum Yaad Karte Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2407 on: September 18, 2008, 02:42:42 AM »
Kabhi Aansu Kabhi Khushi Bechi,
Hum Garibone Bekasi Bechi,

Chand Saansein Kharidne Ke Liye,
Roz Thodi Si Zindagi Bechi,

Jab Rulane Lage Mujhe Saaye,
Maine UQtaa Ke Roshni Bechi,

Ek Hum The Ke Bik Gaye Khud Hi,
Warna Duniya Ne Dosti Bechi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2408 on: September 18, 2008, 02:43:26 AM »
Tumhare Gam Ka Mausam Hai Abhi Tak,
Lab-E-Tashnaa Pe Shabnam Hai Abhi Tak,

Safar Mein Aable Hi Aable The,
Magar Pairon Mein Dam-Kham Hai Abhi Tak,

Tumhare Band Dar Mujhse Khafa Hai,
Mere Jeene Ka Matam Hai Abhi Tak,

Teri Aab-O-Hawa Raas Aa Gayi Thi,
Bichhad Jaane Ka Kuch Gam Hai Abhi Tak,

Gayi Rutt Mein Hui Thi Fasal Achhi,
Idhar Paani Gira Kam Hai Abhi Tak,

Main Khud Ko Dhundta Phirta Hoon Sab Mein,
Junoon Ka Ek Aalam Hai Abhi Tak...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2409 on: September 18, 2008, 02:46:09 AM »
Aansu Nahi Thamte Hai Aankhon Mein Abhi Tak,
Jaate Hue Rota Wo Mujhe Chhod Gaya Tha,

Armano Ki Duniya Ke Anmol Se Sapne,
Pal Mein Wo Mere Samne Sab Tod Gaya Tha,

Jaan Deta Tha Meri Har Baat Pe Lekin Yun Hi,
Besabab Duniya Se Meri Rukh Mod Gaya Tha,

Din Ki Tanhayi Ka Gam, Raaton Ki Udaasi Humraah,
Saare Gamon Se Rishta Mera Jod Gaya Tha,

Aye Kaash Koi Jaa Ke Usse Puchhe,
Yahan Kiske Sahare Pe Mujhe Chhod Gaya Tha...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2410 on: September 18, 2008, 02:48:30 AM »
Is WaQt Jabke Tum Bhi Nahi,
Koi Aarzu Nahi Koi Justaju Nahi,
Na To Qurbatein Hai Na QehQahe,
Koi Dost, Dushman, Aduv Nahi,
Khada Us Jagah Pe Hoon Jahan,
Jo Main Chahun To Khudko Milun Nahi,

Na To Dil Ye Mera Udaas Hai,
Na Kisike Aane Ki Aas Hai,
Na To Maykashi Mein Hai Dilkashi,
Na Labon Pe Mere Hi Pyaas Hai,

Na To Yaad Mujhko Raha Koi,
Na Kisiko Yaad Main Aa Saka,
Na Tadap Rahi Na Kasak Rahi,
Na Main AshQ Koi Baha Saka,

Ye Bada Ajeeb Sa Daur Hai,
Main, Main Nahi Koi Aur Hai,
Yahan Bezubaan Hai Aah-O-Qarb,
Khamoshiyon Ka Shor Hai,

Yahan WaQt Ab Ye Theher Gaya,
Jo Guzar Gaya Wo Guzar Gaya,
Zara Dekh Mujhko Tatol Kar,
Main Hayat Hoon Ke Mar Gaya,

Koi Ehsaan Hai Jo Kiye Jaata Hoon,
Bas Ke Zinda Hoon Jiye Jaata Hoon,

Thame Thame Se Is WaQt Se,

Bas Itna Puchhna Chahta Hoon Main,
Guzar Gayi Hai Jab Zindagi Yun Hi,
To Ye WaQt Kyon Thama Hai,
Guzar Kyon Nahi Jaata...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2411 on: September 18, 2008, 02:49:36 AM »
Humse Hota Kisi MaQool Bahane Se Alag,
Humne Chaha Tha Jise Saare Zamane Se Alag,

Humse Bichhda To Khula Bhed Ye Hum Par, Ek Shakhs,
Apne Gharse Hi Nahi, Tha Wo Gharane Se Alag,

Tujhse Wabasta Tha Kya Dilse Sabhi Chain-O-Qaraar,
Dil Hua Mujhse Tere Chhod Ke Jaane Se Alag,

Mujhse Kaise Juda Baitha Tha Wo Tareeki Mein,
Na Gahaan Ho Gaya Ek Shamma Jalane Se Alag,

Ghar Ki TaQseem Se Hota Nahi TaQseem Lahoo,
Bhai Hote Nahi Dewear Uthane Se Alag,

Chain Lene Na De Gardish-E-Dauraan Ne Mujhe,
Mera Qissa Hai Mohabbat Ke Fasane Se Alag,

Tanz Ka Teer Nishane Pe Hi Lagta Hai Sada,
Phainka Jaye Ye Kahin Khaah Nishane Se Alag,

Yun To Har Sheher Ne Dikhlaye Kayi Khwab Mujhe,
Teri Basti Ke The Kuch Khwaab Suhane Se Alag,

Uski Maala Mein Tha Ek Ganj-E-Jawaahar ASIM,
Khaal-E-Rukhsaar Ka Moti Tha Khazane Se Alag...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2412 on: September 18, 2008, 02:53:10 AM »
MuQaddar Chhod De Jisko Zamana Chhod Deta Hai,
Khiza Mein Har Parinda Aashiyaan Chhod Deta Hai,

Samajh Lein Lag Rahi Hai Aapki Buniyaad Mein Deemak,
Padosi Jab Kabhi Nazrein Milana Chhod Deta Hai,

Zamane Bhar Ki TaQreerein Asar Mujhpar Nahi Karti,
Magar Ek Lafz Tera Ek Fasana Chhod Deta Hai,

Wo Zalim Bewafa Harjayi Hai Magar Phir Bhi,
Nazar Milte Hi Ek Manzar Suhana Chhod Deta Hai,

Hazaron Koshishein Karke Use Hum Bhool Paaye Hai,
Roz Khidki Mein Koi Khat Purana Chhod Deta Hai,

Zamane Bhar Ki Talwarein Jhuki Aati Hai Kadmon Pe,
Koi Bankar Ke Jab Gautam Gharana Chhod Deta Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2413 on: September 18, 2008, 02:53:50 AM »
Mohabbat Kuch Nahi Chahti Mohabbat Saath Chahti Hai,
Kathin Ho Manzil Ya Aasaan Safar Ho,
Mohabbat Pyar Karne Walon Ka Sath Chahti Hai,
Ek Dusre Par Jaan Nisar Karne Ka Aizaz Chahti Hai,
Mohabbat Kuch Nahi Chahti Mohabbat Saath Chahti Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2414 on: September 18, 2008, 02:55:02 AM »
Arson Se Mujhko Bulaya Hai Maa Ne,
Godi Mein Mujhko Sulaya Hai Maa Ne,

Bade Pyar Se Apni Mithi Zuban Se,
Mera Naam Le Kar Bulaya Hai Maa Ne,

Mujhe Le Ke Apne Narm Bazuon Mein,
Mohabbat Se Jhula Jhulaya Hai Maa Ne,

Sabhi Zakhm Apne Seene Pe Le Kar,
Har Ek Chot Se Yun Bachaya Hai Maa Ne,

Kabhi Mere Mathe Pe Teeka Laga Ke,
Yun Bachpan Mein Mujhko Sajaya Hai Maa Ne,

Khushiyon Ki Dene Ko Yun Saugat Aksar,
Gamon Ko Khudi Pe Yun Dhaya Hai Maa Ne,

Jo Atwar Achhe Nazar Aaye Mujh Mein,
Tareeka Mujhe Ye Sikhaya Hai Maa Ne,

Yun Chehra Dikha Ke Mujhe Roz Apna,
Mujhe Mere Rab Se Milaya Hai Maa Ne,

Aye Shan To Jo Itra Ke Chalta Hai Jo Ab,
Qabil Tujhe Iske Banaya Hai Maa Ne...
Logged
Pages: 1 ... 157 158 159 160 [161] 162 163 164 165 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 17, 2024, 01:35:32 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.24 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer