Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 159 160 161 162 [163] 164 165 166 167 ... 273
Print
Author  (Read 133103 times)
angel4u
Guest
«Reply #2430 on: September 24, 2008, 02:34:50 PM »


Kash Tumhe Dekha Na Hota,
Dil Mein Gam Ke Phool Na Khilte,

Honthon Pe Fariyad Na Hoti,
Tanhaiyon Ke Dard Na Milte,

Marne Ka Armaan Na Hota,
Aaj Itne Majboor Na Hote,

Sab Logonse Ulfat Karte,
Agar Khuda Se Door Na Hote,

Kash Ke Tumhe Dekha Na Hota...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2431 on: September 24, 2008, 02:35:13 PM »



Tumhari Aas Ke Gamlon Mein Rakhe Phool Murjhane Lage Hai,
Judayi Dhup Lagti Hai Bahut Hi Talkh Chubhti Si,
December June Lagta Hai,
Kisike Naam Ki Ghanti Baje, Mujhko Tumhara Phone Lagta Hai,
Tumhare Laut Aane Tak, Najane Kis Kadar Lambi Udaasi,
Aankh Ke Bistar Mein Chhup Ke Ret Likhegi,
Na Jane Kis Kadar Sapnon Ko Degi Beghari Ka Dukh,
Abhi To Phir Bhi Baaki Hai Koi Sapna,
Tumhare Lams Ke Zinda WarQ Par,
Tumhari Khushbuein Zinda Hai, Phoolon Ke Badan Par,
Magar Aisa Na Ho Ke Phool Jal Jayein Kisi Sapne Ke Bujhte Hi,
Tumhara Lams Mar Jaye,
Gulabon Ke Badan Mein Zang Lag Jaye,
Kahin Aisa Na Ho Jana,
Aana Ki Surkh Tehni Par Koi Talwar Ug Aaye,
Kahin Aisa Na Ho Ke, Soch Ki Khidki Mein Koi Wahem Aa Baithe,
Main Is Takmeel Ke Aadhe Safar Mein Hi Na Mar Jaun,
Ye Mausam Jo Adhura Hai, Adhura Hi Na Reh Jaye,
Abhi To Aaina, Chehra Dikhata Hai,
Saraab Hi Sahi Janan Ye Rasta Per Ke Niche Hi,
Abhi To Aas Likhta Hai,
Abhi Hai WaQt Mutthi Mein,
Agarche Ret Ki Maanind Phisalta Jaa Raha Hai,
Par,
Tumhare Laut Aane Tak, Sambhalungi Koi Lamha,
Ye Sara WaQt Girne Se,
Mere Haathonse Behne Se,
Zara Ek Lamha Pehle Tak, Agar Tum Lauto To,
Agar Tum Laut Aao To, Meri Takmeel Ho Jaye...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2432 on: September 24, 2008, 02:35:31 PM »


Bada Kathin Hai Ye Rasta, Jo Aa Sako To Saath Do,
Ye Zindagi Ka Fasla, Mita Sako To Saath Do,

Bahut Fareb Khaoge, Bade Sitam Uthaoge,
Ye Umr Bhar Ka Sath Hi, Nibha Sako To Sath Do,

Jab Main Kahun To Bas Ek Nazar, Luta Sako To Saath Do,
Hazar Imtihaan Yahan, Hazar Aazmaishein,
Hazar Dukh, Hazar Gam, Utha Sako To Sath Do,

Ye Zindagi Yahan Khushi, Gamon Ke Sath Hi,
Rula Sako To Sath Do, Hans Sako To Sath Do...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2433 on: September 24, 2008, 02:36:07 PM »



Ab Aankehin Banjar Hui,
Khwaab Jal Gaye Hai,
Ab Tasveer Teri Mujhse Baate Nahi Karti,
Ab Dastak De Ke Chand
Meri Or Nahi Aata
Tera Haal Nahi Batata,
Ab Hawa Tere Aane Ke Nagme Nahi Gaati,
Ab Saare Mausamon Ne
Khizan Se Dosti Kar Li Hai,
Maine Bhi Dard Se Apni,
Jholi Bhar Li Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2434 on: September 24, 2008, 02:36:59 PM »



Aaj Jab Barish Hui,
Ye Bhi Ek Khayal Aaya,
Kyon Na Ek Badal Ko,
Raazdaar Banaun Main,
Jo Kuch Mujhpar Guzri Hai,
Isko Sab Sunaun Main,
Tumse Jo Bhi Kehna Hai,
Isko Sab Baaton Mein,
Phir Tumhare Dil Par Wo,
Aaj Hi Baras Jaye...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2435 on: September 24, 2008, 02:37:12 PM »


Jo Tumne Thaan Hi Li Hai,
Hamare Dilse Nikloge,
To Itna Jaan Lo Jaana,
Wafa Ki Sidiyon Par Har Qadam Phaila Hua,
Samundar Samne Hoga Agar Sahil Se Nikloge,
Ye Arzuon Ka Lahoo Yunhi Zayaan Na Jayega,
Sitare Jinke Aankhone Hamein Ek Sath Dekha Tha,
Gawahi Dene Aayenge,
Purane Kagazon Ke Balkani Se Bahut Se Lafz Jhankenge,
Tumhe Wapas Bulayenge,
Kayi Waade Fasade Qarz Khwahishon Ke Tarha Raste Mein Rokenge,
Tumhe Daman Se Pakdenge,
Tumhari Jaan Khayenge,
Chhupa Kar Kis Tarah Chehra Bhari Mehfilse Nikloge,
Zara Phir Soch Lo Jana Nikal To Jaoge Shayad,
Magar Mushkil Se Nikloge...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2436 on: September 24, 2008, 02:41:12 PM »




Aaj Phir Chandki Peshani Se Uthta Hai Dhuan,
Aaj Phir Mehki Hui Raat Mein Jalna Hoga,
Aaj Phir Seene Mein Uljhi Hui Vazni Saansein,
Phat Ke Bas Toot Hi Jayenge, Bikhar Jayenge,
Aaj Phir Jaag Ke Guzregi Tere Khwab Mein Raat,
Aaj Phir Chand Ki Peshani Se Uthta Hai Dhuan,
Aaj Phir Mehki Hui Raat Mein Jalna Hoga...
 
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2437 on: September 24, 2008, 02:41:44 PM »



Samundar Puchhta Hai
Ab Wo Dono Kyon Nahi Aate,

Wohi Dono Jo Bhigi Ret Par,
Ek Dusre Ka Hath Thame Door Tak,

Kabhi Hanste Kabhi Kuch Gungunate,
Ya Kabhi Chup Chap Baithe,
Door UfaQ Ki God Mein,
Roposh Honewala Suraj Dekhte,

Aur Aansu Bahate Laut Jaate The,

Samundar Puchta Hai,
Ab Wo Dono Kyon Nahi Aate,

Jo Aate The To Apne Saath,
Kitne Khwab Late The,

Kabhi Saahil Se Dheron Seepiyan Chunte The,
Nange Panv Pani Mein Chale Aate The,

Bhigh Ret Se Nanhe Gharonde Bhi Banate The,
Aur Un Mein Seepiyan Rangeen Si,
Kuch Sangreze,

Yun Sajate The,
Ke Jaise Aaj Ke Jugnu Se Lamhe,
Aane Wale Kal Ki Mutthi Mein Chhupate The,

Samundar Puchhta Hai
Ab Wo Dono Kyon Nahi Aate,

Magar Samundar Ne
Khizaan Ki Siskiyan Leti Hoti,
Ek Shaam Ko,

Us Naujawan Ko Nahi Dekha, Jo Der Talak,
Sar-E-Sahil Raha Baitha,

Phir Usne Dher Sare Khat,
Bahut Se Sukhe Phool
Aur Tasveerein,

Aur Apne Aakhri Aansu,
Samundar Ke Hawale Kar Diye The,

Samundar Puchhte Hai,
Ab Wo Dono Kyon Nahi Aate...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2438 on: September 24, 2008, 02:42:00 PM »



Tumse Mere Baat Hui Thi,
Tumne Mujhko Samjhaya Tha,
Apni Zaat Se Bahar Niklo
Ghar Ko Lauto,
Ghar Ko Dekho,
Aur Bhi Log Tumhare Dam Se Zinda Hai,
Tum Main Apni Saari Khushiyan Dekh Rahe Hai,
Soch Liya Hai,
Dekh Liya Hai,
Laut Aaya Hoon,
Lekin Mere Andar Koi Toot Gaya Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2439 on: September 24, 2008, 02:42:16 PM »



Kabhi Isne Ke Tum Taabeer Ho Aur Khwab Sa Hoon Main,
Ho Tum Bekhwaab Muddat Se Azal Se Jagta Hoon Main,

Jo Puchha Dilka Sauda Kab Kya Kaise Kiya Tumne,
Wo Bola Ek Pal Thehro Yehi To Sochta Hoon Main,

Jo Maine Dasht Par Jaa Ke Pukara Hai Khuda Koi,
Tu Har Zara Pukaar Utha Ke Usko Janta Hoon Main,

Bhala Is Daar Pe Jaa Ke Kis Liye Khali Palat Aaye,
Kaha Manzil Ko Chhu Kar Bhi Laga Ek Rasta Hoon Main,

Abhi Socha Hi Tha Dhundun UfaQ Ke Paar Ka Rasta,
To Dil Bola Mera Socho Kabhi Ka Laapata Hoon Main,

Hawa Boli Samundar Se Tera Bhi Koi Bichhda Hai,
Kaha Jaa Jaa Ke Sahil Pe Usi Ko Dhundta Hoon Main...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2440 on: September 24, 2008, 02:42:34 PM »


Shaam Se Hi Bujha Sa Rehta Hai,
Dil Hai Goya Charag Muflis Ka,

Shab Bhar Tha Intezar Ke Phootegi Roshni,
Jage To Roshni Ko Andhere Nigal Gaye,

Din To Kat Jata Hai Hangamon Mein,
Raat Aati Hai To Bas Aake Theher Jaati Hai,

Neend To Khair In Aankhon Ke MuQaddar Mein Nahi,
Maut Bhi Kya Kahein Jaa Ke Mar Jaati Hai...
 

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2441 on: September 24, 2008, 02:43:15 PM »


Woh Baat Baat Pe Jee Bhar Ke Bolne Wala,
Ulajh Ke Reh Gaya, Doori Ka Kholne Wala,

Lo Saare Sheher Ke Paththar Samet Laaye Hum,
Kahan Hai Hum Ko Shab-O-Roz Tolne Wala,

Hamara Dil To Samundar Tha Usne Dekh Liya,
Bahut Udaas Hua Zeher Gholne Wala,

Kisiki Mauj-E-Rawan Se Kha Gaya Kya Maat,
Wo Ek Nazar Mein Dilonko Tatolne Wala,

Wo Aaj Phir Yehi Dohra Ke Chal Diya,
Main Bhul Ke Nahi Ab Tujhse Bulanewala...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2442 on: September 24, 2008, 02:43:45 PM »


Saath Jo Hai Tumhara To Har Pal Suhana Lagta Hai,
Na Hoga Kabhi Koi Gam Aisa Mujhe Lagta Hai,

Jante To Nahi Hai Ke MustaQbil Mein Likha Kya Hai,
Gar Jo Tum Agar Sath Na Hue To Dar Lagt AHai,

Na Ho Baat Tumse To Dil Mera Bahut Jalta Hai,
Isko Bujhne Mein Ek Zamana Lagta Hai,

Hai Sach Ye Ke Udaas Ho Tum Mujhse Door Hokar,
Par Ye Hansta Chehra Tumhara Ek Bahana Lagta Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2443 on: September 24, 2008, 02:44:52 PM »



Mohabbat Ki Tabiyat Mein,
Ye Kaisa Bachpan Kudrat Ne Rakha Hai,
Ke Ye Jitni Purnai Jitni Bhi Mazboot Ho Jaye,
Ise Taaeed-E-Taza Ki Zaroorat Phir Bhi Rehti Hai,

YaQeen Ki Akhri Had Tak Dilon Mein Lehlehati Ho,
Nigahon Se Tapakti Ho Lahoo Mein Jagmagati Ho,
Hazaron Tarah Ke Dilkash Haseen Hale Banati Ho,
Isi Izhaar Ke Lafzon Ki Hajit Phir Bhi Rehti Hai,

Mohabbat Mangti Hai Yun Gawahi Apne Honeki,
Ke Jiase Tifl-E-Sadan Shaam Ko Ek Beej Boye,
Aur Shab Mein  Barha Uthe,
Zameen Ko Khod Kar Dekhe,
Ke Ab Paudha Kahan Tak Hai,

Mohabbat Ki Tabiyat Mein Ajab Takraar Ki Kho Hai,
Ke Ye IQraar Ke Lafzon Ko Sunne Se Nahi Thakti,
Bichhadneki Ghadi Ho Ya Koi Milneki Saat Ho,
Isse Bas Ek Hi Dhun Hai,
Kaho Mujhse Mohabbat Hai,
Kaho Mujhse Mohabbat Hai,

Kuch Aisi Besukuni Hai Wafa Ki Sarzameeno Mein,
Ke Jo Ahl-E-Mohabbat Ko Sada Bechain Rakhti Hai,
Ke Jaise Phool Mein Khushbu Ki Jaise Hath Mein Tara,
Ke Jaise Shaam Ka Tarah,
Mohabbat Karne Walon Ki Seher Raaton Mein Rehti Hai,
Guman Ke Shakhon Par Aashiyan Banta Hai Ulfat Ka,
Ye Ain Wasl Mein Bhi Hijr Ke Khadshon Mein Rehti Hai,

Mohabbat Ke Musafir Zindagi Jab Kaat Chukte Hai,
Thakan Ki Kirchiyan Chunte Wafa Ki Ajrakein Pehne,
Same Ki Rehguzar Ki Aakhri Sarhad Pe Rukte Hai,
To Koi Doobti Saanson Ki Dori Tham Kar,
Dhire Se Kehta Hai
Ke Ye Sach Hai Na,
Hamari Zindagi Ek Dusre Ke Naam Likhti Thi,
Dhunlka Sa Jo Aankhon Ke Qareeb-O-Door Phaila Hai,
Isika Naam Chahat Hai,
Tumhe Mujhse Mohabbat Hai,
Tumhe Mujhse Mohabbat Hai,
Mohabbat Ki Tabiyat Mein,
Ye Kaisa Bachpana Qudrat Ne Rakha Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2444 on: September 24, 2008, 02:45:09 PM »



Hayat Dast-O-Girebaan Hue Kaza Se Magar,
Hazaron Saanp Nikal Aaye Aasteeno Se,

Bahut Kareeb Thi Manzil Ki Roshni Lekin,
Safeene Jhoom Ke Takra Gaye Safeeno Se...

Logged
Pages: 1 ... 159 160 161 162 [163] 164 165 166 167 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 11, 2025, 02:39:35 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.235 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer