Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 160 161 162 163 [164] 165 166 167 168 ... 273
Print
Author  (Read 131607 times)
angel4u
Guest
«Reply #2445 on: September 24, 2008, 02:45:45 PM »



Kya Sunau Tumko Main Apne Safar Ki Dastan,
Na Koi Rehbar Tha Mera Na Koi Tha Karwan,

Chal Raha Tha Zindagi Bhar Ek Andheri Raah Mein,
Door Tak Taarikiyan Thi Dhundh Thi Aur Tha Dhuan,

Sochta Tha Ek Din Pichhe Ye Gam Reh Jayega,
Khatam Hokar Na Diya Lekin Ye Gam Ka Aasman,

Kyon Bhatakta Main Na Phirta Dehar Ke Toofan Mein,
Na Khuda Koi Na Tha Kashti Meri Thi Bekaran,

Yaad Bhi Mit Jayegi Meri Mere Marne Ke Sath,
Na Rahega Naam Mera Na Mera Koi Nishaan...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2446 on: September 24, 2008, 02:46:22 PM »


Teri Aahat
Sulagti Dopeher Ko Ek Pal Mein Shaam Karti Hai,
Utarti Hai Sawad-E-Hijr Mein Kuch Is Tarah Jaise,
Sada-E-Ashna Koi,
Ghane Gehre Andhere Jangalon Ki BeyaQeeni Mein,
Rukh-E-Manzil Dikhati Hai,
Roshni Ka Kaam Karti Hai...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2447 on: September 24, 2008, 02:46:50 PM »


Mujhe Apne Zabt Pe Naaz Tha,
Sar-E-Bazm Raat Ye Kya Hua,
Meri Aankh Kaise Chhalak Gayi,
Mujhe Ranj Hai Ye Bura Hua,
Meri Zindagike Chirag Ka,
Ye Mizaj Kuch Naya Nahi,
Abhi Roshni Abhi Teergi,
Na Jala Hua Na Bujha Hua,
Mujhe Jo Bhi Dushman-E-Jan Mila,
Wo Pukhta Kar-E-Jehan Mila,
Na Kisi Ki Zerb Ghalat Padi,
Na Kisi Ka Teer Khata Hua,
Mujhe Raste Mein Pada Hua,
Ek Ajnabi Ka Khat Mila,
Kahin Khoon-E-Dil Se Likha Hua,
Kahin Aansuon Se Mita Hua,
Mujhe Humsafar Bhi Mila To Wo,
Sitam Zareef Meri Tarah,
Kayi Manzilon Ka Thaka Hua,
Kayi Raston Mein Luta Hua...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2448 on: September 24, 2008, 02:47:21 PM »



Main Wo Lau Hoon Jo Shama Ke Sath Hi Jal Jaunga,
Jab Dhalegi Shaam Main Bankar Dhuan Ud Jaunga,

RonaQ-E-Mehfil Rahunga Jab Talak Jalta Hoon Main,
Main Bujha To Saath Apne Roshni Le Jaunga,

Mere Daman Mein Andhere Hai Magar Aye Karwan,
Sath Rakhoge Mujhe Main Pasbaan Ban Jaunga,

Na Safar Mein Hoon Koi Na Aas Manzil Ki Mujhe,
Ek Hi Kooche Mein Jalta Hoon Wahin Mit Jaunga,

Kitne Parwane Jale Gam Mein Mere Milkar Gale,
Na Samaje The Ye Na Samjhe Main To Jalta Jaunga,

WaQt Badlega Nayi Mehfil Naye Honge Sukhan,
Sab Badal Jayega Lekin Main Wo Hi Reh Jaunga,

Zindagi Meri FaQt Itni Si Hai Is Deher Mein,
Raakh Hogi Jab Bhi Lau Main Khak Mein Mil Jaunga...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2449 on: September 24, 2008, 02:47:52 PM »



Sab Kuch Aapke Liye,
Hamara Din Hamari Raat
Hamare Subah Hamari Shaam
Hamara Hansna Hamara Rona
Hamara Roothna Hamara Manana
Hamari Mohabbat Hamari Chahat
Hamara Izhar Hamara IQraar
Sab Aapke Liye,
Aap Ko Sochna
Aap Hi Ko Dekhna,
Aap Se Hi Baatein Karna,
Aap Hi Ka Intezar
Hai Ye Intezar Aakhri Saans Tak,
Hamari Zindagi Mein,
Sirf Aap Hi Ke Liye
Sab Kuch Aap Ke Liye...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2450 on: September 24, 2008, 02:48:11 PM »



Tum Is Tarah Wafa Ki Laaj Nibhaye Rakhna,
Apne Aansuon Ko Bhi Aanchal Mein Chhupaye Rakhna,

Kahin Dekh Na Le Ye Duniya Tumko,
Meri Tasveer Ko Dil Mein Chhupaye Rakhna,

Agar Puchhe Ye Mere Baare Mein Koi,
Muskura Kar Tum Isko Jawab Dena,

Keh Dena Hamari Mohabbat Nakam Nahi,
Dono Ke Naseeb Mein Likha Hai Door Rehna...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2451 on: September 24, 2008, 02:48:44 PM »


Teri Yaadon Ke Bina Koi Lamha Guzaara Nahi,
Ek Pal Nahi Jab Tumhe Humne Pukara Nahi,

Meri Nakamiyon Ko Itna Bhi Gum Na Kijiye,
Agar Aap Jeete Hai To Main Haara Nahi,

Ye NaQsh-E-Dard Kaise Utar Jaye Chehre Se,
Maine Abhi Aapka Gam Dilse Utara Nahi...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2452 on: September 24, 2008, 02:49:08 PM »



Mujhe Sahara De De Koi,
Mere Toote Hue Dil Par Haath Rakh De Koi,

Mere Behte Hue AshQon Ko Rok Le Koi,
Mujhe Apne Seene Se Laga Le Koi,

Mere Dilke Sau Tukde Hue Hai,
Is Toote Dilke Tukdo Ko Jod De Koi,

Aaj Tanha Ho Chuka Hoon,
Kash Mujhe Apna Bana Le Koi,

Seene Mein Dard Bahut Ho Chuka Hai,
Kash Is Seena-E-Dard Ko Baant Le Koi,

Ek Pal Ki Khushi Ke Liye Taras Gaya Hoon,
Kash Khushiyan Dene Wala Mil Jaye Koi,

Mujhe Sahara De De Koi,
Mere Toote Hue Dil Pe Haath Rakh De Koi...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2453 on: September 24, 2008, 02:49:21 PM »


Dilki Baat Zubaan Tak Lana Kitna Mushkil Hai,
Haal-E-Dil Auron Ko Sunana Kitna Mushkil Hai,

Ek Hamein Hai Teri Chahat, Ek Duniya Ki Majboori,
Beech Samundar Diya Jalana Kitna Mushkil Hai,

Tum Duniya Ki Shedayi Ho, Main Sapno Ka Bashinda,
Sath Hamein Yun Tera Nibhana Kitna Mushkil Hai,

Ek Nayi Duniya Ki Chahat Le Aayi Hai Kitni Door,
Wapas Laut Ke Ghar Ko Jana Kitna Mushkil Hai,

Wehshat Ke Saaz Pe Raksaan Matam Ke Kuch Alfaaz,
In Hothon Pe Geet Sajana Kitna Mushkil Hai,

Apne Honthon Se Aana Ke Tale Humse Na Khol Payenge,
Door Hote Sathi Ko Bhulna Kitna Mushkil Hai,

Ab To Har Ek Hi Humko Dard Ka Mara Lagta Hai,
Apne Zakhm Logonko Dikhana Kitna Mushkil Hai,

Roz Mujhse Ek Nayi Tamanna Karta Hai Ye Mera Dil,
Is Nadaan Bachhe Ko Samjhana Kitna Mushkil Hai,

Hum Aankhon Se Kehne Wale Tum Honthonse Sunnewale,
Apni Chahat Yun Tumhe Batana Kitna Mushkil Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2454 on: September 24, 2008, 02:49:59 PM »



Tab Yaad Bahut Tum Aate Ho,
Jab Raat Ki Nagin Dasti Hai,
Nass Nass Mein Zeher Utarta Hai,
Jab Chand Ki Kirnein Tezi Se,
Is Dilko Cheer Ke Aati Hai,
Jab Aankh Ke Andar Hi Aansu,
Zanjeeron Mein Bandh Jaate Hai,
Sab Jazbon Par Chha Jaate Ho,
Tab Yaad Bahut Tum Aate Ho,
Jab Dard Ki Jhanjhar Bajti Hai,
Jab Raks Gamon Ka Hota Hai,
Khwabon Ki Taal Lpe Saare Dukh,
Wehshat Ke Saaz Bajate Hai,
Gaate Hai Khwahish Ki Lay Mein,
Masti Mein Jhumte Jaate Hai,
Sab Jazbon Par Chha Jaate Ho,
Tab Yaad Bahut Tum Aate Ho,
Tab Yaad Bahut Tum Aate Ho...
 
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2455 on: September 24, 2008, 02:50:16 PM »



Suno Hum Zamane Se Darne Lage Hai,
Mohabbat Jo Tumse Karne Lage Hai,

Ye Kundilein Aankhon Ki Bujhne Lagi Hai,
Ke Aankhon Mein Dariya Utarne Lage Hai,

Ye Be-WaQt Mausam Ke Tever Badle Kyon,
Ye Patte Kyon Shakhon Pe Mudne Lage Hai,

Hamein Ab Nahi Hai Zamane Ki Hasrat,
Akele Hum Baatein Jo Karne Lage Hai,

Gulon Se Shikwa Hai Na Kharon Se Ranjish,
Hamein Mat Sameto Bikharne Lage Hai,

Meri Jaan Judayi Mein Jalne Lagi Hai,
Ke Raaton Mein Uth Uth Ke Darne Lage Hai...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2456 on: September 24, 2008, 02:50:51 PM »


Jab Bhi Aati Hai Teri Yaad Shaam Ke Baad,
Aur Badh Jati Hai Afsurdadili Shaam Ke Baad,

Ab Iradon Pe Bharosa Hai Na Tauba Pe YaQeen,
Mujhko Le Jaye Kahan Tashnaalabi Shaam Ke Baad,

Yun To Har Lamha Teri Yaad Ka Bojhal Guzara,
Dilko Mehsoos Hui Teri Kami Shaam Ke Baad,

Yun To Kuch Sham Se Pehle Bhi Udaasi Thi,
Ab To Kuch Aur Badhi Dilki Lagi Shaam Ke Baad...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2457 on: September 24, 2008, 02:51:25 PM »



Ye To Nahi Ke Gam Nahi,
Haan Meri Aankh Nam Nahi,

Tum Bhi To Tum Nahi Ho Aaj,
Hum Bhi To Aaj Hum Nahi,

Ab Na Khushi Ki Hai Khushi,
Gam Ka Bhi Ab To Gam Nahi,

Maut Agarche Maut Hai,
Maut Se Zist Kam Nahi...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2458 on: September 24, 2008, 02:51:47 PM »



WaQt Aata Hai Aur Ek Pal Mein Guzar Jaata Hai,
Jaise Har Taar Par Har Saaz Badal Jaata Hai,

Shikwa Karte Ho Tum Tanhayi Ka Is Zeest Mein,
Tanha Bashar Aata Hai Aur Tanha Hi Guzar Jaata Hai,

Samjho To Isse Badi HaQeeQat Nahi Koi,
Khwabon Ke Khilauno Se Har Nafs Bahel Jaata Hai,

Adawaton Ke Khar Bahut Khoob Hai Gar-Cha,
Mohabbaton Ka Phool Khilte Hi Bikhar Jaata Hai,

Chup Reh Kar Kabhi TaaQub Karo Sadao Ka,
Nahi Milta Jo Kabhi To Wo Bhi Mil Jaata Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2459 on: September 24, 2008, 02:52:33 PM »



Ajeeb Rangon Mein Rang Gaye Hai Wafa Ke Jazbe,
Ajeeb Yaadon Mein Dhal Gaye Hai,
Kisiko Apna Na Keh Sake Hum,
Kisiko Apna Na Kar Sake Hum,
Kahin Pe Ranjish Hai Tanha Dil Ki,
Kahin Pe Khwabon Ki Kirchiyan Hai,
Kahin Pe Khoon Hai Armano Ka,
Kahin Pe Shikasta Yaadein,
Bas Yehi Paya Hai Is Duniya Se,
Yehi Mila Hai Hamein Yahan Se,
Ajeeb Rangon Mein Rang Gaye Hai Wafa Ke Jazbe...


Logged
Pages: 1 ... 160 161 162 163 [164] 165 166 167 168 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 17, 2024, 11:39:33 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.218 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer