Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 161 162 163 164 [165] 166 167 168 169 ... 273
Print
Author  (Read 133101 times)
angel4u
Guest
«Reply #2460 on: September 24, 2008, 02:52:46 PM »


Nazar Mili To Nazar Ki Zubaan Samajh Lenge,
Sune Bagair Teri Dastan Samajh Lenge,

Jalega Haath FaQt Hath Kuch Nahi Aayega,
Agar Shararon Ko Hum Titliyan Samajh Lenge,

Hamein Darayega Phir Kaise Khauf-E-Tanhayi,
Hum Apni Zaat Ko Gar Karwan Samajh Lenge,

Abhi To WaQt Ne Majboor Kar Rakha Hai Hamein,
Jo WaQt Badla To Ek Ek Ko Haan Samajh Lenge,

Mere Wajood Se Inkaar Hai Jinhe Hum Bhi,
Unhein Khuda Ki Kasam Benishaan Samajh Lenge,

Mujhe YaQeen Hai Itne Wo Be-Shaur Nahi,
Chhupi Hain Lafzon Mein Jo Bijliyan Samajh Lenge...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2461 on: September 24, 2008, 02:53:12 PM »



Is Zamane Se Na Hum Koi Gila Rakhein,
Dil Lagayein To Na Shart-E-Wafa Rakhein,

Na Dikhayein Kabhi Dilpe Lage Zakhm Unhein,
Dard Uthega Magar Dilko Daba Rakhein,

Jaan De Denge Agar Ek Ishara Kar De,
Hum Use Apne Liye Bhi Na Bacha Rakhein,

Sab Hata Denge Teri Raah Ki Rukawat Humdam,
Ghar Ke Darwaze Ko Har Wakt Khula Rakhein,

Unki Har Baat Ko Bhule Se Na Bhulenge Kabhi,
Unki Yaadon Ko Bhi Seene Se Laga Rakhein,

Toot Bhi Jayegi Ummid Jo Tere Aane Ki,
Ek Diya Phir Bhi Hawaon Mein Jala Rakhein...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2462 on: September 24, 2008, 02:53:37 PM »


Pata Tha Jis Qadar Gehri Meri Deewangi Hogi,
Gamon Ka Daayron Mein Qaid Meri Zindagi Hogi,

Ajab Hai Muskurata Hoon To Aansu Behne Lagte Hai,
Na Jane Kis Tarah Ke Phir Meri Sanjeedgi Hogi,

Bade Shaffaf Paani Mein Qadam Maine To Rakha Tha,
Naa Jana Tah Ye Maine Har Taraf Aaloodgi Hogi,

Mere Daaman Ko Jo Tumne Kiya Hai Chaak Honthon Se,
Koi Samjhega Kya Phoolon Mein Itni Karkhtgi Hogi,

Kaho To Laut Jaun Phir Unhe Behiss Andheron Mein,
Jo Mere Sath Cahlne Se Tumhe Aashuftgi Hogi,

Chali Jaa Chhod De Aye Zindagi Daman Bacha Apna,
Ke Yun Mar Mar Ke Jeene Se Bhali Alaidgi Hogi,

Yahan Jo Mil Raha Hai Har Koi Badh Kar Khuloos Se,
Yahan Dhokon Mein Bhi Badi Sha'istgi Hogi...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2463 on: September 24, 2008, 02:53:56 PM »


Lo Apna Jahan Duniya Walo Hum Is Duniya Ko Chhod Chale,
Jo Rishte Naate Jode The, Wo Rishte Naate Tod Chale,

Kuch Sukh Ke Sapne Dekh Chale, Kuch Dukh Ke Sapne Jhel Chale,
TaQdeer Ki Andhi Gardish Mein, Jo Khel Khele Khel Chale,

Har Chiz Tumhe Lauta Di, Hum Leke Nahi Kuch Saath Chale,
Phir Dosh Na Dena Logon, Hum Dekh Lo Khali Haath Chale...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2464 on: September 24, 2008, 02:57:09 PM »


MuQaddar Chhod De Jisko Zamana Chhod Deta Hai,
Khizan Mein Har Parinda Aashiyan Chhod Deta Hai,

Samajh Lein Lag Rahi Hai Aapki Buniyaad Mein Deemak,
Padosi Jab Kabhi Nazrein Milana Chhod Deta Hai,

Zamane Bhar Ki TaQreerein Asar Mujh Par Nahi Karti,
Magar Ek Lafz Tera Ek Fasana Chhod Deta Hai,

Wo Zaalim Bewafa Harjayi Hai Magar Phir Bhi,
Nazar Milte Hi Ek Manzar Suhana Chhod Dete Hai...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2465 on: September 24, 2008, 02:57:28 PM »


Mat Is Khwab Ke Pichhe Bhago,
Pathar Bankar Reh Jaoge,
Tez Bahut Hai WaQt Ka Dariya,
Tum Bhi Is Mein Beh Jaoge,
Ye Nishtar, Jaise Ruswayi,
Bolo Kaise Seh Paoge,
Kya Bachhon Jaisi Baaton Se,
Tum Sab Ko Behla Sakte Ho,
Kya Tum Apne Man Ki MantaQ
Duniya Ko Samjha Sakte Ho,
Khwabon Jaisi Baatein Karke,
Kya Tabeerien Paa Sakte Ho,
Baap Ki ShafQat, Maa Ki Mamta,
Kya Sach Much Thukra Sakte Ho,
Jis Ghar Mein Parwaan Chadein Tum,
Kya Usko Chhod Ke Aa Sakte Ho,
Aisi Baatein Namumkin Hai,
Na Mumkin Baatein Mat Socho,
Bas Tum Apni Tanhayi Mein
Hijr Ke Geet Gaa Sakte Ho...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2466 on: September 24, 2008, 02:57:50 PM »



Aye Kash Koi Aisa To Hota,
Jo Laa Deta Mere Khwab Sare,
Jo Meri Samundar Aankhon Se Chun Leta Azaab Sare,
Jiski Sangat Mein Mujhe Apne Hone Ka Ehsaas Hota,
Mera Har Aansu Uske Liye Azab Hota,
Par Aye Dil-E-Nadan Mujhe Pata Hai,
Mera Wajood Kis Mitti Se Bana Hai Mujhko Pata Hai,
Mere Sare Gam Mere Hai,
Ye Tanhaiyan Bhi Meri Hai,
In Samundar Aankhon Ke Azab Bhi Mere Hai,
Mera Har Aansu Bhi Sirf Mera Hai,
Izzat-Daron Ke Is Sheher Mein,
Ye Izzat Ka Janaza Bhi Mera Hai,
Gairat Ke In Darbaron Mein,
Ye Chhalni Wajood Bhi Mera Hai,
Rasm-O-Riwaj Ke Is Kafs Mein,
Qaid Ye Rooh Bhi Meri Hai,
Mera Har Khwab Sheesha Hai,
Aur Ye Insaan Pathar Saare,
Aye Kash Koi Aisa To Hota,
Jo Mere Dukhte Seene Par,
Tasalliyon Ke Hath Rakh Kar,
Mere Sulge Hue Jazbaat Ko,
Is Jalte Hue Aftaab Ko,
Ye Keh De Tu Akela Nahi,
Main Bhi Tere Sath Jalta Hoon,
Aye Kaash Koi Aisa To Hota...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2467 on: September 24, 2008, 02:58:19 PM »


Aakhri Baar Milo Aise Ke Jalte Hue Dil
Raakh Ho Jayein, Koi Aur TaQaza Na Karein,
Chaak-E-Waada Na Sile, Zakhm-E-Tamanna Na Khile,
Saans Hamvaar Rahe, Shamma Ki Lau Tak Na Hile,

Baatein Bas Itni Ke Lamhe Unhe Aa Kar Gin Jayein,
Aankh Uthaye Koi Ummid To Aankhein Chhin Jayein,
Us MulaQat Ka Is Baar Koi Wehem Nahi,
Jisse Ek Aur Mulakat Ki Soorat Nikle,

Ab Na Hai Jaan-O-Junoon Ka Na Hikaayat Ka WaQt,
Ab Na Tajdeed-E-Wafa Ka Na Shikayat Ka WaQt,
Lutt Gayi Sheher-E-Hawadis Mein Mata-E-Alfaaz,
Ab Jo Kehna Hai To Kaise Koi Noha Kahiye,

Aaj Tak Tumse Rag-E-Jaan Ke Kayi Rishte The,
Kalse Jo Hoga Use Kaun Sa Rishta Kahiye,
Phir Na Dekhenge Kabhi Aariz-O-Rukhsar, Milo,
Maatami Hai Dam-E-Rukhsat Dar-O-Deewar, Milo,
Phir Na Hum Honge, Na IQraar, Na Inkaar, Milo...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2468 on: September 24, 2008, 03:02:58 PM »


Jo Chaho Agar To Tum Aisa Karo,

Ehsaas Ke Saare Rishte Tod Do,
Pyaar Ke Saare Bandhan Khol Do,
Dilse Apne Bhula Do Mujhe,
Aur Phir Kabhi Na Yaad Aao Mujhe,

Dua Hai Meri Khuda Se Ke,

Har Kadam Tumhara Manzil Ki Taraf Uthe,
Aakash Ke Sitaro Ko Chhu Lo Tum,
Khushiyan Har Dam Tumhari Raah Take,
Jugnu Ki Tarah Jhilmilao Tum,

Kash Ke Aisa Ho Jaye,

Kisi Kadam Par Mehsoos Na Ho Kami Meri,
Kisi Makaam Par Mujhko Yaad Na Karo Tum,
Khushiyon Mein Aise Apni Magan Raho,
Kabhi Mazi Ke WarQ Na Palto Tum...

Magar Ye Bhi Yaad Rakhna,

Agar Kisi Manzil Par Pahuch Kar Koi Dard Mil Jaye,
Aankh Tumhari Jo Kabhi Purnam Ho Jaye,
Kabhi Kisi Apne Ki Kami Mehsoos Karo To,
To Tum Mujhe Pukar Lena,

Aur Agar Ye Bhi Na Kar Pao To,

Dilko Apne Samet Lena,
Aur Bas Yaad Mujhe Tum Kar Lena,
Aankhon Ke Dwaron Ko Band Kar Lena,
Mehsoos Mujhe Tum Kar Lena,

Aur Phir Yun Karna Ke,
Saare Raaz Apne Dil Ke Tum Mujhse Keh Lena,
Saare Dard Apne Dil Ke Tum Mujhse Baant Lena,

Bas Meri Ek Aakhri Khwahish Yaad Rakhna...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2469 on: September 24, 2008, 03:04:09 PM »



Khamoshi Mein Shor Tha Maine Suna Kuch Bhi Nahi,
Usne Sab Kuch Keh Diya Lekin Kaha Kuch Bhi Nahi,

Tujhko Kya Malum Aye Jaan-E-Jahan Tere Bagair,
Mera Jeewan Kat Gaya Aur Main Jiya Kuch Bhi Nahi,

Hukum Humko Mila Uske Siwa Kuch Mangiye,
Uthgayi Dast-E-Taalib Par Mudua Kuch Bhi Nahi,

Teri Khatir Umar Bhar Ka Ratt Jaga Humko Qabool,
Chahaton Mein Ek Shab Ka Jagna Kuch Bhi Nahi...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2470 on: September 24, 2008, 03:05:05 PM »



Ab Ke Ehad Kiya Hai,
Is Saal Ki Aakhri Dhalti Sham Ke Sath,
Teri Yaadon Ke Suraj Ko Bhi Alwida Kar Dunga,

Ab Ke Baad Rattjagon Ka Ye Safar,
Chaand Ko Tanah Hi Taye Karna Hoga,

Main Tere Jhuthe Sache Lafzon Se Bane,
Kachhe Pakke Rishton Ki Kamzor Dori Hoon,
Ke Jise Jodte Jodte Khud Toot Gaya Hoon,
Use Khud Hi Tod Dalunga,
Ke Bahut Jhel Liya Dard,
Teri Majbooriyon Ke Hijabon Ka,
Kisi Kitab Mein Rakh Ke,
Bhule Hue Murjhaye Gulabon Ka,

YaQeen Aur BeyaQeeni Ki,
Aankh Micholi Se Bante,
Tapte Hue Sirabon Ka,

Teri Wapsi Ki Raah Takti,
Pathrayi Hui Aankhon Ki Palkon Par,
Bikhre Hue Chand Khwabon Ka,
Na Khatam Hone Wale Azabon Ka,

Ab Ki Baar Khushiyonki Pehli Kiran,
Mere Dil Mein Phootegi,
Aur Naye Saalki Pehli Seher,
Mere Andar Ke Sab Aansu Nikal Kar,
Dharti Ki God Shabnam Se Bhar Degi...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2471 on: September 24, 2008, 03:06:09 PM »



Ye Kehna Raat Guzarti Hai Ab Bhi Aankhon Mein,
Tumhari Yaad Ka Qaayim Hai Silsila Kehna,

Ye Kehna Chaand Utarta Hai Baam Par Ab Bhi,
Magar Nahi Wo Shab-E-Maah Ka Maza Kehna,

Ye Kehna Masnd-E-Shakh-E-Namoo Pe Tha Jo Kabhi,
Wo Phool Surat-E-Khushbu Bikhar Gaya Kehna,

Ye Kehna Qarya-E-Jaan Mein Hai Dam Bakhud Sab Log,
Tamaam Sheher Hua MaQtal Nawa Kehna,

Ye Kehna Hasrat-E-Tameer Ab Bhi Hai Dil Mein,
Bana Liya Hai Makaan To Makaan Numa Kehna,

Ye Kehna Humne Hi Toofan Mein Daal Di Kashti,
Qusoor Apna Tha Dariya Ko Kya Bura Kehna,

Ye Kehna Ho Gaye Hum Itne Maslehat Andesh,
Chale Jo Loo To Use Bhi Khunak Hawa Kehna,

Ye Kehna Haar Na Mani Kabhi Andheron Se,
Bujhe Chirag To Dilko Jala Liya Kehna,

Ye Kehan Tumse Bichhad Kar Bikhar Gaya,
Ke Jaise Hath Se Gir Jaye Aayina Kehna...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2472 on: September 24, 2008, 03:06:28 PM »

Main Apna Aaj Apna Kal Tumhare Naam Karta Hoon,
Main Is Jeevan Ka Har Pal Tumhare Naam Karta Hoon,

Mera Guzra Hua Kal To Meri Maazi Ka Hissa Hai,
Main Apna Aaj Apna Kal Tumhare Naam Karta Hoon,

Khizan, Sardiyan, Garmi, Baharein, Baarishein, Jara
Main Har Mausam Ka Har Pal Tumhare Naam Karta Hoon,

Tumhara Dukh, Udasi, Gam, Sabhi Ranj-O-Alam Lekar,
Main Ye Khushiyon Bhari Chagal Tumhare Naam Karta Hoon,

Sitare Aasman Ke Sab Tumhari Mang Mein Bhar Kar,
Shab-E-Tera Ka Sab Kajal Tumhare Naam Karta Hoon,

Tumhare Bin Ye Har Ek Pal Mujhe Bechain Rakhta Hai,
Main Apna Dil Hai Jo Bekal, Tumhare Naam Karta Hoon,

Barasta Bhigta Mausam Hai Kamzori Meri Lekin,
Main Ye Sawan, Ghata, Badal Tumhare Naam Karta Hoon...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2473 on: September 24, 2008, 03:06:56 PM »


Maine Dilse Lakh Kaha,
Ke Kisike Pyar Mein Tera Itna Tadapna Thik Nahi,
Dilko Sambhal Ke Rakh,
Ye Tere Dilka Itna Yunhi Machalna Thik Nahi,
Dil Bola Majboori Hai,
Kisiki Aas Abhi Tak Adhuri Hai,
Maine Dilse Lakh Kaha,
Ke Itna Mat Pagal Ho Jao Tum,
Ke Ek Din Ye Pagal Chhod Kar Chale Na Jayein,
Hasegi Khushi Tumpar,
Rote Hi Reh Jaoge Ek Din Yun Tum,
Dil Bola Majboori Hai,

Is Dilko Ab To Kisiki Zaroorat Hai,
Akele Pan Se Darta Hoon Main,
Isiliye Kisi Ki Aas Banaye Baitha Hoon Main,
Ye Mera Pagal Dil Dhadakta Hai Yun
Kisike Liye,
Maine Dilse Lakh Kaha
Ke Tu Itna Pagal Na Ban,
Warna Tadapta Reh Jayega Tanha,
Aur Ho Ja Tu Gumsum,
Shikayat Mat Karna Baad Mein,
Ke Maine Tujhe Roka Nahi,
Are Dil Agar Tu Tut Gaya,
To Mujhe Yun Tum Baad Mein Rulana Nahi,
Maine Dilse Lakh Kaha
Ke Tu Itna Nadan Nahi,
Pyar Sambhal Ke Kar,
Warna Pachhtayega Baad Mein Yunhi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2474 on: September 24, 2008, 03:07:53 PM »


Kabhi Kabhi Ye Dil Chahta Hai
Tumhari Shaamon Ka Haal Puchun,
Sawal Puchhun,
Ke Fikr-E-Farda Mein Kaisi Guzri,
Yunhi Kabhi Meri Naam Aya Tumhare Honthon Pe Ek Pal Ko,
Meri Mohabbat Ki Yaad Mehki Kabhi Tumhare Bhi Raston Mein,
Kabhi Kisi Din Tumhari Subah Ke Dar Par,
Jaagi Sada-E-Dastak,
Kabhi Ibadat Ki Kaifiyat Mein,
Tumhe Mera Gumaan Guzra,
Tumhare Sehen-E-Dua Se Mera Bhi Dhyan Guzra,
Kabhi Kabhi Dil Ye Chahta Hai Sawal Puchhun,
Magar Main Chup Hoon,
Hamara Mabain Ye Jo,
Deewar-E-Ajnabiyat Hai Ye Ganeemat Hai,
Isi Mein TauQeer-E-Harf-O-Lab Hai,
Yahin Pe TarQ-O-Talab Ki Hadd Hai...
Logged
Pages: 1 ... 161 162 163 164 [165] 166 167 168 169 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 11, 2025, 01:53:58 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.231 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer