Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 162 163 164 165 [166] 167 168 169 170 ... 273
Print
Author  (Read 133093 times)
angel4u
Guest
«Reply #2475 on: September 24, 2008, 03:09:48 PM »


Dil Pe Kisi Ne Dastak Di,
Tum Ho Ya Tanhayi Hai,

Jagte Hai Wo Aankhon Mein,
Jisne Neend Churayi Hai,

Hosh Ude Hai Aaj Hawaon Ke,
Jaane Kiski Khushbu Aayi Hai,

Tumse Milkar Bhi Tumse Doori Hai,
Pyaar Mein Fasla Zaroori Hai,

Chahe Milna Ho Ya Bichhadna Ho,
Ek Kahani Abhi Adhuri Hai...
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #2476 on: September 24, 2008, 10:33:01 PM »
Bohat Umdah Angel..
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2477 on: September 25, 2008, 02:56:56 AM »
Thanks aryaan...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2478 on: September 29, 2008, 02:50:19 AM »


Hamein Khabar Hai Hum Ahl-E-Dil Ka Mohabbaton Mein Ye Haal Hoga,
Bahar Mein Bhi Wo Habs Hoga Ke Saans Lena Mahal Hoga,

NaQoosh Dhundla Gaya Hai Jiske, Khayal Jiska Dhuwan Dhuwan Hai,
Wo Zard Patton Ke Kore Kagaz Pe Likhi Koi Misaal Hoga,

Jo Napti Hai Musafaton Ko, Lateef Jazbon Ki Shiddatein Hai,
Kahin Sadi Sa Atoon Ki Had Mein, Kahin Pe Lamha Bhi Saal Hoga,

Mujhe Hai Siyad Se Wo Nisbat Ke Mujhko Manzoor Hai Aseeri,
Qafas Ki Aagosh Se Jo Nikla To Us Atoon Ka Wabal Hoga,

Tumhare Lehje Ki Talkhiyon Ko Bhula Ke Ek Baar Mil To Loon Main,
Magar Ho Itna YaQeen Mujhko, Bichhad Ke Tumko Malal Hoga...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2479 on: September 29, 2008, 02:51:04 AM »



Log Mohabbat Mein Dil Dete Hai,
Hum Apni Jaan Dete Hai,
Hum Apni Duniya Se Kuch Mukhtalif Hai,
Apni Sochein Tujhe Dete Hai,
Hum To Apne Alfaz Tujhe Dete Hai,
Hum To Apne Jazbaat Tujhe Dete Hai,
Hum To Apne Tasavvur Ke Hijaab Tujhe Dete Hai,
Hum To Apne Dilke Gulshan Ke Gulaab Tujhe Dete Hai,
Bahut Mushkil Se Bune Hue Hai Jo,
Wo Nazuk Khwab Tujhe Dete Hai,
Haan Jaan
Hum Tumko Sab Kuch Dete Hai,
Sirf Ek Aarzu Hai,
Tujhse Tujhko Mangte Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2480 on: September 29, 2008, 02:51:31 AM »


Mere Dilpe Kisika Raaj Aaj Bhi Hai,
Jitna Tha Pehle Itna Zalim Samajh Aaj Bhi Hai,

Mana Ke Gam Khushiyon Ko Mita Dete Hai Lekin,
Pehle Ki Tarah Banda Ye Khush Mizaj Aaj Bhi Hai,

Tum Ye Samajhti Ho Ke Main Adi Ho Chuka Hoon Sitam Ka,
Halan Ke Mujhe Kal Bhi Tha Ehtajaj Aaj Bhi Hai,

Khuda Jhuth Na Bulwaye Mujhse Ke Wo Shakhs,
Mohabbatka Kal Bhi Tha Mohtaj Aaj Bhi Hai,

Mareez Apni Maulij Ka Sitam Zareefi Ka Shikar Hai,
Haan Ye IshQ La-Ilaj Kal Bhi Tha Aaj Bhi Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2481 on: September 29, 2008, 02:52:25 AM »

Zindagi Ke Faisle Mein,
Humne Ye Bhi To Na Socha,
Khoobsurat Khwab Se Badh Ke,
Koi Hota Hai Na Dhoka,
Khushiyon Ke Mausam Ho,
Ya Ho Gam Ke Saye,
Jeena Hi Padta Hai,
Gar Dil Toot Bhi Jaye,
Dilki Tamanna
Reh Gayi Dil Mein,
Har Lamha Hai
Ab Muskil Mein
Le Gayi Maujein
Sab Kuch Apna
Kya Rakha Hai
Ab Sahil Mein
Chahat Mein Jab Koi
Milke Na Mil Paye
Sagar Ke Hote Bhi
Dil Pyasa Reh Jaye

Zindagi Ke Faisle Mein
Humne Ye Bhi To Na Socha
Khubsurat Khwab Se Badhke
Koi Hota Hai Na Dhoka
Jo Milna Hai
Jo Khona Hai
Kho Ke Rahega
Kitni Bhi Karle
Koshish Koi
Jo Hona Hai
Hoke Rahega
WaQt Kabhi Dard-E-Dil
Deke Yun Tadpaye
Aur Kabhi Zakham Ka
Khud Marham Ban Jaye

Zindagi Ke Faisle Mein
Humne Ye Bhi To Na Socha
Khoobsurat Khwab Se Badhke,
Koi Hota Hai Na Dhoka
Khushiyon Ke Mausam Ho
Ya Ho Gam Ke Saye
Jeena Hi Padta Hai
Gar Dil Toot Bhi Jaye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2482 on: September 29, 2008, 02:53:24 AM »
Mera Dost Mujhko Daga De Gaya,
Chaha Use Bahut Magar Wo Jafa De Gaya,

Raha Mere Paas To Gairon Ki Tarah
Jate Hue Apna Pata De Gaya,

Bhulaya Na Jaa Sakega Use Kabhi,
Wo Zalim Mujhe Aisi Saza De Gaya,

Gamon Ka Ilaj To Tha Uske Paas,
Phir Bhi Wo Bas Dua Hi De Gaya,

Majroh Kar Gaya Wo Qalb-E-Mubeen Ko,
Zakham Wo Hamein Ye Sada De Gaya...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2483 on: September 29, 2008, 02:53:53 AM »

Ek Roz Koi To Sochega
Farzano Ki Is Basti Mein
Ek Shakhs Tha Pagal Pagal Sa,
Par Batien Thik Hi Kehta Tha,
Barish Ki Tarah Par Zor N Atha
Dariya Ki Tarah Chup Rehta Tha,
Jisse Ise Pyar Tha Bala Ka Tha
Taane Bhi Inhi Ke Sehta Tha
Ek Shakhs Tha Pagal Pagal Sa
Par Baatein Thik Hi Kehta Tha,
Ek Roz Koi To Sochega
Duniya Ne Ise Kuch Bhi Na Diya,
Par Usne Jag Ko Pyar Diya
Jaan Rote Rote Kho Baitha
Dil Haste Haste Haar Diya
Jo Nazm Likhi Bharpur Likhi
Jo Sher Diya Shahkar Diya
Kyon Jeete Jee Dargor Hua
Kis Chah Pe Tan Mann Waar Diya
Tha Dushman Kaun Bichare Ka
Kis Ranj Ne Isko Maar Diya
Ek Roz Koi To Sochega
Aur Pehro Baithke Royega...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2484 on: September 29, 2008, 03:01:34 AM »


Koi Kesu, Koi Aanchal Hamein Awaz Na De,
Ab Kisi Aankh Ka Kajal Hamein Awaz Na De,

Hum Hai Khamosh To Khamosh Hi Rehne Do Hamein,
Koi Aahat Koi Halchal Hamein Awaz Na De,

Humne Tanhayi Ko Mehboob Bana Rakha Hai,
Raakh Ke Dher Ne Sholon Ko Daba Rakha Hai,

Phir Pukara Hai Mohabbat Ne Hamein Kya Kijiye,
Di Sada Husnki Jannat Ne Hamein Kya Kijiye,

Jiske Saye Se Bhi Aksar Hamein Dar Lagta Tha,
Chhu Liya Aakhir Use Hasrat Mein Kya Kijiye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2485 on: September 29, 2008, 03:01:54 AM »
Ab Ke Baras Bhi Wo Nahi Aaya Bahaar Mein,
Guzrega Aur Ek Baras Intezaar Mein,

Ye Aag IshQ Ki Hai Bujhaane Se Kya Bujhe,
Dil Tere Bas Mein Hai Na Mere Ikhtiyaar Mein, 

Hai Toote Dil Mein Teri Mohabbat Tera Khayaal,
Khush-Rang Hai Bahaar Jo Guzri Bahaar Mein,

Aansu Nahi Hai Aankhon Mein Lekin Tere Bagair,
Wo Kaanpte Hue Hai Dil-E-Bekarar Mein...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2486 on: September 29, 2008, 03:02:16 AM »
Nagri Nagri Phira Musafir Ghar Ka Rasta Bhool Gaya,
Kya Hai Tera Kya Hai Mera Apna Paraya Bhool Gaya,

Apni Beeti Jag Beeti Hai Jab Se Dilne Jaan Liya,
Hanste Hanste Jeevan Beeta Rona Dhona Bhool Gaya,

Andhyare Se Ek Kiran Ne Jhaank Ke Dekha Sharmayi,
Dhund Si Chhayi To Yaad Rahi Kaisa Chehra Bhool Gaya,

Hansi Hansi Mein Khel Khel Mein Baat Ki Baat Mein Rang Gaya,
Dil Bhi Hote Hote Aakhir Ghaav Ka Rishta Bhool Gaya,

Ek Nazar Ki Ek Hi Pal Ki Baat Hai Dori Saanson Ki,
Ek Nazar Ka Noor Mita Jab Ek Pal Beeta Bhool Gaya,

Jisko Dekho Uske Dil Mein SHaiva Hai To Itna Hai,
Hamein To Sab Kuch Yaad Raha Par Humko Zamana Bhool Gaya,

Koi Kahe Ya Kisne Kaha Tha Keh Do Jo Kuch Jee Mein Hai,
Miraji Keh Kar Pachhtaya Aur Phir Kehna Bhool Gaya...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2487 on: September 29, 2008, 03:03:04 AM »


Main Tumse Milna Chahta Hoon,
Kahin Bhi.....Kisi Bhi WaQt,
Phoolon Ki Wadiyon Mein Jahan Khushbu Hamari Razdar Ho,
Badalon Ke Sang Jahan Dhanak Rang Bikhre Ho,
Teri Duniya Mein Jahan Aabad Khushiyon Ke QahQahe Ho,
In Berang-O-Benoor, Beaab-O-Gayah Sehraon Mein,
Har Zara Jahan Ka, RafeeQ-E-Haal Hai Mere Qadam Ke Aablon Ka,
Ya Phir Yunhi Sar-E-Raah Chalte Hue,
Main Tumse Milna Chahta Hoon, Zara Si Der Ke Liye,
Teri Masroof Hayat Ke Khayal Bhi Hai,
Muddat Se Lekin,
Mere Lab Pe Ek Sawal Bhi Hai,
Bas Ek Mukhtaser Sa Sawal,
Tera Jawab Ke Usse Bhi Mukhtaser Ho Shaid,
Sawal....Ke Teri Zulf Ke Pech-O-Kham Se Pechida Bhi Nahi,
Sawal....Ke Teri Qamat-E-Qayamat Se Dara Bhi Nahi,
Haan....Tere Aariz-E-Gulgoon Ki Mithas Rakhta Hai,
Khushk Hothon Pe Apen Lekin,
Ek Talab, Ek Khalish, Ek Pyaas Rakhta Hai,
Tum Apne Zehen Ke Tamam Khane Khangaal Dalo,
Wo Sab AsbaaQ Dohra Lo, WaQt Ne Jo Tumhe Padhe Hai,
Awaz Do Un Alfazko, Jo Teri Yaad Mein Samne Hai,
Phir Bhi....
Mujhe Dar Hai Ke Tum Lajawab Na Ho Jao,
Wo Sawal Hi Aisa Hai,
Ke Tum Se Koi Jawab Na Ban Padega,
Tum Ko Apni Zehnat Ka Dawa Hai To Suno,
Main Puchhta Hoon
Tum Mujhe Kyon Yaad Aate Ho???
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2488 on: September 29, 2008, 03:03:41 AM »



Log!
Mere Lafzon Ko Moti Se Tasbeeh Dete Hai,
Wo Kehte Hai
Aapke Lafz Hamare Liye Bahut Keemti Hai,
Aapki Shairi Hum Apne Pyaron Ko Likh Kar Bhijwate Hai,
Unhe Apni Chahat Ka Ehsaas Dilate Hai,
Aur Yun,
Ke Phir Wo Hamare Hi Ho Jate Hai,
Aapke Lafz Hamare Liye Roshni Hai,
Zindagi Hai,
Unhe Kyab Ataun,
Mujhe Apne Lafzon Se Kitni Shikayat Hai,
Ye Us WaQt Chup Ho Gaye The,
Jab Unhe Bolna Tha...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2489 on: September 29, 2008, 03:04:23 AM »
Tujhko Chahe Aur Tera Hi Intezar Kare,
Pagal Ye Dil Bas Tujhise Pyaar Kare,

Teri Yaad Aaye To Dhunde Tujhko Har Taraf,
Khudko Bhi Qarar Nahi Mujhko Bhi Bekarar Kare,

Pagal Ye Dil Bas Tujhi Se Pyaar Kare,
Tujhko Chahe Tujhpe Mitne Ki Tamanna Kare,

Tujhse To Kuch Keh Na Paaye Bas Khud Se IQraar Kare,
Pagal Ye Dil Bas Tujhi Se Pyaar Kare...
Logged
Pages: 1 ... 162 163 164 165 [166] 167 168 169 170 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 11, 2025, 11:45:34 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.226 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer