Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 163 164 165 166 [167] 168 169 170 171 ... 273
Print
Author  (Read 131601 times)
angel4u
Guest
«Reply #2490 on: September 29, 2008, 03:05:05 AM »
Barso Ke Baad Dekha Ek Shakh Dilruba Sa,
Ab Zehen Mein Nahi Hai Par Naam Tha Bhala Sa,

Alfaaz The Ke Jugnu Awaz Ke Safar Mein,
Ban Jaye Jagalon Mein Jis Tarah Rasta Sa,

Khwabon Mein Khwaab Uske Yaadon Mein Yada Uski,
Neendon Mein Ghul Gaya Ho Jaise Ek Ratjaga Sa,

Pehle Bhi Log Aaye Kitne Hi Zindagi Mein,
Wo Har Tarahse Lekin Auron Se Tha Juda Sa,

Tewar The Berukhi Ke Andaz Dosti Ka,
Wo Ajnabi Tha Lekin Lagta Tha Aashna Sa,

Kuch Ye Ke Muddaton Se Hum Bhi Nahi The Roye,
Kuch Zeher Mein Bujha Tha Ehbaab Ka Dilasa,

Phir Yun Hua Ke Sawan Aankhon Mein Aa Base The,
Phir Yun Hua Ke Jaise Dil Bhi Tha Aabla Sa,

Ab Sach Kahein To Yaaron Humko Khabar Nahi Thi,
Ban Jayega Qayamat Ek WaaQeya Zara Sa...

Logged
honeyrose
Guest
«Reply #2491 on: September 29, 2008, 04:17:05 AM »
Very nice angel nice sharing... Applause
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2492 on: September 29, 2008, 03:33:50 PM »
Thanks honey...
Logged
Roja
Guest
«Reply #2493 on: September 29, 2008, 03:37:40 PM »
Wow All your collections are superb Angel  Thumbs UP .. Keep sharing dear.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2494 on: September 30, 2008, 02:30:29 AM »
Shukriya roja.. Usual Smile

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2495 on: September 30, 2008, 02:30:53 AM »
Main To Bhool Gaya Uski Yaadon Ko Jo Dil Mein Basera Karte The,
Subah Shaam Din Raat Uski Yaad Mein Aansu Baha Karte The,

Ab To Aansu Bhi Khushk Hogaye Hai Magar Wo Hai Naraz Ab Tak,
Aye Khuda Tu Bhi Aise Hi Rula Usko Meri Jaan Zinda Hai Jab Tak,

Main Mila Hi Kyon Tha Usko Na Jane Kaunsi Wo Ghadi Thi,
Shayad Barsaat Ki Raat Thi Aur Wo Bhigi Hui Baagh Mein Khadi Thi,

Dekhke Maine Kaha Use Yun Na Bhigo Barsaat Hai Badi Sakht,
Shayad Mera Ye Kehna Tha Use Aur Wo Ro Padi Bad Bakht,

Rota Dekhke Mere Bhi Aansu Nikal Aaye Aur Puchha Maine Usse,
Kyon Roti Ho Aye Haseena Hcup Ho Jao Kya Naraz Hai Koi Tujhse,

Kaha Usne Main Toot Gayi Hoon Bikhar Gayi Hoon Aye Khuda Maut Aajaye Mujhe,
Na Jane Kahan Hoga Wo Jo Mujhe Dilasa De Apni Bahon Mein Uthaye Mujhe,

Ye Sunke Maine Kaha Bhool Jao Usko Ye Duniya Badi Bewafa Hai,
Kal Wo Tera Tha Aaj Kisi Aur Ka Hai Dhoka Yahan Nahi Har Jagah Hai,

Main Bhi Uski Yaad Mein Toota Tha Roya Tha Har Jagah Fariyaad Karta Tha,
De Deta Jaan Apni Magar Mere Dost Apne Khuda Se Main Darta Tha,

Bas Isiliye Maine Soch Liya Bhool Jaunga Main Uski Yaadon Ko,
Uske Sharbati Nain Jheel Jaisi Aankhein Aur Uski Meethi Baaton Ko,

Tum Bhi Hans Do Muskurao Ye Zindagi Bahut Chhoti Hai,
Mohabbat Sirf Ek Dhoka Hai Jisne Kar Li Sari Umar Roti Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2496 on: September 30, 2008, 02:31:14 AM »


Gam Ki Tabah Kariyon Ko Kam Na Kar Sake,
Koi Ilaaj Hum Dil-E-Barham Na Kar Sake,

Dil Ke Dyar-E-ShauQ Mein Jalta Hua Diya,
Lau Uski Khwahishaat Ki Madham Na Kar Sake,

Sazeena-E-Hayat Ko Chheda To Baar Baar,
Sur Mein Kisi Bhi Saans Ki Sargam Na Kar Sake,

Zakhmonko Mere Jo Bahut Humdardiyan Mili,
Alfaaz Mere Dard Ka Marham Na Kar Sake,

Rasmone Dali Paanv Mein Zanjeer Is Tarah,
Kuch Tum Na Kar Sake Kabhi Kuch Hum Na Kar Sake,

Aansu Diye Kisine, Kisise Mile Fareb,
Hum Dastras Mein Wasl Ke Mausam Na Kar Sake,

Badle Meri Hayat Ki Ek Ek Saans Ke
Ashraf Mujhe Wo Pyar Faraaham Na Kar Sake...
 
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2497 on: September 30, 2008, 02:36:47 AM »




Pathar Na Maar Pichhe Se Seene Pe Waar Kar,
Tu Meri Baat Ka Zara Aitbaar Kar,

Main Uff Bhi Na Karunga Teri Kisi Baat Par,
Tu Us WaQt Ka Bhi Zara Intezaar Kar,

Kisson Se Bhari Hai Is Jahan Ki Baatein,
Sab Ukch Bhula Ke Bas Mujhse Pyaar Kar,

Main Gam Bhari Zindagi Jee To Raha Hoon Bas,
Us Bewafa Ki Baat Ab Na Baar Baar Kar,

Aati Nahi Hansi Mujhko Ab SANAM,
Tanz-O-Maza Ka Rukh Na Tu Ikhtiyar Kar...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2498 on: September 30, 2008, 02:37:10 AM »



Na Jaane Kyon Mujhe Reh Rehke Khayal Aata Hai,
Koi To Hai Jo Mera Bhi Hai Mujhe Chahta Hai,

Mile Jo Gar Kabhi Tu Tujhse Ye Sawal Karun,
Meri Aankhon Mein Naye Khwab Kyon Sajata Hai,

Meri Kismat Mein Jo Likha Hai Mujhe Milna Hai,
Ye Soch Soch Ke Hi Dil Mera Ghabrata Hai,

Samundar Ke Kisi Goshey Mein Hai Poshida,
Milega Kisko Gohar Bas Khuda Hi Janta Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2499 on: September 30, 2008, 02:37:43 AM »



Usse Bichhad Kar Jaane Kyon Is Qadar Toota Hoon Main,
Dard-O-Gam Ki Teergi Mein Is Qadar Dooba Hoon Main,

Puchhta Hai Rahzanon Se Apne Hi Ghar Ka Rasta,
Yaad Rakhke Usko Apne Aap Ko Bhoola Hoon Main,

Rokta Hoon Khud Ko Main Lekin Chala Jaata Hoon Phir,
Usko Bhulaneki Koshish, Kis Qadar Jhutha Hoon Main,

Uski Aankhein Keh Rahi Thi Woh Pashemaan Hai Bahut,
Jab Wo Rishta Hi Nahi, Kis Baat Pe Rootha Hoon Main...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2500 on: September 30, 2008, 02:38:05 AM »



Baithe Baithe Hi Achanak Wo Rooth Jaata Hai,
Jaane Kyon Dil Pe Hamare Yun Sitam Dhaata Hai,

Berukhi Ki Bhi Koi Had To Mukarrar Hogi,
Hadse Badh Jaye Paimana To Chhakal Jaata Hai,

Roothne Wale Khabar Tujhko Nahi Hai Shayad,
Hamein Roothon Ko Manane Ka Hunar Aata Hai,

Kyon Na Kar Paate Tujhe Mom Mere Deeda-E-Tar,
Aankh Roti Hai To Pathar Bhi Pighal Jaata Hai,

Wisl Ki Chah Mein Wo Bhi Hai Muztarib Lekin,
Ana Ko Tod Ke IQraar Kar Nahi Paata Hai,

Sadaf Tu Kab Talak Jhelegi Talkhiyan Uski,
Kha Ke Thokar To Deewana Bhi Sambhal Jaata Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2501 on: September 30, 2008, 02:39:02 AM »



Kitab-E-Dil Ka Koi Bhi WaraQ Saada Nahi Hota,
Nigah Usko Bhi Padh Leti Hai Jo Likha Nahi Hota,

Use Main Dekhti Rehti Hoon Yaadon Ke Chanaron Se,
Nigahon Ki Tapish Se Wo Kabhi Shola Nahi Hota,

Hawa Ko Chhuna Chahti Hoon Ke Ye Usko Bhi Chhuti Hai,
Magar Mera Junoon Mujhse Kabhi Pura Nahi Hota,

Sunana Chahti Hoon Haal-E-Dil Jis Ek Jumle Mein,
Bikhar Jata Hai Wo Jumla Kabhi Yakjaa Nahi Hota,

Tapish Is Dilki Aa Pahuchi Meri Namnaak Aankhon Tak,
Kaash Jo Jal Gaya Kandha Wohi Tera Nahi Hota,

Mujhe Is Haal Tak Pahucha Diya Teri Mohabbat Ne,
Sitam Kaisa Bhi Ho Tujhse Koi Shikwa Nahi Hota...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2502 on: September 30, 2008, 02:40:05 AM »



Kis Kis Tarah Se Dafan Is Dil Mein Ghum Raha Mere,
Chhupa Ke Dusron Se Hamesha Jinhe Rakha, Sath Wo Raha Mere,

Kabhi Kabhi Dil Mehsoos Karta Hai Kami Us Meherbaan Ki Dil-O-Jaan Se,
Halka Halka Nasha Jiska Wajood Mein Dard Bankar Sada Mere,

BewaQt Hi Rahe Mere Dilke Raaz Jo Na Khule Kabhi Kisi Par,
Kiya Hota Warna Gaar Ruswayi Milti Aur Hath Kuch Na Aata Mere,

Kabhi Zindagi Se Mayoos Hue To Yunhi Scoh Mein Chal Pade Apni,
Unhe BeronaQ Raahon Par Jin Par Sath Kabhi Wo Chala Tha Mere,

Shayad Jo Lamhe Guzar Gaye Zindagi Se Kuch Na De Sake Mujhe,
Isiliye Sar-E-Shaam Hi Utar Aata Hai Aangan Mein Andhera Mere...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2503 on: September 30, 2008, 02:40:34 AM »



Ye Hai Moti Inhe Palkon Par Sajate Kyon Ho,
Bana Ke Aansu Inhe Nazron Se Girate Kyon Ho,

Jaane Kya Naam De Duniya Is Shabnam Ko,
Tum Inhe Ruswayi Ka Karobar Banate Kyon Ho,

Ye Kya Har Kisi Se Haal-E-Dil Kehna,
Shikwa Mujhse Hai Duniya Ko Sunate Kyon Ho,

Duniya Ko To Ye Mahaz Ek Fasana Lagta Hai,
Tum Chaak Girebaan Samne Aate Kyon Ho,

Kaha To Tha Bahut Kuch Sayano Ne,
Dil Be-Ikhtiyar Hai Isko Samjhate Kyon Ho...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2504 on: September 30, 2008, 02:41:23 AM »



Tere Haathon Mein Pighal Jaane Ko Jee Chahta Hai,
Aatish-E-ShauQ Mein Jal Jaane Ko Jee Chahta Hai,

Dil Ye Chahe Ke Tere Dil Mein Rahun Dil Bankar,
Phir Usi Dilse Nikal Jaane Ko Jee Chahta Hai...

Logged
Pages: 1 ... 163 164 165 166 [167] 168 169 170 171 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 17, 2024, 10:45:28 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.228 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer