Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 164 165 166 167 [168] 169 170 171 172 ... 273
Print
Author  (Read 133096 times)
angel4u
Guest
«Reply #2505 on: September 30, 2008, 02:42:21 AM »



Kis Qadar Siyaah Hai Din,
Aur Safed Raatein Hai,
Maut Ki Khamoshi Mein,
Zindagi Ki Baatein Hai,
WaQt Ruk Gaya Hai Aur,
Chand Taare Chalte Hai,
Bujh Gaya Hai Ye Suraj,
Jism Saare Jalte Hai,
Dekhte Hai Haath Aur Pair,
Aankh Sochte Hai Ab,
Lab Sile Hue Hai Aur
Soch Bolti Hai Ab,
Saans Ab Dhadakti Hai,
Dil Lahoo Mein Behta Hai,
Jism Hai Mera Lekin,
Koi Aur Rehta Hai,
Dard Hai Mere Lekin,
Koi Aur Sehta Hai,
Dushmani Hai Yaaron Se,
Bolti Hai Tasveerein,
Raaz Sari Duniya Ke,
Kholti Hai Tasveerein,
Khaar Mein Hai Khushbu Aur,
Phool Khoon Rulate Hai,
Dein Sakun Angare,
Honth Ab Jalate Hai,
Raste Bhi Sidhe Hai,
Manzilein Bhi Aasan Hai,
Na Koi Musafir Hai,
Na Hi Koi Saman Hai,
Khwahishein Nahi Hai Aur
Na Hi Hai Koi MaQsad,
Jism-O-Rooh Ka Rishta,
Ab Kahin Nahi Maujood...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2506 on: September 30, 2008, 02:43:59 AM »




Lazzat-E-Zakhm-E-Jigar Tujhse Chhupa Bhi Na Sakun,
Dard Is Darja Badha Hai Ke Bata Bhi Na Sakun,

Aaj Rukhsat Hua Jaata Hoon Bas Itna Keh Ke,
Main Gaya WaQt Hoon Ke Phir Aa Bhi Na Sakun,

Tohfa-E-IshQ Jo Zakhmon Ka Diya Hai Tune,
Ye Tere Harf Hai Jinko Main Mita Bhi Na Sakun,

Wo Tere Khat Tujhe Waapis Main Karunga Jinko,
Khudko Padhta Nahi Auron Ko Suna Bhi Na Sakun,

Teri FurQat Mein Yehi Haal Hua Hai Apna,
Khud Sambhal Bhi Na Sakun Tujhko Bhula Bhi Na Sakun,

Ye Gam-E-Dil Jo Zamane Se Mila Hai Mujhko,
Zeest Ka Baar Hai Aisa Ke Utha Bhi Na Sakun,

Zikr Kyon Karte Ho Bewajah Tum Unka Humse,
Door Itna Hai Ke Paas Usko Bula Bhi Na Sakun,

Aaj Maikhane Mein Mil Jaye Jo Mujhko Galib,
Zahid-E-Khushk Nahi Hoon Ke Pila Bhi Na Sakun,

Jalte Rehne Do Ye Deepak Jo Ba Shakl-E-Zahid,
Ek Akela Hi Bacha Hai Ke Bujha Bhi Na Sakun...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2507 on: September 30, 2008, 02:44:54 AM »



Teri Khatir Sab Kuch Bhulana Kabool Hai,
Aaj Tera Phri Se Mujhe Rulana Kabool Hai,

Kuch Baat Baaki Rahi, Aaj Keh Lene De Mujhe,
Mujhko Teri Har Bat Ka Sunana Kabool Hai,

Raakh Ban Gaya Hoon Mohabbat Ki Aag Mein,
Magar Yunhi Tera Mujhko Jalana Kabool Hai,

Ek Baar Aur Koshsih Karke Dekh Lunga Main,
Shayad Mera Tujhko Manana Kabool Hai,

Agar Maut Hi Rasta Hai, Tujhko Paane Ka,
To Bina Ranj Mujhe Mar Jaana Kabool Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2508 on: September 30, 2008, 02:51:55 AM »



Sirf Teri Justuju Hai,
Sirf Teri Aarzu Hai,
Sirf Teri Khwahish Hai,
Sirf Tu Mera Hai,
Tera Dil Mera Hai,
Teri Nazrein Meri Hai,
Tera Ruthna Mera Hai,
Mera Manana Tera Hai,
Sab Kuch......
Agar Tu Hai......
Tu Kya Mera Hai???


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2509 on: September 30, 2008, 02:52:12 AM »


IshQ Ki Dastaan Saari Mehfil Sune,
IshQ Dil Mein Chhupana Zaroori Nahi,

IshQ Ehsaas Hai Dilki Awaz Hai,
Sun Le Sara Zamana Zaroori Nahi,

IshQ Dil Mein Rahega To Phat Jayega,
Yunhi Tadpega Machlega Mit Jayega,
IshQ Ko Yun Mitana Zaroori Nahi,

IshQ Mitta Nahi Mehekta Hai Ye,
IshQ Shola Hai Dil Mein Dhadakta Hai Ye,
Sab Ka Daaman Jalna Zaroori Nahi,

IshQ Ailaan Hai IshQ Toofan Hai,
Tauba Tauba Na Samjhe Wo Nadan Hai,
Aag Dil Mein Dabana Zaroori Nahi,

IshQ Dilke Dhadakne Ki Pehchan Hai,
IshQ Bebak Ho Jaye To Badnaam Hai,
Haal-E-Dil Yun Sunana Zaroori Nahi,

IshQ Ki Dastaan Saari Mehfil Sune,
IshQ Dil Mein Chhupana Zaroori Nahi...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2510 on: September 30, 2008, 02:53:02 AM »


Wahi Raaste, Wahi Wadiyan,
Kahan Kho Gaye, Mere Humsafar,
Mujhe Duniya Ne Jo Kaha,
Main Bhi Sunke Chup Raha,
Tumhe Kehta Bewafa
Nahi Mana Dil Mera,
Mujhe Tujhse Pyar Tha,
Mujhe Ab Bhi Pyaar Hai,
Tu Na Aayegi Ab Laut Ke,
Mujhe Phir Bhi Kyon Intezaar Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2511 on: September 30, 2008, 02:53:55 AM »

Naseeb Par Hasne Se Mana Karte Hai Log,
Phir Bhi Use Bada Azmaye Jaate Hai Log,

Naseeb Se Milna Hota To Kab Ke Mil Gaye Hote,
Hamara Naseeb To Khud Se Badal Dete Hai Log,

Jo Chaha Kabhi Mila Hi Nahi Aaj Tak,
Har Khwab Ki Tabeer Badal Dete Hai Log,

Ab Hamesha Akela Hi Rehna Hai Ye Soch Hi Liya Hai,
Tumhari Yaadein Saani Se Chhin Sakte Nahi Hai Log...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2512 on: September 30, 2008, 02:54:35 AM »


Kabhi Kabhi Yaad Mein Ubharte Hai NaQsh-E-Mazi Mite Mite Se,
Wo Aazmayish Dil-O-Nazar Ki, Wo Qurbatein Si, Wo Faasle Se,

Kabhi Kabhi Aarzu Ke Sehra Mein Aa Ke Rukte Hai Qaafile Se,
Wo Saari Baatein Lagao Ki Si, Wo Saare Unvaan Visal Ke Se,

Nigah-E-Yaar Ko Qaraar Kaisa, Nishaat-O-Gam Mein Kami Kahan Ki,
Wo Jab Milte Hai To Unse Baar Baar Ki Hai Ulfat Naye Sire Se,

Bahut Giran Hai Ye Aish-E-Tanha, Kahin Sabuktar, Kahin Gawara,
Wo Dard-E-Pinhaan Ke Saari Duniya RafeeQ Thi Jiske Waaste Se,

Tumhi Kaho Rind-E-Mustahib Mein Ho Aaj Shab Kaun FarQ Aisa,
Ye Aa Ke Baithe Hai Maikade Mein Wo Uth Ke Aaye Hai Maikade Se...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2513 on: September 30, 2008, 02:55:21 AM »



Har HaQeeQat Majaaz Ho Jaye,
Kaafiron Ki Namaz Ho Jaye,

Minnat-E-Chaaraasaaz Kaun Kare,
Dard Jab Jaan Nawaz Ho Jaye,

IshQ Dil Mein Rahe To Ruswa Ho,
Lab Pe Aaye To Raaz Ho Jaye,

Lutf Ka Intezar Karta Hoon,
Jodta Had-E-Naaz Ho Jaye,

Umr Besood Kat Rahi Hai 'Faiz'
Kaash Afshaa-E-Raaz Ho Jaye...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2514 on: September 30, 2008, 02:55:55 AM »



Ye Saagar Sheeshe Laal-O-Guhar,
Saabit Ho To Qeemat Paate Hai,
Yun Tukde Tukde Ho To FaQt
Chubhte Hai Lahoo Rulwate Hai,
Tum NahaQ Tukde Chun Chun Kar,
Daaman Mein Chhupaye Baithe Ho,
Shishon Ka Maseeha Koi Nahi,
Kya Aas Lagaye Baithe Ho...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2515 on: September 30, 2008, 02:56:54 AM »



Ab Ke Yun Dilko Saza Di Humne,
Uski Har Baat Bhula Di Humne,

Ek Ek Phool Bahut Yaad Aaya,
Shaakh-E-Gul Jab Wo Jala Di Humne,

Aaj Tak Jispe Wo Sharmate Hai,
Baat Wo Kab Ki Bhula Di Humne,

Sheher-E-Jahan Rakh Se Abad Hua,
Aag Jab Dilki Bujha Di Humne,

Aaj Phir Yaad Bahut Aaya Wo,
Aaj Phir Usko Dua Di Humne,

Koi To Baat Hai Us Main Faiz,
Har Khushi Jispe Luta Di Humne...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2516 on: September 30, 2008, 02:57:32 AM »




Hum Parwarash-E-Loh-O-Qalam Karte Rahenge,
Jo Dil Pe Guzarti Hai RaQam Karte Rahenge,

Asbaab-E-Gam-E-IshQ Baham Karte Rahenge,
Veerani-E-Dauran Pe Karam Karte Rahenge,

Haan Talkhi-E-Ayyam Abhi Aur Badhegi,
Haan Ahl-E-Sitam MashQ-E-Sitam Karte Rahenge,

Manzoor Ye Talkhi Ye Sitam Humko Ganwara,
Dam Hai To Madawa-E-Alam Karte Rahenge,

Maikhana Salamat Hai To Hum Surkhi-E-Mai Se,
Tazzain-E-Dar-O-Baam-E-Haram Karte Rahenge,

BaaQi Hai Lahoo Dil Mein To Har AshQ Se Paida,
Rang-E-Lab-O-Rukhsaar-E-Sanam Karte Rahenge,

Ek Tarz-E-Taghaaful Hai So Wo Unko Mubarak,
Ek Arz-E-Tamanna Hai So Hum Karte Rahenge...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2517 on: September 30, 2008, 02:58:46 AM »


Chhinti Hui Nazron Se Jazbaat Ki Duniyaein,
Be-Khwabiyan Afsane Betaab Tamannayein,

Kuch Uljhi Hui Baatein Kuch Behke Hue Nagme,
Kuch AshQ Jo Aankhon Se Bewajah Chhalak Jaate Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2518 on: September 30, 2008, 02:59:02 AM »



Aaye Kuch Abr Kuch Sharaab Aaye,
Uske Baad Aaye Jo Azaab Aaye,

Baam-E-Meena Se Mehtaab Utare,
Dast-E-SaaQi Mein Aaftaab Aaye,

Is Tarah Apni Khamoshi Gunji,
Goya Har Simt Se Jawab Aaye,

Faiz Thi Raah Sar Basar Manzil,
Hum Jahan Pahuche Kaamyaab Aaye...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2519 on: September 30, 2008, 02:59:21 AM »



Garmi-E-ShauQ-E-Nazara Ka Asar To Dekho,
Gul Khile Jaate Hai Wo Saya-E-Dar To Dekho,

Aise Nadaan To Na The Jaan Se Guzarnewale,
Naasiho, Rahabar-O-Rehguzar To Dekho,

Wo To Wo Hai Tumhe Ho Jayegi Ulfat Mujhse,
Ek Nazar Tum Mera Mehboob-E-Nazar To Dekho,

Wo Jo Ab Chaak Garebaan Bhi Nahi Karte Hai,
Dekhnewalo Kabhi Unka Jigar To Dekho,

Daaman-E-Dard Ko Gulzar Bana Rakha Hai,
Aao Ek Din Dil-E-Parakhun Ka Hunar To Dekho,

Subah Ki Tarah Jhamakta Hai Shab-E-Gam Ka UfaaQ,
Faiz Taabindagi-E-Deeda-E-Tar To Dekho...
Logged
Pages: 1 ... 164 165 166 167 [168] 169 170 171 172 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 11, 2025, 12:04:38 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.204 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer