Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 165 166 167 168 [169] 170 171 172 173 ... 273
Print
Author  (Read 131595 times)
angel4u
Guest
«Reply #2520 on: September 30, 2008, 03:00:04 AM »




Is Baar Baharon Se Mera Zikr Na Karna,
Ghar Jao To Yaaron Se Mera Zikr Na Karna,

Wo Meri Kahani Ko Galat Rang Na De De Kahin,
Afsana Nigahon Se Mera Zikr Na Karna,

Shayad Ye Andhere Hi Mujhe Raah Dikhayein,
Ab Chaand Sitaron Se Zikr Na Karna,

Le Jayengi Gehrai Mein Tumko Bhi Baha Kar,
Dariya Ke Kinaron Se Mera Zikr Na Karna,

Wo Shakhs Mile To Usse Har Baat Batana,
Tum Sirf Isharon Se Mera Zikr Na Karna...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2521 on: September 30, 2008, 03:00:47 AM »
Shaam Ke Muntazir The Aur Raat Ho Gayi,
Na Jaane Kab Aansu Ki Barsaat Ho Gayi,

Main Kaha Tha Kabil Ke Koi Puchhe,
Yunhi Zindagi Tamam Ho Gayi,

Kahan Tak Chaloge Aise Hi Socho,
Mohabbat Ka Kaun Haasil Tha,

Na Hi Humko Isse Chahat Thi,
Par Kab Kaise Wo Ilzaam Hog Gayi,

Mere Muntazir Ab Sawera Nahi,
Abhi Chalna BaaQi Tha Ke Shaam Ho Gayi,

Hum Saba Ko Kaise Bhool Jaye Bolo,
Jiske Aane Se Lashaoori Aam Ho Gayi,

Main Khizan Se Nikal Aaya Tha Magar,
Wo Dagh-E-Khiza Hi Hamara Nam Ho Gayi,

Mujhe Bhool Jao Ye Mumkin Hai,
Shayad Ye Nazar Ab Badnam Ho Gayi...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2522 on: September 30, 2008, 03:01:06 AM »



Ek Baat Kahoon Gar Sunte Ho,
Tum Mujhko Achhe Lagte Ho,
Kuch Chanchal Se Kuch Chup Chup Se,
Kuch Pagal Pagal Lagte Ho,
Mere Chahne Wale Aur Bahut,
Par Tum Mein Hai Ek Baat Bahut,
Tum Apne Apne Lagte Ho,
Ye Baat Baat Pe Kho Jana,
Kuch Kehte Kehte Ruk Jana,
Kya Baat Hai Humse Keh Dalo,
Kin Sochon Mein Gum Rehte Ho,
Ek Baat Kahunga Sunte Ho,
Tum Mujhko Achhe Lagte Ho...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2523 on: September 30, 2008, 03:01:57 AM »



Dekha To Mera Saya Bhi Mujhse Juda Mila,
Socha To Har Kisi Se Mera Silsila Mila,

Sheher-E-Wafa Mein Ab Kise Ahl-E-Wafa Kahein,
Humse Gale Mila To Wo Hi Bewafa Mila,

Fursat Kise Thi Jo Mere Halat Puchhta,
Har Shakhs Apne Baare Mein Kuch Sochta Mila,

Usne To Khair Apno Se Moda Tha Muh,
Maine Ye Kya Kiya Ke Main Gaironse Jaa Mila...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2524 on: September 30, 2008, 03:02:22 AM »




Gile Fuzul The Ahd-E-Wafa Ke Hote Hue,
So Chup Raha Sitam-E-Naarava Ke Hote Hue,

Ye Qurbaton Mein Ajab Faasle Pade Ke Mujhe,
Hai Aashna Ki Talab Aashna Ke Hote Hue,

Wo Hilagar Hai Jo Majbooriyan Shumar Kare,
Chirag Humne Jalaye Hawa Ke Hote Hue,

Na Kar Kisipe Bharosa Ke Kashtiyan Dubi,
Khuda Ke Hote Hue Na Khuda Ke Hote Hue,

Kise Khabar Hai Ke Kaasa-Ba-Dast Phirte Hai,
Bahut Se Log Saron Pe Humaa Ke Hote Hue,

Faraz Aise Bhi Lamhe Kabhi Kabhi Aaye,
Ke Dil Girifta Raha Dilruba Ke Hote Hue...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2525 on: September 30, 2008, 03:02:49 AM »




Kash Main Mohabbat Na Karta,
Wo Is Tarah Mohabbat Mein Ruswa To Na Karta,

Kash Main Uske Aankh Ka Kajal Na Hota,
Wo Is Tarah Aankhon Se Nikaal To Na Deta,

Kaash Main Dilki Dhadkan Na Hota Uske,
Wo Is Tarah Se Dilse Nikal To Na Deta,

Kaash Main Tanhayi Ka Sathi Na Hota Uske,
Wo Is Tarah Tanha Chhod To Na Deta...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2526 on: September 30, 2008, 03:03:12 AM »

Din Aa Gaye Shabab Ke Anchal Sambhaliye,
Hone Lagi Hai Sheher Mein Halchal Sambhaliye,

Chaliye Sambhal Sambhal Ke Kathin Raah-E-IshQ Hai,
Naazuk Badi Aapki Payal Sambhaliye,

Saj Dhaj Ke Aap Nikle Sar-E-Raah Khair Ho,
Takra Na Jaaye Aap Ka Pagal Sambhaliye,

Ghar Se Na Jao Door Kisi Ajnabi Ke Sath,
Barsenge Zor Zor Se Badal Sambhaliye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2527 on: September 30, 2008, 03:04:03 AM »
Rangat Teri Zulfon Ki Ghataon Ne Churayi,
Khushbu Tere Aanchal Se Hawaone Udayi,

Paimane Ka Dil Toot Na Jaye To Kahoon Main,
Hai Chiz Gazab Ki Jo Nigahon Ne Pilayi,

Qaidi Teri Zulfon Ka Hai Azad Jahan Se,
Mujh Ko Ye Rihayi To Sazaone Dilayi,

Maana Ke Baharone Khilaya Hai Gulonko,
Ulfat Ki Kali Dil Mein Wafaon Ne Khilayi,

Tham Tham Ke Barasna Kabhi Jam Jam Ke Barasna,
Saawan Ko Ada Ye Mere AshQon Ne Sikhayi,

Manzil Pe Pahuch Kar 'Naseem' Ehsaas Hua Hai,
Jis Raah Se Pahucha Ye Khataone Dikhayi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2528 on: September 30, 2008, 03:04:34 AM »

Justuju Mein Jiski Hamein Khaar Mil Gaye,
Wo Hamein Har Mod Par Har Baat Mil Gaye,

Gum Jiske Khayal Mein Mera Wajood,
Uske Har Lafz Se Jakar Mere Afkar Mil Gaye,

Khud Fareb-E-EhsQ Mein Mubtala Rahe Hum,
Mehboob Mere Mujhko Bhi Atbaar Mil Gaye,

Jafaon Par Jiski Kayam Rahi Zindagani,
Dil-E-Zaar Ke Sabhi Unko Ikhtiyar Mil Gaye,

Kho Chuka Hai Hijr Ke Sazaon Mein Sur,
Bewafaon Se Mere Dilke Taar Mil Gaye,

Ye Hayat Bhi Ek Ajab Tamasha Dikhati Hai,
Har Do Gaam Pe Kaise Gam Guzar Mil Gaye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2529 on: September 30, 2008, 03:04:52 AM »



Kabhi Aisa Bhi Ho,
Tumhari Koi Shaam Mere Naam Bhi Ho,
Tumhari Nigahein Mere Liye Sarapa Intezar Bhi Ho,
Tumhari Kisi Sochon Mein Mera Guzar Bhi Ho,
Tumhari Nazmon, Tumhari Gazlon Mein Meri Shakhsiyat Zer-E-Zikr Bhi Ho,
Tumhare Takallum Mein Mera Zikr Karte Samay Kisi Qadar Chaashni Bhi Ho,
Tumhare Dil Mein Mujhe Paa Lene Ki Justuju Bhi Ho,
Tumhari Koi Shab Bechain-O-Bekarar Bhi Ho,
Tumhare Hathon Ki Lakeeron Mein Mere Naam Ki Lakeer Bhi Ho...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2530 on: September 30, 2008, 03:05:14 AM »



Kaha Tha Na!
Mujhe Tum Is Tarah Sote Hue Mat Chhod Kar Jaana,
Mujhe Beshak Jaga Dena,
Bata Dena,
Mohabbat Ke Safar Mein Sath Mere Chal Nahi Sakti,
Judayi Mein, Hijr Mein Sath Mere Jal Nahi Sakti,
Tumhe Rasta Badalna Hai,
Meri Had Se Nikalna Hai,
Tumhe Kis Baat Ka Dar Tha,
Tumhe Jaane Nahi Deta,
Kahin Par Qaid Kar Leta,
Arey Pagal
Mohabbat Ki Tabiyat Mein Zabardasti Nahi Hoti,
Jisse Rasta Badalna Ho
Use Rasta Badalne Se,
Jise Had Se Nikalna Ho
Use Had Se Nikalne Se
Na Koi Rok Paya Hai,
Na Koi Rok Payega,
Tumhe Kis Baat Ka Dar Tha,
Mujhe Beshak Jaga Dete,
Tumhe Main Dekh Hi Leta,
Tumhe Koi Dua Deta,
Kamse Kam Yun To Na Hota
Mere Sathi! HaQeeQat Hai,
Tumhare Baad Khone Ke Liye Kuch Bhi Nahi BaaQi,
Magar Khone Se Darta Hoon...
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #2531 on: September 30, 2008, 04:44:24 AM »
bahoot behtreen aapka collection hai.....ek se badh kar eh nageene....
badi tasalli se aap inme se ek ek heera chunti hain aur fir ise yoindia pe post karti hain....mai aapko bata dena chahta hun ki mai humesha aapka ye thread padhta hun aur apne collection ko update karta rahta hun..
aapki mehnat aur dedication ko mai salam karta hun
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2532 on: October 01, 2008, 02:20:47 AM »
Hmm..

bahut shukriya.. ye to mere liye achi bat hai ke aapmere collection ko itna gaur se padhte hai uar pasand bhi karte hia...
Thanks a lot.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2533 on: October 01, 2008, 02:26:21 AM »

Yaad-E-Samundar Paar Jo Karna Padta Hai,
Goya Angaron Par Chalna Padta Hai,

Khwab Jagana Aankhon Par Ilzaam Sahi,
Aankhon Par Ilzam To Dharna Padta Hai,

Manzil Se Jo Door Kahin Le Jaata Ho,
Kaisa Bhi Ho, Kuch Bhui Ho Anjam Magar,
Khel Ka Ab Aagaz To Karna Padta Hai,

IshQ Dubo Sakta Hai Bich Samundar Mein,
Kehte Hai Sab Log To Darna Padta Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2534 on: October 01, 2008, 02:27:03 AM »


Khud Ko Mujhse Juda Kiya Usne,
Jo Na Karna Tha Wo Kiya Usne,

Yaad Karne Se Bhi Na Yaad Aaun,
Aise Mujhko Bhula Diya Usne,

Tum To Bas WaQt Ki Zaroorat Ho,
Mujh Ko Aakhir Bata Diya Usne,

Khud Se Nazrein Nahi Mila Sakta,
Itna Neeche Gira Diya Usne,

Apne Haathon Se Khud Hi Likh De Mujhe,
Jaane Phir Kyon Mita Diya Usne...

Logged
Pages: 1 ... 165 166 167 168 [169] 170 171 172 173 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 17, 2024, 09:43:53 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.237 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer