Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 166 167 168 169 [170] 171 172 173 174 ... 273
Print
Author  (Read 131592 times)
angel4u
Guest
«Reply #2535 on: October 01, 2008, 02:27:30 AM »



Tera Tarsha Hona Kya Hai,
Main Na Jaan Saka,
Raha Khud Mein Gum Par,
Khud Ko Na Jaan Saka,
Tasteer Karta Raha,
Phir Bhi Kuch Na Likh Saka,
Ajab Tha Main,
Ye Bhi Na Kar Saka...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2536 on: October 01, 2008, 02:27:48 AM »



Kisi Ko Meri Khushi Mile To Rakh Lena Dost,
Kisiko Hansi Mile Meri To To Rakh Lena Dost,

Kisiko Gam Dena Hoto De Dena Mujhko Dost,
Kisiko Aansu Dene Ho To De Dena Mujhko Dost,

Par Kisiko Meri Chahat Mile To Rakh Lena Dost,
Kisiko Meri Wafa Mile To Rakh Lena Dost,

Mile Agar Kisiko Mera Dil To Wapis De Dena Dost,
Meri Jaan Ko De Dena Dost, Ye Bhi To Usika Hai Dost...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2537 on: October 01, 2008, 02:28:12 AM »



Kash Koi Aisa Shakhs Hua Kare,
Jo Mere Liye Saja Kare,
Jo Mujhse Baatein Kiya Kare,
Kabhi Roye Jaye Bepanaah,
Kabhi Be-Tahasha Hasa Kare,
Kabhi Chupke Se Dabe Qadam
Mere Pichhe Aa Kar Hansa Kare,
Meri Qurbatein Meri Chahatein,
Koi Yaad Rakhe Qadam Qadam,
Main Taveel Safar Mein Hoon Agar,
Meri Wapsi Ki Dua Kare,
Kaash
Koi Aisa Shakhs Hua Kare...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2538 on: October 01, 2008, 02:28:33 AM »



Din Raat Main Socha Karta Hoon,
Ek Khwab Sa Dekha Karta Hoon,
Main Janta Hoon Wo Bas Mein Nahi,
Phir Bhi Use Pooja Karta Hoon,
Ek Ghutan Si Dil Mein Rehti Hai,
Bewajah Main Roya Karta Hoon,
Aye Kash Use Main Keh Bhi Sakun,
Ke Main Tumko Chaha Karta Hoon...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2539 on: October 01, 2008, 02:28:53 AM »



Chalo Main Bataun Kya Ho Tum,
Mere Liye Meri Duniya Ho Tum,
Chhu Ke Jo Guzri Wo Hawa Ho Tum,
Maine Jo Mangi Wo Dua Ho Tum,
Kare Jo Mujhko Roshan Wo Diya Ho Tum,
Dil Ye Kahe Ke Mera Jiya Ho Tum,
Kiya Jo Maine Mehsoos Wo Ehsaas Ho Tum,
Mere Hothon Ki Pyaas Ho Tum,
Meri Baanhon Ki Talash Ho Tum,
Meri Nazar Ki Talash Ho Tum,
Meri Zameen Ka Aakash Ho Tum,
Mere Sitaron Ki Gardish Ho Tum,
Meri Zindagi Ka Qaraar Ho Tum,
Maine Jo Chaha Wo Pyar Ho Tum,
Mere Intezar Ki Raahat Ho Tum,
Mere Dilki Chahat Ho Tum,
Tum Ho To Ye Duniya Hai Meri,
Kaise Kahun Ke Meri Jaan Ho Tum,
Bas Itna Jaan Lo Tum Ho To Main Hoon,
Aur Tum Meri Jaan Ho...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2540 on: October 01, 2008, 02:29:10 AM »



Kya Aitbaar Aaye Ab Aise Aadmi Ka,
Taraj Kar Raha Ho, Gulshan Jo Zindagi Ka,
Alam Na Puchhiye Ab Is Dor-E-Zindagi Ka,
Banta Nahi Sahara Koi Yahan Kisika,
Anjam Par Nigahein Hoti Nahi Kisiki,
Sab Dekhte Hai Manzar Hansti Hui Kali Ka,
Duniyayi Rang-O-Boo Ki Hai Reet Hi Nirali,
Bedaag Kab Raha Hai Daman Yahan Kisika,
Insaan Khudko Kho Kar Pehchanta Hai Khudko,
Aagaz Bekhudhi Hi Paigam Hai Khudi Ka,
Berabt Si Kahani Sheron Mein Dhal Rahi Hai,
Kya Daor Aagaya Hai Aye BurQ Shairi Ka...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2541 on: October 01, 2008, 02:29:37 AM »



Andheri Raatein
Andhere Din,
Yara Tere Bin,
Kis Tarah Guzregi Zindagi
Shayad Kisi Din
Ho Takrao Hamara Tumhara,
To Main Bhi Tumse Puchhun,
Kahan Gaye Wo Waade,
Kahan Gayi Wo Kasmein,
Jo Tum Subah Shaam Karte The,
Kis Tarah Kati Kis Tarah Guzri,
Tumhare Subah,Shaam,Raat Aur Kis Tarah,
Guzre Mere Bin Tumhare Din,
Is Aas Pe Pahuchoge Ye Sawal,
Ke Shayad
Tum Keh Do Ke Udaas Raha Saari Raat,
Sare Sham, Sare Din
To Is Jawab Par Main Khush Khush Guzarun,
Subah Shaam Raat,
Aru Shayad Zindagi Ke Sare Din,
Bas Itna Yaad Hai,
Dua To Na Jane Kaun Si Thi,
Zehen Mein Nahi,
Bas Itna Yaad Hai,
Ke Do Hatheliyan Mili Hui Thi,
Jis Mein Ek Meri Thi Aur Ek Tumhari...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2542 on: October 01, 2008, 02:29:54 AM »



JO Meri Aankhonse Khwab Dekho To,
Ek Shab Bhi Na So Sakoge,
Hazar Chaho Na Hans Sakoge,
Hazar Chaho Na Ro Sakoge,
Ke Khwab Kya Hai Azab Hai Ye,
Mere Dukhon Ki Kitab Hai Ye,
RafaQatein In Mein Chutti Hai,
Mohabbatein In Mein Roothti Hai,
Panapte Hai In Mein Wehshatein Si,
Azziyatein In Mein Phootti Si,
Inhi Ke Dar Se Khizan Hai Jazbe,
Inhi Se Shakhein Si Tootti Hai,
Gamon Ki Bandish Hai Khwab Mere,
Dukhon Ki Barish Hai Khwab Mere,
Raheen-E-Aatish Hai Khwab Mere,
Ubal Raha Hai Dukhon Ka Laawa,
Khayal Saare Jhulas Gaye Hai,
Sulagti Khwahish Hai Khwab Mere,
Ukhadti Saansein Hai Zindagi Ki,
Lahoo Ki Sazish Hai Khwab Mere,
Jo Meri Aankhonse Khwab Dekho To,
Ek Shab Bhi Na So Sakoge...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2543 on: October 01, 2008, 02:30:20 AM »



Kya Khabar Thi Ke Main Is Darja Badal Jaunga,
Tujhko Kho Dunga Tere Gam Se Sambhal Jaunga,

Ajnabi Banke Milunga Main Tujhe Mehfil Mein,
Tu Ne Chhedi Bhi To Main Baat Badal Jaunga,

Dhund Paaye Na Jahan Yaad Bhi Teri Mujhko,
Aise Jangal Mein Kisi Roz Nikal Jaunga,

Zid Mein Aaye Hue Maasum Bachhe Ki Tarah,
Khud Hi Kashti Ko Dubone Pe Machal Jaunga...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2544 on: October 01, 2008, 02:31:13 AM »




Kaash Hum Tum Ajnabi Hote,
Jis Tarah Aur Log Hua Karte Hai,
Be-TalluQ Se Be-Tarruf Se,
Kash Hum Tum Ajnabi Hote,
BeQarari Na Bekali Hoti,
Na-Mukammal Na Zindagi Hoti,
Yun Na Hoti Azziyatein Dil Mein,
Zindagi Bhi Na Hoti Mushkil Mein,
Aansuon Se Na Dosti Karte,
Apne Dilse Na Dushmani Karte,
Dusron Ki Tarah Hum Bhi Khush Rehte,
Kaash Hum Tum Ajnabi Hote...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2545 on: October 01, 2008, 02:31:44 AM »




Jaanam Tere Liye Hi Dhadakta Hai Ye Dil Mera,
Tere Bina Koi Nahi Is Jahan Mein Mera,

Khamoshiya Hi Khamoshiya Tanhaiyon Ka Basera,
Aye Jaanewale Sun Le Tu Hi To Hai Pyar Mera,

Kaise Jiunga Tere Bin Itna To Batlao Mujhko,
Kabhi Nahi Jayega Dilse Khayal Jaanam Tera...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2546 on: October 01, 2008, 02:32:09 AM »



Kisiki Aankh Jo Purnam Nahi Hai,
Na Samjho Ye Ke Usko Gam Nahi Hai,

Sawaad-E-Dard Mein Tanha Khada Hoon,
Pala Jaun Magar Mausam Nahi Hai,

Samajh Mein Kuch Nahi Aata Kisike,
Agarche Guftagu Mubaham Nahi Hai,

Sulagta Kyon Nahi Taareek Jangal,
Talab Ki Lau Agar Maddham Nahi Hai,

Ye Basti Hai Sitam Parwardigaan Ki,
Yahan Koi Kisise Kam Nahi Hai,

Kinara Dusra Dariya Ka Jaise,
Wo Sathi Hai Magar Maharam Nahi Hai,

Dilon Ki Roshni Bujhne Na Dena,
Wajood-E-Teergi Mahkam Nahi Hai,

Main Tumko Chah Kar Pachha Raha Hoon,
Koi Is Zakham Ka Marham Nahi Hai,

Jo Koi Sun Sake To Suna Dena,
Ba-Juz Ek Baaz Gasht-E-Ghum Nahi Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2547 on: October 01, 2008, 02:32:42 AM »



De Kar Gam-E-Judayi Wo Jaane Kidhar Gaya,
Burpaa Qayamatein Jo Mere Dil Pe Kar Gaya,

Jaate Hue Wo Le Ke Dua Ka Asar Gaya,
Mujhko Gam-E-Hayat Se Begana Kar Gaya,

Dekha Jo Soo-E-Tajmahal, Dil Ne Ye Kaha,
Fun To Raha Hai Zinda Ka Fankar Mar Gaya,

Kya Yaad Kar Sakega Yahan Par Mujhe Koi,
Sheraza Meri Hasti Ka Jis Din Bikhar Gaya,

Phir Aaj Usi Ko Dhundti Hai Ye Nigah-E-ShouQ,
Dekhe Jise Aye Sanam Zamana Guzar Gaya...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2548 on: October 01, 2008, 02:33:24 AM »




Mere Sath Tum Bhi Dua Karo Yun Kisi Ke HaQ Mein Bura Na Ho,
Kahin Aur Ho Na Ye Haadsa Koi Raste Mein Juda Na Ho,

Mere Ghar Se Raat Ki Sej Tak Wo Ek Aansu Ki Lakeer Hai,
Zara Badhke Chand Se Puchhna Wo Isi Taraf Se Gaya Na Ho,

Sar-E-Shaam Thehri Hui Zameen, Aasman Hai Jhuka Hua,
Isi Mod Par Mere Waste Wo Chirag Lekar Khada Na Ho,

Wo Farishte Aap Hi Dhundiye Kahaniyon Ki Kitaab Mein,
Jo Bura Kahe Na Bura Sune Koi Shakhs Unse Khafa Na Ho,

Wo Wisl Ho Ke FiraaQ Ho Teri Aag Mehkegi Ek Din,
Wo Gulaab Banke Khilega Kya Jo Chirag Banke Jala Na Ho,

Mujhe Yun Laga Ke Khamosh Khushbu Ke Honth Titli Ne Chhu Liye,
Inhi Zard Patton Ki Ot Mein Koi Phool Soya Hua Na Ho,

Isi Ehtiyaat Mein Main Raha, Isi Ehtiyaat Mein Wo Raha,
Wo Kahan Kahan Mere Sath Hai Kisi Aur Ko Ye Pata Na Ho...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2549 on: October 01, 2008, 02:33:57 AM »



Ghar Mom Ka Pehle To Banaya Nahi Jaata,
Ban Jaye To Suraj Se Bachaya Nahi Jaata,

Marzi Hai Samundar Ki Dubo De Ya Bacha Le,
Takat Pe Koi Hukum Chalaya Nahi Jaata,

Main Apne Gareban Mein Agar Dekhun To Mujhse,
Ilzaam Kisi Par Bhi Lagaya Nahi Jaata,

Mil Jaye Agar Paisa To Utha Lete Hai Pull Bhi,
Insaan-E-Gira Humse Uthaya Nahi Jaata,

Sachhayi Ko Ye Jhuth Bhala Kaise Mitaye,
Phoonko Se To Khursheed Bhujaya Nahi Jaata,

Ab Baat Nahi Aahon Ki, Chikhon Ki Hai Dost,
Ab Mujhse Mera Dard Chhupaya Nahi Jaata...


Logged
Pages: 1 ... 166 167 168 169 [170] 171 172 173 174 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 17, 2024, 08:48:44 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.276 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer