Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 14 15 16 17 [18] 19 20 21 22 ... 273
Print
Author  (Read 131130 times)
angel4u
Guest
«Reply #255 on: February 04, 2007, 06:55:40 PM »

Apni Ana Ke Saare Sheeshe Chakna Chur Hue,
Humne Jinpe Gazlein Sochein Unko Chaha Logone,
Hum Kitne Badnaam Hue Woh Kitne Mashoor Hue,
TarQ-E-Wafa Ki Saari Kasmein Unko Dekhke Toot Gayi,
Unka Naaz Salamat Thehra Hum Hi Zara Majboor Hue,
Ek Ghadi Ko Ruk Kar Puchha Usne To Ahwal Magar,
BaaQi Umar Na Mud Kar Dekha Hum Aise Magroor Hue,
Ab Ke Inki Bazm Mein Jane Ka Gar Mohsin Izn Mile,
Zakhm Hi Inki Nazar Guzarein, AshQ To Na Manzoor Hue,
Tumne Bhi Thukra Hi Diya Hai Duniya Se Bhi Door Hue...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #256 on: February 04, 2007, 07:26:58 PM »

Bina Tere Koi Mausam Achha Nahi Lagta,
Nazar Ko Koi Bhi Manzar Haseen Achha Nahi Lagta,

Main Kaise Kahun Tujhse Bina Tere Bahut Khush Hoon,
Na Ho Gar Paas Tu Mujhko Kahin Achha Nahi Lagta,

Koi Dekhe Teri Janib Nahi Manzoor Ye Mujhko,
Na Ho Tujhko Is Baat Ka YaQeen Achha Nahi Lagta,

Kabhi To Haan Keh De Dilke Rakhne Ke Liye Jaanam,
Tera Har Baat Pe Kehna Naa Achha Nahi Lagta...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #257 on: February 04, 2007, 07:31:14 PM »

Uska Chehra Kitaab Jaisa Hai,
NaQsh Har Intihab Jaisa Hai,

Fasla Qurbat Bane To Kaise,
Had-E-Nazar Sarab Jaisa Hai,

Qurbatein Gul Ruhoon Ka Har Lamha,
Ek Shagufta Gulab Jaisa Hai,

Mera Haal To Dekh Le Zara,
Kisi Khana Kharab Jaisa Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #258 on: February 04, 2007, 07:33:20 PM »

Sharbati Kaanch Ki Tooti Hui Nazuk Choodi....

Ek Aanchal Se Bandha Hai Sab Kuch,
Ek Tasveer Aur Tasveer Pe Bheege Hue Honth,
Ek Sandal Ki Unabi Pencil,
Ek Beyrabt Ka Ukhda Hua Khat,
Ek Adad Card
Jisko Chhune Se Teri Yaad Chali Aati Hai,
Aur Is Card Mein Rakhi Hui Ekloti Palak,
Jisse Maanoos Duwaon Ki Mehek Aati Hai,
Kisi Gumnaam Se Shayar Ka Adhura Misra,
Ek Paazeb Se Bichhda Hua Ujla Moti,
Ek Murjhayi Hui Zard Chanbali Ki Kali,
Jis Mein Ab Bhi Teri Zulfon Ke Bhanwar Lipte Hai,
Ek Boseeda Sa Question Paper,
Jiske Kone Pe Likha Naam Abhi Taaza Hai,
Sharbati Kaanch Ki Tooti Hui Nazuk Choodi,
Ek Toota Hua Halka Sa Gulabi Nakhun,
Ek Gadla Sa Tissue Paper Bhi,
Jispe Mehke Hue Ashkon Ke Nishan Zindaa Hai,
Yehi Daulat Hai Yehi Kuch Asaasa Mera,
Yehi Daulat Hai Yehi Kuch Asaasa Mera,
Ek Aanchal Se Bandha Hai Sab Kuch,
Ek Bheege Hue Aanchal Se Bandha Hai Sab Kuch,
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #259 on: February 04, 2007, 07:37:31 PM »

Mohabbat Raaz Thi Mujhpar,
Hui Mujh Par Ayaan Aise,
Teri Baatein,
Tera Chehra,
To Shayad Ek Bahana Tha,
Ye Tha Ek Raaz-E-Fitrat,
Ya Thi Koi Aazmayish Ye,
Ke KhaliQ Ko Mere
Bande Ko Apne Azmana Tha,
Nafi Thi Zaat Ki Meri,
Ana Ka Katal Tha Meri,
Thi Ye Ek Shart Ke
Mehboob Ki Hai Bandagi Karni,
Main Rota Tha, Sisakta Tha,
Magar Mehboob Tha Ke,
Sang-E-Marmar Ka Butt Ho Jaise,
Sadayein Be-Asar Thi,
The Sajde Be-Maani,
Phir Ek Din Yun Hua,
Ke Jo Utha Sajde Se Sar Mera,
To Paaya Samne Khud Ko,
Main Karta Tha Ibaadat,
Khud Hi Apni Zaat Se Shayad,
Mohabbat Yun Mukammil Ho Gayi Thi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #260 on: February 04, 2007, 07:45:16 PM »

Na Tujhpe Jafa Ka Koi Ilzaam
Na Main Apni Ulfat Pe Sharamsaar,
Tagaaful Na Peshaymaani Na Koi Shikayat,
Bas Zindagi Ko Dekha Apne Apne Andaz Se Humne,

Main IshQ Ko Samajhta Hu Zindagi Ka Mukaddar,
Tune Mukaddar Ko Bas Zindagi Samjha,
Main Jin Zulmaton Pe Uthata Raha Barbat-E-Bagawat,
Tune Unhi AQaayud Ko Roshni Samjha,

Main Banata Hi Raha Haseen Khwabon Ke Gharonde,
Mujhko Na Tha Pata Ke Tere Guzar Inmein Kahan,
Tu To Dhundti Phirti Thi Ek Kafas Sandali,
Mere Tasavvur Mein Tha Tere Liye Ek Azad Jahan,

Maine To Chaha Tha Tum HumQadam Hoke Chalo,
Tumne Vise Mein Pyaa Hai Magar AQeedat Ka Bharam,
Meri Ulfat To Thi Barabar Ki Dosti,
Teri Ulfat Rahi Meri Mohtaaj-E-Karam,

Meri Tamanna Thi Ke Tu Mujhe "Tu" Hoke Mile,
Tune Khud Hi Ko Apni Bikle Ke Liye Pala Tha,
Meri Hasrat Ki Tu Ise Apne Ehsaas Mein Rakh Kar Ke Jiye,
Tune Parastish Ke Liye Jise Ab Talak Sambhala Tha,

Na Tujhse Thi Mujhe Parastish Ki Aarzu,
Na Khud Mujhe Tha ShauQ-E-AQeedat,
Main Tujh Mein Dhundta Phirta Tha Ek Khuddar Mehboob,
Aur Tumko Pyari Thi Apne Purkho Ki Viraasat...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #261 on: February 04, 2007, 07:46:24 PM »

Na Socha Na Samjha Na Seekha Na Jaana,
Mujhe Aa Gaya Khud-Ba-Khud Dil Lagana,

Zara Dekh Kar Apna Jalwa Dikhana,
Simat Kar Yahin Na Aa Jaye Zamana,

Zuban Par Lagi Hai Wafaon Ki Mohrein,
Khamoshi Meri Keh Rahi Hai Fasana,

Gulon Tak Lagayi To Asaan Hai Lekin,
Hai Dushwar Kaanton Se Daaman Bachana,

Karo Lakh Tum Matam-E-Nojawani,
Per 'Mir' Ab Nahi Aayega Woh Zamaana...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #262 on: February 05, 2007, 08:08:08 PM »
Thanks majid ji
Logged
angel4u
Guest
«Reply #263 on: February 05, 2007, 08:09:43 PM »
Thanks majid ji
Logged
angel4u
Guest
«Reply #264 on: February 05, 2007, 08:11:41 PM »

Mere Aansuon Pe Nazar Na Kar, Mera Shikwa Sunke Khafa Na Ho,
Use Zindagi Ka Bhi HaQ Nahi Jise Dard-E-IshQ Mila Na Ho,

Ye Inayatein Ye Nawazishein, Mere Dard-E-Dil Ki Dawa Nahi,
Mujhe Us Nazar Ki Talash Hai Jo Ada Shanaas-E-Wafa Na Ho,

Tujhe Kya Bataun Main Bekhabar Ki Hai Dard-E-IshQ Mein Kya Asar,
Ye Hai Wo Latif Si Kaifiyat Jo Zuban Tak Aayi Ada Na Ho,

Ye Sharaab Rez-E-Hasin Ghataa Jo Hai "Kaif" Naazish-E-Maykada,
Kisi Tashnaa-Kaam Ki Aarzu Kisi Tashna-Lab Li Dua Na Ho...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #265 on: February 05, 2007, 08:14:17 PM »

Jiska Dar Tha Wohi Haadsa Ho Gaya,
Uska Mujhse Alag Raasta Ho Gaya,

Wo Chala Thaam Kar Haath Mera Magar,
Bich Raaste Mein Mujhse Juda Ho Gaya,

Koi Saya Nahi Tha Kadi Dhoop Mein,
Dil Pighalte Pighalte Fana Ho Gaya,

Maine Dekha Jise Maine Socha Jise,
Jisko Chaha Wohi Bewafa Ho Gaya...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #266 on: February 05, 2007, 08:18:02 PM »

Mohabbat Ek Shajr Hai,
Aur Shajr Ko Isse Kya Matlab
Ke Iski Chhanv Mein Koi
Thaka Hara Muskafir Aake Baitha Hai,
Ab Iska Rang Kya Hai,
Nasl Kaisi Hai?
Kahanse Aya Hai?
Isse Kis Simt Jana Hai?
Shajr Ka Kaam To Bass
Chhanv Dena Aur Dhoop Sehna Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #267 on: February 05, 2007, 08:19:49 PM »

Dukhon Ko Seene Se Lagaya, Talkh Yadoon Ko Apnaya
Tujh Ko Bhool Kar Bhi Hum Ne, Tujhi Ko Hai Paya
Jo Kabhi Kathin Raahon Par Chalne Ka Rawadar Tha
Aaj Meri Tanhaiyone Hai Us Ko Hansaya
Kya Ab Us Par Itna Bhi HaQ Nahi Mera
Ke Nigaah Milte Hi Woh Yun Dariche Se Utar Aya
Chand Haseen MulaQatein Aur Kayee Tanha Ratein
Bus Yahi Hain Mere Zindagi Ka Kul Sarmaya
Ajeeb Kurab Mein Mubtela Hai Hayaat-E-Muaviya
Shab-E-FiraaQ Ne Nahin, Wisal-E-Yaar Ne Hai Rolaya.
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #268 on: February 05, 2007, 08:24:43 PM »

Mohabbat Baksh Deti Hai
Kabhi Raanaiyan Aisi,
Ke Jaise Dhoop Ke Hote
Kabhi Badal Baras Jaye
Ke Jaise Bin Kahe Koi
Kahin Dil Mein Utar Jaye
Kahin Pariyon Ki Waadi Mein,
Bade Se Takht Par Baithe
Koi Phoolon Ke Daman Se
Koi Rangon Ke Aanchal Se,
Saron Par Saayebaan Kar De,

Mohabbat Baksh Deti Hai,
Kabhi Tanhaiyan Aisi
Ke Jaise Aag Si Barse
Jo Sara Tan Jala Rakhe,
Ke Jaise Dhoop Ke Honthonko
Shole Phir Jala Baithe,
Ke Jaise Raste Mein Hi
Koi Raahi Bhatak Jaye,
Ke Jaise Man Ke Andar Kuch,
Achanak Se Toot Sa Jaye,
Ke Jaise Dil Pighal Jaye
Mohabbat Kya Hai Phir Socho
Kya Ra'anai Ya Tanhayi???
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #269 on: February 05, 2007, 08:28:05 PM »

Mere Sabar Ka Na Le Imtehaan,
Meri Khamoshi Ko Sada Na De,
Jo Tere Bagair Na Jee Sake
Use Jeeneki Dua Na De,

Tu Azeez Dil-O-Nazar Se Hai,
To Qareeb Rag-O-Jaan Se Hai,
Mere Jism-O-Jaan Ka Ye Faasla,
Kahin WaQt Aur Badha Na De,

Tujhe Bhul Ke Na Bhula Sakun,
Tujhe Chah Ke Bhi Na Paa Sakun,
Meri Hasraton Ko Shumaar Kar,
Meri Chahaton Ka Sila Na De,

Wo Tadap Jo Shula-E-Jaan Mein Thi,
Mere Tan Badanse Lipat Gayi,
Jo Bujha Sake To Bujha Ise,
Na Bujha Sake To Hawa Na De,

Tujhe Agar Mile Kabhi Fursatein,
Meri Shaam Phir Se Sanwar De,
Agar Qatal Karna Hai To Qatal Kar,
Yun Judaiyon Ki Saza Na De...
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 14 15 16 17 [18] 19 20 21 22 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 09:22:08 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer