Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 167 168 169 170 [171] 172 173 174 175 ... 273
Print
Author  (Read 133087 times)
angel4u
Guest
«Reply #2550 on: October 01, 2008, 02:34:17 AM »


Jahan Phoolonko Khilna Tha Wahin Khilte To Achha Tha,
Tumhi Ko Humne Chaha Tha Tum Hi Milte To Achha Tha,

Hazaron Dard Aise Hai Agar Bharte To Achha Tha,
Hazaron Zakham Aise Hai Agar Silte To Achha Tha,

Koi Aakar Hamein Puchhe Tumhe Kaise Bhulaya Hai,
Tamam AshQon Ko Humne Shab-E-Gam Mein Jalaya Hai,

Jahan Phoolon Ko Khilna Tha Wahin Khilte To Achha Tha,
Tumhi Ko Humne Chaha Tha Tum Hi Milte To Achha Tha...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2551 on: October 01, 2008, 02:34:57 AM »




Toot Chuke Hai Sabhi Dhaage Sare Mere Ehsaas Ke,
Ab Khushi Ki Jhilmilate Geet Gaa Sakte Nahi,

Ahl-E-Duniya Mujhse Mere Keh Keh Mangun Nahi,
Itna Bebas Hogaya Hoon Muskura Sakta Nahi,

Kya Kahoon Kis Tarah Jeena Mera MaQsad Tha,
Kis Tarah Jeeta Hoon Main Kuch Bata Sakta Nahi,

Dil Se Hi Chaha Tha Tujhko Toot Kar Maine,
Ab Teri Chahat Ko Dil Mein Sama Sakta Nahi,

Be-Asar Si Be-Sabab Si Ho Gayi Zindagi,
Ab Teri Nazrons E Bhi Nazrein Mila Sakta Nahi,

Tu Ke Jis Andaaz Se Chehre Ko Padhta Hai,
Rog To Lagna Hi Tha Dilse Mita Sakta Nahi...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2552 on: October 01, 2008, 02:35:19 AM »



Ye Sheeshe Ye Sapne Ye Rishte Ye Dhaage,
Kise Kya Khabar Hai Kahan Toot Jaye,
Mohabbat Ke Dariya Mein Tinke Wafa Ke,
Na Jane Kis Mod Par Doob Jaye,

Ajab Dilki Basti, Ajab Dil Ki Waadi,
Har Ek Mod Mausam Nayi Khushiyon Ka,
Lagaye Hai Humne Bhi Sapno Ke Paudhe,
Magar Kya Bharosa Yahan Baarishon Ka,

Muradon Ki Manzil Ke Sapno Mein Khoyi,
Mohabbat Ki Raahon Pe Hum Chal Pade The,
Zara Door Chalke Jab Aankhein Khuli To,
Kadi Dhoop Mein Hum Akele Khade The,

Jinhe Dil Se Chaha Jinhe Dilse Pooja,
Nazar Aa Rahe Hai Wohi Ajnabi Se,
Riwayat Hai Shayad Ye Sadiyon Purani,
Shikayat Nahi Koi Zindagi Se...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2553 on: October 01, 2008, 02:35:35 AM »




Kyon Tum Mujhe Itna Har Pal Yaad Aate Ho,
Meri Aankhon Mein Nami Dekhke Bhi Muskurate Ho,

Kitne Peher Hi Dusron Se Hans Ke Baat Karte Ho,
Kisike Dil Ke Liye Kisika Dil Jalate Ho,

Meri Aankhon Mein Baste Ho,
Mere Dilke Makeen Ho Tum,

Mere Har Khwab Ka Sabab Ho Kar Bhi,
Mujhse Nazar Churate Ho,

Mujhe Kitna Satate Ho,
Kyon Tum Mujhe Itna Har Pal Yaad Aate Ho...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2554 on: October 01, 2008, 02:35:47 AM »



Ban Jaun Agar Tum Sa Tumhe Kaisa Lagega,
Har Pal Main Rahun Tumse Khafa Kaisa Lagega,

Padhte Ho Tum Jo Namazon Ko Khushi Se,
Ho Jaye Agar Tumse Qaza Kaisa Lagega,

Tum Dosti Mein Khud Ko Mitane Pe Ho Raazi,
Mil Jaye Par Ek Dost Ko Saza Kaisa Lagega,

Khud Se Bhi Zyada Ho YaQeen Tumko Kisi Par,
Wo Shakhs Hi De Jaye Daga Kaisa Lagega,

Tum Auron Ki Mehfil Ka Diya Banke Jalo Par,
Tanhayi Mile Tumko Sila Kaisa Lagega...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2555 on: October 01, 2008, 02:36:04 AM »




Aaj Ki Shab To Kisi Taur Guzar Jayegi,
Raat Gehri Hai Magar Chand Chamakta Hai Abhi,
Mere Mathe Pe, Tera Pyar Damakta Hai Abhi,
Meri Saanson Mein Tera Lams Mehekta Hai Abhi,
Mere Seene Mein Tera Naam Dhadakta Hai Abhi,
Zeest Karne Ko Mere Paas Bahut Kuch Hai Abhi,

Teri Awaz Ka Jaadu Hai, Abhi Mere Liye,
Tere Malboos Ki Khushbu Hai Abhi Mere Liye,
Teri Baatein Tera Pehloo Hai Abhi Mere Liye,
Sab Se Badhke Meri JAAN Tu Hai, Abhi Mere Liye,
Zeest Karne Ko Mere Paas Bahut Kuch Hai Abhi,

Aaj Ki Shab To Kisi Taur Guzar Jayegi,
Aaj Ke Baad Magar, Rang-E-Wafa Kya Hoga,
IshQ Hairan Hai Ke Sar Sheher Saba Kya Hoga,
Mere Qaatil Tera Andaza-Jafa Kya Hoga,

Aaj Ki Shab To Bahut Kuch Hai Magar, Kal Ke Liye,
Ek Andesha-E-Benaam Hai Aur Kuch Bhi Nahi,

Dekhna Ye Hai Ke Kal Tujhse MulaQaat Ke Baad,
Rang-Ummid Khilega, Ke Bikhar Jayega,
WaQt Parwaz Karega Ke Theher Jayega,
Jeet Ho Jayegi Ya Khel Bigad Jayega,
Khwab Ka Sheher Rahega Ke Ujad Jayega...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2556 on: October 01, 2008, 02:36:25 AM »



Kabhi Dil Na Mera Liya Hota,
Ye Wafa Hi Na Kiya Hota,
Dena Mujhe Jo Zakhm Tha,
Itna Gehra To Na Diya Hota,

Kiska Gunah Kahein Isko,
Kis Kambakht Se Gila Hota,
Hota Khuda Hi Meri Taraf,
Ya Sanam Na Bewafa Hota,

Iska Bhi Koi Hisab Hai,
Rishta Koi To Raha Hota,
Jab AshQ Hi Bahe The To,
Ye Dil Bhi Bujh Gaya Hota...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2557 on: October 01, 2008, 02:36:42 AM »


Kabhi Humse Bhi Puchha Karo,
Ke Humpe Kya Biti Hai,
Kyon Gamon Ko Chhupakar Muskuraya Karte Hai,
Kyon Aansuon Ko Rok Kar Hasa Karte Hai,
Kaise Man Hi Man Roya Karte Hai,
KYON................
Kyon Aaj Bhi Tumahra Intezar Karte Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2558 on: October 01, 2008, 02:37:09 AM »


Jahan Chaand Aur Suraj Baste Hai,
Sara Din Wo Aangan Mein Milkar Khela Karte Hai,
Ek Duje Pe Wo Dil-O-Jaan Se Marte,
Phir Ek Din Yun Hua Wo Aapas Mein Rooth Gaye,
Jo Sapne Dekhe Wo Toot Gaye,
Ab Chaand Wahan Tab Aata Hai,
Jab Suraj Chala Jata Hai,
Jab Suraj Aata Hai To Chaand So Jaata Hai,
Badal Ye Kehte Hai,
Ye Suraj Uljha Uljha Rehta Hai,
Chaand Ke Paas To Sitare Hai,
Ye Suraj Tanha Tanha Rehta Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2559 on: October 01, 2008, 02:37:44 AM »



Humko To Muskurane Ki Aadat Si Hai,
Aansuon Ko Chhupane Ki Aadat Si Hai,

Dua Na Hi Dua Kaam Karti Hai Hum Par,
Ab To Zakhm Khane Ki Aadat Si Hai,

Sab Kehte Hai Gam Se Koi Rsihta Nahi Hamara,
Kya Karein Mehfil Mein Gaane Ki Aadat Si Hai,

Raasta Nahi Manzil Dikhayi Deti Hai,
Tareekiyon Mein Chalne Ki Aadat Si Hai,

Zor Nahi Chalta Kyonki Bebas Hai Hum,
Is Bebasi Mein Dilko Rulane Aadat Si Hai,

Raat Guzarti Hai Hamari Tanhayi Ke Sath,
Tanhayi Ko Sang Jagane Ki Aadat Si Hai,

Mar Jaun To Mere Munh Par Khafan Dale Rakhna,
Zamane Se Munh Chhupane Ki Aadat Si Hai,

Aaj Hai To Kal Wo Log Nahi Rehte,
Logonko Yahan Aane Jaane Ki Aadat Si Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2560 on: October 01, 2008, 02:38:19 AM »




Dil Jo Toota To Ye Khayal Aaya,
IshQ Mein Humne Kya Sila Paaya,

WaQt Apna Ho To Hote Hai Sabhi Apne,
Chhod Jaata Hai Bure WaQt Mein Apna Saaya,

Baste The Kabhi Aankh Mein Khwabon Ki Tarah Jo,
Main Aaj Un Lamhon Ko Aansuon Mein Baha Aaya,

Aaj Mujhko Wo Udaas Bahut Malum Hua,
Aaj Main Mushkil Se Sher Keh Paya,

Meri Saanson Mein Basa Tha Khushbu Ki Tarah,
Wo Jise Main Chah Ke Bhi Na Bhula Paaya,

Zindagi Khatam Hui Jaati Hai Jaaved,
Haay Tujhe Is WaQt Khuda Yaad Aaya...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2561 on: October 01, 2008, 02:39:31 AM »




Laakh Doori Ho Magar Ehad Nibhaye Rehna,
Jab Bhi Baarish Ho Mera Sog Manate Rehna,

Tum Gaye Ho To Sar-E-Shaam Ye Aadat Thehri,
Bas Kinare Pe Khade Haath Hilate Rehna,

Jaane Is Dilko Ye Adab Kahan Se Aaya,
Uski Raahon Mein Nigahon Ko Bichhate Rehna,

Ek Muddat Se Ye Mamool Hua Hai Ab To,
Aap Hi Roothna Aur Aap Manate Rehna,

Tumko Malum Hai Farhat Ke Ye Pagalpan Hai,
Door Jaate Hue Logonko Bulate Rehna...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2562 on: October 01, 2008, 02:39:51 AM »



Tumhe Jab Mile Kabhi Fursatein Mere Dilse Bojh Utar Do,
Main Bahut Dino Se Udaas Hoon Mujhe Koi Shaam Udhar Do,

Mujhe Apne Roop Ki Dhoop Do Ke Chamak Sakein Mere Khal-O-Khad,
Mujhe Apne Rang Mein Rang Do Mere Sare Zang Utar Do,

Kisi Aur Ko Haal Se Na Garaz Hai Koi Na Wasta,
Main Bikhar Gaya Hoon Samet Lo Main Bigad Gaya Hoon Sanwar Do,

Meri Wehshaton Ko Badha Diya Hai Judayaiyon Ke Azab Ne,
Mere Dilpe Haath Rakho Zaram Eri Dhadkano Ko Qarar Do,

Tumhe Subah Kaisi Lagi Kaho Mere Khwahishon Ke Dayar Ki,
Jo Bhali To Yahin Raho Ise Chahaton Se Nikhar Do,

Wahan Har Mein Kaun Hai Muntazir Ke Ho Fikr Har Sawer Ki,
Badi Mukhtasir Si Ye Raat Hai Ise Chandni Mein Guzar Do...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2563 on: October 01, 2008, 02:40:14 AM »



Jab Kio Apna Ajnabi Sa Lage,
Dil Lagana Bhi Dillagi Sa Lage,

Tera Andaz-E-Dushmani Aye Dost,
Hoo Bahoo Teri Dosti Sa Lage,

Maut Se Kiya Use Daraun,
Jisko Marna Hi Zindagi Sa Lage...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2564 on: October 01, 2008, 02:40:42 AM »



Tere Bagair Meri Hayat Bhi Hayat Nahi,
Tum Nahi To Mere Liye Kaaynaat Nahi,

Tum Muskura Do To Mil Jayega Sab Mujhe,
Bani Jannat Bhi Tere Liye Saugaat Nahi,

Mere Daaman Mein To AshQon Ke Toote Moti Hai,
Mere Humraah Khushiyon Ki Baaraat Nahi,

Kafan Mohabbat Ka Hai Ye Surkh Libaas Tera,
Raat Qayamat Ki Hai, Ye Meri Suhaagraat Nahi,

Tumhi Batao Laun Kaise Guzri Baharon Ko,
Bahut Mushkil Hai Yeh, Mere Bas Ki Baat Nahi,

Har Musibat Mein Sahara Hai To Hai Khuda Ka,
Kya Hua Jo Agar Duniya Mere Saath Nahi,

Daman Tumne Bachaya Hai, Tum Ho To Gunehgaar,
Agar Main Tumse Khafa Hoon To Bhi Baat Nahi...

Logged
Pages: 1 ... 167 168 169 170 [171] 172 173 174 175 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 11, 2025, 09:05:53 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.274 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer