Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 168 169 170 171 [172] 173 174 175 176 ... 273
Print
Author  (Read 133088 times)
angel4u
Guest
«Reply #2565 on: October 01, 2008, 02:41:46 AM »



Wo Qurbaton Mein Bhi Judayi Ke Zamane Mange,
Dil Wo Be-Meher Ke Rone Ke Bahane Mange,

Tum Na Hote To Kisi Aur Ke Charche Hote,
KhalQat-E-Sher To Kehne Ke Bahane Mange,

Yehi Dil Tha Ke Tarasta Tha Marasim Ke Liye,
Ab Yehi TarQ-E-TalluQ Ke Bahane Mange,

Apna Ye Haal Ke Jee Haar Chuke, Lutt Chuke,
Aur Mohabbat Wohi Andaz Purane Mange,

Zindagi Hum Tere Daagon Se Rahe Sharminda,
Aur Tu Hai Ke Sada Aayina-Khane Mange,

Dil Kisi Haalpe Qaane Hi Nahi Jaan-E-Faraz,
Mil Gaye Tum Bhi To Kya Aur Na Jane Kya Mange...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2566 on: October 01, 2008, 02:42:18 AM »

Badan Se Uthti Oss Ki Khushbu, Saba Ke Lehje Mein Bolta Tha,
Ye Meri Ankhein Thi Uska Bistar, Wo Mere Khwabon Mein Jagta Tha,

Koi Tha Chasm-E-Qarm Ka Talib, Kisipe ShoQ-E-Visaal Galib,
Sawal Pehle The Char Janib, Bas Ek Main Tha Jo Chup Khada Tha,

Ajeeb Sobhat, Ajeeb Rutt Thi, Khamosh Baithe Hue The Dono,
Main Uski Awaz Sun Raha Tha, Wo Meri Awaz Sun Raha Tha,

Haya Se Aankhein Jhuki, Hawa Ki Saansein Ruki Hui Thi,
Wo Mere Seene Mein Sar Chhupaye, Na Jane Kya Baat Sochta Tha,

Bahar Aayi To Titliyon Ke Paron Mein Rangone Rang Badla,
Aur Ek Bhanwra Kali Kali Ke Labon Ko Reh Rehke Chumta Tha,

Wo Aur Honge Ke Jinko AMJID Naye Manzar Ki Chah Hogi,
Main Unke Chehre Ko Dekhta Hoon, Main Unke Chehre Ko Dekhta Tha...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2567 on: October 01, 2008, 02:42:52 AM »


Wo........
Wo Mujhe Us WaQt Mila
Jab Pahadon Pe Barf Pighal Rahi Thi,
Chehre Ke Darakhton Par Awaleen Shagofe Phoot Rahe The,
Nakhez Khushbu Se Saara Baagh Roshan Tha,
Bulbul Ne Abhi Sirf Chikhna Shuru Kiya Tha,
Apne Baazuon Mein Liye,
Wo Mujhe Phoolon Bhari Waadi Mein
Ghumata Raha,
Hum Titliyan Aur Jugnoo Pakadte Rahe,
Baarish Ek Pyari Dost Ki Tarah
Hamara Haath Batati Rahi,
Jis Din Darakht Se Pehla Patta Gira,
Main Use Uthane Ke Liye Jhuki,
Palat Kar Dekha
Wo Jaa Chuka Tha,
Ab Main Toote Hue Patton Mein
Apne Aansu Jama Kar Rahi Hoon,
Mujhe Jaan Lena Chaiye Tha,
Ke Uska Uar Mera Sath
Mausam-E-Bahar Tak Tha...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2568 on: October 01, 2008, 02:43:21 AM »



Dilke Sannaton Mein Rehne Wale Tanha Tum Hi Nahi,
Tanhayi Se Baatein Karne Wale Tanha Tum Hi Nahi,

Is IshQ Ne Barbaad Kiya Hai Har Shakhs Ko,
Is IshQ Mein Bikharne Wale Tanha Tum Hi Nahi,

Kehne Ko To FaQt Ek Dil Hi Toota Hai,
Apna Sab Kuch Lutane Wale Tanha Tum Hi Nahi,

Hanste Hue Chehre Hai Yahan Sabke,
Dard Yun Chhupane Wale Tanha Tum Hi Nahi,

Shab-E-Tanhayi Ki Dastan Ek Si Hai Sabki,
Andheron Mein Rehne Wale Tanha Tum Hi Nahi,

Aisa Lagta Hai Ek Saza Ho Zindagi Meri,
Is Qaid Mein Rehne Wale Tanha Tum Hi Nahi,

Is Sheher Mein Aur Bhi Deewane Hai SAHIL,
Dar Dar Bhatakne Wale Tanha Tum Hi Nahi...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2569 on: October 01, 2008, 02:43:53 AM »



Itna Toota Hoon Ke Chhune Se Bikhar Jaunga,
Ab Agar Aur Dua Doge To Mar Jaunga,

Puchh Kar Mera Pata, WaQt Ra-E-Gah Na Karo,
Main To Banjara Hoon, Kya Jaane Kidhar Jaunga,

Har Taraf Dhund Hai, Jugnu Hai Na Charag Koi,
Kaun Pehchanega, Basti Mein Agar Jaunga,

Zindagi! Main Bhi Musafir Hoon Teri Kashti Ka,
Tu Jahan Mujhse Kahegi Main Utar Jaunga,

Phool Reh Jayenge Guldaan Mein Yaadon Ki Nazar,
Main To Khushbu Hoon Fizaon Mein Bikhar Jaunga...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2570 on: October 01, 2008, 02:46:35 AM »



Na Siyo Honth Na Khwabon Mein Sada Do Hum Ko,
Maslehat Ka Ye TaQaza Hai Ke Bhula Do Hum Ko,

Jurm SuQrat Se Hat Kar Na Ye Saza Do Humko,
Zeher Rakha Hai To Ye Abhi BaQa Do Humko,

Bastiyan Aag Mein Bahe Jaaye Ke Pathar Barsein,
Hum Agar Soye Hue Hai To Jaga Do Hum Ko,

Hum Agar HaQeeQat Hai To Tasleem Na Karne Ka Sabab,
Haan Agar Harfee Ghalat Hai To Mita Do Hum Ko,

Shorash-E-IshQ Mein Hai Husain Barabar Ka ShareeQ,
Soch Kar Jurm-E-Tamanna Ke Saza Do Hum Ko...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2571 on: October 01, 2008, 02:47:02 AM »


Koi Puchhe Is Duniya Se Ye Pyar Kya Hota Hai,
Ye IshQ, Mohabbat Kya Khumar Hota Hai,

Kyon Kisise Itna Pyar Hota Hai,
Dil Kyon Har WaQt Bekarar Hota Hai,

Ruswayi Hi Kyon Milti Hai,
Kyon Nahi Dilki Kali Khilti Hai,

Bewafayi Hi Kyon Badle Mein Milti Hai,
Dusron Ki Baahein Kyon Khilti Hai,

Ek Jawab Meri Samajh Mein Aata Hai,
Ye Pyar, Ye Mohabbat, IshQ Sab BeQaar Hota Hai,

Kya Karein Aise IshQ Ka, Jiska Beda Paar Hi Nahi Hota,
Kya Karein Aise Pyaar Ka Jo Dil Par Chotein Lagata Hai,
Kya Karein Aisi Mohabbat Ka Jo Nind Hi Le Jaati Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2572 on: October 01, 2008, 02:48:22 AM »



Log Kehte Hai Ajnabi Tum Ko,
Ajnabi Meri Zindagi Tum Ho,

Dil Kisika Na Ho Paya,
Arzu Meri Aaj Bhi Tum Ho,

Mujhko Apna Sikr-E-Gam Kar Lo,
Yun Akele Hi Bahut Dukhi Ho Tum,

Doston Se Wafa Ki Ummidein,
Kis Zamane Ke Aadmi Tum Ho,

Main Zameen Pe Utra Hoon,
Aasman Ki Chandni Tum Ho...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2573 on: October 01, 2008, 02:49:09 AM »



Roz Sahil Pe Khade Hoke Yehi Dekha Hai,
Shaam Ka Pighla Hua Surkh-Sunehri Rogan,
Roz Matiyale-Se Paani Mein Ye Ghul Jaate Hai,
Roz Saahil Pe Khade Hoke Yehi Socha Hai,
Main Jo Pighli Hui Rangeen ShafaQ Ka Rogan,
Pochh Lo Haathon Pe,
Aur Chupke Se Ek Baar Kabhi,
Tere Gulnaar Se Rukhsaron Pe Chhap Se Mal Dun,
Shaam Ka Pighal Hua Surkh Sunahri Rogan...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2574 on: October 01, 2008, 02:50:05 AM »



Kuchh Is Tarah Se Hamara Aagazi Safar Hua,
Jaise Koi Raahi Ho Apni Manzil Se Rootha Hua,

Ab Nahi Dar Kisi Gam Ka Kisi Ruswayi Ka,
Ke Main To Gamon Se Hoon Toota Hua Bikhra Hua,

Sochta Hoon Ke Ab Bhool Jaun Tujhe,
Par Tera Chehra Khanjar Ki Manind Hai Dil Mein Dooba Hua,

Kehte Hai AshQ Jo Beh Jayein To Achha Hai,
Par Meri Aankhon Mein Tu Ek Samundar Hai Thehra Hua,

Na Do Mere Zakhmonko Marham Tum,
Ke Har Zeher Pe Hai Naam Kisika Likha Hua,

Aftaab Ki Tamazat Kya Jalayegi Mujhe,
Ke Main To Teri Nigahon Ki Tapish Se Hoon Jhulsa Hua,

Ab Raahaton Ke Lamhe Hamein Naseeb Kahan,
Ke Hamari Kismat Mein To Bas Hijr Hai Likha Hua...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2575 on: October 01, 2008, 02:51:21 AM »



Ujaad De Mere Dilki Duniya Sakoon Ko Mere Tabah Kar De,
Magar Meri Iltija Hai Tujhse, Idhar Bhi Apni Nigah Kar De,

Tumhe Khabar Ho Ke Na Ho Shayad Tumhari Anakhon Mein Wo Asar Hai,
Jo Taigh-O-Khanjar Na Kar Sakenge, Wo Kaam Teri Nigah Kar De,

Suhaani Raaton Ki Chandni Mein Kabhi Na Tum BenaQab Aana,
Main Dilpe Qaboo To Rakh Sakhunga, Nigah Shayad Gunah Kar De,

Ye Parda Daree Hai Ya Tamasha Mujhi Mein Reh Kar Mujhi Se Parda,
Tabah Karna Agar Hai Mujhko To NaQab Utha Aur Tabah Kar De,

Ujaad De Mere Dilki Duniya Sakoon Ko Mere Tabah Kar De,
Magar Meri Iltija Hai Tujhse, Idhar Bhi Apni Nigah Kar De...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2576 on: October 01, 2008, 02:51:35 AM »



KHAMOSH ZAKHM...

Koi Khamosh Zakham Lagti Hai,
Zindagi Ek Nazm Lagti Hai,

Bazm-E-Yaaran Mein Rehta Hoon Tanha,
Aur Tanhayi Nazm Lagti Hai,

Humse Chahe Kahin Ki Baat Karo,
Hoti Tum Par Hi Khatam Lagti Hai,

Apne Saaye Pe Paanv Rakhta Hoon,
Chhanv Chhalon Ko Narm Lagti Hai,

Chaand Ki Nabz Dekhta Hoon Main,
Raat Ki Saans Garm Lagti Hai,

Ye Riwayat Ke Dard Mehek Rahein,
Dilki Dooriyan Rasm Lagti Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2577 on: October 01, 2008, 02:57:05 AM »



BeQarar Hokar Aaj Phir Teri Mehfil Mein Aaye Hai,
Hazaron Armaan Teri Deed Ke Dil Mein Laaye Hai,

Hai Khauf Kyon Raat Ke Andheron Ka Sanam,
Mohabbat Ke Lakhon Diye Raahon Mein Laaye Hai,

Sirf Phool Hi Nahi Kafi Tum Jaise Dilbar Ke Liye,
Qadmon Mein Tere Hum Dilko Apne Bichhaye Hai,

Kash Ke Tujhe Meri Beloos Mohabbat Ka YaQeen Ho,
Sirf Tere Liye Sanam Hum Kaiyon Ko Thukraye Hai,

Silsile BeQarariyon Ke Hadd Se Badhne Lage Hai Ab,
Wo Aayenge Ye Gazal Padhke, Dil Ko Samjhaye Hai,

Taras Rahi Hai Tere Deedar Ko Ab Aa Bhi Jao,
Dekho Tumhare Liye Raston Pe Nazrein Tikaye Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2578 on: October 01, 2008, 02:57:48 AM »
Kiya Hai Tumne Humse Ek Wada Yaad Rakhna,
Bhool Na Jaana Kahin Apna Irada Yaad Rakhna,

Ab Na Hamein Rulana Tu, Ab Na Door Jaana Tum,
Pehle Hi Seh Chuke Hai Dukh Itne Zyada Yaad Rakhna,

Dil To Na Dukhaoge Mujhe Chhod To Na Jaoge,
Dil Mein Hi Base Ho Tum Ab Ise Abaad Rakhna,

Tum Jo Chhod Jaoge Hum To Mar Hi Jayenge,
Tumhare Dam Se Zindagi Hai Sirf Itna Yaad Rakhna,

Chahaton Ki Duniya Mein Roshni Tumhi Se Hai,
Dil Tod Kar Hamein Chhod Kar Kahin Na Jaana Yaad Rakhna...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2579 on: October 01, 2008, 02:58:20 AM »
Pyaar Mera Ek Sapna Ban Gaya Hai,
Jiski Chahat Thi Wo Raahi Chhut Gaya Hai,

Jisko Chaha Tha Is Dil Ne Sada,
Aaj Wohi Humsafar Begana Ban Gaya Hai,

Jin Aankhon Mein Uski Tasveer Sajayi Thi,
Unhi Aankhone Us Tasveer Ko Mita Diya Hai,

Jis Dil Mein Deep Jalte The Pyaar Ke,
Aaj Us Deep Ne Is Dilko Jala Diya Hai...
Logged
Pages: 1 ... 168 169 170 171 [172] 173 174 175 176 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 11, 2025, 09:10:42 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.234 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer