Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 169 170 171 172 [173] 174 175 176 177 ... 273
Print
Author  (Read 131586 times)
Roja
Guest
«Reply #2580 on: October 01, 2008, 04:19:53 AM »
Last do gazal mujhe bahut pasand aaya Angel dear.
Keep sharing  Thumbs UP
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2581 on: October 01, 2008, 03:03:52 PM »
Thanks a lot deear Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2582 on: October 01, 2008, 03:04:28 PM »

Jo Tumne Hi Thaan Li Hai,
Hamare Dil Se Nikloge,
To Itna Jaan Lo Pyaare,
Wafa Ki Sidiyon Pe
Har Qadam Pehla Hua,
Ye Arzuon Ka Lahoo
Zaya Na Jayega
Sitare
Jinki Aankhone Hamein Ek Sath Dekha Hai
Gawahi Dene Ayenge
Purane Kagazon Ki Balcony Se
Bahut Se Lafz Jhankenge
Tumhe Wapas Bulayenge
Kayi Waade Fasadi Qarz Khahon Ki Tarah
Raaste Mein Rokenge
Tumhari Jaan Khayenge
Chhupa Kar Kis Tarah Chehra
Bhari Mehfil Se Nikloge
Zara Phir Soch Lo Jaanam,
Nikal To Jaoge Shayad,
Magar Mushkil Se Nikloge...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2583 on: October 01, 2008, 03:06:49 PM »

Main Tujhe Bhool Jaun Ye Mumkin Nahi,
Bin Tere Muskuraun Ye Mumkin Nahi,

Apne Atraf Dekhun Na Dekhun Tujhe,
Tujhse Milne Na Aaun Ye Mumkin Nahi,

Teri Khushiyon Pe Sab Apne Gam Bhool Kar,
Main Khushiyan Manaun Ye Mumkin Nahi,

Teri Khatir Likhun Roz Taaza Gazal,
Aur Tujhko Na Sunaun Ye Mumkin Nahi,

Main Hoon Serah Tere Rubaru Baithkar,
Apni Palkein Uthaun Ye Mumkin Nahi...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2584 on: October 01, 2008, 03:10:02 PM »

Kayi Din Se Unki Koi Khabar Nahi Milti,
Ab To Dil Behlane Ki Kio Tadbeer Nahi Milti,

Kab Tak Chhipa Payenge Zamane Se Ye Raaz Hum,
Meri Hasti Ko Tere Siwa Koi Aur Manzil Nahi Dikhti,

Sab Ko Mil Jaye Apni Mohabbat Apni Zindagi Mein Ye Mumkin Nahi,
Ye Wo Jageer Hai Jo Sabko Nahi Mila Karti,

Baagh Mein Phool To Khilte Hai Sab Ke Liye,
Par Har Kisiko Is Mehekte Chaman Ki Khushbu Nahi Milti,

Jabse Suna Hai Ke Wo Hai Udaas Udaas,
Meri Hansi Mein Bhi Ab Wo Shokhiyan Nahi Dikhti...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2585 on: October 01, 2008, 03:15:29 PM »
Hamare Lab Mohabbat Se Sile The,
Wagarna Tumse To Kitne Gile The,

Dilon Mein Dooriyan Itni Nahi Thi,
Bazahir Hum Mein Jitne Fasle The,

Hamare Hi Lahoo Se Jal Rahe The,
Teri Raahon Mein Jitne Bhi Diye The,

Mohabbat Ke Safar Mein Kya Bataun,
Safar Kya, Bas Junoon Ke Silsile The,

Use Malum Ke Hum Uski Khatir,
Charagon Ki Tarah Shab Bhar Jale The,

Judayi Hum Par Bhi Asan Nahi Thi,
Hum Apne Aapse Bichhde Hue The...
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #2586 on: October 02, 2008, 05:24:08 AM »
wah nice sharing 
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2587 on: October 02, 2008, 06:41:42 AM »
Thanks bekarar... :|
Logged
Talat
Guest
«Reply #2588 on: October 02, 2008, 10:33:41 AM »
Very nice sharing Angel  Thumbs UP
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2589 on: October 02, 2008, 02:28:56 PM »
Thanks Celmira. Usual Smile
Logged
Roja
Guest
«Reply #2590 on: October 02, 2008, 02:52:27 PM »
Last sharing is very good 1 Angel dear...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2591 on: October 04, 2008, 03:37:58 AM »
Thanks dear...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2592 on: October 04, 2008, 03:38:14 AM »
Khamosh Guzarti Ho,
Aagan Se Nakabon Mein,
Hole Se Chhupa Deti,
Munh Apna Kitabon Mein,
Kanagan Ko Karogi Chup
Payal Bhi Utarogi,
Dhadkan Ka Kya Karogi,
Aahat To Wo Hi Hogi,
Hai Pyar Hamein Tumse,
Humraaz Farishte Hai,
Pechaan Le Laakhon Mein,
Ye Rooh Ke Rishte Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2593 on: October 04, 2008, 03:38:40 AM »
Kabhi Nazrein Milane Mein Zamane Beet Jaate Hai,
Kabhi Nazrein Churane Mein Zamane Beet Jaate Hai,

Kisiki Aankh Bhi Khulti Hai Sone Ki Nagri Mein,
Kisiko Ghar Banane Mein Zamane Beet Jaate Hai,

Kabhi Ghar Se Nikalte Hi Nazar Aa Jaati Hai Manzil,
Kabhi Manzil Ko Paane Mein Zamane Beet Jaate Hai,

Jinhe Hum Bhool Baithe Hai Wo Kyon Kar Yaad Aate Hai,
Unhe Phir Se Bhulane Mein Zamane Beet Jaate Hai,

Kabhi Ek Pal Barabar Banke Sadiyon Beet Jaate Hai,
Kabhi Ek Pal Ko Paane Mein Zamane Beet Jaate Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2594 on: October 04, 2008, 03:39:19 AM »
Mera Jee Hai Jab Tak Teri Justuju Hai,
Zuban Jab Talak Hai Yehi Guftugu Hai,

Khuda Jaane Kya Hoga Anjaam Iska,
Main Besabar Itna Hoon Wo Tund Khu Hai,

Tamanna Hai Teri Agar Hai Tamanna,
Teri Arzu Hai Agar Arzu Hai,

Nazar Mere Dilki Padi Dard Kis Par,
Jidhar Dekhta Hoon Wohi Rubaru Hai...
Logged
Pages: 1 ... 169 170 171 172 [173] 174 175 176 177 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 17, 2024, 06:54:26 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.213 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer