Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 170 171 172 173 [174] 175 176 177 178 ... 273
Print
Author  (Read 131582 times)
angel4u
Guest
«Reply #2595 on: October 04, 2008, 03:59:13 AM »

IshQ Karna Hai To Ahad Bhi Karna Hoga,
Ab Na Khushiyon Ka Guzar Is Tarah Asaan Hoga,

Hum Pukarenge Tumhe Tum Pe Hai Aao Ke Nahi,
Hum Ko Bas Ek Yehi Intezar Karna Hoga,

Raat Mehkegi Jo Kabhi Jaise Phool Juhi Ka,
Aur Hum Jaan Lenge Yaad Aaj Kiya Hoga,

Aur Jab Koi Darakht Humko Yun Saya Dega,
Meri Tasveer Pe Saya Wahan Tera Hoga,

Hichkiyan Hoti Agar Yaad Ki To Mar Jaate,
Sara WaQt Yaad Mujhe Tune To Kiya Hoga,

Aur Bhi Jeena Hai Ye Soch Ke Dar Lagta Hai,
Tere Bin Jeena To Bas Maut Se Badtar Hoga...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2596 on: October 04, 2008, 04:00:54 AM »

Suno!
Yun Chup Se Na Raha Karo,
Yun Khamosh Ho Jaate Ho
Dilko Wahem Sa Ho Jata Hai,
Kahin Khafa To Nahi Ho
Kahin Udaas To Nahi Ho,
Tum Bolte Achhe Lagte Ho
Tum Dantte Achhe Lagte Ho
Kabhi Shararat Se
Kabhi Gusse Se
Tum Hanste Achhe Lagte Ho...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2597 on: October 04, 2008, 04:01:12 AM »




Mohabbat Mein Asar Hoga To Ek Din Tumko Paa Lenge,
Kisi Surat Se Hum Bigdi Hui Kismat Bana Lenge,

Sitaron Mein Phoolon Mein Chaand Mein Tum Mil Hi Jaoge,
Kahan Tak Hai Mohabbat Mein HaQeeQat Aazam Lenge,

Zamane Ko Dikha Denge Ke Do Dil Kaise Milte Hai,
Is Duniya Mein Hum Tum Dusri Duniya Basa Lenge...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2598 on: October 04, 2008, 04:01:30 AM »



Har Nayi Raah Par Chal Kar Dekha,
Maine Har Rang Mein Dhal Kar Dekha,

Kuch Hawayein Bhi Meherbaan Rahi,
Gar Kabhi Pyaar Mein Jal Kar Dekha,

Teri Zulfon Se Band Kar Rakha,
Gar Kabhi Ghar Se Nikal Kar Dekha,

Dhundhna Khudko Bahut Mushkil Tha,
Rooh Mein Tere Pighar Kar Dekha,

Tune Ek Baar Ijaazat Di Thi,
Maine Sau Baar Machal Kar Dekha,

Jiase Chahat Ho Ek Hone Ki,
Tune Yun Nazrien Badal Kar Dekha,

Girna Laazmi Tha Is Raah Mein,
Maine Sau Baar Sambhal Kar Dekha...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2599 on: October 04, 2008, 04:01:51 AM »



Aa Rahe Hai Wo Mere Dilke Kareeb Kuch Aise,
Ki Badal Raha Hai Ek Qatra IshQ Ka Samundar Mein Aahista Aahista,

Liye Baithe Hai Hum Unki Tasveer Apni Aankhon Mein,
AQs Bas Unka Dil Mein Utar Raha Hai Aahista Aahista,

Hai Wo Hamari Nazron Se Bahut Door Par Dilke Kareeb Hai,
Faaslo Ka Ye Silsila Pighal Raha Hai Aahista Aahista,

Haathon Ki Lakeeron Mein Na Jaane Kya Likhi Hai Kismat Hamari,
Kuch Simat Simat Kar Bikharta Jaa Raha Hai Aahista Aahista,

Uljhi Hui Si Hai Sab Baatein IshQ Ki Dono Ke Darmiyaan,
Koi To Aa Ke Inko Suljaye Ab Aahista Aahista,

Agar Ye Rishta Judna Hai To Kisi Tarah Bhi Judega,
Rooh Bechain Hai Unko Paane Ke Liye Aur Dil Tadap Raha Hai Aahista Aahista...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2600 on: October 04, 2008, 04:02:52 AM »




Tumhari Kasam Hum Na Kehte Kabhi Ye
Ke Kaise Kahein Tum Hamein Ho Kitne Pyaare,
Tumhe Layein Kasmon Mein Hum Kis Tarah,
Ke TaQdeer Se Tum Jo Humko Mile Ho,
To Ek Ye Qasam Kya HaQeeQat Hai Rakhti,
Tum Humko Ho Pyare Har Ek Bas Qasam Se,
Koi Maane Sach Humko Ya Jhuth Maane,
Tumhari Kasam Hum Kabhi Bhi Na Kahein,
Nahi Bas Manana Baat Yunhi To Maano,
Qasam Hai Hamein Jo Hum Kasam Teri Khaye,
Tujhe Pyaar Karte Hai Itna Ki Bas Hum,
Tere Hi Liye Bas Kasam Hai Uthaye...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2601 on: October 04, 2008, 04:03:16 AM »



Use Ab Ke Chahat Ke Rang Kaise Dikhaun,
Wo Khwaab Kab Ke Beh Chuke Ab Kya Sunaun,

Mujhe Malum Hai Mar Jaunga Uske Bagair Lekin,
Mujhe Usko Bhi To Bachana Hai Use Kaise Samjhaun,

Meri Chahatein, Mere Hijr Ke Kisse, Mera Pagalpan,
Mujhe Mera Pyaar Pagal Kar Gaya Use Kaise Dikhaun,

Maine Soch Liya Ab Ke Apni Dagar Apna Rasta,
Use Kuch Der Ko Apne Khone Ka Ehsaas Batla Jaun...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2602 on: October 04, 2008, 04:04:13 AM »



Humse Kya Puchhte Ho Hijr Mein Kya Karte Hai,
Tere Laut Aane Ki Din Raat Dua Karte Hai,

Ab Koi Honth Nahi Inko Churane Aate,
Meri Aankhon Mein Agar AshQ Hua Karte Hai,

Teri Tu Jaane Par Aye Jaan-E-Tamanna Hum To,
Saans Ke Sath Tujhe Yaad Karte Hai,

Tu Hi Pehloo Mein Nahi Warna December Mein Wahi,
Dhoop Mein  Baith Ke Akhbaar Padha Karte Hai,

Teri Tasveer Laga Lete Hai Hum Seene Se,
Phir Tere Khat Se Teri Baatein Karte Hai,

Gar Tujhe Chhodne Ki Soch Bhi Aaye Dil Mein,
Hum To Khudko Bhi Wahin Chhod Diya Karte Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2603 on: October 04, 2008, 04:04:31 AM »



Is Dil Ne Tere Baad Mohabbat Bhi Nahi Ki,
Had Ye Ke Dhadakne Ki Jizaarat Bhi Nahi Ki,

Tabeer Ka Aizaaz Hua Hai Use Hail,
Jisne Mere Khwabon Mein Shikayat Bhi Nahi Ki,

Ulfat To Badi Baat Hai Humse To Sar-E-Sheher,
Logone Kabhi Dhang Se Nafrat Bhi Nahi Ki,

Aadaab-E-Safar Ab Wo Sikhate Hai Jinhone,
Do Chaar Kadam Tay, Ye Musaafar Bhi Nahi Ki,

Kya Apni Safayi Mein Bayan Dete Ke Humne,
Na-Karda Gunahi Ki Wazahat Bhi Nahi Ki,

Khamosh Tamashayi Ki Maanind Sar-E-Bazm,
Jo Zakhm Sahe Dil Pe, Shikayat Bhi Nahi Ki,

Is Ghar Ke Sabhi Log Mujhe Chhodne Aaye,
Dehleez Tak Usne Ye Zehmat Bhi Nahi Ki,

Usne Bhi Gulamon Ki Safon Mein Hamein Rakha,
Is Dilpe Kabhi Jisne Hukumat Bhi Nahi Ki...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2604 on: October 04, 2008, 04:05:07 AM »



Toote Hue Khwabon Mein HaQeeQat Dhundta Hoon,
Pathar Ke Dilon Mein Mohabbat Dhundta Hoon,

Naadan Hoon Main Ab Tak Ye Bhi Nahi Samjha,
Bejaan Buton Mein Ibaadat Dhundta Hoon,

Mere Jazbon Ki Keemat Yahan Kuch Bhi Nahi,
Beimani Ke Bazaron Mein Sharafat Dhundta Hoon,

Is Ajnabi Duniya Mein Koi Bhi Apna Nahi,
Gairon Ki Aankhon Mein Apni Surat Dhundta Hoon,

Ummid Ki Thi Pyaar Ki Bas Yehi Bhool Thi Meri,
Girte Hue AshQon Mein Apni Hasrat Dhundta Hoon...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2605 on: October 04, 2008, 04:05:20 AM »



Ek Bewafa Se Ek MulaQat Bahut Hai,
Jitna Diya Humne Tera Saath Bahut Hai,

Duniya Ko Dilke Daagh Dikhaun To Kis Tarah,
Aye Zindagi Ye Raaz Chhupaun To Kis Tarah,

Apni Tabahiyon Mein Mera Haath Bahut Hai,
Jitna Bhi Diya Humne Tera Saath Bahut Hai,

Toota Jo Dilka Aayina Toote Sabhi Bharam,
Hoti Hai Umar Pyaar Ki Jeene Ke Liye Kam,

Marne Ke Liye Dard Ki Raat Bahut Hai,
Jitna Bhi Diya Humne Tera Saath Bahut Hai,

Ek Bewafa Se Ek MulaQat Bahut Hai,
Jitna Bhi Diya Humne Tera Saath Bahut Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2606 on: October 04, 2008, 04:06:13 AM »



Haseen Titliyon Ko Sataya Nahi Karte,
Kabhi Pariyon Se Dil Lagaya Nahi Karte,

Zulm Karte Hai Aksar Yehi Husn Wale,
Inko Chahat Ka Nagma Sunaya Nahi Karte,

Tod Dete Hai Dilko Sada Hi Sitamgar,
Aur Wajah Bewafayi Ki Bataya Nahi Karte,

Mehekte Rahe Hai Ye Dilke Chaman Mein,
Magar In Pe HaQ Bhi Jataya Nahi Karte,

Jalna Hai Ulfat Ki Rasmon Mein Lekin,
Parwane Shamma Ko Bujhaya Nahi Karte,

Mohabbat Hai Kya Ye Aamir Se Puchho,
Kabhi Raah-E-Wafa Ko Bhulaya Nahi Karte...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2607 on: October 04, 2008, 04:07:33 AM »




Tum Jaa To Rahe Ho Par Itna To Bata Do
Is Dilse Kya Kahoon Ise Kaise Samjhaun,
Iske Tootne Ki Awaz To Na Aayegi Tumhe,
Par Uske Tukdon Ko Le Kar Main Kahan Jaun,

Tum Jaa To Rahe Ho Par Itna To Bata Do,
Un Yaadon Ka Main Kya Karun,
Tumhare Likhe Khaton Ko Main Kahan Jalaun,
Kise Baar Baar Sataun Kise Manaun,

Tum Jaa To Rahe Ho Par Itna To Bata Do,
Meri Siskiyon Mein Bhi Tumhara Hi Naam Hai,
In AshQon Ko Main Kahan Chhupaun,
Tum Shumaar Ho Abhi Tak Pardanasheeno Mein,
Log Sabab Puchhenge To Bolo Main Kya Bataun,

Tum Jaa To Rahe Ho Par Itna To Bata Do,
Tumhe Bhulane Ke Kaunse Tareeke Apnaun,
Meri Dhadkan, Har Saans Ki Rawangi Ho Tum,
Tumhe Bhulane Ki Koshish Mein Kahin Mar Na Jaun...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2608 on: October 04, 2008, 04:08:25 AM »



Dard Kuch Aur Bhi Hai Aane Ko,
Kab Talak Royenge Purane Ko,

Chahne Wale Uske Kam To Nahi,
Ek Main Kyon FaQat Satane Ko,

Dil Diya Tha To De Diya Sab Kuch,
Ab Nahi Hosh Bhi Gawane Ko,

Dil Behelta To Hai Par Bharta Nahi,
Kya Kahein Unke Aane Jaane Ko...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2609 on: October 04, 2008, 04:09:08 AM »




Aye Meri Jaan-E-Tamanna
Aye Meri Jaan-E-Aarzoo
Maine Tumhare Liye Qismat Se Kya Kya Saude Nahi Kiye
Aa Jao!!!!
Aa Jao! Ke Mera Dil-E-Gameen Rota Hai,
Maine Tere Khwaab Sadiyon Se Aankhon Mein Bune Hai,
Maine Tujhe Kab Nahi Socha, Kab Chaha Nahi,
Hamesha Tujhe Aankhon Mein Basaye Rakha,
Aa Jao!!!
Aa Jao! Ke Ab Ye Samundar Bhi Pyaase Ho Gaye Hai...

Logged
Pages: 1 ... 170 171 172 173 [174] 175 176 177 178 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 17, 2024, 05:53:49 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer