Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 171 172 173 174 [175] 176 177 178 179 ... 273
Print
Author  (Read 131580 times)
angel4u
Guest
«Reply #2610 on: October 04, 2008, 04:09:45 AM »



Aashiyaane Ki Baat Karte Ho,
Dil Jalane Ki Baat Karte Ho,

Saari Duniya Ke Ranj-O-Gam De Kar,
Muskurane Ki Baat Karte Ho,

Humko Apni Khabar Nahi Yaaron,
Tum Zamane Ki Baat Karte Ho,

Zikr Mera Suna To Chid Ke Kaha,
Kis Deewane Ki Baat Karte Ho,

Hadsa Tha Guzar Gaya Hoga,
Kiske Jaane Ki Baat Karte Ho...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2611 on: October 04, 2008, 04:15:41 AM »

Aaj Ki Raat Bhi Guzri Hai Meri Kal Ki Tarah,
Haath Aaye Na Sitare Tere Aanchal Ki Tarah,

Raat Jalti Hui Ek Aisi Chita Hai Jis Par,
Teri Yaadein Hai Sulagte Hue Sandal Ki Tarah,

Tu Ke Dariya Hai Magar Meri Tarah Pyaasa Hai,
Main Tere Paas Chala Aunga Baadal Ki Tarah,

Main Hoon Ek Khwaab Magar Jagti Aankhon Ka,
Aaj Bhi Log Ganwa Dein Na Mujhe Kal Ki Tarah...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2612 on: October 04, 2008, 04:16:24 AM »




Kabhi Har Pal Jo Chahte The Saath Hamara,
Wo Bhi Chhod Gaye Hai Hamein Aaj Tanha,

Kabhi Sochte The Hum Unhe Paas Baith Kar,
Ab Yaad Karte Hai Har Pal Magar Tanha,

Jin Raaston Pe Gaye The Hum Saath Tumhare,
Unhi Patharon Pe Chalte Hai Hum Aaj Tanha,

Karte The Hum Garoor Tere Qurbat Pe,
Bahut Kiya Isi Kambakht Ne Hamein Magar Tanha,

Kabhi Tha Intezar Hamein Shab-E-Wisl Ka,
Hai Mausam-E-Hijraan Ke Tufail Hum Aaj Tanha,

Ab To Honthon Pe Hai Bas Ek Hi Dua,
Kaash Wo Milein IshtiaQ Se Magar Tanha...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2613 on: October 04, 2008, 04:16:53 AM »



Aa Bhi Jao Ke Zindagi Kam Hai,
Tum Nahi To Har Khushi Kam Hai,

Waada Kar Ke Ye Kyon Aaye Nahi,
Shaher Mein Aaj Roshni Kam Hai,

Jaane Kya Hogaya Hai Mausam Ko,
Dhoop Zyada Hai Chaandni Kam Hai,

Aayina Dekh Kar Khayal Aaya,
Aaj Kal Unki Dosti Kam Hai,

Tere Dam Se Hi Main Mukammal Hoon Sanam,
Bin Tere Tera Ye Aamir Kam Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2614 on: October 04, 2008, 04:17:12 AM »




Ateemad Hai Mujhko,
Dilse Badgumani Ki Barf Ne Pighalna Hai,
Nafraton Ke Suraj Ne Dekh Lena Dhalna Hai,
Humne Phir Se Milna Hai,
Pyar Ke Gulabon Ne Dil Mein Aaj Khilna Hai,

Intezar Karte Hai,
Wo Anag Gazeeda Hai,
Ab Anah Ki Choti Se Wo Zaroor Utregi,
Saare Dukh Bhual Degi,
Ranjishein Mita Degi,
Mujhko Degi Aawazein, Haan Mujhe Bulayegi,

Intezar Karte Hai,
Zabt Aazmate Hai,
Ye Kamal To Hoga,
Dil Nidhal To Hoga,
Pyar Ka Ye Lamha Lazawal To Hoga,
Raat Ne Guzarna Hai,
Nafraton Ne Marna Hai,
Isne Laut Aana Hai,
BeQarar Kiya Hona
Ateemad Zinda Hai,

Intezar Karte Hai,
Ab Ke Jab Milenge Hum,
Mukora Ke Bichhdenge...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2615 on: October 04, 2008, 04:17:51 AM »




Suna Hai Ab Ke Wo Udaas Rehta Hai,
Usse Kaho Ke Wo Udaas Na Ho Kyon Ke,
Uski Udaasi Ke Sath,
Uski Aankhein Bhi Nam Nam Si Lagti Hai,
Uske Honth Bhi Chup Chup Se Lagte Hai,
Uske Ye Chup Honth Aur Nam Aankhein,
Meri Kamzori Hai,
Usse Kaho,
Wo Udaas Na Ho,
Jo Wo Chahta Hai,
Mujhse Le Le,
Beshak Chahe Mujhe Na,
Apne Manpasand Sathi Ke Sang Ho Jaye,
Kyon Ke
USKI UDAASI MERI KAMZORI HAI...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2616 on: October 04, 2008, 04:18:57 AM »



Na Rasta Hai Na Koi Dagar Hai Yahan,
Magar Sab Ki Kismat Safar Hai Yahan,

Sunyai Na Degi Dilon Ki Sada,
Dimagon Mein Wo Shor-O-Shar Hai Yahan,

Hawaon Ki Ungli Pakad Kar Chalo,
Wasila Ek Yehi Motabar Hai Yahan,

Na Is Sheher-E-Behis Ko Sehra Kaho,
Suno Ek Hamara Bhi Ghar Hai Yahan,

Palak Bhi Jhapkate Ho Kyon,
Tamasha Bahut Mukhtasar Hai Yahan...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2617 on: October 04, 2008, 04:19:23 AM »



Wo Roshni Ki Tarah Kahin Door Ka Safar,
Lamhon Mein Tay Karega Kahan Usko Thi Khabar,

Gumnaam Waadiyon Ka Musafir Bana Hai Jo,
Kab Jaanta Tha Uski Bhi Manzil Hai Khaak Bhar,

Wo Behisaab Khwahishein Dil Mein Chhupa Gaya,
Wo Dil Jo Iztiraab Ka Banta Raha Tha Ghar,

Wo Jinki Zaat Ke Liye Ek Kaaynath Tha,
Wo Kho Gaya To Band Hai Usk Ghar Ke Baam-O-Dar,

Veeran Nahi Hai Baagh Magar Ek Kami Si Hai,
Jab Se Kati Hai Shaakh To Khamosh Hai Shajar,

Uthti Hai Ek Khalish Si Kahin Dekh Ke Doohaan,
Bujhta Hua Chiraag Hai Dil Ka Koi Nagar...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2618 on: October 04, 2008, 04:20:00 AM »


Ye Tumhari Yaad Ke Aansu,
Meri Palkon Pe Rukte Nahi,
Dilke Samundar Mein
Tum Dekhte Nahi,
Kya Bhool Hui Saahil Se,
Jo Kabhi Tum
Kinare Pe Rukte Nahi,
Thi Sadaf Si Anmol Mohabbat,
Kya Seep Ke Kinare Kabhi Chubhte Nahi,
Kyon Tumhari Yaad Ke Aansu,
Meri Palkon Pe Rukte Nahi...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2619 on: October 04, 2008, 04:20:13 AM »



Wohi Sheher Jitami Khud Kashi Par Aaj Kal Aamda Hai,
Jiske Rag-O-Pay Mein
Azeem Ul Martabat Ijdaad Ki Tareekh Ka Rang Hai,
Arfa-O-Aala Nasb Purkho Ka Aahang Hai,
Aur Azeem Us Shaan Tehzeeb-O-Tamadun Ka Lahoo,
Ek Umar Se Ab Tak Rawaan Hai,
Ye Ajeeb Ul KhalQ Garya-E-Zindagi Ka Chaistan Hai,
Zinda Rehne Ki Tamanna Bhi Yahan Hai,
Rizk Hai Aab-O-Hawa Hai Abr-O-Sahil Hai Samundar Hai,
Yahan Har Shay Hai Mauesir,
Yahan Husn Hai Khushbu Hai Mausiki Hai Ilm-O-Fun Hai,
Hai Shohrat Hai,
Mohabbat Wo Jurrat Hai,
Nazakat Hai Nafsat Hai,
Firasat Hai Salamat Hai,
Zehenat Hai Fitaanat,
Maueshat Hai Nizamat Hai,
Magar Ye Sheher Mehroom-E-Adalat Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2620 on: October 04, 2008, 04:20:43 AM »



Hazaron Pal Tumhare Bin,
Na Puchho Kaise Kaate Hai,
Kabhi Yaadein Rulati Hai,
Kabhi Mausam Satate Hai,
Use Keh Do Hum Aate Hai,
Hamein Maayus Na Karna,
Hamara Maan Rakhna,
Hamein Wapas Nahi Jaana,
Hamein Dil Mein Basa Lena,
Hamein Apna Bana Lena,
Bahut Kare Hue Dil Se,
Yun Rutha Nahi Karte,
Mohabbat To Ibadat Hai
Use Ruswa Nahi Karte,
Zamane Se Chhupate Hai,
Kabhi Charcha Nahi Karte,
Sanam Aisa Nahi Karte,
Sanam Aisa Nahi Karte...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2621 on: October 04, 2008, 04:21:03 AM »



Usne Kaha Sun
Ahad Nibhane Ki Khatir Mat Aana,
Ahad Nibhane Wale Aksar Majburiyan,
Majboori Ki Thakan Se Lauta Karte Hai,
Tum Jao Aur Dariya Dariya Pyaas Bujhao
Jin Aankhon Mein Doobo,
Jis Dil Mein Bhi Utro
Meri Talab Aawaz Na Degi,
Lekin Jab Meri Chahat Aur Meri Khwahish Ki Lau,
Inti Tez Aur Itni Unchi Ho Jaye,
Jab Dil Ro De,
Tab Laut Aana...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2622 on: October 04, 2008, 04:21:20 AM »



Aansu Kyon Nahi Rukte Mere,
Dard Kyon Nahi Kam Hota Mera,

Aansu Ki Baarish Mein Kyon Dooba Rehta Hoon,
Tanhayi Mein Kyon Rota Rehta Hoon,

Na Jeeta Hoon Na Marta Hoon,
Uski Yaadon Mein Rota Rehta Hoon,

Pata Hai Wo Kabhi Nahi Milegi Mujhe,
Phir Bhi Uska Intezar Rehta Hai Mujhe,

Use Bhool Kar Kisi Aur Ko Apna Banana Chahta Hoon,
Par Koi Mujh Jaise Badnaseeb Ko Apnana Nahi Chahta,

Har Koi Kehta Hai Main Tere Sath Tere Har Mushkil Mein Saath Dunga,
WaQt Aane Par Har Koi Munh Mod Kyon Leta Hai,

Jab Mujhe Kisike Sath Ki Zaroorat Hoti Hai,
To Mujhe Koi Saath Kyon Nahi Deta Hai,

Aansuon Ki Baarish Mein Chhod Kar Kyon Chala Jaata Hai,
Jis Par YaQeen Karta Hoon Wohi Kyon Deta Hai Dhoka,

Jise Apna Kehta Hoon Wo Mujhe Apna Kyon Nahi Samajhta,
Har Koi Aata Hai Ek Naya Gam Dekar Kyon Chala Jaata Hai Mujhe,

Aansu Kyon Nahi Rukte Mere,
Dard Kyon Nahi Kam Hota Mera...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2623 on: October 04, 2008, 04:23:14 AM »


Aao Phir Nazm Kahein,
Phir Kisi Dard Ko Sehla Ke Suja Le Aankhein,
Phir Kisi Dukhti Rag Se Chhua De Nashtar,
Ya Kisi Bhooli Hui Raah Pe Mudkar,
Ek Baar Naam Lekar Kisi Humnaam Ko Awaz Hi De Le,
Phir Koi Nazm Kahein...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2624 on: October 04, 2008, 04:23:32 AM »



Aye Dil-E-Nadaan Tujhe Samjhaun Kaise,
Dil Toot Gaya Hai Tujhe Batlaun Kaise,

Wo Jo Apna Tha Paraya Hua Aye Dil,
Pal Bhar Mein Rishta Tod Gaya Batlaun Kaise,

Jo Hona Tha Hua Kismat Thi Hamari,
Saalon Ki Dosti Ko Chhod Gaya Hai Samjhaun Kaise,

Jis Dilko Pehli Baar Dilse Chaha Humne,
Wo Dil Hamare Dil Par Chot De Gaya Hai Batlaun Kaise,

Aye Dil-E-Nadaan Tujhe Samjhaun Kaise...

Logged
Pages: 1 ... 171 172 173 174 [175] 176 177 178 179 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 17, 2024, 05:46:13 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.194 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer