Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 172 173 174 175 [176] 177 178 179 180 ... 273
Print
Author  (Read 133082 times)
angel4u
Guest
«Reply #2625 on: October 04, 2008, 04:24:19 AM »

Chaha Hai Maine Bahut Shiddat Se Tumko,
Main Tumhe Bahut Shiddat Se Yaad Aaunga,

Yun Sukun Se Tum Kabhi Bhi So Na Sakoge,
Banke Dilki Kasak Raat Bhar Jagaunga,

Ab Ke Baras Sawan Dil Mein Aag Lagayega,
Bhigogi Tum Jab Bhi Barish Mein Main Yaad Aunga,

Har Sher Har Nazm Mein Nazar Aayegi Meri Baatein,
Padhoge Jab Bhi Koi Shayri Main Yaad Aunga...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2626 on: October 04, 2008, 04:25:16 AM »




Baat Suno Doston,
Jo Bhi Duniya Kahe
Usko Parke Bina Maan Lena Nahi,
Saari Duniya Ye Kehti Hai
Parbat Par Chadne Ki Nisbat Karna Bahut Sahel Hai,
Kis Tarah Maan Le,
Sarfarazi Ki Dhun Mein
Kio Aadmi Jab Bulandi Ke Raste Chalta Hai,
To Baat Tak Karne Ko Rukta Nahi
Aur Usi Shakhs Ko
Umr Ki Sidiyon Se Utarte Hue Panv Uthta Nahi
Isliye Doston
Jo Bhi Duniy Akahe
Usko Parkhe Bina Jaan Lena Nahi
Saari Duniya Ye Kehti Hai
Asal Safar To In Aankhon Mein Phaila Hua Khwab Hai,
Kis Tarah Maan Lein,
Tum Ne Dekha Nahi
Umar Kis Seraab Mein Ajab Khel Hai,
Khwaab To Khwaab Hai,
Hum Khushi Aankh Se Jo Dekhte Hai Wo Hota Nahi,
Rabte Ke Liye Raste Ki Tarah Aadmi
Apne Khwabon Ko Bhi Kaat Deta Hai,
Lekin Sulagta Hua Rasta Phir Bhi Katta Nahi
Isliye Doston
Jo Bhi Duniya Kahe
Usko Parkhe Bina Maan Lena Nahi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2627 on: October 04, 2008, 04:25:34 AM »



Khayalon Ki Mehfil Sajate Rehte Hai,
Mere Khwabon Mein Aksar Wo Aate Rehte Hai,

Hamein Aaj Ruswa Wohi Kar Rahe Hai,
Palkon Pe Jisko Bithaye Rehte Hai,

Unhi Se Mile Zakhm Rahon Mein Jinki,
Phool Aur Kaliyan Bichate Rehte Hai,

Wo Saanp Banke Hamein Das Gaye Hai,
Jinhe Khoon Dilka Pilate Rehte Hai,

Kayi Dost Aise Mile Jayein Ke Jinse,
Zakham Bewafayi Ke Khate Rehte Hai,

Woh Jinki Khushi Thi Hamein Jaan Se Pyaari,
Wohi Zindagi Bhar Jalate Rehte Hai,

Lutta Hua Ye Chaman Kaise Dekhein,
Phoolon Se Usko Sajate Rehte Hai,

Lehron Se Ab Darenge Hum Bhi,
Toofano Mein Kashti Chalate Rehte Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2628 on: October 04, 2008, 04:25:57 AM »

Tumhare Pyaar Ko Gar Dil Se Hum Juda Karte,
Shab-E-FuraaQ Mein Taare Na Hum Gina Karte,

Khuda Ke Naam Se Kya Tumse Iltija Karte,
Zara Se IshQ Mein Ghabra Ke Kya Dua Karte,

Saja Ke Baith Gayi Dil Mein Tari Surat Ko,
Na Hota Pyar Tumse To Khuda Khuda Karte,

Qayam Karte Kabhi Aur Kabhi Ruko-O-Sajood,
Namaz-E-IshQ Tere Dar Pe Yun Ada Karte,

Jalate Hai Teri Raahon Mein Khoon-E-Dil Ke Chirag,
ZaQaat Hussan Ki Hum Aur Kya Ada Karte,

Jaffayein Karke Mera Puchhte Hai Ab Ehwaal,
Zara Bhi Hoti Murawwat To Kyon Jafa Karte,

Hazaar Baar Agar Milti Zindagi Be-Misl,
Hazaar Baar Hum In Pe Ise Fida Karte...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2629 on: October 04, 2008, 04:26:48 AM »


Kuch Ajab Shaan Se Logon Mein Raha Karte The,
Hum Khafa Reh Ke Bhi Aapas Mein Mila Karte The,

Itni Tehzeeb Rah-O-Rasm To BaaQi Thi Ke Wo,
Laakh Ranjish Sahi Wada To Wafa Karte The,

Usne Puchha Tha Kayi Baar Magar Kya Kahiye,
Hum Mizaajan Hi Pareshan Raha Karte The,

Khatam Tha Humpe Mohababt Ka Tamasha Goya,
Rooh Aur Jism Ko Har Roz Juda Karte The,

Zindagi Humse Tere Naaz Uthaye Na Gaye,
Saans Lene Ki FaQat Rasm Ada Karte The,

Hum Baras Padte The 'Shaz' Apni Hi Tanhayi Par,
Abr Ki Tarah Kisi Dar Se Utha Karte The...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2630 on: October 04, 2008, 04:27:42 AM »

Main Ye Soch Kar Uska Sheher Chhod Aayi
Wo Wapis Mujhe Bulayega
Main Ye Soch Kar Usse Rooth Aayi,
Wo Mujhko Ek Din Mana Lega,
Mujhse Juda Hokar
Toot Jayega Bikhar Jayega
Main Usse Doobara Milungi,
Wo Shikayat Karega
Mujhe Kahega
Wapis Laut Aao Mere Sheher
Hamesha Ke Liye Laut Aao,
Main Tumhare Bagair Jee Nahi Sakta,
Magar Usne Aisa Na Kiya
Aaj Tak Na Kiya...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2631 on: October 04, 2008, 04:28:13 AM »

Palkon Pe Aansuon Ko Sajaya Na Jaa Saka,
Usko Bhi Dilka Haal Bataya Na Jaa Saka,

Zakhmon Se Choor Choor Tha Ye Dil Mera,
Ek Zakham Bhi Usko Dikhaya Na Jaa Saka,

Jab Teri Yaad Aayi To Koshish Ke Bawajood,
Aankhon Mein Aansuon Ko Chhupaya Na Jaa Saka,

Kuch Log Zindagi Mein Aise Bhi Aaye Hai,
Jinko Kisi Bhi Lamhe Bhulaya Na Jaa Saka,

Bas Is Khayal Se Kahin Usko Dukh Na Ho,
Humse To Haal-E-Gam Bhi Sunaya Na Jaa Saka,

Wo Muskuraya Tha Mere Rubaru Magar,
Chehre Ka Rang Usse Chhupaya Na Jaa Saka,

Tanhaiyon Ki Aag Mein Hum Jal Gaye,
Magar Faasla Ana Ka Mitaya Na Jaa Saka...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2632 on: October 04, 2008, 04:28:48 AM »

Hum Wo Bedard Hai
Khwab Ganwa Kar Bhi
Jinhe Nind Aa Jaati Hai,
Soch Soch Kar Jinke,
Zehno Ko Kuch Nahi Hota
Toot Phoot Kar Bhi Jinke Dil
Dhadakna Yaad Rakhte Hai
Hum Wo Bedard Hai
Ke Jinke Aansu Aankhon Ka Rasta Bhool Jaate Hai,
Toot Kar Rone Ki Khwahish Mein Jo
Baat Be-Baat Muskurate Hai
Shaam Se Pehle Mar Jaane Ki Khwahish Mein Jo
Jeete Hai
Aur Jeete Chale Jaate Hai...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2633 on: October 04, 2008, 04:29:26 AM »

Tum Kehte Ho Ke,
Main Tumhe Bhool Jaun,
Agar Tumhari Yehi Aarzu Hai,
To Phir Mere Chand Shartein Hai,
Agar Tum Wo Poori Kar Sako To Kaho,
Agar Tum Mujhko Samundar Ki Maujon,
Ko TaQseem Kar Ke Dikhao,
Aur Dikhao Mujhe Falak Ki Bulandiyon Ko Mutthi Mein Qaid Karke,
To Phir Main Tumhe,
Bhoolne Ki Koshish Karungi,
Agar Tum Mujhko
Sitaron Bhari Subah Dikhao
Aur Dikhao Mujhe Shab Ko
Ubharta Hua Suraj,
To Phir Main Tumhe Bhoolne Ki Koshish Karungi,
Agar Tum Mujhe Ragon Mein
Gardish Karti Hui Dhadkan Sunao,
Aur Dikhao Mujhko Wo Zameen
Jo Meh Barsaati Hai,
To Phir Main Tumhe Bhoolne Ki Koshish Karungi,
Aur Agar, Tum Aisa Kar Sakoge
To Phir Main Khudko TaQseem Karne Ke Liye,
Taiyar Hoon,
Aur Phir Main Waada Karti Hoon,
Ke Main Tumhe Bhoolneki Koshish Karungi,
Haan Koshish Karungi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2634 on: October 04, 2008, 04:30:08 AM »

Tujhse Meri Zindagi Hai Magar Tu Nahi Hai,
Tere Hijr Mein Mar Jayenge Tujhe Ilm Nahi Hai,

Tum Aa Jao Meri Baahon Mein Sanam,
Agar Mar Bhi Jaun To Gam Nahi Hai,

Pehle IQrar Kiya Phir Chhod Diya Beech Safar Mein,
Duniya Meint Ere Jaisa Koi Bewafa Bhi Nahi Hai,

Ab Kaise Behlaon Apne Dilko Meher,
Is Sheher Mein Koi Maykhana Bhi Nahi Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2635 on: October 04, 2008, 04:30:51 AM »

Tum Se Nahi Mile To Kisi Se Nahi Mile,
Milna Bhi Pad Gaya To Khushi Se Na Mile,

Hum Apne Dushmano Se Gale Milkar Aa Gaye,
Jiske Liye Gaye The Usi Se Nahi Mile,

Milne Ko To Zindagi Mein Bahut Kuch Mila,
Magar Tum Mile To Log Khush Nahi Mile...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2636 on: October 04, 2008, 04:31:20 AM »

Jab Naam Tera Pyaar Se Likhti Hai Ungliyan,
Meri Taraf Zamane Ki Uthti Hai Ungliyan,

Daaman Sanam Ka Haath Mein Aaya Tha Ek Pal,
Din Raat Us Ek Pal Se Mehekti Hai Ungliyan,

Jis Dinse Door Ho Gaye Us Din Se Hi Sanam,
Bas Din Tumhare Aane Ki Ginti Hai Ungliyan,

Pathar Tarash Kar Na Bana Taaj Ek Naya,
Ankaar Ki Zamane Mein Katti Hai Ungliyan...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2637 on: October 04, 2008, 04:31:50 AM »

Meri Rooh Ko Hila Diya Uske Aansu Ne,
Mujhe Bhi Rula Diya Uske Aansu Ne,

Uski Tera Maa Bhi To Udaas Hoon,
Ye Ehsaas Dila Diya Uske Aansu Ne,

Bayan Uski Khamoshi Ne Dastan Kar Di,
Sara Qissa Suna Diya Uske Aansu Ne,

Barsein Baarish Bhi Toofan Bankar,
Aasman Ko Hila Diya Uske Aansu Ne,

Jo Uski Aankhon Ka Sarmaya Tha Kabhi,
Wo Khazana Luta Diya Uske Aansu Ne...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2638 on: October 04, 2008, 04:32:10 AM »

Deewar Zamane Ki Gira Kyon Nahi Dete,
Dil Mein Mere Ab Khudko Basa Kyon Nahi Dete,

Hai Raat Andheri Si Udaasi Bhi Bahut Hai,
Ummid Ki Shamma Ko Jala Kyon Nahi Dete,

Kehte Ho Ke Mujh Mein Hi Wafa Ka Hai Samundar,
Phir Mujhko Bhala Apni Wafa Kyon Nahi Dete,

Wo Gard Jo Is Dil Pe Kayi Dinse Padi Hai,
Wo Gard Zamane Ki Hata Kyon Nahi Dete,

Humne Dil-E-Nadan Ko Kayi Baar Kaha Hai,
Beete Hue Har Pal Ko Bhula Kyon Nahi Dete,

Is Dukh Ke Zamane Mein Kanwal Sabko Kaho Tum,
Rote Hue Logonko Hansa Kyon Nahi Dete...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2639 on: October 04, 2008, 04:33:04 AM »

Khaak Pe Jab Bikhar Gaye Aansu,
Ye Laga Jaise Mar Gaye Aansu,

Aaj Palkon Ki Baar Thaan Gaye,
Aaj Hadd Se Guzar Gaye Aansu,

Aasman Bhar Gaya Sitaron Se,
Gam Ki Jholi Mein Bhar Gaye Aansu,

Dekh Maine Karaan To Bahut Kiya Par,
WaQt Pe Us WaQt Bikhar Gaye Aansu...
Logged
Pages: 1 ... 172 173 174 175 [176] 177 178 179 180 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 11, 2025, 06:29:30 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.242 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer