Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 173 174 175 176 [177] 178 179 180 181 ... 273
Print
Author  (Read 131574 times)
angel4u
Guest
«Reply #2640 on: October 04, 2008, 04:34:08 AM »

Khushi Chahun Par Na Paun,
Zindagi Mein Kabhi Sukh Na Paaun,
Udaas Mera Har Lamha Hota Hai,
Mere Sath Aisa Kyon Hota Hai,

Chaha Jise Na Paya Use,
Dost Bana Kar Ganwaya Use,
Har Koi Mujhse Bas Door Hota Hai,
Mere Sath Aisa Kyon Hota Hai,

Har Ek Lamha Guzarti Zindagi Meri,
Zindagi Kya Tootti Zindagi Meri,
Maut Ke Alawa Kaun Mera Hota Hai,
Mere Saath Aisa Kyon Hota Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2641 on: October 04, 2008, 04:35:18 AM »


Ek Din Kaante Ne Phool Se Puchha Ke Aye Phool,
Mujhe Tumhari Mohabbat Se Kya Haasil Hua,
Dekhte Hi Har Koi Apne Tevar Badal Leta Hai Shayad,
Isliye Ke Main Unhe Zakhmi Kar Deta Hoon Aur Duniya,
Tum Par Marti Hai Tumhari Khushbu Lene Ko Tarasti Hai,
Lekin Mujhe Tumhari Mohabbat Se Kya Mila,
Phool Ye Sab Sunkar Muskuraya Aur Kehne Laga,
Tumhe To Khush Hona Chahiye Jis Par Duniya Marti Hai,
Wo Tumhare Bagair Ek Pal Nahi Reh Sakta Jab Mujhe Koi,
Tumse Juda Karta Hai To Main Mar Jaata Hoon Kyon Ke Main
Sirf Tumse Mohabbat Karta Hoon...


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2642 on: October 04, 2008, 04:37:00 AM »
Kehta Hai Ye Dil Aye Kaash,
Main Bhi Ek Shayar Hota,

Shayri Ke Bal Par Mere Paas,
Har Ek Zakhm Ka Marham Hota,

Ho Jata Riha Har Dukh Se,
Har Pal Dil Armaan Mein Hota,

Aur Keh Deta Jo Kehna Hai,
Phir Marne Ka Gam Na Hota,

Kehta Hai Ye Dil Aye Kaash,
Main Bhi Ek Shayar Hota...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2643 on: October 04, 2008, 04:38:39 AM »

Mera Dil Dukhane Wali,
Khuda Tera Dil Dukhaye,

Mile Ranj Wo Gam,
Kisi Pal Chain Na Paaye,

Chale Motabar Hawayein,
Khile Har Chaman Mein Kaliya,

Tere Baagh Par Baharein,
Sabhi Ek Dam Mein Sukh Jaye,

Lage Aag Bijliyon Se,
Tu Jahan Bhi Sar Chhupaye,

Rahe Na Koi Humdam,
Jo Tera Shareek-E-Gam Ho,

Mite Zindagi Usi Ki,
Jise Tu Gale Lagaye,

Kabhi Khud Se Tand Aakar,
Tu Khuda Se Maut Maange,

Meri Baddua Yehi Hai Ke,
Tujhe Maut Bhi Na Aaye...

Logged
amarhellboy
Guest
«Reply #2644 on: October 04, 2008, 11:28:32 AM »
Aapki shayari bahut khub hai magar aap bura na maane to ek baat kehna chaounga. ki jo pyar karte hai wo kabhi kisi ka bura nhi souchate chahe wo kitna bhi bura ho use badua nhi dete. are yaar pyar iss sharat par nhi kiya jaata k jitna pyar hum kisi ko karte hai wo bhi hume utna pyar kare or pyar mai agar baiwafai bhi hue hai to wo bhi to apni mohhabbat ka inaam hai apno ne to use majbur nhi kiya ki tum mujhse pyar karo pyar to apno ne kiya hai hai na to fir pyar karte raho chahe wo kare ya na kare.pyar humne kiya hai to dard bhi to hume hi milega yahi to apne sacche pyar ki nishaani hai. use yu badua dene se to kuch houga nhi ulta apna hi pyar jhuta kehlayega. kyunki pyar karne waale humesha apne pyar ko khush daikhana chahate hai chahe wo kisi ke bhi sath ho. aap sochenge ki kehne se kya hota hai jiske sath bitati hai wohi jaanta hai to apki jaankari ke liye bata du ki mere sath shayad aapse jaayada bewafai hue hai aap souch bhi nhi nahi sakte ki mere sath kya hua hai. ab n sab baato ko choudo or khud bhi khush raho or dusaro ko bhi khush rahane ki dua karo,
Soooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooooo ooooooooooooooooooorrrrrry
agar aapko meri kisi bhi baat ka bura laga hoto magar jo dil mai aaya maine wahi kha hai isske liye maafi chaounga.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2645 on: October 05, 2008, 05:24:10 AM »
hmm.. well ye baat to sahi hia ke baddua to kisiko bhi nahi deni chaiye, bas ye to kuch likhi hui sharings hai jo yahan rakh rahi hoon, baaki jaise pehle keh diya tha, ye mere alfaaz nahi hai. is thread ki saari poems kabhi na kabhi kisi na kisine likhi hogi, aur sach kahun to jisne likhi hogi uska bhi ye intention to nahi hoga ke baddua de, par kabhi kabhi dilke zakhm is tarah se sisakte hai ke aise alfaaz nikalte hia, bas SIRF alfaaz. baaki to sach to ye hai ke jise pyaar karo bhale wo kya kuch na kar le, dilse duwayein hi nikalti hai...
Logged
amarhellboy
Guest
«Reply #2646 on: October 06, 2008, 11:26:43 AM »
nice collection angel
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2647 on: October 06, 2008, 04:29:00 PM »
Thanks amar..
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #2648 on: October 07, 2008, 04:33:51 AM »

Waah Re...Merri Jaan !

Tera Collection..
Tera Explanation..

Abi kuch sharing pichle padhne baaki hai,,page 176 se 178 taq,,waqt milte hi padhata hun na'yaar..


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2649 on: October 07, 2008, 02:26:05 PM »
haan padh lena thik hia.... kab padhoge?
padhne ke baad msg kar dena...
Logged
Muhammed
Guest
«Reply #2650 on: October 08, 2008, 12:02:04 PM »
Aaj ki Raat bhi Guzri hai Meri Kal ki Tarah………….
Kabhi Har Pal Jo Chahte The saath Hamaara…………
Aa bhi Jaao K Zindagi Kum Hai………..
Ateemad hai Mujko……………..
Suna Hai ki Wo Udaas Rehta Hai…………
Na Rasta Hai Na Koi Dagar…………
Wo Roshni Ki Tarha Kahin Door………..
Ye Tumharee Yaad k Aansoo…………
Wohi Sehar Jisme………….
Hamara pal Tumhare Bin……..
Unka kahaa sun………
Aansoo kyun Nahi Niklte Mere………….
Aao Fir Nazm Kahein……………
Aey dil e Naadaan…………..
Chahaa hai Maine Bahut Shiddat se………
Baat Suno Dosto…………..
Khayalon ki mehfill sajate Rehte Hai………..
Tumhare Payar ko Gar Dil  Se……..
Kuch Ajab Shaan  Se Logo Mein Rehata hai………….
Main Ye Soch kar Uska Shehar Chhod aayee………..
Palkon Ko aansoo o ko Sajaya na Ja  Sake…………
Hum Wo Bedard hai………
Haan Koshish Karugee……
Tuz se Meri Zindagee Hai Magar Tu Nahi……………
Tum Se Nahi Mile To……..
Jab Naam Tera Pyare se…………
Meri Rooh Ko Hila Diya
Dewaar Zamaane Ki Geeraa kyun Nahi Dete…….
Khaq pe Jab Bikhar Gaye aansoo……………..
Khushi Chahu par Na Pau…..
Ek Din Kaante Ne Phool se Puchha……….
Kehta Hai Ye Dil………..
Mera Dil Dukhaane Wali……


Waah Waah…Waah…..Re Merii Jaan !!!
Ek Se badhkar Ek….Kalaam..
Waise Mujhe Itna Padne Me pura din gaya,,lekin aakhir taq to padh hi liyaa…
Aur Kya Kahun,,Teri Sharing aur Tera Saani Is poore Yoindia mein nahi Hai....
Aur HoBhi Nahi Sakta…Ye Mera Davaa Hai !!!!!
 
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2651 on: October 08, 2008, 02:04:29 PM »
Aisa kuch nahi hia,
yahan to kaafi bade bade log hia, mere saani bhi aur mujhse KAAFI achhe bhi... isiiliye to mere topic pe aapke siwa koi reply nahi karta na... samajhne ki baat hia dear... chalo koi nahi phir bhi, kisise kya shikayat karni...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2652 on: October 08, 2008, 02:04:50 PM »
Huqum Ye Hum Ko Mila Uske Siwa Kuch Maangiye,
Uth Gaye Dast-E-Dua Lab Pe Kuch Bhi Nahi,
Pyaar Se Dekha Mujhe Jab Hai Usne,
Dil Dhadak Utha Mera, Usne Kaha Kuch Bhi Nahi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2653 on: October 10, 2008, 02:12:48 PM »


Karoon Na Yaad Agar Kis Tarah Bhulun Use,
Gazal Habana Karun Aur Gungunaun Use,

Wo Khaar Khaar Hai Shakh-E-Gulaab Ki Maanind,
Main Zakhm-Zakhm Hoon Phir Bhi Gale Lagaun Use,

Ye Log Tazakare Karte Hai Apne Logonse,
Main Kaise Baat Karun Aur Kahan Se Laaun Use,

Wahi Jo Daulat-E-Dil Hai Wahi Jo Raahat-E-Jaan,
Tumhari Baat Pe Hi Naasiho Ganwaun Use,

Jo Humsafar Sar-E-Manzil Bichhad Raha Hai,
Ajab Nahi Ke Agar Yaad Bhi Na Aaun Use...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2654 on: October 10, 2008, 02:14:03 PM »



Na Jaane Kaise Rishte Badal Jaate Hai,
Nazar Andaz Karke Log Nikal Jaate Hai,

Hum Ajnabi Ho Koi, Waisa Dhang Hai,
Wo Yunhi Samne Se Aaj Kal Jaate Hai,

Aankhon Mein Nami Liye Hum Pesh Ho,
To Paimano Mein Shole Jal Jaate Hai,

Wo Samjhe Ke Hum Hai Unki Tarah,
Jo Har Thokar Baad Sambhal Jaate Hai...
Logged
Pages: 1 ... 173 174 175 176 [177] 178 179 180 181 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 17, 2024, 04:32:52 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.228 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer