Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 174 175 176 177 [178] 179 180 181 182 ... 273
Print
Author  (Read 131572 times)
angel4u
Guest
«Reply #2655 on: October 10, 2008, 02:15:01 PM »

Aisa Karein Kisi Roz,
Dil Badal Kar Dekhein,
Kaanton Ka Rasta Ho,
Lekin Chal Kar Dekhein,
Andar Ke Sheher Se,
Bahar Nikal Kar Dekhein,
Baraf Ke Nagar Mein,
Hum Pighal Kar Dekhein,
Jaante Bujhte Khilono Se,
Kabhi Behel Kar Dekhein,
Samundaron Ko Sehra Karein,
Toofan Nigal Kar Dekhein...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2656 on: October 10, 2008, 02:15:23 PM »

Kya Khabar Thi Ke Main Is Darja Badal Jaunga,
Tujhko Kho Dunga Tere Gam Se Sambhal Jaunga,

Ajnabi Banke Milunga Main Tujhe Mehfil Mein,
Tu Ne Chhedi Bhi To Main Baat Badal Jaunga,

Dhund Paye Na Jahan Yaad Bhi Teri Mujhko,
Aise Jangal Mein Kisi Roz Nikal Jaunga,

Zidd Mein Aaye Hue Maasom Se Bachhe Ki Tarah,
Khud Hi Khashti Ko Dubone Pe Machal Jaunga...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2657 on: October 10, 2008, 02:16:30 PM »



Par Jo Jal Jaye To Parwaaz Pe Harf Aata Hai,
Apne Jeene Ke Har Andaaz Pe Harf Aata Hai,

Cheekhte Rehne Moassir Nahi Hota Aksar,
HalQ Jo Khushk Ho To Aawaz Pe Harf Aata Hai,

Fan Hai Sharminda Bahut Larzish-E-Aasaab Ke Saath,
Kabhi Nagma Pe Kabhi Saaz Pe Harf Aata Hai,

Jiske Baazu Mein Rahi Quwwat-E-Yalgaar Nahi,
Uske To Fitrat-E-Shabaaz Pe Harf Aata Hai,

Apne Qaabu Mein Zubaan Jab Nahi Rehti Maikash,
Dil Mein Posheeda Har Ek Raaz Pe Harf Aata Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2658 on: October 10, 2008, 02:17:11 PM »



Baad Muddat Aansu Bahana Achha Laga,
Hijr Mein Uske Dukh Sehna Achha Laga,

Der Tak Wo Dekha Kiye Mujhiko Aaj Yaaron,
Der Tak Uski Aankhon Mein Rehna Achha Laga,

Ye Koi Ilzaam Tha Ya Thi Ek HaQeeQat Magar,
Mehfil Mein Uska Hamein Bewafa Kehna Achha Laga,

Kaha Sach To Milein Hamesha Lohe Ki Bediyan,
Sach Puchho To Yaaron Ye Bhi Gehna Achha Laga...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2659 on: October 10, 2008, 02:17:24 PM »
Press Down For Your Valentine Gift...........









Dil Karta Hai Zorse Thappad Marun.

















Aaj Valentine Day Hai Kya???
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2660 on: October 10, 2008, 02:18:18 PM »


Wo Jo Bhi Tha Meri Pehchan Tha,
Meri Jo Shayri Thi Wo Uska Unwaan Tha,
Log Kuch Bhi Kahein Lekin,
Wo To Meri Jaan Tha,
Chaha Tha Usko Toot Kar,
Magar Wo Isse Anjaan Tha,
Bhool Jaun Kaise Usko,
Dil Mera Nahi Hai Manta...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2661 on: October 10, 2008, 02:19:14 PM »

Aaj Phir Jhatpate Ke Aalam Mein,
Phir Wohi Mah-O-Saal Yaad Aaye,

Khil Uthe Phir Tere Khayal Ke Phool,
Zehen Mein Phir Wohi Sawal Aaye,

Khushboo Mausam Ko Dhundti Hi Rahi,
Rang Badal Ko Haar Daal Aaye,

Usmein Kuch Khaas Hi Hunar Hoga,
Warna Kitne Hi Bakamaal Aaye,

Merhala Ye Bhi Dil Pe Guzra Hai,
Apni Hi Baat Khud Hi Taal Aaye,

WaQt-E-Rukhsat Na Kuch Bhi Yaad Aaya,
Zehen Mein Phir Kayi Sawal Aaye,

Usne Rukh Pher Ke Qayamat Ki,
Maut Se Bach Ke Baal Baal Aaye,

Jo Ujala Kare Andhere Mein,
Ranj Aisa To Khaal Khaal Aaye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2662 on: October 10, 2008, 02:21:14 PM »
Usko Mera Halka Sa Ehsaas To Hai,
Bedard Sahi Wo Mera Humraaz To Hai,

Wo Aaye Na Aaye Mere Paas Lekin,
Shiddat Se Mujhe Uska Intezaar To Hai,

Abhi Nahi To Kya Hua Mil Hi Jayega Kabhi,
Mere Dil Mein Usse Milan Ki Aas To Hai,

Pyaar Ki Gawahi Mere Aansuon Se Na Mang,
Barasti Nahi Aankhein Magar Dil Udaas To Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2663 on: October 10, 2008, 02:22:13 PM »



Kal Halki Halki Baarish Thi,
Kal Sard Hawa Ka RaQs Bhi Tha,

Kal Phool Bhi Nikhre Nikhre The,
Kal Un Mein Aap Ka AQs Bhi Tha,

Kal Baadal Kaale Gehre The,
Kal Chaand Pe Laakhon Pehre The,

Kuch Tukde Aapki Yaadon Ke,
Badi Der Se Dil Mein Thehre The,

Kal Yaadein Uljhi Uljhi Thi,
Aur Kal Tak Ye Na Suljhi Thi,

Kal Yaad Bahut Tum Aaye The,
Kal Yaad Bahut Tum Aaye The...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2664 on: October 10, 2008, 02:23:05 PM »



Hamesha Muskura Ke Aansuon Ko Chhupaya,
Gam Ko Chhupane Ka Yehi Rasta Nazar Aaya,

Kis Kis Ko Batate Behte AshQon Ka Sabab,
Ke Dard-E-Dil Dil Mein Kisne Jagaya,

Mehfilon Mein Kahin Bhi Maza Na Raha,
Rakha Dil Pe Pathar To Khud Ko Sajaya,

Baat Be-Baat Apni Aahein Daba Kar,
Yaaron Ke Darmiyan Kis Qadar Muskuraya,

Na Thi Chaah Kabhi Mujhe Mankashi Ki,
Jaam-E-Wafa Kisi Bewafa Ne Pilaya,

Kya MuQaddar Se Shikwa Karte Rahein,
Jo Kismat Mein Tha Wohi Kuch To Paya,

Ye Kis Mod Pe Aa Gayi Hai Ummidein,
Ke Saaya-E-Manzil Nazar Mein Na Aaya,

Apno Ne Palat Ke Dekha Tak Nahi,
Gairon Ne Aakar Gale Se Lagaya,

Achha Hua Ke Raaz Khul Hi Gaya,
Dil-E-Nadaan Pe Khanjar Kisne Chalaya,

Shab-O-Roz Chahat Sila Ye Hai Tanha,
Dil Ke Tukde Hue Wo Chunne Na Aaya...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2665 on: October 10, 2008, 02:23:31 PM »



Dil Toota Marzi-E-Mehboob Se Ki Usne Koi Khata Nahi,
Hairat Hai Tabassum-E-Yaar Par Ke Jise Kuch Hua Nahi,

Yahan Sehra Se Samundar Phootte Hai Kuch Phool Murjhaye Bahar Mein,
Kya Gila Mujhe Yaar Se Use To Kuch Pata Nahi,

Main Roothna Bhi Chahun To Rooth Na Sakunga,
Main Chhodun Use Kis Tarah Mera Koi Uske Siwa Nahi,

Wo Samoya Mujh Mein Is Tarah Ke Mujhe Aap Yaad Nahi,
Main Itna Door Reh Kar Bhi Ek Pal Bhi Usse Juda Nahi,

Khizan Mein Dhoond Ke Bikhre Phool Uski Raah Mein,
Jis Ajnabi Ki The Talash Mein Hum Wo Gharse Hi Chala Nahi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2666 on: October 10, 2008, 02:24:00 PM »



EK TARFA MOHABBAT

Marti Hui Zameen Ko Bachana Pada Mujhe,
Badal Ki Tarah Dasht Mein Aana Pada Mujhe,

Wo Kar Nahi Raha Tha Meri Baat Ka YaQeen,
Phir Yun Hua Ke Mar Ke Dikhana Pada Mujhe,

Bhoole Se Meri Simt Koi Dekhta Na Tha,
Chehre Pe Ek Zakhm Lagana Pada Mujhe,

Us Ajnabi Se Haath Milane Ke Waste,
Mehfil Mein Sabse Haath Milana Pada Mujhe,

Yaadein Thi Dafan Aisi Ke Baad-E-Az Farookht Bhi,
Us Ghar Ki Dekhbhal Ko Jana Pada Mujhe,

Us Bewafa Ki Yaad Dilata Tha Baar Baar,
Kal Aayine Pe Haath Uthana Pada Mujhe,

Aise Bichhad Ke Usne To Mar Jana Tha,
Uski Nazar Mein Khudko Girana Pada Mujhe...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2667 on: October 10, 2008, 02:24:32 PM »

Angdayi Par Angdayi Leti Hai Raat Judayi Ki,
Tum Kya Samjho Tum Kya Jaano Baat Meri Tanhayi Ki,

Kaun Siyahi Ghol Raha Tha WaQt Ke Behte Dariya Mein,
Maine Aankh Jhuki Dekhi Hai Aaj Kisi Harjayi Ki,

Wasl Ki Raat Na Jaane Kyon Israar Tha Unko Jaane Par,
WaQt Se Pehle Doob Gaye Taarone Badi Danayi Ki,

Udte Udte Aas Ka Panchhi Door UfaQ Mein Doob Gaya,
Rote Rote Baith Gayi Awaz Kisi Saudayi Ki...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2668 on: October 10, 2008, 02:24:44 PM »

Mohabbat Kisko Kehte Hai,
Ye Lamhon Ki Kahani Hai,
Raday-E-WaQt Par Lekin
Azl Se Ta-Abd Dekho,
Ye Hi Tehreer Dar Tehreer Milti Hai,
Ye Hi Iski Nishani Hai,
Ye Hi Sab Se Purani Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2669 on: October 10, 2008, 02:25:13 PM »

Zindagi Kabhi Kabhar Ulajh Si Jaati Hai,
Ummid Ki Yeh Kiran Jaane Kis Simat Ko Jaati Hai,

Rehbar Ki Be-Aitnayi Ne Uljha Diya Hai Mujhko,
Warna Ye Mauj-E-Dariya Saahil Hi Ko Jaati Hai,

Kisse Inkaar Karun Kiska IQraar Karun,
Ab To Aankh Bhi Aansu Ko Nahi Raah Dikhlati Hai,

Ab To Dua Karta Hoon Aaj Main Apne Rab Se,
Phir Kyon TaQdeer Hi Tadbeer Se Sharmati Hai,

Ger-E-Jaan Ummidein Bahar Ban Ke,
Chale Jo Karvan Ko Manzil Hi Jaati Hai,

Bujh Gaya Jo Chirag-E-Dil Gar Is Bahar Mein,
Parwana Bhi Behek Uthega Ke Yaad Aati Hai...

Logged
Pages: 1 ... 174 175 176 177 [178] 179 180 181 182 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 17, 2024, 03:26:21 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.207 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer