Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 175 176 177 178 [179] 180 181 182 183 ... 273
Print
Author  (Read 133071 times)
angel4u
Guest
«Reply #2670 on: October 10, 2008, 02:25:36 PM »

Kya IshQ Mujhi Se Karte Ho?
Be-Baat Bigadte Rehte Ho,
Bechain Hamesha Rehte Ho,
Ye Sab Nishaani IshQ Ki Hai,
Kya IshQ Kisi Se Karte Ho?
Raaton Ko Jagte Rehte Ho,
Aur Taare Bhi Tum Ginte Ho,
Ye Sab Nishani IshQ Ki Hai,
Kya IshQ Kisise Karte Ho,
Zikr Jo Mera Chalta Hai,
Chehre Ka Rang Badalta Hai
Bechain Se Tum Ho Jaate Ho,
Kya IshQ Mujhi Se Karte Ho...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2671 on: October 10, 2008, 02:28:18 PM »

Umar Apni.......
Guzarte WaQt Ki Dhoop Chhanv,
Chattan-E-Zeest Ko Khokla Kar Rahi Hai,
Ye Aate Jaate Mausamon Ki Sakhti,
Wajood Mein Ab Sama Rahi Hai,
Utarte Chadte Samundar Ki Maanind,
Thi Kabhi Jo Chamakte, Suraj Ki Maanind,
Ab Wo Umar Apni, Dhale Jaa Rahi Hai,
Anjaani Manzil Chale Jaa Rahi Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2672 on: October 10, 2008, 02:29:16 PM »



Aaj Main Tanha Behti Yaadon Ke Nakhenon Se,
Maazi Ki Raakh Kured Rahi Hoon,
Us Aakhri Shaam Ki Yaad Ab Tak
Dilke Kisi Kone Mein Padi Ro Rahi Hai,
Jab Mere Sath Saans Lete Hue Aansu,
Chilla Chilla Kar Keh Rahe The,
Hamein Chhod Kar Mat Jao,
Magar
Mere Lab Khamosh The Aur Tum
Mere Aansu Ki Aawaz Sun Nahi Paaye The,
Shaam Dhire Dhire
Dhalti Jaa Rahi Thi,
Parinde Apne Baseron Ko Laut Rahe The,
Aur Tum.......
Mere Dilka Basera Chhod Kar Jaa Rahe The,
Kahin Door,
Shayad Bahut Door,
Darakht Khamosh Khade The Aur Main
Darakht Ke Kandhe Par Sar Rakh Kar Ro Rahi Thi,
Tumne Aakhri Baar,
Meri Jaanib Mud Kar Dekha Aur,
Tumhari Nigahon Mein Na Jaane Kya Tha Keh......
Meri Palkon Pe Thehra Aakhri Aansu,
Ek Nokeeli Salakh Ki Maanind,
Dil Mein Utar Gaya Tha,
Aah.... Wo Shaam.....
Kitni Andheri Thi,
Amavas Ki Raat Se Bhi Zyada Andheri,
Magar Na Jaane Kyon......
Itna WaQt Beet Jaane Ke Baad,
Aaj Maine
Shaam Ki Gulaabi Hatheli Pe Likha,
"Meri Bichhdi Koi Shaam,
Ek Baar Laut Kar Aao!
Main Tumhari Muntazir Hoon..."
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2673 on: October 10, 2008, 02:30:46 PM »

Kya Karun,
Aasman Ko Apni Mutthi Mein Pakad Lun,
Ya Samundar Par Chalun,
Ped Ke Patthe Ginun,
Ya Tehniyon Mein Jazb Hote Oss Ke Qatre Chunun,
Doobte Suraj Ko Ungli Ke Ishare Se Bulaun,
Raat Mein Saaya Banun,
Khaali Aankh Mein Sajeele Rang Dhundun,
Ya Saaf Chehre Par Siyaahi Se Koi Qissa Likhun,
Kya Karun?
Apne Hi Pairon Se Uljhun Aur Girun,
Aur Apni Aankhonse Chhupun,
Ya Phir Apni Khwahish Par Hasun,
Kya Karun?
La-Haasil Ki Sard Chadar Odh Lun,
Aur Chup Rahun,
Ya Wasvason Ke Barf-Zaaron Se,
Tumhe Aawaz Dun,
Kya Karun???


Logged
angel4u
Guest
«Reply #2674 on: October 10, 2008, 02:31:07 PM »

Ilaahi, Hashr Mein
Teri Jannat Nahi Chahiye Mujhko,
Meri Maa Meri Jannat Hai,
Ye Jannat Chahiye Mujhko,
Meri Maa Mujhe Maaf Karna,
Galtiyon Ko Baksh Dena,
Meri Kismat Saja Dena,
Chalun Jab Amen-E-Jahan Se,
Dhaanp Ke Chehre Ko Main Apne,
Mujhe Chehra Chhupane Ko,
Apne Aanchal Ka Kafan Dena...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2675 on: October 10, 2008, 02:33:13 PM »

December Ki Sard Hawaon,
Usse Milo To Kehna,
Ke Aaj Bhi
Uski Yaad
Kisike Dil Mein
MustaQil,
Khaima Zan Hai,
Koi Aaj Bhi Use,
Uthte, Baithte, Sote, Jagte,
Hanste, Rote,
Yaad Karta Hai.....

December Ki Sard Hawaon,
Usse Milo To Kehna,
Ke Aaj Bhi
Kisiki Palkein
Sar-E-Shaam Hi
Uske Intezaar Mein
Bichh Jaati Hai,
Ke Aaj Bhi Koi
Uske Liye
Udaas Rehta Hai......

December Ki Sard Hawaon
Usse Milo To Kehna,
Ke Aaj Bhi
Kisike Din Raat
Uske Bin
Sogwar Guzarte Hai,
Aaj Bhi
Kisiki Aankhein,
Uske Liye
Nam Rehti Hai......

December Ki Sard Hawaon.....
December Ki Sard Hawaon.....
December Ki Sard Hawaon.....

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2676 on: October 10, 2008, 02:33:35 PM »

WaQt Mile To Kagaz Ke Ek Tukde Pe
Dilka Haal To Likh Dena,
Kuch Us Sheher Ka Mausam Likhna,
Haal Kuch Us Mein Basne Wale Logonka,
Chand Wahan Ka Kaisa Ahi,
Hawa Ki Khushbu Kaisi Hai,
Wahan Bhi Badal Yaad Kisiki Laate Hai?
Wahan Bhi Baarish Ka Har Qatra,
Aks Kisika Hota Hai?
Wahan Bhi Shanam, Phoolon Ko Nehlati Hogi,
Yaad Kisiki Aati Hogi,
Wahan Ke Din Aur Raat Kaise Hai?
Wahan Pe Dekhe Khwaab Kaise Hai?
Wahan Ki Galiyan Aur Bazar,
Wahan Ke Ghar Aur Deewar
Gharz, Tu Saari Baatein Likhna,
Apni Saari Raatein Likhna,
Haan, Aakhir Mein,
Kagaz Par Gar Jagah Bache To,
Kuch Maazi Ke Pyar Ke Kisse,
Kisiki Bholi Yaad Ke Hisse,
Yaad Agar Ho To Likh Dena,
Kisika Jeevan Ban Jayenge
Tere Haath Ke Likhe Harf,

Mere Dilki Baat Jo Puchho,
Kuch Bhi Mat Likhna Tum Mujhko,
Khud Hi Wapas Aa Jaana,
Sara Haal Suna Jaana...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2677 on: October 10, 2008, 02:34:24 PM »
Ab Agar Aao To Jaane Ke Liye Mat Aana,
Sirf Ehsaan Jatane Ke Liye Mat Aana,

Maine Palkon Pe Tamannayein Saja Rakhi Hai,
Dil Par Ummid Ki 100 Rasmein Jala Rakhi Hai,
Ye Haseen Shaamein Bujhane Ke Liye Mat Aana,

Pyaar Ki Aag Mein Zanjeer Pighal Sakti Hai,
Chahne Walon Ki TaQdeer Badal Sakti Hai,
Hoon Bebas Ye Batane Ke Liye Mat Aana,

Mujhse Milneki Agar Tumko Nahi Chahat Koi,
Tum Sirf Rasmein Nibhane Ke Liye Mat Aana...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2678 on: October 10, 2008, 02:34:37 PM »
Wo Aankhein Kaisi Aankhein Hai,
Jinhe Ab Tum Chaha Karte Ho,
Tum Kehte The,
Meri Aankhein Itni Achhi Itni Sachi Hai,
Is Husn Aur Sachayi Ke Siwa, Duniya Mein Koi Chiz Nahi,
Kyon Un Aankhon Ko Dekh Ke Bhi,
Tum Faiz Ka Misra Padhte Ho,
Tum Kehte The
Meri Aankhon Ki Neelahat Itni Gehri Hai,
"Meri Rooh Agar Ek Baar Utar Jaye To Iski Por Por Neelam Ho Jaye"
Mujhe Batao,
Aaj Tumhari Rooh Ke Rang-E-Pehrahan Kya Hai?
Kya Wo Aankhein Bhi Samundar Hai?

Ye Kaali Bhoori Aankhein,
Jinko Dekhke Tum Kehte The,
Inki Chhanv Tumhare Jism Pe Apni Shabnam Phaila De,
To Guzarte Khwaab Ke Mausam Laut Aayein,
Kya Wo Palkien Bhi Aisi Hai?
Jinhe Dekhke Neend Aa Jaati Ho?

Tum Kehte The,
"Meri Aankhein Yun Achhi Hai,
Haan! Kaajal Ki Dhundlayi Koi Tehreer Bhi Ho To,
Baat Bahut Dilkash Hogi"
Wo Aankhein Bhi To Singaar Karti Hogi,
Kya Unka Bhi Kajal Khud Mit Jaata Hai?

Kabhi Ye Bhi Hua?
Kisi Lamhe Tumse Rooth Ke Wo Aankhein Ro Dein,
Aur.......
Tum Ne Apne Haath Se Unke Aansu Khushk Kiye,
Phir Jhuk Kar Unko Choom Liya,
..........Kya Unko Bhi..........Huh?
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2679 on: October 10, 2008, 02:34:52 PM »


Gaye Mausam Mein Jo Khilte The Gulabon Ki Tarah,
Dil Pe Utrenge Wohi Khwab Azabon Ki Tarah,

Raakh Ke Dher Pe Ab Raat Basar Karni Hai,
Jal Chuke Hai Mere Khaime, Mere Khwabon Ki Tarah,

Saat-E-Deed Ke Aariz Hai Gulabi Ab Tak,
Awalei Lamhon Ke, Gulnaar Hijabon Ki Tarah,

Wo Samundar Hi To Phir Rooh Ko Shadab Kare,
Tishnagi Kyon Mujhe Deta Hai Sarabon Ki Tarah,

Yaad To Hongi Wo Baatein Tujhe Ab Bhi Lekin,
Shelf Mein Rakhi Koi Band Kitabon Ki Tarah,

Kaun Jaane Ke Naye Saal Mein Tu Kisko Padhe,
Tera Meyyar Badalta Hai Nisabon Ki Tarah,

Shokh Ho Jati Hai Ab Bhi Meri Aankhon Ki Chamak,
Gahe Gahe Tere Dilchasp Jawabon Ki Tarah,

Hijr Ki Shab, Meri Tanhayi Pe Dastak Degi,
Teri Khushbu Mere Khoye Hue Khwabon Ki Tarah...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2680 on: October 10, 2008, 02:35:12 PM »



Tu Is Qadar Mujhe Apne Kareeb Lagta Hai,
Tujhe Alag Sa Jo Sochun Ajeeb Lagta Hai,

Hadood-E-Zaat Se Bahar Nikalke Dekh Zara,
Na Koi Gair, Na Koi RaQeeb Lagta Hai,

Jise Na Husn Se Matlab Na IshQ Se Sarokar,
Wo Shakhs Mujhko Bahut Badnaseeb Lagta Hai,

Ye Dosti, Ye Marasim, Ye Chahatein Ye Khaloos,
Kabhi Kabhi Ye Sab Kuch Ajeeb Lagta Hai,

UfaQ Pe Door Chamakta Hua Koi Taara,
Mujhe Charag-E-Dayaar-E-Habeeb Lagta Hai,

Na Jaane Kab Koi Tufaan Aayega Yaaron,
Buland Mauj Se Saahil Qareeb Lagta Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2681 on: October 10, 2008, 02:35:49 PM »



Aseer-E-Dasht-E-Bala Ka Na Maajra Kehna,
Tamam Puchhne Walo Ko Bas Dua Kehna,

Ye Kehna Raat Guzarti Hai Ab Bhi Aankhon Mein,
Tumhari Yaad Ka Qayam Hai Silsila Kehna,

Ye Kehna Chaand Utarta Hai Baam Par Ab Bhi,
Magar Nahi Wo Shab-E-Maah Ka Maza Kehna,

Ye Kehna Humne Hi Toofan Mein Daal Di Kashti,
Qasoor Apna Hi Dariya Ko Kya Bura Kehna,

Ye Kehna Haar Na Mani Kabhi Andheron Se,
Bujhe Charag To Dilko Jala Liya Kehna,

Ye Kehna Tum Se Bichhad Kar Bikhar Gayi Main,
Ke Jaise Haath Se Gir Jaaye Aayina Kehna...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2682 on: October 10, 2008, 02:36:07 PM »


Haath Ki Lakeeron Mein,
Kya Talash Karte Ho?
In Fuzool Baaton Mein
Kis Liye Ulajhte Ho?
Jinko Milna Hota Hai,
Bin LaQeer Dekhe Hi
Zindagi Ki Raahon Par
Saath Saath Chalta Hai,
Phir Kab Wo Bichhadte Hai,
Jo Nahi MuQaddar Mein,
Kab Wo Hamein Milta Hai,
Kab Wo Sath Chalta Hai,
Haath Ki LaQeeron Mein
Kya Talash Karte Ho...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2683 on: October 10, 2008, 02:36:26 PM »


Wo Khaloos Tha Ke Khumar Tha,
Wo Janoon Tha Ke Saraab Tha,
Mujhe Sochne Mein Zamana Laga,
Mujhe Manzilone Bhoola Diya,
Mujhe Jis Masiha Pe Maan Tha,
Mujhe Usne Sooli Chada Diya,

Kayi Humsafar Kayi Rehguzar,
Mujhe Raste Mein Mile Magar,
Meri Tishnagi Kuch Aur Hai,
Meri Justujoo Koi Aur Hai,

Wo Jo Roshni Ki Tarah Badhe,
Magar Aansuon Mein Sama Sake,

Jo Subah Ki Pehli Kiran Bane,
Mere Dilka Aangan Nikhaar De,
Jo Mohabbatein Ki Rawayatein,
Lahoo Ki Bhali Si Sanwar De,
Mujhe Us Wafa Ki Talash Hai,
Mujhe Us Wafa Ki Talash Hai,

Magar Is Jahan-E-Kharab Mein
Yahan Khwahishon Ke Saraab Mein,
Mujhe Kaun De Aisi Wafa,
Main Kahan Se Laun Wo Wafa,
Inhi Uljhano Mein Ghira Hua,
Yehi Sochta Main Chala Gaya...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2684 on: October 10, 2008, 02:36:58 PM »


Raatein Laut Aayi Hai,
Phir Se Maazi Ke Wo Dareechein Khulein,
Kabhi Yunhi Kisi Sard Raat Mein Achanak,
Suhani Yaadon Ka Koi Hissa,
Kisi Barf Ke Narm Gale Ki Tarah,
Bin Mausam Ki Sardi Ki Baarish Ki Tarah,
Pichhle Peher Ki Khamosh Sarsarahat Ki Maanind,
Apne Andar Nami Ka Ehsaas Liye,
Yunhi Udti Saba Ki Tarah,
Dilko Chhu Jayega,

Phirse Dil Muskurayega,
Anjaane Se Suron Mein Dhale Geet,
Sunega,
To Us WaQt, Sun Lo Jaana!
Wo Yaadein, Wo Maazi Bhi Apna Tha,
Aur Ye Baatein Ye Haal Bhi Apna Hai,
Tum Kal Mujhse,
Mere Rag-E-Jaan Se,
Sab Se Badhke Kareeb The,
Aaj Aur Bhi Nazdeek Ho,

Mausam To Hote Hi Badalne Ko Hai,
Ye Sa'ay Se, Ye Roz-O-Shab,
Hote Ghatne Badhane Ko Hai,
Mohabbat Sirf Badhane Ko Hai,

Har Guzarta Pal,
Har Jaata Lamha, Ye Keh Raha Hai,
Wo Yaadein, Wo Maazi Bhi Apna Tha,
Aur Ye Baatein, Ye Haal Bhi Apna Hai...
Logged
Pages: 1 ... 175 176 177 178 [179] 180 181 182 183 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 11, 2025, 03:00:11 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.236 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer