Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 176 177 178 179 [180] 181 182 183 184 ... 273
Print
Author  (Read 131568 times)
angel4u
Guest
«Reply #2685 on: October 10, 2008, 02:39:07 PM »


Shaam-O-Seher Kiska Khayal Kiya,
Mere Mehboob Ne Aaj Ye Sawal Kiya,

Anjaan Hai Isiliye Puchhte Hai Mujhse,
Tumne Kiski Khatir Apna Ye Haal Kiya,

Kasoor Nahi Hai Ye Aapka Sanam Mere,
Khud Hi Apne Haal Ko Maine Behaal Kiya,

WaQt Aata Jo Sahi To Izhaar Bhi Kar Deta,
Intezar Isiliye Maine Itne Layaal Kiya,

MulaQaat Unse Ho To Ye Kehna 'Hussain',
Aap Ka Hi Maine Har Baar Khayaal Kiya...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2686 on: October 10, 2008, 02:39:27 PM »



Hum Hai Gumnaam Hamein Gumnaam Rehne Do,
Na Uthao Subah-E-Parda Shaam Rehne Do,

Karo Zikr Zikr-E-Khuda To Kuch Haasil Ho,
Hamara Zikr Yun Subah-Wa-Shaam Rehne Do,

Soorat Gari Hai FaQat Tumhara Hi ZooQ
Seerat Gari Ka Hamein Gulaam Rehne Do,

Hum Tera Chhod Chuke Maikhana Aye SaaQi,
RifQat Ke Bhare Jaam Rehne Do,

Ek Arzi Hai Khaki-E-Bilagarzi Ki,
Apni Kholoos Ka Humpe Inaam Rehne Do,

Na Hai Humsafar Humare Jee Rahe Hai Lafzo Ke Sahare,
FaQt Lafz Hi To Hai Inhe Humnaam Rehne Do,

Rakhte Ho Zakham Pe Marham Wallah Kis Ada Se,
Sahara-E-Zindagi Pe Ranj-Wo-Alam Rehne Do,

Nahi Hai Aadat Hamein Yun Ehsaan Karne Ki,
Hoga Bas Yunhi, Naam Rehne Do,

Na Ho Dil Pe Hamare Dastak Kuch Hasil Nahi,
Tumse Hoga Na Ye Kar Anjaam Rehne Do,

Rota Hai Jigar Mera Kehta Hai Yun Khudara,
Na Karo Khaas Hamein Aam Rehne Do,

Na Rahi Zaroorat Dua-Wa-Dawa Ki Dost,
Reh Gayi Hai Jaan Labai Baam Rehne Do...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2687 on: October 10, 2008, 02:40:10 PM »


Azal Se Mohabbat Hai Maava Lafzon Ki Maala Se,
Magar Ye Bhi HaQeeQat Hai,
Mohabbat Soch Ke Aakash Par Baadal Ki Soorat Mein,
Sada Parwaaz Karti Hai,
Kabhi Baarish Ki Boondon Mein Simat Kar Dil Ki Dharti Par,
Utarti Hai..........Bikharti Hai,
Ada Le Kar Saba Se Ye, Gulabon Se Mehek Le Kar,
Dhanak Se Rang Le Kar Aur Sitaron Se Chamak Le Kar,
Haseen Aanchal Banati Hai,
Isi Aanchal Se Phir Khwabon Ke Kachhe Ghar Banati Hai,
Mohabbat Aazmati Hai,
Kabhi Ye Sher Bankar Lafz Ki Hurmat Badhati Hai,
Kabhi Ye Saaz Bankar Dhire Dhire Gungunati Hai,
Saraapa Aankh Ban Jaati Hai Ye Mehboob Ko Paa Kar,
Anokha Lams Ban Jati Hai Koo-E-Yaar Mein Jaa Kar,
Na Jane Kaunsa Mantar Padh Kar Haule Haule Se,
Kisiki Band Palkon Mein Bina Dastak Diye Ekdam,
Utar Kar Ghar Banati Hai.......Mohabbat Muskurati Hai,
Ye Khushbu Hai Hamesha Phool Ki Saanson Mein Hoti Hai,
Bana De Chaand Tera Shab Ko Jo Ye Aisa Moti Hai,
Kasak Hai Daayimi Is Mein Bahut Benaam Lazzat Hai,
Mohabbt Ki Yehi Tareef Hai Ke,
YEHI MOHABBAT HAI...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2688 on: October 10, 2008, 02:40:59 PM »


Khwaab-O-Gul Pareshan Rehne Do,
Hamein Bahar Na Karo Khizaan Rehne Do,

Kyon Chhupate Ho Duniya Se Hamari Baatein,
Ye To Ayan Hai Ayan Rehne Do,

Dilke Phaphoolon Ko Na Chhedon Aise,
Jo Dard Jahan Hai Wahan Rehne Do,

Jo Hai Man Mein Kahan Koi Nikalta Hai,
Chhodo Ye WaQt Na Zeeyan Rehne Do,

Na Bharo Zakham Hamare Saare,
Kuch To Ghaav Ke Nishan Rehne Do,

Sab Le Lo Humse Sabhi Kuch Le Lo,
Bas Awaz-E-Paa Ka Gumaan Rehne Do,

Jo Lutf Hai Nala-E-Naeem-Shab Mein Sanam,
Hamein Yun Hi Bekaran Rehne Do...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2689 on: October 10, 2008, 02:41:18 PM »


Jab Munderon Pe Chaand Ke Humraah,
Bujhti Jaati Thi Aakhri Shaamein,
Kya Tere Waaste Nahi Tarsa,
Uska Majboor Mozhamil Chehra,
Kya Tere Waste Nahi Jaagi,
Uski Beemar Rahem-Dil Aankhein,
Kya Tujhe Khayal Hai Ke Use,
Apne Lutne Ka Ranj Nahi,
Usne Dekhi Hai Dinki Khoon Khwari,
Uspe Guzri Hai Shab Ki Eayaari,
Phir Bhi Teri Tarah Wo Bechari,
Saari Duniya Se Shikwa-Sang Nahi,
Zindabaad.......Aye Ana-E-Jazba-E-Zabt,
Marhaba.........Aye Shikwa-E-Khuddami,
Uski Qurbat Se Tujhko Phool Mile, Zindagi Ke Naye Usool Mile,
Teri Ulfat Se Kya Mila Usko,
Zehmatein, Eztaraab, Badnaami...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2690 on: October 10, 2008, 02:41:33 PM »


Abhi Kuch Der Pehle Hi,
Mohabbat Phir Se Jaagi Thi,
Magar Maine,
Suna Kar Qissa-E-Dauraan,
Kahani Fikar-E-Gandum Ki,
Pila Kar Sabr Ka Pyala,
Abhi Kuch Der Pehle Hi
Use Phir Se Sula Dala...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2691 on: October 10, 2008, 02:41:50 PM »



Tune Dekhi Hai Wo Peshaani Wo Rukhsaar Wo Honth,
Zindagi Jinke Tasavvur Mein Luta Di Humne,
Tujhpe Uthi Hai Wo Khoyi Hui Saahir Aankhein,
Tujhko Malum Hai Kyon Umar Ganwa Di Humne?

Humpe Mushtarik Hai Ehsaan Gam-E-Ulfat Ke,
Itne Ehsaan Ke Ginwaun To Ginwa Na Sakun,
Humne Is IshQ Mein Kya Khoya Hai Kya Sikha Hai,
Juz Tere Aur Ko Samjhaun To Samjha Na Sakun...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2692 on: October 10, 2008, 02:42:10 PM »



Diyaar-E-Noor Mein Teerah Shabon Ka Sathi Ho,
Koi To Ho Jo Meri Wehshaton Ka Saathi Ho,

Main Usse Jhooth Bhi Bolun To Mujhse Sach Bole,
Wo Mere Mizaj Ke Sab Mausamon Ka Saathi Ho,

Main Uske Haath Na Aaun Wo Mera Ho Ke Rahe,
Main Gir Padun To Meri Pastiyon Ka Saathi Ho,

Kare Kalam Jo Mujhse To Mere Lehje Mein,
Main Chup Rahoon To Mere Tevaron Ka Saathi Ho,

Main Apne Aap Ko Dekhun Wo Mujhko Dekhe Jaaye,
Wo Mere Nafs Ki Gumrahiyon Ka Saathi Ho,

Wo Khwaab Dekhe To Dekhe Mere Hawale Se,
Mere Khayal Ke Sab Manzaron Ka Saathi Ho...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2693 on: October 10, 2008, 02:42:47 PM »


Maan Liya Sach Kehti Ho,
Mujhse Mohabbat Karti Ho,
Mere Khwaabon Ki Duniya Mein Rehti Ho,
Meri Yaad Ka Alam
Door Khila Mein,
Aksar Takti Rehti Ho,
Din Sochon Mein Kat Jaata Hai,
Raatko Neend Nahi Aati,
Ek Ek Taara Ginti Ho,
Ye Bhi Sach Hai,
Apne Husn Ki Baarish Se,
Jal Thal Kar Doge,
Jeevan Bhar Sukh Bantoge,
Lekin,
Aye Masoom Ladki,
Main Bebas Hoon,
Chahun Bhi To,
Saath Tumhara De Nahi Sakta,
Mere Dukh Ki Duniya Tanha,
Mere Sukh Ki Baat Alag Hai,
Kis Ummid Pe, Kis Barte Par,
Mera Daman Thamoge,
Mere Hath Ki Tooti Phooti,
Tirchi Lakeerein Gaur Se Dekho,
In Mein Tumhara Naam Nahi Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2694 on: October 10, 2008, 02:43:06 PM »



Wo Paani Ki Lehron Pe Kya Likh Raha Tha,
Khuda Jaane Harf-E-Dua Likh Raha Tha,

Likha Jisne Novel Wafa Ka Adhura,
Wo Pyar Ki Inteha Likh Raha Tha,

Bhala Karte Karte Guzri Jawani,
Magar Phir Bhi Khud Ko Bura Likh Raha Tha,

Mohabbat Mein Nafrat Mili Thi Use Bhi,
Jo Har Shakhs Ko Bewafa Likh Raha Tha,

Zara Uski Aankhon Se Aansu Na Nikle,
Wo Jis WaQt Lafz Saza Likh Raha Tha,

Namaz-E-Mohabbat Mein Wo Apne,
Hue The Jo Sajde Qaza Likh Raha Tha...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2695 on: October 10, 2008, 02:43:27 PM »



Khwaab! Kuch Bikhre Hue Se Khwab Hai,
Kuch Adhoori Khwahish,
Tishna Lab Aawargi Ke Shab-O-Roz,
Ek Kadmon Se Thakan Lipti Hui,
Ek Gehri BeyaQeeni Ka NaQoosh,
Jaane Kab Se Do Dilon Par Sabat Hai,
Raat Hai Aur Waswason Ki Yurish,
Ye Achanak!
TaaQ Pe Jalte Diye Ko Kya Hua,
Subah Hone Mein To Khasi Der Hai,
Aayine Aur AQs Mein Doori Hai Kyon,
Rooh Pyaasi Hai Azal Se,
Darmiyan Taakher Ka Ek Dasht Hai,
Nagahaan Fir Nagahaan,
Ye Wohi Dastak, Wohi Aahat To Hai,
Haa! Guldan Duriyon, Majbooriyon Ke Darmiyan,
Kaun Aayega Chalo Phir Chale,
Shayad Usko Yaad Aaye Koi Bhooli Bisri Baat,
Wo Dareecha Band Hai To Kya Hua,
Chand Hai Is Baam Pe Jaga Hua...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2696 on: October 10, 2008, 02:43:56 PM »



Khird Man Ki Zeenat Hai Tu,
Junoon-E-Pesha Logonki Kismat Hai Tu,

Koi Dil Shadaab Ebarat Hai Tu,
Mera Zohodo TaQwa Ibadat Hai Tu,

Fun-E-Shayri Ki Azmat Hai Tu,
Haseen Lafzeen Bahar-E-Zaroorat Hai Tu,

Dil-E-Muztar Ko Sabr-O-Sukoon Ki Zaroorat Thi,
Qaraar Lutne Wali Aziyat Hai Tu...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2697 on: October 10, 2008, 02:44:13 PM »


Ek Baar Hi Chahat Ki Saza Kyon Nahi Dete,
Zinda Hoon To Marne Ki Dua Kyon Nahi Dete,

Ek Aag Jo Bujhti Na Bhadakti Hai Zyada,
Is Aag Ko Daman Ki Hawa Kyon Nahi Dete,

Bichhde Hue Lamhe Bhi Kabhi Loot Ke Aaye,
Bichhde Hue Lamhon Ko Bhual Kyon Nahi Dete,

Dariya Mein Pukare Chale Jaate Ho Hamesha,
Sehraon Mein Sawan Ko Sada Kyon Nahi Dete,

Dekho Na Kayi Yaar Bahut Khauf-Zada Hai,
Pal Bhar Ko Charagon Ko Bujha Kyon Nahi Dete...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2698 on: October 10, 2008, 02:44:39 PM »



Tamam Dukh Hai,
Hamein Khabar Hai,
Tamam Dukh Hai
Ye Zindagi To Aasmanon Ki Vussaton Se,
Hazar Sadiyonse Mil Raha Hai,
Payaam Dukh Hai,
Jo Kaarzaar-E-Zawaal-E-Hasti Ko,
Dhoop Chhanv Ki Aahaton Se Chala Raha Hai,
Nizaam Dukh Hai,
Seher To Ek Mukhtasir Sa Gam Hai,
Taveel Din Ki Haveliyon Ke
Jo Raston Mein Theher Gayi Hai,
Wo Shaam Dukh Hai,
Ye Shaam Dukh Hai,
Ke Iski Sheh Pe Kayi Dino Se,
Musafiran-E-Abbad Ka Aise FaraaQ Aasaar Raaston Par,
Safar To Khair Ke Almiya Hai,
Qayam Dukh Hai,
Hamein Khabar Hai Tamaam Dukh Hai,
Ye Aas Dukh Hai, Niraas Dukh Hai,
Udasiyon Ka Libaas Dukh Hai,
Ye Tishnagi Jo Azaab Ban Kar Theher Gayi Hai,
Badan Ke Boseeda Sahilon Par,
To Iska Ehd-E-Dawaam Dukh Hai,
Ye Shor Karti Hava Ka Saara Khiraam Dukh Hai,
Hamein Khabar Hai Tamam Dukh Hai,
Ye Tum Mohabbat Nibhate Ho,
To Is Mohabbat Ka Naam Dukh Hai,
Ye Vasl Mausam Jo Ek Musalsal Mughalta Hai,
To Is RafaQat Ka Naam Dukh Hai,
Aur Aisi Vehshat Numa Fiza Mein,
Khamosh Rehna Bhi Ek Saza Hai,
Magar Kisise Kalaam Dukh Hai,
Hamein Khabar Hai,
Tamaam Dukh Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2699 on: October 10, 2008, 02:45:38 PM »


Kuch Khwaab Hai Jinko Likhna Hai,
Tabeer Ki Soorat Deni Hai,
Kuch Log Hai Ujde Dil Wale,
Jinhe Apni Mohabbat Deni Hai,
Kuch Phool Hai Jinko Chunna Hai,
Aur Haar Ki Soorat Deni Hai,
Kuch Apni Neend Baaki Hai,
Jise Bantna Hai Kuch Logon Mein,
Unko Bhi To Rahat Deni Hai,
Aye Umr-E-Rawan,
Aahista Chal
Abhi Kaasa Qarz Chukana Hai...
Logged
Pages: 1 ... 176 177 178 179 [180] 181 182 183 184 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 17, 2024, 03:01:32 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.21 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer