Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 15 16 17 18 [19] 20 21 22 23 ... 273
Print
Author  (Read 131136 times)
angel4u
Guest
«Reply #270 on: February 05, 2007, 08:30:45 PM »

Silsile Tod Gaya Wo Sabhi,
Jaate Jaate,
Warna Itne To Marassam The Ke Aate Jaate
Shikwa-E-Zulamat-E-Shab Se To Kahin Behtar Tha,
Apne Hisse Ki Koi Shama Jalate
Kitna Aasan Tha Tere Hijr Mein Mar Jana,
Phir Bhi Ek Umar Lagi Jaan Se Jaate Jaate,
Jashan Maktal Hi Na Bapa Hua Warna Hum Bhi,
Paanv Bejaan Hi Sahi,
Naachte Gaate Jaate,
Iski Wo Jane Ke Isse Paas-E-Wafa Tha Ya Na Tha,
Tum Farz Apni Taraf Se To Nibhate...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #271 on: February 05, 2007, 08:34:18 PM »

Tere Badan Se Chhu Kar Jo Idhar Bhi Aata Hai,
Misaal-E-Rang Wo Jhonka, Nazar Bhi Aata Hai,

Tamaam Shab Jahan Jalta Hai Ek Udaas Diya,
Hawa Ki Raah Mein Ek Aisa Ghar Bhi Aata Hai,

Wo Mujhko Toot Ke Chahega Chhod Jayega,
Mujhe Khabar Thi Use Ye Hunar Bhi Aata Hai,

Ujaad Ban Mein Utarta Hai Ek Jugnu Bhi,
Hawa Ke Sath Koi Humsafar Bhi Aata Hai,

Wafa Ki Kaunsi Manzil Pe Usne Chhoda Tha,
Ke Wo To Yaad Hamein Bhool Kar Bhi Aata Hai,

Jahan Lahoo Ke Samundar Ki Had Thaherti Hai,
Wahin Jazeera-E-Laal-O-Guhar Bhi Ata Hai,

Chale Jo Zikar Farishton Ke Parsaye Ka,
To Zair-E-Behas MuQaam-E-Bashar Bhi Ata Hai,

Abhi Sinaan Ko Sambhale Rahein Adoo Mere,
Ke In Safaon Mein Kahin Mera Sar Bhi Aata Hai,

Kabhi Kabhi Mujhe Milne Bulandiyon Se Koi,
Shoa-E-Subah Ke Saurat Utaar Bhi Aatar Bhi Ata Hai,

Isi Liye Main Kisi Shaab Na So Saka Mohsin
Wo Mehtaab Kabhi Baam Par Bhi Aata Hai...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #272 on: February 05, 2007, 08:35:32 PM »

Chhatri Laga Ke Ghar Se Nikalne Lage Hain Hum
Ab Kitnii Ehtiyaat Se Chalne Lage Hain Hum

Is Darje Hoshiyar To Pehle Kabhi Na The
Ab Kyun Qadam Qadam Pe Sambhalne Lage Hain Hum

Ho Jaate Hain Udas Ke Jab Dopehar Ke Baad
Suraj Pukarta Hai Ke Dhalne Lage Hain Hum

Aisa Nahin Ke Barf Ki Maanind Ho Magar
Lagta Hai Yun Ke Jaise Pighalne Lage Hain Hum

Aainaa Dekhne Ki Zarurat Na Thi Koi
Khud Jante The Hum Ke Badalne Lage Hain Hum

Is Ka YaQeen Aaj Bhala Kis Ko Aayega
Ek Dheemi Dheemii Aanch Mein Jalne Lage Hain Hum
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #273 on: February 05, 2007, 08:39:22 PM »

Koi Bhi Shakl Ho Iski, Ye Saza Deta Hai,
Sipaah-E-Ranj Ka Ye IshQ Hi Salaar Jo Hai,

Bichhad Rahi Hai Wo Mujhse Khud Apni Marzi Se,
Main Kaise Maan Lun Wo Aankh AshQ-Baar Jo Hai,

Fosordaa Chehre Mujhe Bhi Hai Na-Pasand Magar,
Main Kya Karun Ke Teri Yaad Dil-Aazaar Jo Hai,

Tera Gam Jaan Se Badh Kar Na Kyon Azeez Rahe,
Yehi Reh Seh Ke Tera Haasil-E-Deedar Jo Hai,

Wo Ranjishein, Ladaiyan, Bhi Sab Baja Hai Magar,
Jhuth Ye Bhi Nahi, Tujhse Bala Ka Pyaar Jo Hai,

Alam Uthao Bagawat Ka, Chhodo SaadiQ Ko,
Ke Wo To Kabse Khada Samne Taiyar Jo Hai,

Sadma Hai Mujhe Bhi Ke Tujhse Juda Hoon Main,
Lekin Ye Sochta Hoon Ke Ab Tera Kya Hoon Main,

Bikhra Pada Hai Tere Hi Ghar Mein Tera Wajood,
Bekaar Mehfilon Mein Tujhe Dhundta Hoon Main,

Na Jane Kis Ada Se Liya Tune Mera Naam,
Duniya Samajh Rahi Hai Ke Sab Kuch Tera Hoon Main,

Le Mere Tajurbon Se Sabak Aye Mere RaQeeb,
Do Chaar Saal Umr Mein Tujhse Bada Hoon Main...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #274 on: February 05, 2007, 08:40:39 PM »

Aa Ke Vaabasta Hai Us Husn Ki Yaadein Tujhse
Jisne Is Dil Ko Pari-Khaana Bana Rakha Tha
Jiski Ulfat Mein Bhula Rakhi Thi Duniya Humne
Dahar Ko Dahar Ka Afsana Bana Rakha Tha

Aashnaa Hain Tere Qadmon Se Woh Rahein Jin Par
Uski Madhosh Jawani Ne Inaayat Ki Hai
Karwaan Guzre Hain Jinse Isi Ra’anaai Ke
Jiski In Aankhone Be-Sud Ibadat Ki Hai

Tujhse Kheli Hai Woh Mehboob Hawaayein Jin Mein
Uske Malbuus Ki Afsurda Mahek BaaQi Hai
Tujh Pe Bhi Barsaa Hai Us Baam Se Mehtaab Ka Noor
Jis Mein Beeti Hui Raaton Ki Kasak BaaQi Hai

Tune Dekhi Hai Voh Peshaani, Woh Rukhsaar, Woh Honth,
Zindagi Jinke Tasavvur Mein Luta Di Humne
Tujhpe Uthi Hain Woh Khoyi Khoyi Saahir Aankhein
Tujhko Malum Hai Kyon Umr Ganwa Di Humne

Hum Pe Mushtarak Hain Ehsaan Gham-E-Ulfat Ke
Itne Ehsaan Ki Ginwaun To Ginwa Na Sakun

Humne Is IshQ Mein Kya Khoya Hai Kya Sikha Hai
Juz Tere Aur Ko Samjhaun To Samjha Na Sakun
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #275 on: February 06, 2007, 08:18:47 PM »

Koi Kaash Tujhe Batlata,
Hijr Mein Kaise Khwab Utra,
Rooh Par Kaisa Azab Tha Utra,
Koi Kaash Tujhe Batlata
Kitni Yaadon Ka Gham Charon Simat Tha Mere,
Dil Mein Bilkul Matam Jaisa Shor Tha Mere,
Kitne Kaante Dil Mein Chubhe The,
Kitne AshQ Meri Aankhon Mein Thehre The,
Koi Kash Tujhe Batlata...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #276 on: February 06, 2007, 08:20:16 PM »

Hai Dua Yaad Harf-E-Dua Yaad Nahi,
Mere Naghmat Ko Andaz-E-Nava Yaad Nahi,

Maine Palkon Se Dar-E-Yaar Pe Dastak Di Hai,
Main Woh Sayail Hoon Jise Koi Sada Yaad Nahi,

Maine Jin Ke Liye Rahon Mein Bichaya Tha Lahoo,
Humse Kehte Hain Wohi Ehad-E-Wafa Yaad Nahi,

Sirf Dhundalaye Sitaroon Ki Chamak Dekhi Hai,
Kab Hua, Kaun Hua Kis Se Hua Khafa Yaad Nahi,

Zindagi Jabr-E-Musalsal Ki Tarah Kati Hai,
Jane Kis Jurm Ki Payii Hai Saza Yaad Nahi,

Aao Ek Sajda Karein Aalam-E-Madhoshi Mein
Log Kehte Hai Ke Saagar Ko Khuda Yaad Nahi
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #277 on: February 06, 2007, 08:21:52 PM »

Hamein Jab Alvida Kehne Lago To,
Muskura Dena,
Sitara Sath Kar Dena,
Ke Raaste Mein Andhere Bhi To Ayenge,
Kisi Harf Dua Ka Is Tarah Sath Kar Dena,
Hamein Zad-E-Safar Ko,
Tumhari Yaad Ki Saugat Kafi Hai,
Tumhare Sath Mein Guzra Hua Pal Bhi Ganeemat Hai,
Kain Thehre Jo Raaste Mein,
Sunehri Yaad Ki Surat,
Tumhe Humraah Payenge,
To Hum Tanha Kahan Honge,
Magar Phir Bhi
Hamein Jab Alvida Kehne Lago To Muskura Dena,
Sitara Sath Kar Dena,
Kisi Harf-E-Dua Ka Is Tarah Sath Kar Dena...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #278 on: February 06, 2007, 08:23:32 PM »

Ek Wahem Tha Dil Mein,
Shayad Kabhi Milo Tum,
Kuch Der Ruk Kar Puchho,
Beete Dino Ka Mausam,
Aawaz Mein Ho Larzish,
Aankhon Mein Ho Tajassus
Maze Ka Koi Lamha,
Shayad Atak Gaya Ho,
Sab Bhool Kar Bhi Shayad,
Kuch Yaad Aagaya Ho
Phir Main Tumhe Bataun,
Apni Khushi Ki Baatein,
Har Dukh Ko Chhupa Kar Dil Mein,
Aasoodgi Ki Baatein,
Wo Chand Chaudhveen Ka,
Taaron Bhari Wo Aankhein,
Dilkash Haseen Shamayein,
Maasoom Waardaatein,
Wo Pyar Ka Tasavvur
Wo Bandagi Ki Baatein,
Wo Roz Roz Marna,
Aur Zindagi Ki Baatein,
Tum Dukh Se Muskurao
Dhire Se Muskurao,
Dhire Se Paas Aao,
Sar Ko Jhuke Ke Apne
Chup Chap Loot Jao
Phir Main Bhi Muskuraun,
Mann Ke Diye Jalaun,
Dohraun Apne Dil Mein,
TaaluQ Se HaQeeQat

Ek Khwab Zindagi Ka,
Haan Umar Bhar Jo Dekha,
Kabhi Ho Saka Na Pura,
Yunhi Reh Gaya Adhura,
Ek Khwab-E-Zinadgi Tha...
* * * * *[/color]
Logged
angel4u
Guest
«Reply #279 on: February 06, 2007, 08:26:41 PM »

Sehraon Ki Pyaas Ko Pee Kar
Chalne Wale
Tanha Dasht Mein Jalne Wale
Aye Sehra Nawardon!
Tumne Mujhko Parkha Jana?
Barish Ki Hasrat Rakhne Wale
Main Ek Murat Pathar Ki
Haan Main
Pathar Ki Ek Tootti Morat
Garche Tum Pe Baras Gaye To
Sangrezon Ki Ye Barish
Tum Ko Zakhmi Kar Degi...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #280 on: February 06, 2007, 08:27:55 PM »

Lo Maine Palkein Moondi,
Baazi Khatam Hui,
Shart Baaz Ladke
Lo Sari Gudiyan Le Lo,
Main Maan Gayi,
Haan Main Maan Gayi
Ke Hum Sab Haare,
Tum Ana Se
Main Mohabbat Se,
Mohabbat Duniya Se...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #281 on: February 06, 2007, 08:29:10 PM »

Tumhe Arsa Hua Bhule,
Magar Barish Ke Mausam Mein,
Hawa Jab Gungunati Hai,
Main Apne Ghar Ki Chhat Par Se,
Chamakte Chand Ko Chhupte
Ghata Ki Out Mein Dekhun,
Mujhe Tum Yaad Aate Ho...

Jo Baat Nahi Karte,
Un Bolte Rangon Mein,
Maine Tumhe Socha Hai,
Jo Dilse Guzarte Hai,
Un Ajnabi Raston Mein,
Maine Tumhe Dekha Hai...

Kehne Ke Liye Tumse
Baatein To Bahut Si Hai,
Alfaz Nahi Milte,
Jo Meri Nazar Mein Hai,
Is Sher Ke Baagon Mein,
Wo Phool Nahi Khilte,

Maine Tumhe Jana Hai,
Izhaar Ke Rishton Se,
Is Tarah Juda Ho Ke
Jis Tarah Koi Banda
Dharti Pe Nazar Dale
Ek Baar Khuda Ho Ke...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #282 on: February 06, 2007, 08:30:26 PM »

Ye Chandni Khili Khili,
Chamak Tumhare Rang Ki,
Ye Sardiyon Ki Dhoop Si,
Tapish Tumhare Roop Ki,
Phir Inpe Yaasiyat Ka Rang,
Hamein To Kuch Jacha Nahi,
Labon Pe Muskurahatein,
Sajao Khush Rah Karo,
Udaas Mat Hua Karo,

Tamaam Rozgaar Ki,
Alam Taraaz Sa'atein,
Hansi Ki Oat Mein Basi
Kayi Hazar Nafratein,
Har Ek Rukh Ki Oat Mein,
Chhupi Hui MunaafQat,
Tamaam Manzaron Ka Dukh,
Bahut Rulaye Hai Magar,
Ye Log To Isi Tarah,
Sitam Kiya Karein Sanam,
Tum Inki Baat Baat Par,
Dhyan Mat Diya Karo,
Udaas Mat Hua Karo...

Tumhe Udaas Dekh Kar,
Kisi Ke Rang Kho Gaye,
Kahin Pe Chand Bujh Gaya
Kahin Sitare So Gaye,
Kahin Pe Baarishon Ki Rut,
Ghazab Ki Pyaas Ban Gayi,
Koi Bahar Ruth Kar,
Sarapa Yaas Bun Gayi,
Kisike Mausamon Ko Yun
Azaab Mat Kiya Karo,
Udaas Mat Hua Karo...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #283 on: February 06, 2007, 08:31:33 PM »

Baarish Ki Boondein Jo Padi Phoolon Par
To Kaliyan Muskara Kar Khil Uthi
Pyaar Ki Barsaat Jo Hui
To Mast Hawayein Bhi Gun-Guna Uthi
Mehakne Laga Har Chaman Bhi,
Titliyan Bhi Raks Karne Lagi
Jhoomne Lagi Mast Ho Kar Daaliyaan Bhi
Parwaanon Ki Mehfilon Mein Shammein Jal Uthin!...
* * * * *
Logged
angel4u
Guest
«Reply #284 on: February 06, 2007, 08:32:45 PM »

Mere Dil Mere Musaafir
Hua Phir Se Hukum Saadir
Ke Watan Badar Ho Hum Tum
Den Gali Gali Sadaayen
Karein Rukh Nagar Nagar Ka
Ke Suraag Koi Paayein
Kisi Yaar-E-Naamaabar Ka
Har Ek Ajnabi Se Puchein
Jo Pata Tha Apne Ghar Ka
Sar-E-Ko-E-Na-Ashanayan
Humein Dinse Raat Karna
Kabhi Isse Baat Karana
Kabhi Us Se Baat Karana
Tumhein Kya Kahun Ke Kya Hai
Shab-E-Ghum Buri Bala Hai
Humein Ye Bhi Tha Ghanimat
Jo Koi Shumar Hota
Humein Kya Bura Tha Marna
Agar Ek Baar Hota
* * * * *
Logged
Pages: 1 ... 15 16 17 18 [19] 20 21 22 23 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 10:45:09 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer