Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 177 178 179 180 [181] 182 183 184 185 ... 273
Print
Author  (Read 133073 times)
amarhellboy
Guest
«Reply #2700 on: October 10, 2008, 02:46:56 PM »

Khushal se tum bhi lagte ho, yun afsurda to hum bhi nahi,
pehchanne wale jante hai, khush hum bhi nahi khush tum bhi nahi,

tum apni khudi ke pehre mein, or dam-e-gharoor mein jakde hue,
hum apne za-am ke narghay mein, haath hamare pakde hue,

ek muddat se ghatan pehchan, tum rabt-o-guraiz ke dharon mein,
hum apne aap se uljhe hue, pachtave ke angaron mein,

mashor-e-talatum aaj bhi ho, jo tumne kinare dhund liye,
toofan se sambhle hum bhi nahi, kehne ko sahare dhoond liye,

khamosh se tum hum mohar ba-lab, jug beet gaye tumse baat kiye,
suno khel adhoora chhodte nahi, bina chaal chale bina maat kiye,

jo bhagte bhagte thak jayein, wo saaye ruk bhi sakte hai,
chalo todo kasam ikraar karein, hum dono jhuk bhi sakte hai...
* * * * * {NM}

angel-4u apke naam ki tarah hi apka collection bahut hi khub hai jitni tarif ki jaaye kam hai aap ye collection kab se kar rahe hai ye to pata nhi magar sach mai apke collection ka jawab nhi. agar burana maane to kya aap meri freaind banenge. aap ke collection se to mohhabat si ho gai hai isliye sochate hai aap se dosti karle dosti ke bahane mohhabat bhi padne ko mil jaayegi
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2701 on: October 10, 2008, 02:47:30 PM »
Baithe Hai Sunehri Kashti Mein Aur Samne Neela Paani Hai,
Wo Hansti Aankhein Puchhti Hai Ye Kitna Gehra Paani Hai,

Betaab Hawa Ke Jhonkon Ki Fariyad Sune To Kaun Sune,
Maujo Pe Tadapti Kashti Hai Aur Goonga Behra Paani Hai,

Basti Ke Gharon Ko Kya Dekhe, Buniyad Ki Hurmat Kya Jaane,
Sailab Ka Shikwa Kaun Kare, Sailaab To Andha Paani Hai,

Ye Raaz Samajh Mein Kab Aata, Aankhon Ki Nami Se Samjha Hoon,
Is Gard-O-Gubaar Ki Duniya Mein Har Chiz Se Sacha Paani Hai...


{Saleem Ahmed}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2702 on: October 10, 2008, 02:49:06 PM »
angel-4u apke naam ki tarah hi apka collection bahut hi khub hai jitni tarif ki jaaye kam hai aap ye collection kab se kar rahe hai ye to pata nhi magar sach mai apke collection ka jawab nhi. agar burana maane to kya aap meri freaind banenge. aap ke collection se to mohhabat si ho gai hai isliye sochate hai aap se dosti karle dosti ke bahane mohhabat bhi padne ko mil jaayegi

Bahut shukriya padhne ke liye aur pasand karne ke liye, actually meri ye collection bahut kam logonko pasand aati hia. khair ab hum to post karte hia, shauq samjho ya pagalpan...

sure, dosti ke liye puchah nahi jaata, dost to bana liya jaata hai, aise hi... Usual Smile

padhte rahiye, achha lagta hai... Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2703 on: October 10, 2008, 02:49:21 PM »
Tumhare Dil Mein Jo Hum Aa Jaaate,
Aur Chupke Se Sama Jaate,
Hum Wafa Karte Ya Daga Dete,
Hamein Ek Baar Jo Azma Lete,
Tumhe Kya Hota, Tumhe Kya Hota,
Agar Tanhayi Ki Ek Ghadi Mein,
Hum Tumhari Yaadon Mein Jo Aa Jaate,
Tum Bhulaye Bhi Na Bhula Paate,
Tumhe Kya Hota Tumhe Kya Hota,
Meri Aarzu Kiya Karte,
Mujhe Dekhne Ko Tarsa Karte,
Main Aa Jaun Tumhare Samne Is Lamhe Ki Jo Dua Karte,
Tumhe Kya Hota, Tumhe Kya Hota,
Mere Jeene Ki Gar Na Sahi Mere Marne Ki To Dua Karte,
Tumhare Lafzon Mein To Aa Jaate, Tumhare Honthon Par To Aa Jaate,
Tumhe Kya Hota, Tumhe Kya Hota...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2704 on: October 10, 2008, 02:49:59 PM »


May Bankar, Maikhana Bankar, Masti Ka Afsana Ban Ja,
Masti Ka Afsana Bankar, Hasti Se Begana Ban Ja,
Hasti Se Begana Hona, Masti Ka Afsana Banna,
Is Honse Se, Is Banne Se, Achha Hai Deewana Ban Ja...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2705 on: October 11, 2008, 01:18:49 PM »

Mere Chaaragar
Mere Dard Ki Tujhe Kya Khabar,
Tu Mere Safar Ka Shareek Hai,
Nahi Humsafar,
Mere Charagar, Mere Chaaragar,
Mere Hath Se Tere Haath Tak
Wo Jo Haath Bhar Ka Tha Faasla,
Kayi Mausamon Mein Badal Gaya,
Usse Naapte, Usse Katte,
Mera Saara Waqt Nikal Gaya,
Nahi Jispe Koi Nishaan-E-Paa,
Mere Samne Hai Wo Rehguzar,
Mere Chaaragar,
Mere Dard Ki Tujhe Kya Khabar...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2706 on: October 11, 2008, 01:28:04 PM »
Chandni Chhat Pe Chal Rahi Hogi,
Ab Akeli Tahel Rahi Hogi,

Phir Mera Zikr Aa Gaya Hoga,
Wo Barf Si Pighal Rahi Hogi,

Kal Ka Sapna Bahut Suhana Tha,
Ye Udaasi Na Kal Rahi Hogi,

Sochta Hoon Ke Band Kamre Mein,
Ek Shama Si Jal Rahi Hogi,

Tere Gehno Si Khan Khanati Thi,
Baajre Ki Fasal Rahi Hogi,

Jin Hawaon Ne Tujhko Dular Aaya,
Un Mein Meri Gazal Rahi Hogi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2707 on: October 11, 2008, 01:28:31 PM »
Aaj Ki Raat Koi Chhat Par So Nahi Sakta,
Chaand Nikla Hai Ab Aaram Nahi Ho Sakta,

Raat Bhar Chaand Ke Humrah Phire Meri Tarah,
Ab Koi Itna Bhi Pagal To Nahi Ho Sakta,

Ghere Rehte Hai Shab-O-Roz Ye Gam Khaar Mujhe,
Kaash Main Teri Tarah Chhup Ke Kahin Ro Sakta,

Jisne Phoolonki Tarah Zakham Diye Hai Mujhko,
Wo Meri Raah Mein Kaante To Nahi Bo Sakta,

Koi Aansu Meri Palkein To Bhigo Sakta Hai,
Dil Pe Jo Daagh Hai Inko To Nahi Dho Sakta...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2708 on: October 11, 2008, 01:29:26 PM »


Its A Hadess Pak (A Conversation Between Allah And Human Being)

Ek Teri Chahat Hai,
Ek Meri Chahat Hai,

Hoga Wohi Jo Meri Chahat Hai,
Lekin Agar Tune Use Uske Hawale Chhoda Jo Meri Chahat Hai,

To Main Tujhe Wo Bhi Dunga,
Jo Teri Chahat Hai,

Lekin Agar Tu Uske Khilaaf Ho Gaya Jo Meri Chahat Hai,
Main Tujhe Us Mein Bhi Thaka Dunga,
Jo Teri Chahat Hai,

Phir...............
Hoga Wohi Jo Meri Chahat Hai...
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #2709 on: October 11, 2008, 01:30:28 PM »
Very nice collection Angel... Applause
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2710 on: October 11, 2008, 01:39:11 PM »

Kya Yaqeen Jispar, Kuch Saath De Kar Chal Diye,
Kal The Mere Dost Aaj Kisi Aur Ke Ban Kar Chal Diye,

Sun Kar Meri Daastan Wo Muskurate Chale Gaye,
Dilaya Dosti Ka Aasra Aru Dusron Se Bayaan Karte Chale Gaye,

De Kar Haath Apna Meri Mushklein Aasan Kar Gaye,
Waqt Ke Sath Sath Wo Mujhe Badnaam Kar Gaye,

Diya Kaandha Apna Kuch Samay Sar Rakhne Ke Liye,
Kiya Barbaad Hamein Aur Chhod Tanha Wo Chal Diye,

Karein Kisse Shikayat Karein Kisse Fariyaad,
Badi Der Mein Aaya Samajh Aur Hum Khamosh Hogaye,
Dosti Ka Tha Ek Aasra, Jaate Jaate Wo Bhi Humse Chhin Le Gaye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2711 on: October 11, 2008, 01:39:28 PM »
Thanks honey Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2712 on: October 11, 2008, 01:39:44 PM »


Main Tumko Bahut Aane Lagun Jab Yaad, Chale Aana,
Bhool Jaana Apni Kahi Har Baat, Chale Aana,

Judayi Ka Wo Lamha Aur Wo Manzar Dhalte Sooraj Ka,
Yaad Tumko Jab Aane Lage Wo Shaam, Chale Aana,

Bhool Jao Tum Agar Manzil Kabhi Apni,
Uthana Apne Qadam Phir Meri Taraf, Chale Aana,

Had Se Guzre Jaaye Jab Mere Zabt-E-Gam,
Aur Main Pukarun Tumko Baar Baar, Chale Aana,

Uske Bin Jeene Ka Ab Tasavvur Nahi Memon,
Meri Maut Ka Tumko Mile Paigam Chale Aana...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2713 on: October 11, 2008, 01:40:04 PM »



Din Guzarte Hai Kahan Raat Kahan Hoti Hai,
Dard Ke Maaron Se Ye Baat Kahan Hoti Hai,

Ek Se Chehre To Hote Hai Is Duniya Mein,
Ek Si Soorat-E-Haalaat Kahan Hoti Hai,

Zindagi Ke Kisi Mod Pe Wo Mil Gaye,
Mil To Jaate Hai Mulaqaat Kahan Hoti Hai,

Aasmano Se Koi Boond Nahi Barsegi,
Jalte Sehraon Mein Barsaat Kahan Hoti Hai,

Ya To Auron Ki Bahut Baatein Sunayi Unko,
Apni Jo Baat Hai Wo Baat Kahan Hoti Hai,

Jaisi Aagaz-E-Mohabbat Mein Hua Karti Thi,
Waisi Phir Shiddat-E-Jazbaat Kahan Hoti Hai,

Pyaar Ki Aag Bana Deti Hai Kundan Jinko,
Un Ke Zehno Mein Bhala Zaat Kahan Hoti Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2714 on: October 11, 2008, 01:40:28 PM »


Kisiko Humse Hai Chand Shikwe Kisiko Behad Shikayatein Hai,
Hamare Hisse Mein Sirf Apni Safaiyaan Hai, Wazahatein Hai,

Qadam Qadam Par Bada Rahe Hai Musafiron Ki Talab Ke Raste,
Hawaon Jaisi Mohabbatein Hai, Sadiyon Jaisi Rafaqatein Hai,

Kisika Maqrooz Main Nahi Par Mere Girebaan Pe Haath Sabke,
Koi Meri Chahaton Ka Dushman Kisiko Darkaar Chahatein Hai,

Teri Judayi Ke Kitne Suraj Ufaaq Pe Doobe Magar Abhi Tak,
Khalish Hai Seene Mein Pehle Dinse Lahoon Mein Waisi Hi Wehshatein

Hai,

Meir Mohabbat Ke Raazdan Ne Ye Keh Ke Lauta Diya Mera Khat,
Ke Bheegi Bheegi Si Aansuon Mein Tamaam Gunjalak Ibaratein Hai,

Main Doosron Ki Khushi Ki Khatir Gubaar Bankar Bikhar Gaya Hoon,
Magar Kisine Ye Haq Na Maana Ke Meri Bhi Kuch Zarooratein Hai...
Logged
Pages: 1 ... 177 178 179 180 [181] 182 183 184 185 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 11, 2025, 03:10:38 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.231 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer