Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 178 179 180 181 [182] 183 184 185 186 ... 273
Print
Author  (Read 133065 times)
angel4u
Guest
«Reply #2715 on: October 11, 2008, 01:41:08 PM »


Ye Duniya Badi To Nahi,
Ke
Ek Baar Ke Bichhde Phir Na Mil Sakein,
Bichhdo To Is Tarah
Ke
Phir Milne Ka Imkaan Na Rahe,
Mujhse Waada Karo Tum,
Bichhadne Ke Baad,
Main Tumko Nazar Aaun Agar,
Aise Zaahir Karna,
Jaise Dekha Hi Nahi,
Mujhe Dekhar Kar Tumhara,
Dil Dhadka Hi Nahi,
Kio Baat Na Karna,
Labon Se
Aur Na Hi,
Aankhon Se,
Qurbat Ka Koi Gul Na Khilana,
Na Milna Mujhe Phir Kabhi,
Ke
Main Mil Kar Phir Bichhadne Ka Azab Na Seh Sakungi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2716 on: October 11, 2008, 01:41:32 PM »



Usko Mera Halka Sa Ehsaas To Hai,
Bedard Sahi Par Wo Meri Humraaz To Hai,

Wo Aaye Na Aaye Mere Paas Lekin,
Shiddat Se Mujhe Uska Intezar To Hai,

Abhi Nahi To Kya Hua Mil Hi Jayengi Kabhi,
Mere Dil Mein Usse Milan Ki Aas To Hai,

Pyaar Ki Gawahi Mere Humjaan Mere Aahon Se Na Maang,
Barasti Nahi Aankhein Magar Dil Udaas To Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2717 on: October 11, 2008, 01:42:01 PM »


Chaandni Raat Ke Haathon Pe Sawar Utri Hai,
Koi Khushboo Meri Dehliz Ke Paar Utri Hai,

Is Mein Kuch Rang Bhi Hai Khwaab Bhi Mehkar Bhi Hai,
Jhilmilati Hui Khwahish Bhi Inkaar Bhi Hai,

Isi Khushboo Mein Kayi Dard Bhi Afsane Bhi,
Isi Khushboo Ne Banaye Kayi Deewane Bhi,

Mere Aanchal Pe Ummidon Ki Qatar Utri Hai,
Koi Khushboo Meri Dehliz Ke Paar Utri Hai,

Isi Khushboo Se Kisi Yaad Ke Dar Khulte Hai,
Mere Pairon Se Jo Lipte To Safar Khulte Hai,

Yehi Khushboo Jo Mujhe Ghar Se Utha Laayi Thi,
Ab Kisi Taur Palat Kar Nahi Jaane Deti,

Meri Dehliz Bulati Hai Mujhe Laut Aao,
Yehi Khushboo Mujhe Wapas Nahi Aane Deti,

Ranj Aur Dard Mein Doobi Bahar Utri Hai,
Koi Khushboo Meri Dehliz Ke Paar Utri Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2718 on: October 11, 2008, 01:42:32 PM »



Aankhein Bhi Wohi Hai Dareecha Bhi Wohi Hai,
Maine Mere Jazbon Ki Sadaqat Ko Na Jaana,
Ab Meri Rafaqat Ko Tarasta Bhi Wohi Hai,

Is Dilke Kharabi Se Guzark Iska Hua Hai,
Aankhein Bhi Wohi Honth Bhi Lehja Bhi Wohi Hai,

Jo Kuch Bhi Kaha Tha Meri Tanhayi Ne Tujh Se,
Is Sheher Ki Deewar Pe Likha Bhi Wohi Hai,

Wo Jisne Diye Mujhko Mohabbat Ke Khazane,
Badal Ki Tarah Aankh Se Barsa Bhi Wohi Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2719 on: October 11, 2008, 01:42:56 PM »


Hazaron Pal Tumhare Bin,
Na Puchho Kaise Katte Hai,
Kabhi Yaadein Rulati Hai,
Kabhi Mausam Satate Hai,
Use Kehna Hum Aate Hai,

Hamein Mayus Na Karna,
Hamara Maan Rakh Lena,
Hamein Wapas Nahi Jaana,
Hamein Dil Mein Basa Lena,
Hamein Apna Bana Lena,

Bahut Tadpe Hue Dilse,
Bahut Rootha Nahi Karte,
Mohabbat To Ibadat Hai,
Zamane Se Chhupate Hai,
Ise Ruswa Nahi Karte,

Suno Aisa Nahi Karte...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2720 on: October 11, 2008, 01:43:22 PM »


Suno Naraz Ho Humse,
Magar Hum Khud Wo Hai Jinko Manana Bhi Nahi Aata,
Kisi Se Humne Mohabbat Jo Nahi Ki,
Mohabbat Kis Tarah Hoti Hai,
Hamare Sheher Ke Itraaf Mein To Pehra Tha Sakht Khizaon Ka,
Is Sheher-E-Pareshan Ki Faseelein Ladi Thi Zard Bailon Se,
In Mein Na To Khushbu Thi Na Koi Phool Tum Jaisa,
Ke Mehek Uthe Hamare Deeda-E-Dil Jiski Khushbu Se,
Hum Is Sheher Ki Veeran Galiyon Mein Ek Sookhe Hue Patte Ki Maanind

The,
Ke Zaalim Hawa Jab Hum Par Apne Qadam Rakhti,
To Uske Paanv Ke Neeche Hamara Dam Nikal Jaata,
Magar Suna Hai Patjhad Ka Wo Mausam Tal Chuka Ab To,
Magar Jo Haar Honi Thi Wo Ho Chuki Humse,
Suno Haare Hue Logonse Rootha Nahi Karte...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2721 on: October 11, 2008, 01:44:40 PM »


Mujhe Achha Sa Lagta Hai,
Mujhe Achha Sa Lagta Hai,
Bahut Achha Sa Lagta Hai,

Tumhi Ko Dekhte Rehna,
Tumhi Ko Chahte Rehna,
Tumhi Ko Sochte Rehna,
Tumhi Ko Sunte Rehna,
Mujhe Achha Sa Lagta Hai,
Bahut Achha Sa Lagta Hai,

Bahut Gehre Khayalon Mein,
Jawabon Mein Sawalon Mein,
Mohabbat Ke Hawalon Mein,
Tumhara Naam Aa Jaana,
Mujhe Achha Sa Lagta Hai,
Bahut Achha Sa Lagta Hai,

Tumhare Sang Sang Chalna,
Wafa Ki Aag Mein Jalna,
Tumhe Naraz Kar Dena,
Kabhi Khud Rooth Bhi Jaana,
Mujhe Achha Sa Lagta Hai,
Bahut Achha Sa Lagta Hai,

Kabhi Iqraar Kar Lena,
Kabhi Inkaar Kar Lena,
Kabhi Aankhon Se Kuch Kehna,
Kabhi Keh Kar Mukar Jaana,
Mujhe Achha Sa Lagta Hai,
Bahut Achha Sa Lagta Hai,

Tumhari Berukhi Par Bhi,
Tumhari Aarzu Karna,
Khud Apne Dilki Dhadkan Se,
Tumhari Guftugu Karna,
Mujhe Achha Sa Lagta Hai,
Bahut Achha Sa Lagta Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2722 on: October 11, 2008, 01:45:03 PM »



Gaye Dino Ki Azeez Baatein,
Nigar Subhein Gulaab Raatein,
Bisat-E-Dil Bhi Ajeeb Shay Hai,
Hazar Jeetein Hazar Maatein,
Judaiyon Ki Hawayein,
Lamhon Ki Khushk Mitti Uda Rahi Hai,
Gayi Ruton Ka Malal Kab Tak,
Chalo Ke Shakhein To Tootti Hai,
Chalo Ke Qabron Pe Khoon Rone Se,
Apni Hi Aankhein Phootti Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2723 on: October 11, 2008, 01:45:58 PM »



Pehle Pehel To Khwabon Ka Dam Bharne Lagti Hai,
Phir Aankhein Palkon Mein Chhup Kar Rone Lagti Hai,

Jaane Tab Kyon Suraj Ki Khwahish Karte Hai Log,
Jab Baarish Mein Sab Deewarein Girne Lagti Hai,

Tasveeron Ka Rog Bhi Aakhri Kaisa Hota Hai,
Tanhayi Mein Baat Karo To Bolne Lagti Hai,

Sahil Se Takrane Wali Wehshi Maujein Bhi,
Zinda Rehne Ki Khwahish Mein Marne Lagti Hai,

Tum Kya Jaano Lafzon Ke Aazaar Ki Shiddat Ko,
Yaadein Tak Sochon Ki Aag Mein Jalne Lagti Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2724 on: October 11, 2008, 01:46:43 PM »



Ab Ye Hoga Shayad Apni Aag Mein Khud Jal Jayenge,
Tumse Door Bahut Reh Kar Bhi Kya Paaya Kya Payenge,

Dukh Bhi Sachhe Sukh Bhi Sachhe Phir Bhi Teri Chahat Mein,
Humne Kitne Dhoke Khaye Kitne Dhoke Khayenge,

Aql Pe Humko Naaz Bahut Tha Lekin Ye Kab Socha Tha,
Ishq Ke Haathon Ye Bhi Hoga Log Hamein Samjhayenge,

Kal Ke Dukh Bhi Kaun Se Baaqi Aaj Ke Dukh Bhi Kayi Dinke,
Jaise Din Pehle Kaate The Ye Din Bhi Katt Jayenge,

Humse Abla-Paa Jab Tanha Ghabrayenge Sahara Mein,
Raaste Jab Tere Hi Ghar Ki Jaanib Ko Mud Jayenge,

Aankhon Se Ojhal Hona Kya Dilse Ojhal Hona Hai,
Mujhse Chhut Kar Bhi Ahal-E-Gam Kya Tujhse Chhut Jayenge...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2725 on: October 11, 2008, 01:47:04 PM »


Bahut Masroof Rehte Ho,
Sehar Se Shaam Hone Tak,
Koi Lamha Nahi Milta,
Koi Gumnaam Si Sa'at,
Koi Benaam Si Fursat,
Kahin Baithe Hue Tanha,
Kabhi Jo Shaam Ho Jaye,
To Meri Iltija Hai Ye,
Koi Lamha Chura Lena,
Jo Mere Naam Ho Jaye,
Ke  Hum Jaise Aseeron Ka,
Koi To Kaam Ho Jaye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2726 on: October 11, 2008, 01:47:40 PM »


Aadmi Aadmi Se Milta Hai,
Dil Magar Kam Kisise Milta Hai,

Bhool Jaata Hoon Main Sitam Uske,
Wo Is Saadgi Se Milta Hai,

Milke Bhi Jo Kabhi Nahi Milta,
Bhool Kar Dil Usi Se Milta Hai,

Aaj Kya Baat Hai Ke Phoolon Ka,
Rang Teri Hansi Se Milta Hai,

Silsila Fitna-E-Qayamat Ka,
Teri Khoshqamti Se Milta Hai,

Karobar-E-Jahan Sanwarte Hai,
Hosh Jab Bekhudi Se Milta Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2727 on: October 11, 2008, 01:48:10 PM »


Agar Guftugu Ka Aagaz Main Karta,
Jhirakti Bigadti Magar Maan Jaati,

Jo Main Badh Kar Uske Qadam Rok Leta,
Wo Paanv Patakti Magar Maan Jaati,

Agar Chand Kaliyan Use Pesh Karta,
Wo Daman Jhatakti Magar Maan Jaati,

Main Kehta "Chalo Tumko Ghuma Kar Laun",
Akadti, Jhijhakti Magar Maan Jaati,

Jo Main Badhta Usko Gale Se Lagane,
Jhijhakti, Simatti Magar Maan Jaati,

Jo Main Husn Ke Uske Tarif Karta,
Wo Baahein Jhatakti Magar Maan Jaati,

Wo Meri Shokh Baaton Par Khamosh Rehti,
Dupatta Katartee Magar Maan Jaati,

Jo Main Usko Takta, Zameen Ko Wo Takti,
Anguta Ragadti Magar Maan Jaati,

Wo Nazdeek Aati, Main Daman Pakadta,
Haya Se Simatti Magar Maan Jaati,

Jo Pichhe Se Aanchal Ka Phanda Banata,
Bahut Tilmilati Magar Maan Jaati,

Wo Gusse Mein Jo Mujhse Naraz Hoti,
Bikharti Tadapti Magar Maan Jaati,

Jo Main Baahon Mein Usko Gher Leta,
Bahut Kasmasati Magar Maan Jaati,

Main Kehta Ke Padhne Ka Chhodo Bahana,
Wo Safhay Palatti Magar Maan Jaati,

Jo Kehta Ke "Raahon Pe Chaliye Sambhal Kar",
Uchhalti Matakti Magar Maan Jaati...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2728 on: October 11, 2008, 01:48:37 PM »


Rukti Hai Baar Baar Jab Honthon Mein Aa Kar Baat,
Guzarti Hai Jab Aankhon Aankhon Mein Hi Raat,
Hoti Hai Jab Do Dilon Ki Agar Ijaazat,
Samajh Lena Main Hoon Mera Naam Hai Mohabbat,
Mera Naam Hai Mohabbat,

Jab Ban Jaye Koi Ankhon Ki Zaroorat,
Jab Lagne Lage Har Chiz Hi Khoobsurat,
Jab Dikhe Lage Har Pal Hi Uski Surat,
Samajh Lena Main Hoon, Mera Naam Hai Mohabbat,
Mera Naam Hai Mohabbat,

Jab Koi Karne Lage Apne Aap Se Hi Sawalat,
Dil Sune Na Kisiki Jab Baat,
Aur Dil Hi De Har Jawabaat,
Samajh Lena Main Hoon, Mera Naam Hai Mohabbat,
Mera Naam Hai Mohabbat,

Dil Karna Chahe Jab Akele Mein Kisise Mulakat,
Jab Lagne Lage Haath Ki Lakeeron Mein Bhi Uska Hi Saath,
Ho Hi Jaye Jab Kisiko Kisise Sachhi Chahat,
Samajh Lena Main Hoon Mera Naam Hai Mohabbat,
Mera Naam Hai Mohabbat...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2729 on: October 11, 2008, 01:48:56 PM »


Zindagi Se Badi Saza Hi Nahi,
Aur Kya Jurm Hai Pata Hi Nahi,

Itne Hisso Mein Bat Gaya Hoon Main,
Mere Hisse Mein Kuch Bacha Hi Nahi,

Sach Ghate Ya Badhe To Sach Na Rahe,
Jhooth Ki Koi Inteha Hi Nahi,

Tol Do Chaandni Mein Chaahe Sone Mein,
Aayina Jhuth Bolta Hi Nahi...
Logged
Pages: 1 ... 178 179 180 181 [182] 183 184 185 186 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 11, 2025, 12:41:28 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.288 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer