Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 179 180 181 182 [183] 184 185 186 187 ... 273
Print
Author  (Read 131562 times)
angel4u
Guest
«Reply #2730 on: October 11, 2008, 01:49:25 PM »



Bahut Masroof Ho Shayad,
Hamari Yaad Bhi Tumko Nahi Aksar Satati Ab,
Bichhadne Tak Se Milne Ka,
Kio Waada Nahi Karte,
Koi Khat Bhi Nahi Likhte,
Gila Karna To Chahte Hai,
Tumhari Berukhi Ka Hum,
Magar Uske Liye Kuch Waqt Bhi Darkar Hota Hai,
Jo Tumko Mil Nahi Sakta,
Kyon Ke
Bahut Masroof Ho Shayad...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2731 on: October 11, 2008, 01:49:53 PM »
Bichhadte Lamhe To Khush The Phir Ab Ye Malal Kaise,
Main Kyon Batayn Ke Kiye Hosle Bahaal Kaise,

Kaha Tha Kuch Bhi Na Puchhoge Gar Mile Jo Kabhi,
Ab Mile Ho To Phir Aankhon Mein Ye Sawal Kaise,

Sang Baari Ki Ibtedah Bhi To Tum Hi Ne Ki Thi,
Jo Lahoolahan Hoon To Aankhon Mein Dukh Ke Jaal Kaise,

Diyaar-E-Gair Mein Kya Tumne Ye Bhi Socha Hai Kabhi,
Guzare Honge Kisine Apne Maah-O-Saal Kaise,

Tumhari Yaad Ne To Shayar Hi Bana Diya Hai Mujhe,
Bichhad Ke Tumse Hue Humse Ye Kamaal Kaise...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2732 on: October 11, 2008, 01:53:12 PM »

Har Bezubaan Ko Shola Nava Keh Liya Karo,
Yaaron Sukoot Hi To Sada Keh Liya Karo,

Khud Ko Fareb Do Ki Na Ho Talkh Zindagi,
Har Sangdil Ko Jaan-E-Wafa Keh Liya Karo,

Insaan Ka Agar Qad-O-Qaamat Na Badh Sake,
Tum Isko Nuqs-E-Aab-O-Hawa Keh Liya Karo,

Apne Liye Ab Ek Hi Raah-E-Nijaat Hai,
Har Zulm Ko Raza-E-Khuda Keh Liya Karo,

Le De Ke Ab Yehi Hai Nishaan-E-Ziyaa "Qateel",
Jab Dil Jale To Usko Diya Keh Liya Karo...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2733 on: October 11, 2008, 01:53:46 PM »



Kiya Hai Pyaar Jise Humne Zindagi Ki Tarah,
Wo Aashna Bhi Mila Humse Ajnabi Ki Tarah,

Badha Ke Pyaas Meri Usne Haath Chhod Diya,
Wo Kar Raha Tha Muravvat Bhi Dillagi Ki Tarah,

Kise Khabar Thi Badhegi Kuch Aur Taareeki,
Chhupega Wo Bhi Kisi Badli Mein Chaandni Ki Tarah,

Kabhi Na Socha Tha Humne "Qateel" Uske Liye,
Karega Humpe Sitam Wo Bhi Har Kisi Ki Tarah...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2734 on: October 11, 2008, 01:54:16 PM »



Kisi Kali Ne Bhi Dekha Na Aankh Bhar Ke Mujhe,
Guzar Gayi Jaras-E-Gul Udaas Kar Ke Mujhe,

Main So Raha Tha Kisi Yaad Ke Shabistaan Mein,
Jaga Ke Chhod Gaye Qaafile Sheher Ke Mujhe,

Main Ro Raha Tha Muqaddar Ki Sakht Raahon Mein,
Udaa Ke Le Gaya Jaadu Teri Nazar Ka Mujhe,

Main Teri Dard Ki Tugiyaaniyon Mein Doob Gaya,
Pukarte Rahe Taare Ubhar Ubhar Ke Mujhe,

Tere Firaaq Ki Raatein Kabhi Na Bhulegi,
Maze Mile Inhi Raaton Mein Umar Bhar Ke Mujhe,

Zara Si Der Theherne De Aye Gam-E-Duniya,
Bula Raha Hai Koi Baam Se Utar Ke Mujhe,

Phir Aaj Aayi Thi Ek Mauj-E-Hawa-E-Tarab,
Suna Gayi Hai Fasane Idhar Udhar Ke Mujhe...


{Nasir Kaazmi}
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2735 on: October 11, 2008, 01:54:41 PM »



Wafa Ke Sheesh Mahal Mein Saja Liya Maine,
Wo Ek Dil Jise Patthar Bana Liya Maine,

Ye Soch Kar Ke Na Ho Taak Mein Khushi Koi,
Gamon Ki Ott Mein Khud Ko Chhupa Liya Maine,

Kabhi Na Khatam Kiya Maine Roshni Ka Muhaaz,
Agar Chiraag Bujha, Dil Jala Liya Maine,

Kamaal Ye Hai Ke Jo Dushman Pe Chalana Tha,
Wo Teer Apne Kaleje Pe Kha Liya Maine,

'Qateel' Jiski Adavat Mein Ek Pyaar Bhi Tha,
Us Aadmi Ko Gale Se Laga Liya Maine...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2736 on: October 11, 2008, 01:57:01 PM »


Bahut Nazuk Hai Ye Rishte Khuda Raa Inse Mat Khelo,
Badi Taklif Hoti Hai Ke Jab Ye Chhut Jaate Hai,

Rag-E-Gul Se Bhi Hai Patle Ye Dil Ke Taar Janaan,
Zara Si Thes Lagti Hai Ghadi Mein Toot Jaate Hai,

Tumhare Humqadam Hai Jitne Saaye Inse Tum Bachna,
Khabar Hone Nahi Dete Ye Sab Kuch Loot Lete Hai,

Nahi Sheeshe Ke Dil Achhe Sayane Kehte Aaye Hai,
Zara Agar Haath Se Chhutte To Gir Kar Phoot Jaate Hai,

Jo Guzre Tum Pe Seh Jaana, Kabhi Kehna Na Sab Kisse,
Ke Chahe Sach Bhi Ho Khalid Ye Jaane Jhoot Jaate Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2737 on: October 11, 2008, 01:58:44 PM »



Fiqr Ab Nahi Koi Ashq-E-Gam Bahane Ki,
Raas Aa Gayi Humko Gardishein Zamane Ki,

Baargah-E-Ulfat Mein Chaar Simt Khushboo Hai,
Kuch Tumhari Baaton Ke Kuch Mere Fasane Ki,

Phool Tod Kar Dekho Wo Bhi Aah Bharta Hai,
Bas Sada Nahi Aati Dilke Toot Jaane Ki,

Roshni Se Baam-O-Dar Sheher Ke Munavvar Hai,
Kya Mujhe Ijazat Hai Ek Diya Jalane Ki,

Ye Maze Aseeri Ke Ahl-E-Sheher Kya Jaane,
Ghar Mein Dekh Leta Hoon Shaql Qaidkhane Ki,

Bas Isi Tazabzub Mein Umar Kat Gayi Akhtar,
Khaur Barg-O-Barran Ka Fiqr Aashiyane Ki...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2738 on: October 11, 2008, 02:00:53 PM »


Jinhe Khabar Nahi Sharafat Ki,
Wo Baat Karte Hai Rafaaqat Ki,

Suna De Faisla Bhi Aye Munsif,
Jo Tai Hai Qaid Hi Uqoobat Ki,

Lo Rakh Ke Teg Meri Gardan Pe,
Wo Baat Karte Hai Muravvat Ki,

Yahan To Zindagi Hi Mushkil Hai,
Wo Baat Karte Hai Ibadat Ki,

Abhi Se Thak Gaye Ho Tum 'Mumtaz'
Abhi To Ibtida Hai Ulfat Ki...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2739 on: October 11, 2008, 02:01:38 PM »



Mohabbat Ke Anokhe The Sabhi Andaz, Kya Karte?
Rahe Hum Bhi Gurezaan, Aap Bhi Naraz, Kya Karte?

Sanam Tujhse Mohabbat Ka Bhala Aagaz Kya Karte,
Kabon Par Baat Aayi, Par Na Thi Awaz Kya Karte?

Mir-E-Ehbaab Kya Karte, Mir-E-Dam-Saaz Kya Karte,
Mujhe Jab Dard Hi Tha Raas, Chehra-Saaz Kya Karte,

Hujoom-E-Sheher Mein Hum Kho Gyae Kuch Chain Pane Ko,
Akele Mein Satati Thi Teri Awaz Kya Karte?

Dil-E-Nazuk Hamara Usne Pal Mein Tod Dala Tha,
Use Bhaati Thi Toote Kaanch Ki Awaz, Kya Karte,

Hum Uske Samne Chup Saadh Kar Baitha Kiye, Phir Bhi,
"Jafa-Kaari Se Pesh Aaya Wo Heela-Saaz, Kya Karte?

Saja Kar Sau Tabassum Ek Gam Tum Se Chhupati Thi,
Magar Anmol Ke Tum Jaan Kar Wo Raaz, Kya Karte...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2740 on: October 11, 2008, 02:03:55 PM »



Khaloos-E-Dilse Mohabbat Ka Yun Payaam Liya,
Nazar Jhuka Ke Basad Shukriya Salam Kiya,

Zamana Kehta Raha Tujhko Bhool Jaun Main,
Magar Junoon Mein Tera Haath Maine Thaam Liya,

Libaas Mere Sharafat Ka Taar Taar Kiya,
Junoon-E-Shoq Ne Yun Mujhse Inteqaam Liya,

Ajab Hi Taur Raha Apni Baadah Khaari Ka,
Kisiko Jaam Diya Aur Kisise Jaam Liya,

Jahan Main Kaam The Achhe Bahut Hi Karne Ko,
Magar Na Maine Hi Hosh-O-Khiraad Se Kaam Liya,

Azal Se Chahnewalon Se Mehjabinon Ne,
Kheraj Khoon-E-Jigar Ka Harek Gam Liya,

Hazaron Aib Hai Mujhme Magar Ye Kya Kam Hai,
Kisine Pyar Se "Anjum" Mera Hi Naam Liya...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2741 on: October 11, 2008, 02:04:15 PM »



Nihaan Hone Se Darte Hai, Ayaan Hone Se Darte Hai,
Barabar Chal Rahe Hai Kaarvaan Khone Se Darte Hai,

Bulandi Se Kahin Girkar Na Chaknachoor Ho Jayein,
Zameen Wale Tabhi Ba-Aasmaan Hone Se Darte Hai,

Sitam Ki Aandhiyon Mein Ye Kahin Pehchan Na Kho Dein,
Nishaan Wale Bhi Aksar Benishaan Hone Se Darte Hai,

Gulon Mein Khaar Ki Fitrat Chali Aayi Hai Chupke Se,
Bayaban Bhi Tabhi To Gulsitan Hone Se Darte Hai,

Jhalak Jaate Hai Aksar Dard Ki Maanind Aankhon Se,
Magar Khamosh Rehte Hai Bayaan Hone Se Darte Hai,

Kuchal Deti Hai Har Hasrat Hamari Berahem Duniya,
Dil-E-Masoom Ke Armaan Jawaan Hone Se Darte Hai,

Haqeeqat Ko Bayan Karne Se Pehle Aajkal Sajid,
Zubaan Wale Bhi Aksar Bezubaan Hone Se Darte Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2742 on: October 11, 2008, 02:04:58 PM »


Manoos Hai Kuch Aise Gamon Ke Asar Se Hum,
Mar Jayenge Khushi Ki Zara Si Khabar Se Hum,

Shehron Mein Dasht Se Hai Zyada Darindagi,
Is Khauf Se Nikalte Nahi Apne Ghar Se Hum,

Deta Nahi Tu Husn Ko Kyon Jazba-E-Wafa,
Puchhenge Ye Sawal Shah-E-Behr-O-Bar Se Hum,

Marghoob Hai Unhein Jo Bahut Dilka Todna,
Layenge Roz Ek Naya Dil Kidhar Se Hum,

Koh-E-Baland Sar Kiye Gir Hazar Baar,
Uthe Nahi Phir Giraye Gaye Jab Nazar Se Hum,

Sar Tere Dar Pe Rakh Ke Gunehgaar Ho Gaye,
Ye Bojh Ab Utarenge Kis Tarah Sar Se Hum,

Aane Do Unki Simt Se Patthar Hazar Baar,
Bhejenge Baar Baar Unhe Gul Idhar Se Hum,

Jaane Laga Dein Kab Meri Khuddariyon Ke Daam,
Rehte Hai Door Isliye Har Ahl-E-Zar Se Hum,

Zaahir Husaini Naam Se Hota Hai Saaf Saar,
Rakhte Hai Uns Fatima Zehra Ke Ghar Se Hum...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2743 on: October 11, 2008, 02:07:45 PM »


Koi Bijli Giri Kya Aasman Se?
Dhuwan Sa Uth Raha Hai Aashiyan Se,

Mujhe Karte Ho Kyon Majboor Itna,
Nikal Jaye Na Kuch Meri Zubaan Se,

Kabhi To Ye Zameen-E-Dil Bhi Mehke,
Kabhi To Abar Barse Aasman Se,

Fareb Usne Diye Mujhko Hamesha,
Magar Nikla Nahi Dilke Makaan Se,

Kabhi Jharte The Muh Se Phool Par Ab,
Tapakta Zeher Hai Unki Zubaan Se,

Kare Jo Mundamil Zakhmon Ko Mere,
Maseeha Main Wo Ab Laun Kahan Se,

Badal Jaate Hai Rishte Waqt Ke Sath,
Kahan Tak Aa Gaye Hum-Tum Kahan Se...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2744 on: October 11, 2008, 02:08:37 PM »
Haqeeqat Yehi Hai Meri Zaat Ki,
Hamesha Wafaon Ki Bohtaat Ki,

Saza Paa Raha Hoon Isi Baat Ki,
Tamanna Teri Maine Din Raat Ki,

Zaroorat Nahi Hai Tere Naamabar,
Khabar Hai Unhein Mere Halaat Ki,

Sabaa Leke Aayi Hai Mere Liye,
Jo Boo-E-Heena Hai Teri Baat Ki,

Bichhadne Bichhadne Ke Mausam Gaye,
Hawa Ab Chali Hai Mulaqat Ki,

Chaman Mein Koi Ghar Salamat Nahi,
Falak Tune Kaisi Ye Barsaat Ki,

Mukhatib Tha Kal Andaleebon Se Main,
Zubaan Sab Samajhte Hai Jazbaat Ki,

Seher Tere Jalve Hai Sab Par Ayaan,
Azal Se Hai Dushman Tu Zulmaat Ki,

Nabeel Ab Utho Aur Keh Lo Gazal,
Ke Aamad Hui Hai Khayalat Ki...
Logged
Pages: 1 ... 179 180 181 182 [183] 184 185 186 187 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 17, 2024, 01:38:36 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.229 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer