Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 180 181 182 183 [184] 185 186 187 188 ... 273
Print
Author  (Read 133064 times)
angel4u
Guest
«Reply #2745 on: October 11, 2008, 02:09:03 PM »



Uski Berukhi Ka Malal To Raha,
Kuchh Pal Ka Sahi Wisl To Raha,

Samne Na Raha Dil Mein To Raha,
Use Hamara Itna Khayal To Raha,

Chot Lagane Aata Raha Laut Kar,
Usse Rabita Bahal To Raha,

Kya Thi Mohabbat Khata Hamari,
Dilse Yehi Sawal To Raha,

Pehle Dilko Phir Jaan Ko Laga,
Rog Lagane Ka Kamal To Raha...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2746 on: October 11, 2008, 02:10:15 PM »



Aarzoo Thi Usko Bhi Main Muskurata Dekhta,
Zindagi Ki Raah Mein Kuch Door Jaata Dekhta,

Mujhse Kehta Gar Kabhi Wo Dekh Milna Ab Nahi,
Ashq Peeta Zakhm Sehta Dil Jalta Dekhta,

Wo Jo Aata Laut Aati Maykade Ki Raunakein,
Muskurata Gam Bhulata Gungunaata Dekhta,

Dekhti Duniya Sambhalta Aise Ye Beemar-E-Gam,
Ek Nazar Ki Baat Thi Jaadu Jagata Dekhta,

Usko Jaldi Thi Bichhadne Ki Sikandar Wo Gaya,
Gar Wo Sunta Baat Meri Yun Manata Dekhta...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2747 on: October 11, 2008, 02:11:33 PM »



Kash Kabhi Hota Ye Mere Ikhtiyaar Mein,
Main Rang Deta Janan Tujhe Apne Pyaar Mein,

Main Itna Pyaar Deta Tujhe Jaan-E-Aarzu,
Tu Khudko Bhool Jaati Mere Aitbaar Mein,

Tu Jo Kabhi Bulati Mulaqaat Ke Liye,
Bechain Hoke Phirti Mere Intezar Mein,

Main Der Se Jo Aata Naaraz Hoke Tum,
Har Baat Ka Jawab Deti Inkaar Mein,

Tu Jo Kisi Baat Par Mujhse Rooth Jaati,
Main Tujhe Manata Bade Israar Mein,

Maan Kar Tu Mujhse Sirf Yehi Kehti,
Hai Yaqeen Nahi Kami Koi Tere Pyaar Mein,

Kash Kabhi Hota Ye Mere Ikhtiyaar Mein,
Main Rang Deta Janan Tujhe Apne Pyaar Mein...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2748 on: October 11, 2008, 02:12:35 PM »



Bigda Mera Naseeb To Sab Kuch Sanwar Gaya,
Kaanton Pe Main Gira Aur Zamana Guzar Gaya,

Toofan Se Thak Ke Maine Patwar Chhod Di,
Jab Doob Main Chuka Samundar Theher Gaya,

Tukde Tere Wajood Ke Phaile The Mere Paas,
Unko Sametne Mein Main Khud Hi Bikhar Gaya,

Manzilko Dhundta Tha Musafir Ye Kya Hua,
Ek Rehguzar Pe Uska Safarb Hi Bichhad Gaya,

Dhalne Lagi Hai Raat, Chale Jao Doston,
Mujhko Bhi Dhundna Hai Mere Ghar Kidhar Gaya...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2749 on: October 11, 2008, 02:13:11 PM »



Chalo Aaj Phir Se,
Shuru Karein Wo Saari Baatein,
Wo Pyaari Baatein,
Chalo Aaj Phir Se,
Wo Ahd-E-Wafa Karein Ke Sari Shaamein Jalein Phir Se,
Chalo Aaj Phir Se,
Khatam Karein Wo Saare Jhagde,
Chalo Aaj Phir Se,
Mohabbaton Ke Kathin Safar Ko Shuru Karein Hum,
Chalo Na Taake,
Jhagadne Ke Phir Se Sabab Bane To,
Chalo Aaj Phir Se...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2750 on: October 11, 2008, 02:14:03 PM »



Aao Chaand Se Wo Sab Baatein Karein,
Izhaar Bhi Karein Isi Se,
Bana Lein Ab Usi Ko Apna Raazdaan,
Wagarna Kaun Sunega Hamari Yahan Dastan,
Chalo Shazil Phir Isko Batayein,
Apni Tamam Uljhanein,
Aur Na Layein Kisiko Apne Darmiyan...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2751 on: October 11, 2008, 02:14:44 PM »


Chalo Tumko Batate Hai,
Ke Tumko Dekhkar Dil Ne
Kaha Tum Rishta-E-Jaan Se Bhi Badh Kar Ho,
Dua Ki Sarhadon Par,
Jo Adhuri Hai, Meri Aisi Tamanna Ho,
Mere Dilka Muqaddar Ho,
Ke Tum Ek Roshni Bankar, Shafa Le Kar,
Kabhi Dast-E-Masiha Ki Tarah,
Utre Hue, Har Zakhm-E-Dil Par Ho,
Chalo Tumko Batate Hai,
Ke Tum Imaan Hamara Ho,
Sara-E-Dher Mein Andesha-E-Zindagani Mein,
Tum Hi Dil Ka Sahara Ho,
Jo Rooh Ke Aasman Pe Jagmagaya Hai Mohabbat Se,
Suhani Shaam Ki Chahaton Ka Pehla Tara Ho,
Wafa Ka Ista-Ara Ho,
Tumhare Qarb Ki Khushbu Se Patthar Ki Tarah Humne,
Sulagti Dhoop Mein Phailao Paya Hai,
Tumhare Pyaar Ke Rangeen Kanwal Thandi Hawa Se
Sarsarate Hai,
Hum Sawan Mein Bheege Pairon Ko Chhu Lein To,
Tumhare Lams Ki Khushbu Ke Lamhe Jagmagate Hai,
Chalo Tumko Batate Hai,
Ke Humne Zindagi Ke Sab Warq Le Kar,
Sab Hi Satron Mein Likh Li Tamanna Tumko Pane Ki,
Zamane Bhar Mein Shayad Katib-E-Taqdeeer Ke Haathon,
Mere Dilne Likh Li Hai Tumhari Chah Ki Khwahish,
Tumhari Aarzuon Ka Jo Ek Idraak Hai Mujh Mein,
Kiisi Mein Ho Nahi Sakta,
Tumhari Muskurahat Ka Ek Armaan Hai Mujh Mein,
Kisi Mein Nahi Ho Sakta,
Chalo Tumko Batate Hai,
Chalo Tumko Batate Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2752 on: October 11, 2008, 02:18:36 PM »

Chalo Ab Faisla Kar Lo,
Ke Jo Apni Mohabbat Thi,
Nasha Tha Wo Jawani Ka,
Khumar Utra To Yeh Jaana,
Mohabbat Yun Nahi Hoti,
Jo Maine Khwab Dekhe The,
Ab Inki Kirchiyan Hi Hai,
Aur Zakhmin Paanv Hai Mere,
Tumhara Humqadam Rehna,
Mujhe Mumkin Nahi Lagta,
Tumhare Aur Mere Darmiyan,
Koi Deewar Hai Shayad,
Ye Hargiz Gir Nahi Sakti,
Tumhe Wo Log Pyaare Hai,
Jo Mujhko Zeher Lagte Hai,
Magar Ab Mod Aisa Hai,
Jahan Itne Mukhalif Hai,
Tumhe Ye To Pata Hoga,
Mukahluf Simt Chalne Se,
Kabhi Manzil Nahi Milti,
To Phir Kyon Waqt Khote Ho,
Chalo Faisla Kar Lo...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2753 on: October 11, 2008, 02:20:15 PM »

Insaan Ki Parakh Mein Hai 100 Bhool Ka Andesha,
Ujlat Mein Apno Ko Bhi Apna Na Samjha Jaye,
Deti Hai Raheel Aksar Choro Ki Chamak Dhoka,
Har Chamak Hue Kanch Ko Heera Na Samjha Jaye,

Hum Apne Aap Mein Yun Gum Hue Hai Arse Se,
Hamein To Jaise Kisi Ki Talash Hi Nahi,
Hum Kisiko Toot Ke Chahe Ye Chah Ke Toote,
Hamein To Itna Bhi Ikhtiyaar Nahi,

Haseen Chehre Khizan Ke Phool Hote Hai,
Dekhne Mein Khushnuma Magar Bewafa Hote Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2754 on: October 11, 2008, 02:21:00 PM »



Pehli Raat Ke Chaand Mein,
Tere
Larazte Honthon Ne
Mere Maathe Par
Jo Mohar Subat Ki,
Wo
Meri Rooh Mein
Chaudwin Ka Chand
Bankar Utri...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2755 on: October 11, 2008, 02:21:21 PM »


Kabhi Kabhi To Lagta Hai
Ke Jaise Ek Ajnabi Ne Aakar Meri Duniya Sanwar Di Ho,
Kabhi Kabhi To Lagta Hai,
Ke Jaise Samundar Ki Har Leher Ki Sansanahat Par Uske Chalne Ki Awaz

Ho,
Kabhi Kabhi To Lagta Hai,
Jaise Pyaar Duniya Ki Haseen Shay Hai,
Jise Paakar Duniya Ki Har Khushi Mil Jaati Hai,
Isliye,
Kabhi Kabhi Pyaar Mein.....Main Kho Si Jaati Hoon...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2756 on: October 11, 2008, 02:21:47 PM »



Badi Pursakoon Thi Zindagi Naya Dard Kisne Jaga Diya,
Kisi Benayaz Nigah Ne Meri Wehshaton Ko Badha Diya,

Mere Kam Sukhan Ka Ye Hukum Tha Ke Kalaam Usse Main Kam Karun,
Mere Honth Aise Sile Ke Phir Meri Chup Ne Usko Rula Diya,

Use Sher Sunane Ka Zook Tha Mujhe Arz-E-Haal Ka Shauq Tha,
Isi Zook-O-Shauq Mein Ek Din Use Dilka Haal Suna Diya,

Wo Nigah Kisi Neigh Thi Ya Gray Kaisa Gurez Hai?
Mujhe Dekh Kar Bhi Na Dekhna Is Aa Ne Raaz Bata Diya,

Kisi Naam Se Kisi Yaad Se Mere Dilki Bazm Saji Rahi,
Kabhi Ye Charag Jala Diya, Kabhi Wo Charag Jala Diya...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2757 on: October 11, 2008, 02:22:44 PM »



Nazrein Mili Aur Milti Rahi,
Wo Apni Aankhon Ko Kabhi Jhuka Na Saki,
Aur Main Apne Honthon Se Kuch Keh Na Saka,
Bas Uski Aankhon Mein Base Dard Ko Padh Liya,
Socha Is Dard Ko Jaam Samajh Ke Pee Loon,
Usne Mauka Na Diya Ke Zara Sa Jee Loon...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2758 on: October 11, 2008, 02:24:23 PM »

Dilse Nikla Dard,
Ye Zindagi Nahi,
Ajeeb Si Saza Hai Ye,
Jahan Na Jee Sakti,
Na Mar Sakti Hoon Main,
Is Zindagi Ne Kya Diya Mujhe,
Jab Samay Aaya,
Tab Dukh Diya Mujhe,
Aur Kuch Nahi Chahti Is Zindagi Se,
Bas Sukh Chahti Hoon Is Zindagi Se,
Door Le Jaa Tu Ye Gam,
Kahin Door Le Jaa Tu Ye Gam,
Khushiya Phaila De Yahan,
Bahar Laa De Tu Yahan,
Isko Shayri,
Ya Kavita Na Samajhna,
Ye Hai Mere Dilse Nikli,
Isko Meri Aarzu Samajhna,
Par.........
Chot To Khayi Thi Humne,
Par Teri Di Hue Chot Mein Maza Hai,
Bewafayi Ki To Ummid Thi Hamein,
Par Tujhse Judayi Phir Bhi Saza Hai,
Aankhon Se Pilane Ki Aadat Hai Tumhe,
Par Hamein Pine Ki Aadat Nahi,
Zakhmon Ko Bhulaneki Aadat Hai Tumhe,
Par Hamein Seene Ki Aadat Nahi,
Yaadon Ke Sahare Jee Lena,
Aasan Nahi Is Duniya Mein,
Yaadon Ke Sahare Jee Lena,
Ek Talak Haqeeqat Hai Duniya,
Ye Koi Sunehra Khwab Nahi...

Logged
angel4u
Guest
«Reply #2759 on: October 11, 2008, 02:24:45 PM »

Meri Zindagi Meri Zinda Na Rahi Tujhe Chahne Ke Baad,
Baaqi Koi Bhi Khushi Na Rahi Tujeh Chahne Ke Baad,

Har Gam Mein Mile Sau Gam Mujhe Tujhe Chahne Ke Baad,
Logonse Hum Bahut Kam Mile Tujhe Chahne Ke Baad,

Toot Kar Kuch Is Tarah Se Bikharte Rahe Teri Yaad Mein,
Simat Kar Bhi Na Phir Simat Sake Tujhe Chahne Ke Baad,

Gamon Ne Di Yun Sada Mujhe Har Khushi Ke Aane Par,
Na Hua Khushi Ka Phir Deedar Tujhe Chahne Ke Baad,

Gul Ko Nahi Zara Bhi Dukh Teri Bewafayi Ka,
Dhundne Pe Bhi Tujh Sa Mila Nahi Tujhe Chahne Ke Baad,

Buri Tarahse Uljha Raha Ye Dil Tujhe Chahne Ke Baad,
Kisi Tarahse Na Phir Sulajh Saka Ye Dil Tujhe Chahne Ke Baad...
Logged
Pages: 1 ... 180 181 182 183 [184] 185 186 187 188 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 11, 2025, 12:14:31 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.229 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer