Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 181 182 183 184 [185] 186 187 188 189 ... 273
Print
Author  (Read 133062 times)
angel4u
Guest
«Reply #2760 on: October 11, 2008, 02:25:27 PM »


Aankhon Aankhon Mein Rahe Aur Koi Ghar Na Ho,
Khwaab Jaisa Kisi Ka Muqaddar Na Ho,

Roshni Hai To Kis Kaam Ki Roshni,
Aankh Ke Paas Jab Koi Manzar Na Ho,

Jisko Kamtar Samajte Rahe Ho Waseem,
Milke Dekho Kahin Tumse Behtar Na Ho...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2761 on: October 11, 2008, 02:26:05 PM »


Tumse Kya Gila,
Gila To Taqdder Se Hai,
Tumse Kya Shikayat,
Shiqayat To Naseeb Se Hai,
Aaye The Meri Zindagi Mein
Ek Toofan Banke
Gaye To Aandhi Banke
Ab Toofano Se Kya Gila
Ye To Ata Hai Aur Jaata Hai,
Ab
Kisise Kya Gila Jab
Wo Hi
Sath Nahi Ab Raha
Chalne Wale Se Kya Gila
Jab Apna Jise Kaha
Wohi Saath Nahi,
Likhne Wale Ne Bhut Kuch Likha Hai
Meri Taqdeer Mein Par Likh Na Saka Wo
Tha Pyaar Tera...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2762 on: October 11, 2008, 02:26:40 PM »


Shaam Ke Nazaron Mein Tum,
Dhalti Hui Suraj Ki Kirno Mein Tum,
Meri Palkon Ki Neend Ho Tum,
Meri Zindagi Ki Kahani Ho Tum,
Tum, Tum Ho Meri Shayri,
Meri Bandagi,
Kho Na Jana Kahin Tum,
Tum Ho Meri Bas Tum Ho Meri...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2763 on: October 12, 2008, 06:33:20 AM »



Umr Jalwon Mein Basar Ho Ye Zaroori To Nahi,
Har Shab-E-Gam Ki Seher Ho Ye Zaroori To Nahi,

Chashm-E-Saaqi Se Piyo Ya Lab-E-Saagar Se Piyo,
Bekhushi Aathon Peher Ho Ye Zaroori To Nahi,

Neend To Dard Ke Bistar Pe Bhi Aa Sakti Hai,
Unki Aagosh Mein Sar Ho Ye Zaroori To Nahi,

Shekh Karta To Hai Masjid Mein Khuda Ko Sajde,
Uske Sajdon Mein Asar Ho Ye Zaroori To Nahi,

Sab Ki Nazron Mein Ho Saaqi Ye Zaroori Hai Magar,
Sab Pe Saaki Ki Nazar Ho Ye Zaroori To Nahi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2764 on: October 12, 2008, 06:34:12 AM »



Unka Humse Milna Pal Do Pal Ka Hasna,
Unka Humse Juda Hona Aur Umar Bhar Ka Rona,
Unka Hamein Gale Lagana Aur Phir Kehna Ho Jaye Ab Juda,
Unka Hasna Unki Baatein Kyon Is Jahanse Juda?
Unka Hamein Betabi Se Milna Aur Phir Muskurana,
Unka Har Baar Mein Gazab Karna Aur Hamara Bas Unpe Mar Jana,
Unka Humse Baatein Karna Aur Apna Haq Jatana,
Unka Hamein Khilona Samajhkar Har Baar Tod Jana,
Apne Dilko Yun Samjhana Tha, Hum Intezar Karte Rahe,
Waada Kiya Tha Nibhana Tha, Hum Intezaar Karte Rahe,
Apni Khalish Mitane Ke Liye Jazbaat Hamare Tadpa Gaye,
Unki Khatir Muskurana Tha, Hum Intezar Karte Rahe,
Unhone Kiya Haal-E-Dil Bayan, Hazar Zakhm Mehek Uthe,
Unko Haal-E-Dil Sunana Tha, Hum Intezar Karte Rahe,
Unka Humse Milna Pal Do Palka Hasna
Unka Humse Juda Hona Aur Umar Bhar Ka Rona...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2765 on: October 12, 2008, 06:34:31 AM »



Chalo Ab Bhi Palat Jayein
Ek Aise Waqt Se Pehle
Ke Jab Wapsi Ka Rasta Dushwar Ho Jaye,
Baja Ki Ab Bhi Aise Lautna Aasan Nahi Hai,
Magar Tum Ye Bhi To Dekho,
Safar Behad Kathin Hai Aur Hamare Sath,
Ummidon Ka Saron Ka Koi Saman Nahi Hai,
Duwayein Tumne Bhi Ki Hai, Duwayein Humne Bhi Ki Hai,
Magar Ye Puri Ho Aisa Kio Imkaan Nahi Hai,
Chalo Tum Hausla Pakdo Meri Himmat Bandhao Tum,
Idhar Ko Main Palatti Hoon Udhar Ko Laut Jao Tum,
Mujhe Aise Na Dekho Ye Nazar Na Chaar Ho Jaye,
Kahin Ye Faisla Ye Hausla Bekar Ho Jaye,
Chalo Ab Bhi Palat Jayein,
Ek Aise Waqt Se Pehle,
Ke Jab Wapsi Ka Rasta Dushwar Ho Jaye...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2766 on: October 14, 2008, 02:22:55 PM »


Bhari Mehfil Mein Nazar Aata Tha Wahi Ek Chehra,
Nigahein Mila Kar Churata Tha Wahi Ek Chehra,

Abhi Dbhi Wahin Tha Zahid Bhi Wahin Tha,
Sab Ke Hosh Udata Tha Wahi Ek Chehra,

Ladkhada Kar Gira Ab Ke Jo Shazil Yahan,
Har Kisike Hosh Udata Tha Wahi Ek Chehra...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2767 on: October 14, 2008, 02:23:10 PM »



Jabse Ehsaas Ke Sholone Bhadakna Sikha,
Shama-E-Zeest Ne Har Aan Pighalna Sikha,

Teri Qurbat Ne Jalaye The Jo Is Dil Mein Charag,
Teri Doori Se Charagone Bhadakna Sikha,

Ek Sannata Tha, Weeran Thi Guzargah-E-Hayat,
Jaane Kab Dil Ne Mohabbat Ko Samajhna Sikha,

Aqal Wale Bhi Jahan Thokarein Kha Kha Ke Gire,
Humne Us Raah Se Darasal Sambhalna Sikha,

Dilke Har Baat Nigahon Se Ayaan Hoti Hai,
Ye Nazar Milne Pe Is Dilne Samajhna Sikha,

Saher-E-Ulfat Se Nikal Paya Na Zohra Wo Kabhi,
Jisne Is Raaz-E-Mohabbat Ko Samajhna Sikha...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2768 on: October 14, 2008, 02:23:26 PM »



Guzarte Lamhon Mein,
Aur Is Tez Raftaar Zindagi Mein,
Jahan Mere Paas Apne Liye Waqt Nahi Hai,
Jahan Ek Ek Lamha Tezi Se Guzar Raha Hai,
Jahan Qadam Qadam Par Ek Naya Dukh Milta Hai,
Jahan Har Waqt Ek Naye Kaam Ka Muntazar Hai,
Jahan Subah Se Shaam Aur Shaam Se Raat Tak Ka Safar,
Palak Jhapakte Hi Guzar Jata Hai,
Jahan Dhoop Hi Dhoop Hai,
Aur Koi Saaya Daar Sajar Nahi,
Jahan Qadmon Mein Thakan Hi Thakan Hai,
Jahan Saath Chalta Hua Har Shakhs Ajnabi Hai,
Jahan Sab Log Manzil Ki Talab Mein,
Aage Badh Rahe Hai,
Jahan Koi Gam Baantne Wala Nahi,
Jahan Sirf Sehra Hi Sehra Hai,
Aur Baarish Ki Ummid Nahi Hai,
Aisi Zindagi Ke Is Safar Mein,
Sirf Ek Aarzu Ek Tamanna Hai,
Ke Is Socho Bhari,
Gamon Bhari,
Daudti Hui Masroof Zindagi Mein,
Kaash Mujhe Mil Jaye,
"Ek Lamha Mil Jaye Sukoon Ka"
Ek Lamha Sukoon Ka...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2769 on: October 14, 2008, 02:24:29 PM »



Hum To Is Kashmakash Mein Hai Mubtila
Ke Shayad Tum Mujhe Bhool Gayi,
Lekin Nahi,
Tum Mujhe Kaise Bhul Sakti Ho,
Tumne Khud Hi To Mujhe, Apni Zindagi Kaha Tha,
Apni Chalti Saanson Ko Mere Muskurahat Sa Wabasta Kiya Tha,
To Tum Mujhe Kaise Aur Kyon Bhool Gayi,
Shayad Tumhari Aankhon Ne Kisi Aur Ko Pasand Kar Liya Hoga,
Ya Shayad Tumhari Zindagi Ne Kisi Aur Ko Qabool Kar Liya Hoga...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2770 on: October 14, 2008, 02:24:50 PM »


Wo Paas Se Guzar Gaye Aur Dekha Bhi Nahi,
Hawa Ki Tarah Rukh Badal Gaye Aur Dekha Bhi Nahi,

Iske Aane Ki Khabar Thi Shayad,
Hoti Thi Kabhi Khushi Kisine Dekha Bhi Nahi,

Wo Mere Sath Tha Meri Khushi Mein Shaamil,
Ab Jab Dard Hai Zindagi Mein Kisine Ise Dekha Bhi Nahi,

Mere Hosh Gaye Mere Hawaas Gaye,
Jabse Dekha Hai Ise Kisi Aur Ko Dekha Bhi Nahi...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2771 on: October 14, 2008, 02:25:09 PM »



Kabhi Sang-E-Dar Ki Hai Justujoo,
Kabhi Naqsh-E-Paa Ki Talash Hai,
Mera Dil To Hai, Sanam Aashna,
Mujhe Kis Khuda Ki Talash Hai,

Yun Kured Mujhko Na Door Tak,
Abhi Aag Hai, Meri Raakh Mein,
Jahan Khaak-E-Jaan Zara Baith Le,
Mujhe Us Faza Ki Talash Hai,

Kahin Hasraton Ki Hama Hami,
Kahin Khamoshi Ki Hai Daldalein,
Ye Ajab Khudi Ki Hai Khudsari,
Gam-E-Khushnuma Ki Talash Hai,

Kisi Raaste Se Milan Sahi,
Koi Ho Waseela To Karger,
Teri Justuju Hai Talash-E-Haq,
Mujhe Baddua Ki Talash Hai,

Ye Gubar-E-Azmat-E-Karvan,
Yehi Manzilon Ka Nishan Hai,
Kahin Barq Raah Mein Gum Hue,
Kahin Raahnuma Ki Talash Hai...
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #2772 on: October 14, 2008, 02:25:49 PM »
Wah wah angel super lines nice sharing dear... Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
amarhellboy
Guest
«Reply #2773 on: October 14, 2008, 02:43:47 PM »

Tumse Kya Gila,
Gila To Taqdder Se Hai,
Tumse Kya Shikayat,
Shiqayat To Naseeb Se Hai,
Aaye The Meri Zindagi Mein
Ek Toofan Banke
Gaye To Aandhi Banke
Ab Toofano Se Kya Gila
Ye To Ata Hai Aur Jaata Hai,
Ab
Kisise Kya Gila Jab
Wo Hi
Sath Nahi Ab Raha
Chalne Wale Se Kya Gila
Jab Apna Jise Kaha
Wohi Saath Nahi,
Likhne Wale Ne Bhut Kuch Likha Hai
Meri Taqdeer Mein Par Likh Na Saka Wo
Tha Pyaar Tera...


Tumse Kya Gila,
Gila To Taqdder Se Hai,
Tumse Kya Shikayat,
Shiqayat To Naseeb Se Hai,
Aaye The Meri Zindagi Mein
Ek Toofan Banke
Gaye To Aandhi Banke
Ab Toofano Se Kya Gila
Ye To Ata Hai Aur Jaata Hai,
Ab
Kisise Kya Gila Jab
Wo Hi
Sath Nahi Ab Raha
Chalne Wale Se Kya Gila
Jab Apna Jise Kaha
Wohi Saath Nahi,
Likhne Wale Ne Bhut Kuch Likha Hai
Meri Taqdeer Mein Par Likh Na Saka Wo
Tha Pyaar Tera...

oyyyyyyyyyeeeeeeeeeeeeeeee hoye kasam se dear kya likha hai bilkul meri jindagi se mail khati hai ab aap hi soucho ki mai kya tarif karu mujhe to shabad hi nhi mill rahe hai wakai mai yaar gajab kar diya.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2774 on: October 14, 2008, 04:18:14 PM »
Wah wah angel super lines nice sharing dear... Clapping Smiley Clapping Smiley

thanks honeyrose.
Logged
Pages: 1 ... 181 182 183 184 [185] 186 187 188 189 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 10, 2025, 11:55:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.226 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer