Ashq bhi Muskuraye (My collection of Shayris)

by angel4u on November 14, 2006, 08:21:09 PM
Pages: 1 ... 182 183 184 185 [186] 187 188 189 190 ... 273
Print
Author  (Read 133057 times)
angel4u
Guest
«Reply #2775 on: October 14, 2008, 04:19:02 PM »
oyyyyyyyyyeeeeeeeeeeeeeeee hoye kasam se dear kya likha hai bilkul meri jindagi se mail khati hai ab aap hi soucho ki mai kya tarif karu mujhe to shabad hi nhi mill rahe hai wakai mai yaar gajab kar diya.

thanks, actually dard kabhi kabhi jaana pehchana sa hi lagta hai
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2776 on: October 14, 2008, 04:20:18 PM »



Hum Udaas Rehte Hai,
Tum Na Ye Samajh Lena,
Hum Tum Hi Pe Marte Hai
Ye Udaas Baate Jo,
Dilko Dard Deti Hai,
In Udaas Lamhon Mein,
Anginat Se Aansu Hai,
Anginat Se Sapne Hai,
Kis Koo Main Kahoon Sathi,
Kaun Hai, Jo Apne Hai,
Raat Ki Khamoshi Mein,
Dard Badhta Jaata Hai,
Ek Chehra Aankhon Mein,
Jab Utarta Jaata Hai,
Aankh Ho Ya Dil Apna,
Baarishe To Hoti Hai,
Baarishon Ke Mausam Mei,
Log To Bikharte Hai,
Tum Na Ye Samajh Lena,
Hum Tum Hi Par Marte Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2777 on: October 14, 2008, 04:20:58 PM »



Gehri Gehri Aankhon Wali,
Uljhi Uljhi Pagal Ladki,
Tu Ye Kiski Dhun Mein Aakhir,
Lambi Lambi Palkon Upar,
Mote Mote Aansu Lekar,
Sundar Komal Paroon Neeche,
Jalti Balti Dharti Par,
Qariya Qariya Bhaag Rahi Hai,
Kis Ki Khatir Jaag Rahi Hai,
Tujhko Ye Malum Nahi Kya,
Tujh Jaisi Na Jane Kitni,
Gehri Gehri Aankhon Wali,
Kaisi Kaisi Sundarta Ke Khazane Lekar Nikli,
Lekin Phir Bhi Us Raste Se,
Manzil Tak Pahuchne Wala,
Har Ek Saathi Jhutha Nikla,
Ek Ek Aasha Dushman Nikli,
Ek Ek Sapna Dhoka Nikla,
Sachha Har Ek Hadsa Nikla,
Dekho!
Tum Bhi Jaane Do Ab,
Nadani Ka Jitna Rasta,
Tumne Ab Tak Tay Kar Dala,
Us Raste Se Ghar Ki Manzil,
Ab Bhi Itni Door Nahi Hai,
Ab Bhi Wapis Jaa Sakti Ho,
Sab Kuch Wapis Paa Sakti Ho,
Ab Bhi Agar Tum
Nadani Ke Is Raste Se,
Ghar Ko Wapis Na Palti To,
Phir Ek Din Aisa Hoga,
Sundar Aankhein Mar Jayengi,
Palkein Khoon Se Bhar Jayengi,
Jaan Labon Par Aa Jayegi,
Tan Ke Sare Uljhe Pan Ko,
Ghor Musafar Kha Jayegi,
Us Din Phir Tum Chillaogi,
Lekin Kuch Haasil Na Hoga,
Saare Lams Ke Bhooke Saathi,
Pankh Lagake Udd Jayenge,
Tum Raaste Mein Reh Jaogi,
Rasta Bhi Wo Ke Jiske Pichhe,
Dar Ki Gehri Daldal Hogi,
Aage Gam Ka Jungle Hoga,
Sar Par Gehra Badal Hoga,
Us Dinke Aane Se Pehle,
Us Din Tak Jaane Se Pehle,
Waqt Mile To Dhalne Wale,
Har Lamhe Ki Zaat Pe Socho,
Duniya Ki Bareek Nazar Se,
Duniya Ki Har Baat Pe Socho,
Jazbon Ki Auqaat Hi Kya Hai,
Wo Dekho...........
Ek Saaye Par Phir Weerane Mein Bijli Kadki,
Gehri Gehri Aankhon Wali,
Uljhi Uljhi Pagal Ladki...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2778 on: October 14, 2008, 04:21:19 PM »



Meri Nazar Mein Ubhar Raha Hai,
Wo Ek Lamha,
Ke Jab Kisiki Haseen Zulfon Ki Chhanv Mein Aankh Munde,
Gaye Dino Ka Khayal Karke,
Tum Ek Lamhe Ko Kho Se Jaoge Aur Shayad,
Na Chah Kar Bhi Udaas Ho Gaye,
To Koi Sheereen Nawa Ye Puchhegi,
"Meri Jaan Tumko Kya Hua Hai?
Ye Kis Tasavvur Mein Kho Gaye Ho?"
Tumhare Honthon Pe Subah Ki Awaleen Kiran Ki Tarah Se Ubhregi Muskurahat,
Tum Uske Rukhsar Thapthapa Kar,
Kahoge Usse,
"Main Ek Ladki Ko Soch Raha Hoon,
Ajeeb Ladki Thi-----Kitni Pagal"!

Tumhari Saathi Ki Jabeen Par Koi Shikan Banegi,
To Tum Bade Pyaar Se Hansoge,
Aur Kahoge Usse,
"Are Wo Ladki
Wo Mere Jazbaat Ki Himaqat,
Wo Is Qadar Bewakoof Ladki,
Mere Liye To Kabki Mar Chuki",

Phir Apni Saathi Ki Naram Zulfon Mein,
Ungliyan Pherteh Ue Tum,
Kahoge Usse,
"Chalo Naye Aane Wale Kal Mein
Hum Apne Maazi Ko Dafan Kar Dein"...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2779 on: October 14, 2008, 04:21:41 PM »



Khwabon Ke Nagar Ko Kho Kar,
Ek Mohabbat Bhara Dil,
Hijr Ke Dard Mein Dibo Kar
Door Desh Ko Jaane Wala,
Wo Musafir.......
Ab Laut Bhi Aaye Agar,
To Mohabbat Ki Basti Mein,
Ajnabi Hi Rahega,
Jo Dard-E-Naarsayi,
Kisiko Baksh Gaya Tha,
Usi Dard Ko,
Ab Hum Bhi Sahenge...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2780 on: October 14, 2008, 04:22:18 PM »


Tanhayi Bich Gayi Thi Raaston Ke Bich,
Ek Shakhs Kho Gaya Tha Kaaflon Ke Bich,

Wo Aakhri Wisl Tha Aur Shaam Thi Udaas,
Phir Chand Chhup Gaya Tha Badlon Ke Bich,

Aahat Bhi Ghar Mein Hoti Rahi Aur Wo Door Tha,
Koi Chhupa Hua Tha Shayad Meri Dhadkano Ke Bich,

Sochti Hoon Duwaon Ko Khwabon Ko Kya Karein,
Bichhde Hue Agar Mile Ho Mehfilon Ke Bich,

Aankhon Mein Jal Uthe Kayi Jugnoo Shab-E-Firaq,
Aur Chehre Chhup Gaye The Inhi Jugnouon Ke Bich,

Hum Tum Ana Parast The Zinda Hi Mar Gaye,
Kiska Kasor Tha Na Khula Faislon Ke Bich,

Aao Yahin Par Khatam Karein Sab Maamle,
Chhota Sa Ek Gurez Hai Ab Chahaton Ke Bich...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2781 on: October 14, 2008, 05:02:04 PM »


Chalo Ab Bhi Palat Jayein
Ek Aise Waqt Se Pehle
Ke Jab Wapsi Ka Rasta Dushwar Ho Jaye,
Baja Ki Ab Bhi Aise Lautna Aasan Nahi Hai,
Magar Tum Ye Bhi To Dekho,
Safar Behad Kathin Hai Aur Hamare Sath,
Ummidon Ka Saron Ka Koi Saman Nahi Hai,
Duwayein Tumne Bhi Ki Hai, Duwayein Humne Bhi Ki Hai,
Magar Ye Puri Ho Aisa Kio Imkaan Nahi Hai,
Chalo Tum Hausla Pakdo Meri Himmat Bandhao Tum,
Idhar Ko Main Palatti Hoon Udhar Ko Laut Jao Tum,
Mujhe Aise Na Dekho Ye Nazar Na Chaar Ho Jaye,
Kahin Ye Faisla Ye Hausla Bekar Ho Jaye,
Chalo Ab Bhi Palat Jayein,
Ek Aise Waqt Se Pehle,
Ke Jab Wapsi Ka Rasta Dushwar Ho Jaye...


Bahut Bahut Khoob..jisne bhi likha hai unhe mera salaam..

Thanx for sharing a beautiful piece of poetry angel...
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #2782 on: October 14, 2008, 05:03:55 PM »

Tanhayi Bich Gayi Thi Raaston Ke Bich,
Ek Shakhs Kho Gaya Tha Kaaflon Ke Bich,

Wo Aakhri Wisl Tha Aur Shaam Thi Udaas,
Phir Chand Chhup Gaya Tha Badlon Ke Bich,

Aahat Bhi Ghar Mein Hoti Rahi Aur Wo Door Tha,
Koi Chhupa Hua Tha Shayad Meri Dhadkano Ke Bich,

Sochti Hoon Duwaon Ko Khwabon Ko Kya Karein,
Bichhde Hue Agar Mile Ho Mehfilon Ke Bich,

Aankhon Mein Jal Uthe Kayi Jugnoo Shab-E-Firaq,
Aur Chehre Chhup Gaye The Inhi Jugnouon Ke Bich,

Hum Tum Ana Parast The Zinda Hi Mar Gaye,
Kiska Kasor Tha Na Khula Faislon Ke Bich,

Aao Yahin Par Khatam Karein Sab Maamle,
Chhota Sa Ek Gurez Hai Ab Chahaton Ke Bich...

Bahut Bahut Khoob...Thanx again for nice sharing angel..
Logged
Prateek Mardia
Guest
«Reply #2783 on: October 14, 2008, 06:29:00 PM »
bahut umda collection hein aapke paas angel ji,baantey rahiye.sakoon milta hein.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2784 on: October 15, 2008, 02:25:54 AM »
Bahut shukriya Kwaish ji... Thanks for liking.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2785 on: October 15, 2008, 02:26:27 AM »
bahut umda collection hein aapke paas angel ji,baantey rahiye.sakoon milta hein.

Bahut shukriya Prateek ji. Padhte rahiye achha lagta hai Usual Smile
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2786 on: October 15, 2008, 02:35:20 AM »

Kaise Bataun Kaise Guzara Maine Wo,
Din Tum Bin Kaise Bataun Kaise Guzara Maine,
Wo Pal Tum Bin Har Pal Mein Tumhari Yaadein,
Tumhari Justuju Thi, Ye Tumhari Ana Ki Ummid,
Thi Ye Socho Kaise Guzara Hoon Jiye Maine,
Wo Intezar Ki Ghadiyan Tum Bin Aaj Bhi
Un Raaston Sa Jab Guzarta Hoon Main Tumbin
To Wo Rasta Bhi Mujhse Kehta Hai Ke Kya
Zindagi Ye Guzarunga Uske Bin Phir Main Unko
Kehta Hoon Ke Ab Bhi Reh Raha Hoon Tumbin,
Ana Ki Ummid Hai Uski Wo Aaye Gaye Lekin Kya
Karein Ye Maut Bhi Kehti Hai Ke Ab Chalo
Khuda Ke Paas Ke Tum Zinda Nahi Reh Sakte,
Uske Bin Aaj Bhi Par Zinda Hoon Tum Bin Ana Ki
Ummid Hai Tumhare Ke Tum Zaroor Aaoge,
Ek Din...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2787 on: October 15, 2008, 02:37:10 AM »


Dhund Chhayi Hui Hai Jheelo Par,
Aur Rahe Hai Parand Telo Par,
Sab Ka Rukh Hai Nashemo Ki Taraf,
Bastiyon Ki Taraf Dono Ki Taraf,
Apne Galo Ko Le Kar Charwahe,
Sarhade Bastiyon Mein Jaa Pahuche,
Dil Nakam! Main Kahan Jaun?
Ajnabi Shaam! Main Kahan Jaun???
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2788 on: October 15, 2008, 02:38:07 AM »



Mere Zehen Mein Tere Chehre Ka Naqsh Banta Hai,
Dil Mein Ummidon Ka Ek Diya Bhi Jalta Hai,
Teri Baaton Se Ek Aisi Khushboo Aati Hai,
Ke Jaise Gulshan Ke Kisi Daali Par Phool Mehekta Hai,
To Kuch Yun Shamil Aye Zindagi Hua Hai Mujh Mein,
Jis Tara Sang Mere Mera Ye Saya Chalta Hai,
Aur Shayad Ye Teri Aankhon Ki Hi Kashish Hai,
Ke Khurram Dard Uska Meri Aankhonse Jhalakta Hai...
Logged
angel4u
Guest
«Reply #2789 on: October 15, 2008, 02:38:34 AM »



Woh Baarish Ki Khushboo,
Wo Thandi Hawa,
Lagti Hai Kami Sirf Ek Chiz Ki,
Ke Ho Tum Bhi Mere Sath,

Wo Bachhon Ki Tarah Muskurana,
Mujhe Pyaar Se Yun Bulana,
Yun Kar Dena Mujhe Na Deewana,
Mujhe Yun Na Satana,

Yaad Aati Hai Wo Baatein,
Wo Bheegi Bheegi Raatein,
Jab Tha Main Tanha,
Wahi Yaad Tha Jo Tumne Kaha,

Bhool Na Jana Mujhe,
Ke Main Gar Hoon Na Tumhare Sath,
Maut Kya Door Karegi Hamein,
Ke Khuda Ne Milaya Hamein...
Logged
Pages: 1 ... 182 183 184 185 [186] 187 188 189 190 ... 273
Print
Jump to:  


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 10, 2025, 10:28:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]

[January 03, 2025, 09:08:25 AM]

[January 03, 2025, 09:00:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.207 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer